SEARCH RESULTS
Showing search results for "mutabaadil"
Ghazal MATCHES FOR "mutabaadil"
Ghazal
mai.n huu.n KHud se mutaqaabil mutabaadil mutazaad
ruuh Thahre miraa unvaa.n kabhii qaalib Thahre
Abdul Ahad Saaz
Ghazal
be-natiija hii rahegaa ye musalsal Takraa.o
yaa to duniyaa ke bano yaa mutabaadil ho jaa.o
Farhat Ehsas
Ghazal
alfaaz na.e Dhaale kyaa kyaa na.ii urdu me.n
raa.ij mutabaadil hai.n jin ke ka.ii urdu me.n
Jafar Raza
Ghazal
us kaa mutabaadil bhii usii tarah kaa Dhuu.nDaa
ya.anii ki KHasaare pe KHasaara hii kiyaa hai
Gul Faraz
Ghazal
har qadam is mutabaadil se bharii duniyaa me.n
raas aa.e to bas ik terii kamii aa.e hame.n
Abdul Ahad Saaz
Ghazal
jab se jaanaa hai Gam-e-ziist se haasil kyaa hai
mai.n yahii soch rahaa huu.n mutabaadil kyaa hai
Rahat Hasan
Ghazal
pahlaa saa ab vo rang-e-mahaafil nahii.n rahaa
us shoKH kaa ko.ii mutabaadil nahii.n rahaa
Abrar Kiratpuri
Ghazal
dilo.n me.n aaj tirii yaad muddato.n ke ba.ad
ba-chehra-e-mutabassim ba-chashm-e-tar aa.ii
Firaq Gorakhpuri
Ghazal
dard-e-firaaq-e-yaar se dono.n hai.n be-qaraar
qaabuu me.n dil nahii.n mutahammil jigar nahii.n
Agha Hajju Sharaf
Ghazal
kab se mutahammil hai jafaa.o.n kaa dil-e-zaar
zinhaar-vafaa ho na sakii yaar se ab tak
Meer Taqi Meer
Ghazal
tum aa ke kyaa mutabassim hu.e lahad par mirii
charaaG-e-gor-e-Gariibaa.n jalaa diyaa tum ne
Jameela Khatoon Tasneem
Ghazal
us ko har shab hai zavaal us ko nahii.n hai kuchh naqs
badr ko chehre se us ke mutamassil na karo
Aftab Shah Alam Sani
Ghazal
hisaab-e-shauq kaa daftar likhaa to jhu.njhlaa kar
kahaa mai.n kyaa mutasaddi thaa jo hisaab likhaa
Nazeer Akbarabadi
Ghazal
mujhe na dekh mirii baat sun ki mujh se hai.n
kahii.n kahii.n mutasaadim bhii kuchh 'amal mere
Ajmal Siraj
Ghazal
na sahii KHaak ke putlo.n me.n sifaat-e-malakii
baare is baar-e-vafaa ke mutahammil to hu.e