SEARCH RESULTS
Showing search results for "maraz"
Ghazal MATCHES FOR "maraz"
Ghazal
biimaar ko maraz kii davaa denii chaahiye
mai.n piinaa chaahtaa huu.n pilaa denii chaahiye
Rahat Indori
Ghazal
allaah bachaa.e maraz-e-ishq se dil ko
sunte hai.n ki ye aariza achchhaa nahii.n hotaa
Akbar Allahabadi
Ghazal
Akbar Allahabadi
Ghazal
idraak kii kamii hai samajhnaa ise maraz
is kii du.aa, na is kii davaa hai, ye ishq hai
Irfan Sattar
Ghazal
badal rahe hai.n ka.ii aadmii darindo.n me.n
maraz puraanaa hai is kaa nayaa ilaaj bhii ho
Nida Fazli
Ghazal
maraz-e-'ishq jise ho use kyaa yaad rahe
na davaa yaad rahe aur na du'aa yaad rahe
Shaikh Ibrahim Zauq
Ghazal
dil ke maraz kaa ab nahii.n duniyaa me.n kuchh ilaaj
ye ishq-e-laa-davaa hai mujhe maar diijiye
Arpit Sharma Arpit
Ghazal
Chakbast Braj Narayan
Ghazal
mai.n ne to kiyaa parda-e-asraar ko bhii chaak
deriina hai teraa maraz-e-kor-nigaahii
Allama Iqbal
Ghazal
rizq malbuus makaa.n saa.ns maraz qarz davaa
munqasim ho gayaa insaa.n inhii afkaar ke biich
Mohsin Naqvi
Ghazal
kahii.n haqiiqat-e-jaa.n-kaahii-e-maraz likhiye
kahii.n musiibat-e-naa-saazii-e-davaa kahiye
Mirza Ghalib
Ghazal
agar ham vaaqa.ii kam-hausla hote mohabbat me.n
maraz ba.Dhne se pahle hii davaa tabdiil kar lete
Saleem Kausar
Ghazal
achchhaa hu.aa ki ham ko maraz laa-davaa milaa
achchhaa nahii.n hu.aa ki ham achchhe nahii.n hu.e
Vipul Kumar
Ghazal
apne maraz-e-Gam kaa hakiim aur ko.ii hai
ham aur tabiibo.n kii davaa kuchh nahii.n karte
Bahadur Shah Zafar
Ghazal
tap-e-daruu.n Gam-e-furqat varam-e-payaada-ravii
maraz to itne hai.n aur kuchh davaa nahii.n rakhte
Meer Anees
Ghazal
tabiib-e-ishq ne dekhaa mujhe to farmaayaa
tiraa maraz hai faqat aarzuu kii be-niishii
Allama Iqbal
Ghazal
dil par ho iKHtiyaar to hargiz na kariye ishq
parhez kariye is maraz-e-jaa.n-gudaaz se