SEARCH RESULTS
Showing search results for "muhaajrat"
Ghazal MATCHES FOR "muhaajrat"
Ghazal
valvala-haa-e-shauq sab sarf-e-muhaajrat hu.e
ab sar-e-manzil vafaa Dhuu.nD rahe ho ghar kahaa.n
Pirzada Qasim
Ghazal
muhaajrat ye shajar-dar-shajar havaa.o.n kii
basaa.e jaatii hai KHaana-badoshiyaa.n mujh me.n
Shabana Yousaf
Ghazal
guzar rahe hai.n ajab jaa.n-kanii me.n roz-o-shab
ki ruuh qarya-e-tan se muhaajrat chaahe
Shafiq Saleemi
Ghazal
ga.e hai.n des ko ham apne chho.D kar bhii nahii.n
muhaajrat ke liye shart ab safar bhii nahii.n
Mohammad Aazam
Ghazal
yuu.n to kabhii mu.nh pher ke dekho bhii nahii.n ho
jab vaqt pa.De hai to mudaaraat karo ho
Kaleem Aajiz
Ghazal
ai naavak-e-Gam dil me.n hai ik buu.nd lahuu kii
kuchh aur to kyaa ham se mudaaraat banegii
Jan Nisar Akhtar
Ghazal
yuu.n hii nahii.n mash.huur-e-zamaana miraa qaatil
us shaKHs ko is fan me.n mahaarat bhii bahut thii
Kaleem Aajiz
Ghazal
sar paa-e-KHum pe chaahiye ha.ngaam-e-be-KHudii
ruu suu-e-qibla vaqt-e-munaajaat chaahiye
Mirza Ghalib
Ghazal
ai soz-e-ishq tuu ne mujhe kyaa banaa diyaa
merii har ek saa.ns munaajaat ho ga.ii
Firaq Gorakhpuri
Ghazal
yahii zindagii musiibat yahii zindagii musarrat
yahii zindagii haqiiqat yahii zindagii fasaana
Moin Ahsan Jazbi
Ghazal
baaryaabii kaa buraa ho ki ab un ke dar par
agle vaqto.n kii mudaaraat nahii.n hotii hai
Hafeez Jalandhari
Ghazal
dil ye to tiraa daaG-e-muhabbat na chhupegaa
aa.iine se tasviir chhupaa.ii nahii.n jaatii
Jigar Jalandhari
Ghazal
sharah-e-bedardi-e-haalaat na hone paa.ii
ab ke bhii dil kii mudaaraat na hone paa.ii
Faiz Ahmad Faiz
Ghazal
mahaarat aisii ki bas dekhte hii rah jaa.o
nikaaltaa hai ko.ii yuu.n kha.De kha.De aa.nsuu
Jawad Sheikh
Ghazal
is mohabbat se milaa hai vo sitamgar ham se
jitne shikve na hu.e utnii mudaaraat hu.ii
Qaisarul Jafri
Ghazal
tuu Gazal ban ke utar baat mukammal ho jaa.e
muntazir dil kii munaajaat mukammal ho jaa.e
Waheed Akhtar
Ghazal
vo KHush-nasiib tum se mulaaqaat kyuu.n kare
darbaan hii se jis kii mudaaraat ho ga.ii