SEARCH RESULTS
Showing search results for "lamho"
Ghazal MATCHES FOR "lamho"
Ghazal
mahaktii raat ke lamho nazar rakho mujh par
bahaanaa Dhuu.nD rahaa huu.n udaas hone kaa
Rahat Indori
Ghazal
ai barq kii maanind guzarte hu.e lamho
kyaa aa.nkh jhapakne kii bhii mohlat nahii.n doge
Shahzad Ahmad
Ghazal
kahaa.n ho kho.e hu.e lamho! lauT kar aa.o
hayaat umr-e-guzishta kaa baab maa.nge hai
Karamat Ali Karamat
Ghazal
ai ziist ke dozaKH se guzarte hu.e lamho
sochaa hai kabhii tum ne ki jiinaa bhii sazaa hai
Arsh Siddiqui
Ghazal
Rajinder Manchanda Bani
Ghazal
ai mirii umr ke ma.azuur guzarte lamho
tum ne jaate hu.e mu.D kar kabhii dekhaa bhii nahii.n
Syeda Shan-e-Meraj
Ghazal
furqat kii shab-e-karb ke jaate hu.e lamho
kab lauT ke aa.oge mujhe phir se rulaane
Mahendra Partap Chand
Ghazal
kisii ke saath guzaare hu.e hasii.n lamho
tum aaj yaad to aa.o ki ham Gazal kah le.n
Marghoob Asar Fatmi
Ghazal
kuchh umr-e-gurezaa.n se mire haath na aayaa
har lamha tire gosha-e-daamaa.n kii tarah thaa
Sajjad Baqar Rizvi
Ghazal
kahaa.n ga.e mujhe taariikiyo.n me.n uljhaa kar
hayaat-e-rafta ke lamho zaraa pukaaro to
Arshad Siddiqui
Ghazal
ai raat ke a.ndhiyaare me.n jaage hu.e lamho!
Dhuu.nDo use vo KHvaab-e-pareshaa.n kii tarah thaa
Sajjad Baqar Rizvi
Ghazal
jo tujh se mujh se KHafaa ho ga.e hai.n sadiyo.n se
nigaah phir unhii.n lamho kaa KHvaab maa.nge hai
Ziya Shadani
Ghazal
Azraq Adeem
Ghazal
shab-e-firaaq ke dam to.De hu.e lamho
mirii tarah se sitaaro.n kaa nauha sunte ho?
Mustahsin Khayal
Ghazal
ai guzre hu.e lamho ko.ii naqsh ubhaaro
aa.iina-e-taKHyiil pe ab gard jamii hai