SEARCH RESULTS
Showing search results for "lachak"
Ghazal MATCHES FOR "lachak"
Ghazal
jab shaaKH ko.ii haath lagaate hii chaman me.n
sharmaa.e lachak jaa.e to lagtaa hai ki tum ho
Jan Nisar Akhtar
Ghazal
thake-haare parinde jab basere ke liye lauTe.n
saliiqa-mand shaaKHo.n kaa lachak jaanaa zaruurii hai
Waseem Barelvi
Ghazal
Bashir Badr
Ghazal
mu.aahido.n me.n lachak bhii zaruurii hotii hai
par is kii suu.ii vahii.n kii vahii.n a.Dii hu.ii hai
Amir Ameer
Ghazal
Bahadur Shah Zafar
Ghazal
Amjad Islam Amjad
Ghazal
mujh se bahte hu.e aa.nsuu nahii.n likkhe jaate
kaash ik din mere lafzo.n me.n lachak paidaa ho
Saqi Faruqi
Ghazal
lachak ke TuuT na jaa.e kahii.n ye shaaKH-e-badan
chale jo tez to vahshat havaa se hotii hai
Khurshid Talab
Ghazal
gudaaz jism se phuulo.n pe u.ngliyaa.n rakh duu.n
ye shaaKH aur zaraa saa agar lachak jaa.e
Shakeel Azmi
Ghazal
jaise lahraa.e ko.ii sho.ala-kamar kii ye lachak
sar-ba-sar aatish-e-sayyaal badan kyaa kahnaa
Firaq Gorakhpuri
Ghazal
lachak rahii hai.n shu.aa.o.n kii sii.Dhiyaa.n paiham
falak se ko.ii utartaa dikhaa.ii pa.Dtaa hai
Jan Nisar Akhtar
Ghazal
phir baat baat me.n hai lachak iltifaat kii
kyaa phir dikhaa.oge ko.ii KHvaab-e-vafaa mujhe
Ehsan Danish Kandhlvi
Ghazal
ye shaaKH-e-gul kii lachak bhii payaam rakhtii hai
basaan-e-teG the jo ham ko haq-parast mile
Aale Ahmad Suroor
Ghazal
Josh Malihabadi
Ghazal
larza giraft-e-lams kii lazzat se baar baar
baa.nho.n me.n shaaKH-e-gul kii lachak chho.D kar gayaa
Anjum Irfani
Ghazal
ye ruup ye lachak ye chamak aur ye namak
shaadii ke baa'd aur nikharne lagii ho tum
Tanveer Ghazi
Ghazal
phal kaa phir bojh to us se nahii.n uThne vaalaa
baur aate hii agar shaaKH lachak jaa.egii
Hasan Zaheer Raja
Ghazal
raftaar naaz me.n ye lachak jaatii hai ki bas
goyaa tirii kamar me.n sanam ustuKHvaa.n nahii.n
Imam Bakhsh Nasikh
Ghazal
thaam le dast-e-subuu aa.e jo chalne me.n lachak
KHat-e-baGdaad ho muu-e-kamar-e-jaam-e-sharaab