SEARCH RESULTS
Showing search results for "kasiif"
Ghazal MATCHES FOR "kasiif"
Ghazal
kisii tarah to ye jism-e-kasiif paak ho shaad
galii me.n yaar kii jaanaa to jaa ke rah jaanaa
Shad Azimabadi
Ghazal
kasiif dil se KHushii mun'atif nahii.n hotii
siyaah shiishe se kab chaa.ndnii guzartii hai
Shahid Makuli
Ghazal
saraa-e-dahr me.n chho.Daa tan-e-kasiif apnaa
ye bojh sar se musaafir tiraa utaar aayaa
Shad Azimabadi
Ghazal
Ameer Raza Mazhari
Ghazal
yaqii.n nahii.n hai kisii ko mire bikharne kaa
kasiif zehno.n ke kar jaa.e saaf jaale ko.ii
Aftab Shamsi
Ghazal
vahii kasiif ghaTaa.e.n vahii bhayaanak raat
sahar se jaise gurezaa.n ho.n aaj bhii lamhaat
Moin Ahsan Jazbi
Ghazal
iz.haar-e-jaan-e-paak hai jism-e-kasiif se
be-pardagii hijaab hai zulmat hii nuur hai
Ismail Merathi
Ghazal
ai tan-parast jaama-e-suurat kasiif hai
bazm-e-huzuur-e-dost me.n kap.De badal ke chal
Bayan Meeruthi
Ghazal
banaa hii le.nge machhere makaan shahro.n me.n
chamakte dariyaa kaa paanii kasiif hone tak
Ali Shiran
Ghazal
kasiif dhuup se jal jaa.egaa hasiin badan
mirii umiid kaa jab saa.ebaan TuuTegaa
Imtiyaz Ahmad Rahi
Ghazal
phir chaar-suu kasiif dhu.e.n phailne lage
phir shahr kii nigaah tere qasr par ga.ii
Ambar Bahraichi
Ghazal
kasiif ham hai.n saraasar magar latiif hai vo
to us ke vaaste kyaa KHud ko KHud se aarii kare.n
Sohail Akhtar
Ghazal
baraa.e-jalva kasiif-o-latiif yaksaa.n hai.n
na aap jism se baahar na jaan se baahar
Meer Ali Ausat Rashk
Ghazal
matla' saa jism band hai tarkiib-e-'ishq se
ho.nTo.n ke KHaal kono.n pe raushan kasiif hai.n
Aftab Shah
Ghazal
ghaTaa.e.n chaar-suu chhaa.ii.n havaa.e.n laakh chalii.n
khilaa na gul ko.ii mausam kasiif aisaa thaa