SEARCH RESULTS
Showing search results for "mehan"
Ghazal MATCHES FOR "mehan"
Ghazal
Akhtar Shirani
Ghazal
aish gudaaz-e-dil bhii Gam-e-aashiqii me.n thaa
ik raahat-e-latiif bhii zimn-e-mehan me.n thii
Hasrat Mohani
Ghazal
ab sivaa is ke mudaavaa-e-Gam-e-dil kyaa hai
itnii pii jaa.e.n ki har ranj-o-mehan ko bhuule.n
Jan Nisar Akhtar
Ghazal
fanaa ke zamzame ranj-o-mehan ke afsaane
yahii mile hai.n na.ii zindagii ko nazraane
Zehra Nigaah
Ghazal
nashsha-e-daulat se mun.im pairahan me.n mast hai
mard-e-muflis haalat-e-ranj-o-mehan me.n mast hai
Haidar Ali Aatish
Ghazal
ranj-o-mehan nigaah jo phere.n to pher le.n
lekin mujhe 'aziiz hai.n ranj-o-mehan abhii
Ehsan Danish
Ghazal
dono.n farishte dosh par kyaa likh sake.n haalat mirii
aaluuda-e-ranj-o-mehan ek is taraf ek us taraf
Dagh Dehlvi
Ghazal
is aabla-paa.ii pe bhii ham terii talab me.n
tai jaada-e-aalaam-o-mehan karte rahe.nge
Abul Mujahid Zahid
Ghazal
din guzarte rahe saa.nso.n me.n thakan aatii rahii
dil me.n u.D u.D ke vahii gard-e-mehan aatii rahii
Khursheed Rizvi
Ghazal
baraabar aaj KHabar ashk-e-garm laate hai.n
Gazab kii qasr-e-dil-e-pur-mehan me.n aag lagii
Rasheed lakhnavi
Ghazal
sabaat-o-sabr zaruurii hai aadmii ke liye
shikan jabii.n pe na aa.e ba-vaqt-e-ranj-o-mehan
Darshan Singh
Ghazal
marte to chhuuT jaate ranj-o-mehan se yaa.n ke
maanind-e-KHizr ham hai.n naa-chaar zindagii se
Mushafi Ghulam Hamdani
Ghazal
aish-o-tarab kaa zikr karuu.n kyaa mai.n dosto
mujh Gam-zada se puuchhiye ranj-o-mehan kii baat
Jurat Qalandar Bakhsh
Ghazal
KHudaa kare na thake.n hashr tak junuu.n ke paa.nv
abhii manaazil-e-ranj-o-mehan kuchh aur bhii hai.n
Moin Ahsan Jazbi
Ghazal
ek bhii shaKHs agar ho to bataa do mujh ko
kaun is daur me.n hai ranj-o-mehan se baahar
Aatish Raza
Ghazal
sar-gashta-e-mohabbat daar-e-mehan me.n phir kar
dekh aa.e gosha gosha raahat nahii.n kahii.n bhii
Arzoo Lakhnavi
Ghazal
Mushafi Ghulam Hamdani
Ghazal
shikva-e-hijr kii KHvaahish na kar ai dil ki tujhe
saamnaa ho to ko.ii ranj-o-mehan yaad nahii.n