SEARCH RESULTS
Showing search results for "manhuus"
Ghazal MATCHES FOR "manhuus"
Ghazal
fasl-e-gul me.n kis qadar manhuus hai ronaa miraa
mai.n ne jab naale kiye bijlii girii gulzaar me.n
Qamar Jalalvi
Ghazal
manhuus ek shakl hai jis se nahii.n faraar
parchhaa.ii.n kii tarah se baraabar lagii hu.ii
Jamal Ehsani
Ghazal
bichhvaa.iiye na chaa.ndnii me.n baam par pala.ng
manhuus hai qiraan mah o aaftaab kaa
Haidar Ali Aatish
Ghazal
ko.ii manhuus havaa hai mire ghar ke andar
jo sameTuu.n vo bikhartaa hii chalaa jaataa hai
Pragya Sharma
Ghazal
dil bhii kyaa jins hai manhuus vo farmaate hai.n
bechne vaale judaa rau me.n KHariidaar judaa
Natiq Gulavthi
Ghazal
kaun is daur ke insaa.n kaa muqaddar bantaa
chand aavaara-o-manhuus sitaaro.n ke sivaa
Ejaz Siddiqi
Ghazal
chaahtaa huu.n ki nazar nuur se maanuus na ho
raushnii ho magar itnii ho ki mahsuus na ho
Umair Najmi
Ghazal
vo shaam kii suurat hai na vo ra.ng-e-sahar hai
kis kaukab-e-manhuus kaa yaarab ye asar hai
Tilok Chand Mahroom
Ghazal
jab bhii suuraj Duubte dekhaa mai.n KHush hone lagaa
par ka.ii manhuus chamgaada.D mujhe larzaa ga.e
Ali Akbar Abbas
Ghazal
haif us rashk-e-zohra yuusuf kaa
Gair-manhuus mushtarii niklaa
Munshi Debi Parshad Sahar Badayuni
Ghazal
ek aaseb kaa saaya thaa jo sar se utraa
jaise ik taa.ir-e-manhuus shajar se utraa
Shaukat Kazmi
Ghazal
us ko manhuus kahte hai.n kyo.n log
charKH-e-garduu.n-faraaz me.n kyaa hai