SEARCH RESULTS
Showing search results for "mahruumii"
Ghazal MATCHES FOR "mahruumii"
Ghazal
KHuddaarii-o-mahruumii mahruumii-o-KHuddaarii
ab dil ko KHudaa rakkhe ab dil kaa zamaanaa hai
Jigar Moradabadi
Ghazal
apnii mahruumii ke ehsaas se sharminda hai.n
KHud nahii.n rakhte to auro.n ke bujhaate hai.n charaaG
Ahmad Faraz
Ghazal
charke vo diye dil ko mahruumii-e-qismat ne
ab hijr bhii tanhaa.ii aur vasl bhii tanhaa.ii
Sufi Ghulam Mustafa Tabassum
Ghazal
ilm ke dariyaa se nikle Gota-zan gauhar-ba-dast
vaa.e mahruumii KHazaf chain lab saahil huu.n mai.n
Allama Iqbal
Ghazal
aah-e-jaa.n-soz kii mahruumi-e-taasiir na dekh
ho hii jaa.egii ko.ii jiine kii tadbiir na dekh
Majrooh Sultanpuri
Ghazal
'faraaz' daulat-e-dil hai mataa-e-mahruumii
mai.n jaam-e-jam ke evaz kaasa-e-gadaa.ii na duu.n
Ahmad Faraz
Ghazal
Gulaamii kyaa hai zauq-e-husn-o-zebaa.ii se mahruumii
jise zebaa kahe.n aazaad bande hai vahii zebaa
Allama Iqbal
Ghazal
kis se mahruumii-e-qismat kii shikaayat kiije
ham ne chaahaa thaa ki mar jaa.e.n so vo bhii na hu.aa
Mirza Ghalib
Ghazal
har qadam pe naakaamii har qadam pe mahruumii
Gaaliban ko.ii dushman dosto.n me.n shaamil hai
Ameer Qazalbash
Ghazal
dard-e-mahruumii sahii ehsaas-e-naakaamii sahii
us ne samjhaa to bahar-suurat kisii qaabil mujhe
Jigar Moradabadi
Ghazal
taabiir thii apnii bhii vahii KHvaab-e-safar kii
afsaana-e-mahruumi-e-manzil bhii vahii thaa
Zafar Iqbal
Ghazal
Andaleeb Shadani
Ghazal
bas ek baar manaayaa thaa jashn-e-mahruumii
phir is ke baa'd ko.ii ibtilaa nahii.n aa.ii
Ada Jafarey
Ghazal
mahruumii ne jahaa.n baseraa Dhuu.nD liyaa hai
mujh ko to vo ghar bhii apnaa ghar lagtaa hai
A G Josh
Ghazal
tamaam husn ke jalve tamaam mahruumii
bharam nigaah ne apne ga.nvaa.e hai.n kyaa kyaa
Firaq Gorakhpuri
Ghazal
ye bhii ik rang hai shaayad mirii mahruumii kaa
ko.ii ha.ns de to mohabbat kaa gumaa.n hotaa hai