SEARCH RESULTS
Showing search results for "guzaaro"
Ghazal MATCHES FOR "guzaaro"
Ghazal
tumhaarii KHaak u.Daataa nahii.n 'shakeb' to kyaa
udaas raah-guzaaro ko.ii to baat karo
Shakeb Jalali
Ghazal
ta.Dap ta.Dap ke guzaaro shab-e-firaaq apnii
ye naaz-e-husn hai 'shaa.ir' ise jafaa na kaho
Shaer Fatahpuri
Ghazal
so lene do apnaa apnaa kaam karo chup ho jaa.o
darvaazo kuchh vaqt guzaaro diivaaro chup ho jaa.o
Zulfiqar Aadil
Ghazal
har ek bastii badaltii hai ra.ng-ruup ka.ii
jahaa.n bhii sub.h guzaaro udhar hii shaam karo
Nida Fazli
Ghazal
din bhar to chale ab zaraa dam le ke chale.nge
ai ham-safaro aaj yahii.n raat guzaaro
Nasir Kazmi
Ghazal
na.e visaal kii KHaatir guzaaro iddat-e-hijr
aur apne dil ko dobaara ka.nvaaraa kar ke laa.o
Farhat Ehsas
Ghazal
chamak chamak ke sitaaro mujhe fareb na do
tum apnii raat guzaaro mujhe fareb na do
Shahzad Ahmad
Ghazal
Nadir Shahjahanpuri
Ghazal
aap jal jaa.e magar auro.n ko mahzuuz kare
zindagii tum bhii guzaaro yuu.n hii sandal kii tarah
J. P. Saeed
Ghazal
'samiina' ashk giraa do ye zabt chho.Do bhii
inhe.n na dil se guzaaro zaraa KHayaal karo
Sameena Syed
Ghazal
azmat-e-tishna-labii bhuul na jaa.o logo
phir kisii dasht se ik baar guzaaro mujh ko
Hosh Jaunpuri
Ghazal
agar hai.n siikhnaa aadaab-e-zindagii tum ko
guzaaro vaqt kisii boriyaa-nashiin ke paas
Altamash Abbas
Ghazal
dar pe hai.n nazre.n kabhii hai.n baam par
yuu.n guzartaa hai tah-e-diivaar din
Jauhar Deobandi
Ghazal
ishq kartaa hai to kar aur nigaaho.n ko buland
rishta-e-rah-guzar-o-baam me.n kyaa rakkhaa hai
Anand Narayan Mulla
Ghazal
badal chukii hai zamaane me.n ye to sab kii tarah
hayaat apnii guzaaro na be-adab kii tarah
Mahmood Nashtari
Ghazal
kaaGaz zamiin-e-shor qalam shaaKH-e-be-samar
kis aarzuu pe umr guzaaro KHabar nahii.n
Muzaffar Ali Syed
Ghazal
bin tirii diid ke kis tarah guzaara hogaa
tuu na hogaa to mujhe kis kaa sahaaraa hogaa
Shabbir Nazish
Ghazal
hayaat aisii guzaaro amal ke maidaa.n me.n
tumhaare baa'd faqat bandagii kii baate.n ho.n