SEARCH RESULTS
Showing search results for "jaib"
Ghazal MATCHES FOR "jaib"
Ghazal
chipak rahaa hai badan par lahuu se pairaahan
hamaare jaib ko ab haajat-e-rafuu kyaa hai
Mirza Ghalib
Ghazal
haazir hai.n mere jaib-o-garebaa.n kii dhajjiyaa.n
ab aur kyaa tujhe dil-e-diivaana chaahiye
Bedam Shah Warsi
Ghazal
jab tak dahaan-e-zaKHm na paidaa kare ko.ii
mushkil ki tujh se raah-e-suKHan vaa kare ko.ii
Mirza Ghalib
Ghazal
Khwaja Meer Dard
Ghazal
baaqii nahii.n hai.n jaib-o-garebaa.n ke taar bhii
likkhe.nge ai bahaar tirii daastaa.n kahaa.n
Waheeda Naseem
Ghazal
jiyaa vo paak jo rakhtaa thaa KHaar-e-pairaahan
jo gul ba-jaib thaa daaman kabhii bachaa na sakaa
Nushur Wahidi
Ghazal
roz-e-azal se taa-ba-abad apnii jaib kaa
thaa ek chaak jis ko mai.n baiThaa siyaa kiyaa
Hakim Mohammad Ajmal Khan Shaida
Ghazal
Jaleel Manikpuri
Ghazal
fikr-e-daamaa.n hai na kuchh jaib-o-garebaa.n kii KHabar
kitne aaraam se hai.n aap ke diivaane bhii
Shahid Akhtar
Ghazal
Taa.nke kyaa jaib ke phir baad-e-rafuu TuuT ga.e
ho ke naaKHun kabhii siine me.n faro TuuT ga.e
Shaikh Ibrahim Zauq
Ghazal
abhii to kaa.nTo.n bhare dasht kii karo baate.n
abhii to jaib o garebaa.n me.n taar baaqii hai
Wamiq Jaunpuri
Ghazal
us ko matluub hai.n kuchh qalb o jigar ke Tuk.De
jaib o daaman na ko.ii phaa.D ke diivaana bane
Asghar Gondvi
Ghazal
ye mere jaib-o-garebaa.n pe kuchh nahii.n mauquuf
ki teraa daaman-e-ra.ngii.n bhii taar-taar milaa
Masud Husain Khan
Ghazal
ai vaqt aaj phir se inhe.n taar-taar kar
baiThe hai.n ham bhii jaib-o-garebaa.n liye hu.e
Noor Mohammad Noor
Ghazal
hamaare jaib-o-garebaa.n me.n saa.np kyaa miltaa
use KHabar hii nahii.n thii ki aastiin bhii hai
Khawaja Javed Akhtar
Ghazal
us ke aage kyaa haqiiqat aastiin o jaib kii
noch Daale daaman-e-mahshar bhii diivaana abhii