SEARCH RESULTS
Showing search results for "hub"
Ghazal MATCHES FOR "hub"
Ghazal
raushan jamaal-e-yaar se hai anjuman tamaam
dahkaa hu.aa hai aatish-e-gul se chaman tamaam
Hasrat Mohani
Ghazal
hai jinhe.n sab se ziyaada da.ava-e-hubbul-vatan
aaj un kii vaj.h se hubb-e-vatan rusvaa to hai
Sahir Ludhianvi
Ghazal
sham.a kaa apne fatiila nahii.n kis raat jalaa
amal-e-hub kii bahut ham ne bhii daavat dii hai
Haidar Ali Aatish
Ghazal
taasiir-e-mohabbat ajab ik hub kaa amal hai
lekin ye amal yaar pe chal jaa.e to achchhaa
Shaikh Ibrahim Zauq
Ghazal
jumbish-e-har-barg se hai gul ke lab ko iKHtilaaj
hubb-e-shabnam se sabaa har sub.h kartii hai ‘ilaaj
Mirza Ghalib
Ghazal
tajrabe ne hubb-e-duniyaa se sikhaayaa ehtiraaz
pahle kahte the faqat mu.nh se aur ab karnaa pa.Daa
Akbar Allahabadi
Ghazal
dil kiye tasKHiir baKHshaa faiz-e-ruuhaanii mujhe
hubb-e-qaumii ho gayaa naqsh-e-sulaimaanii mujhe
Chakbast Braj Narayan
Ghazal
har ham-safar pe KHizr kaa dhokaa hu.aa mujhe
aab-e-baqaa kii raah se katraa ke aa gayaa
Hafeez Jalandhari
Ghazal
Shaad Aarfi
Ghazal
chune hu.e hai.n piyaale jhukii hu.ii botal
nayaa qu.uud niraalaa qayaam hai saaqii
Josh Malihabadi
Ghazal
ai hubb-e-jaah vaalo jo aaj taajvar hai
kal us ko dekhiyo tum ne taaj hai na sar hai
Meer Taqi Meer
Ghazal
junuun-e-hubb-e-vatan kaa mazaa shabaab me.n hai
lahuu me.n phir ye ravaanii rahe rahe na rahe
Chakbast Braj Narayan
Ghazal
kashish-e-dasht-e-balaa hubb-e-vatan daaman-giir
aaj ghar chhuTtaa hai pahle-pahal aavaaro.n se
Yagana Changezi
Ghazal
na to mai.n huur kaa maftuu.n na parii kaa aashiq
KHaak ke putle kaa hai KHaak kaa putlaa aashiq
Peer Sher Mohammad Ajiz
Ghazal
vo dasht-e-haulnaak vo hubb-e-vatan kaa josh
phir phir ke dekhnaa vo kisii be-dayaar kaa
Yagana Changezi
Ghazal
Nooh Narvi
Ghazal
ba.ad-e-murdan kii bhii tadbiir kiye jaataa huu.n
apnii qabr aap hii ta.amiir kiye jaataa huu.n
Mushafi Ghulam Hamdani
Ghazal
ye jaantaa hii nahii.n huu.n kahaa.n mai.n bhuul aayaa
vo ek raaz jo kahnaa thaa raaz-daa.n se mujhe