SEARCH RESULTS
Showing search results for "jaane hayat"
Ghazal MATCHES FOR "jaane hayat"
Ghazal
mai.n jaantaa huu.n tiraa 'ishq bhii ai jaan-e-'hayaat'
zaruur chho.D ke jaa.egaa ik nishaanii bhii
Danish Hayat
Ghazal
'hayaat' kaa dam-e-aaKHir nahii.n hai jaan-e-hayaat
ye faisle kii gha.Dii hai zaraa Thahar jaa.o
Hayat Amrohvi
Ghazal
na kuu-e-yaar chale hai.n na suu-e-daar 'hayaat'
na jaane ham bhii chale hai.n pas-e-Gubaar kahaa.n
Hayat Madrasi
Ghazal
jaane kyaa baat samajh le.nge 'hayaat' us ko vo
ham ne is KHauf se un ko to pukaaraa bhii nahii.n
Hayat Amrohvi
Ghazal
terii is sard-nigaahii ke sabab jaan-e-hayaat
mere anfaas me.n tuufaan uThaayaa gayaa hai
Zaheer Hasnain
Ghazal
mirii nigaah ko jannat banaa diyaa tuu ne
tire shabaab kaa jaan-e-hayaat kyaa kahnaa
Saifi Premi
Ghazal
ham to naakaam palaT aa.e.n pa ai jaan-e-hayaat
naa-muraadaana tirii bazm se aa.e na bane
Payam Fatehpuri
Ghazal
KHudaa hii jaane hayaat apnii kis tarah guzre
baGair un ke to ik pal bhii ik sadii sii lage
Danish Aligarhi
Ghazal
Parveen Shakir
Ghazal
hasii.n samaa.n na hasii.n kaa.enaat hai shaayad
kisii kaa husn hii jaan-e-hayaat hai shaayad
Talib Jaipuri
Ghazal
zindagii maut se kuchh kam na thii ai jaan-e-hayaat
tere iqraar se pahle tire inkaar ke ba.ad
Purnam Allahabadi
Ghazal
jaane kis haal me.n hogii vo mirii jaan-e-hayaat
jis kii KHaatir mire ash.aar hu.aa karte the
Faizan Arif
Ghazal
ye asl zindagii hai ye jaan-e-hayaat hai
husn-e-mazaaq shorish-e-saudaa kahe.n jise
Asghar Gondvi
Ghazal
mai.n huu.n ik prem pujaarii ai mirii jaan-e-hayaat
tuu hai mandir tuu kaliisaa tuu hii ka.aba meraa
Dinesh Kumar
Ghazal
na haTaa is ko mire jism se ai jaan-e-hayaat
haath teraa mire zaKHmo.n ko davaa lagtaa hai
Ejaz Siddiqi
Ghazal
aur kuchh tujh se nahii.n maa.ngtaa ai jaan-e-hayaat
vaqt bas mere liye apnaa har ik pal kar de
Farhat Nadeem Humayun
Ghazal
sunte hai.n din shabaab ke jaan-e-hayaat me.n
lekin vo sub.h-o-shaam jo rote guzar ga.e