SEARCH RESULTS
Showing search results for "haqdaar"
Ghazal MATCHES FOR "haqdaar"
Ghazal
kyaa KHabar kal yahii taabuut miraa ban jaa.e
aap jis taKHt kaa haqdaar samajhte hai.n mujhe
Shahid Zaki
Ghazal
sunte hai.n aisaa zamaana bhii yahaa.n guzraa hai
haq unhe.n miltaa jo haqdaar hu.aa karte the
Saleem Kausar
Ghazal
aaj ik daana-e-gandum ke bhii haqdaar nahii.n
ham ne sadiyo.n inhii.n kheto.n pe hukuumat kii hai
Rahat Indori
Ghazal
kis mu.nh se kahe.n tujh se samundar ke hai.n haqdaar
sairaab saraabo.n se bhii ham ho ga.e hote
Shahryar
Ghazal
mutma.in ab bhii agar ko.ii nahii.n hai na sahii
haq to mai.n pahle hii haqdaar ko de detaa huu.n
Akhtar Nazmi
Ghazal
Bashir Badr
Ghazal
sii.nchaa thaa jis ko KHuun-e-tamannaa se raat-din
gulshan me.n us bahaar ke haqdaar ham nahii.n
Naqsh Layalpuri
Ghazal
Thahre hai.n zar-o-siim ke haqdaar tamaashaa.ii
aur maar-e-siyah ham ne dafiine se nikaalaa
Iqbal Sajid
Ghazal
hamaare naam kii haqdaar kis tarah Thahre
vo zindagii jo musalsal tire asar me.n rahii
Yasmeen Hameed
Ghazal
shaahiin vo kahlaane kaa haqdaar nahii.n hai
jo suu-e-falak dekhe na parvaaz se pahle
Afzal Allahabadi
Ghazal
gulshan ke sa.nvarne me.n lahuu ham ne diyaa hai
haqdaar-e-gulistaa.n se baGaavat nahii.n achchhii
Yaseen Barari
Ghazal
chor thaa munsif ke dil me.n tujh pe qaabiz ho gayaa
varna 'aabid' thaa tiraa haqdaar pahlaa aaKHirii
aabid umar
Ghazal
jurm-e-aadam tirii paadaash thii duniyaa saarii
aaKHirash har ko.ii haq-daar-e-mu.aafii Thahraa
Ameer Imam
Ghazal
us kii chaahat pe bharosa hai mujhe mere sivaa
vo kisii aur ko haqdaar nahii.n kar saktaa
Akhtar Azad
Ghazal
ab dabaa.oge to patthar se nikal aa.egii
ek aavaaz kaa haqdaar alag baiThaa hai