SEARCH RESULTS
Showing search results for "maraasim"
Ghazal MATCHES FOR "maraasim"
Ghazal
pahle se maraasim na sahii phir bhii kabhii to
rasm-o-rah-e-duniyaa hii nibhaane ke liye aa
Ahmad Faraz
Ghazal
kyaa kahe.n kitne maraasim the hamaare us se
vo jo ik shaKHs hai mu.nh pher ke jaane vaalaa
Ahmad Faraz
Ghazal
ab aur kyaa kisii se maraasim ba.Dhaa.e.n ham
ye bhii bahut hai tujh ko agar bhuul jaa.e.n ham
Ahmad Faraz
Ghazal
us shaKHs ke tum se bhii maraasim hai.n to ho.nge
vo jhuuT na bolegaa mire saamne aa kar
Mohsin Naqvi
Ghazal
yahii dil thaa ki tarastaa thaa maraasim ke liye
ab yahii tark-e-ta.alluq ke bahaane maa.nge
Ahmad Faraz
Ghazal
ahl-e-duniyaa se maraasim bhii baratne ho.nge
har nafas sirf ibaadat ho zaruurii to nahii.n
Saba Akbarabadi
Ghazal
ab to hame.n bhii tark-e-maraasim kaa dukh nahii.n
par dil ye chaahtaa hai ki aaGaaz tuu kare
Ahmad Faraz
Ghazal
Gulzar
Ghazal
ye dostii ye maraasim ye chaahate.n ye KHuluus
kabhii kabhii mujhe sab kuchh ajiib lagtaa hai
Jan Nisar Akhtar
Ghazal
dekh ab qurb kaa mausam bhii na sarsabz lage
hijr hii hijr maraasim me.n samoyaa kaisaa
Ahmad Faraz
Ghazal
fursat kahaa.n banaa.uu.n maraasim na.e na.e
pichhle ta.alluqaat me.n uljhaa hu.aa huu.n mai.n
Jahangeer Nayab
Ghazal
ik aadmii se tark-e-maraasim ke baa'd ab
kyaa us galii se ko.ii guzarnaa bhii chho.D de
Jamal Ehsani
Ghazal
tumhaare saath mire muKHtalif maraasim hai.n
mirii vafaa pe kabhii inhisaar mat karnaa
Asim Wasti
Ghazal
ai havaa kyaa hai jo ab nazm-e-chaman aur hu.aa
said se bhii hai.n maraasim tire sayyaad se bhii