aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
Showing search results for "mutabaadil"
sha.nkar Damruu kaa mutabaadil talaash kar chukaagopiyaa.n ab kisii uudhau kii muhtaaj nahii.ntrunk callun kii samasyaa.o.n kaa hal haiizraa.iil!atom aur helium ke haq me.ndast-bardaar hone kii fikr me.n haiisraafiil kii jamaaliyaatii his ko jilaa mil ga.iiab vo kisii music-school me.n daaKHila le legaafood-corporation kaa mutaalbaa:'mikhail kaa retirement' maan liyaa gayaa haiwireless-telegraphy kaa mahkamaafsar-e-aalaa ke ohde ke liyejibra.iil kii darKHvaast par Gaur kar rahaa hai'KHudaa kii jagah KHaalii hai'mutamannii hazraat fauran se pesh-tar darKHvaast de.n!
kyaa phuul nau-biyaahataa aurat ke baalo.naur bachcho.n ke libaas par hii jachtaa haikaashvatan kii had huduud ke ta.ayyun ke liyephuulo.n kii kiyaariyaa.naahinii-taaro.n kaa mutabaadil hotii.n
mujhe yaqii.n haiki tum kaun meh.ndii sejab mere aduu kaa naamapnii KHuubsuurat kalaa.ii par likhogiitomeraa KHayaal aate hiiaaKHir ek dinus manhuus ke naam parKHud hiiba.Daa saa kaa.nTaa lagaa dogiiaur duusrii kalaa.ii parmeraa naam likh karuse der tak chuumtii rahogiimai.n us lamhe ke intizaar me.nmutabaadil kalaa.iyo.n kii jaanib se mausuulahazaaro.n dil-paziir aafrii.nmusalsal mustarad kiye jaa rahaa huu.nkyuu.nkiduniyaa ummiid par qaa.em hai
kyaa merii tho.Dii siibe-ehtiyaatii us kaa mafhuumbahut ziyaada tabdiil to nahii.n kar degiikyaa is lafz ke liyekisii duusrii zabaan me.nko.ii mutabaadil lafzziyaada madad-gaar saabit nahii.n hogaa?
apnaa hii saa ai nargis-e-mastaana banaa demai.n jab tujhe jaanuu.n mujhe diivaana banaa dehar qaid se har rasm se begaana banaa dediivaana banaa de mujhe diivaana banaa deik barq-e-adaa KHirman-e-hastii pe giraa karnazro.n ko mirii tuur kaa afsaana banaa dehar dil hai tirii bazm me.n labrez-e-mai-e-ishqik aur bhii paimaana se paimaana banaa detuu saaqi-e-mai-KHaana bhii tuu nashsha o mai bhiimai.n tishna-e-hastii mujhe mastaana banaa deallaah ne tujh ko mai o mai-KHaana banaayaatuu saarii fazaa ko mai o mai-KHaana banaa detuu saaqi-e-mai-KHaana hai mai.n rind-e-balaa-noshmere liye mai-KHaane ko paimaana banaa deyaa diida-o-dil me.n mire tuu aap samaa jaayaa phir dil-o-diida hii ko viiraana banaa deqatre me.n vo dariyaa hai jo aalam ko Dubo dezarre me.n vo sahraa hai ki diivaana banaa delekin mujhe har qaid-e-ta.ayyun se bachaa karjo chaahe vo ai nargis-e-mastaana banaa deaalam to hai diivaana jigar! husn kii KHaatirtuu apne liye husn ko diivaana banaa dekab tak nigah-e-yaar na hogii mutabassimtuu apnaa har andaaz hariifaana banaa demunkir tuu na ban husn ke e.ajaaz-e-nazar kaakahne ke liye apne ko begaana banaa dejab tak karam-e-KHaas kaa dariyaa na uma.nD aa.etuu aur bhii haal apnaa safiihaana banaa debut-KHaane aa nikle to ka.aba kii binaa Daalka.abe me.n pahu.nch jaa.e to but-KHaana banaa dejo mauj uThe dil se tire josh-e-talab me.nsar rakh ke vahii.n sajda-e-shukraana banaa dejab maa.il-e-altaaf nazar aa.e vo KHud-bii.ntuu har nigah-e-shauq ko afsaana banaa dekaunain bhii mil jaa.e to daaman ko na phailaakaunain ko bhuulaa hu.aa afsaana banaa dephir arz kar is tarah 'jigar' shauq o adab sebebaak agar jur.at-e-rindaana banaa detujh ko nigah-e-yaar! qasam mere junuu.n kiinaaseh ko bhii meraa hii saa diivaana banaa demai.n huu.n tire qadmo.n me.n mujhe kuchh nahii.n kahnaaab jo bhii tiraa lutf-e-kariimaana banaa de
ye tan jo hai har ik ke utaare kaa jho.npa.Daais se hai ab bhii sab ke sahaare kaa jho.npa.Daais se hai baadshah ke nazaare kaa jho.npa.Daais me.n hii hai faqiir bichaare kaa jho.npa.Daaapnaa na mol kaa na ijaare kaa jho.npa.Daabaabaa ye tan hai dam ke guzaare kaa jho.npa.Daais me.n hii bhole-bhaale isii me.n siyaane hai.nis me.n hii hoshiyaar isii me.n divaane hai.nis me.n hii dushman is me.n hii apne begaane hai.nshaa-jho.npa.Daa bhii apne isii me.n namaane hai.napnaa na mol hai na ijaare kaa jho.npa.Daabaabaa ye tan hai dam ke guzaare kaa jho.npa.Daais me.n hii log ishq-o-mohabbat ke maare hai.nis me.n hii shoKH husn ke chaa.nd aur sitaare hai.nis me.n hii yaar-dost isii me.n piyaare hai.nshaa-jho.npa.Daa bhii apne isii me.n bichaare hai.napnaa na mol hai na ijaare kaa jho.npa.Daabaabaa ye tan hai dam ke guzaare kaa jho.npa.Daais me.n hii ahl-e-daulat-o-mun.im amiir hai.nis me.n hii rahte saare jahaa.n ke faqiir hai.nis me.n hii shaah aur isii me.n vaziir hai.nis me.n hii hai.n saGiir isii me.n kabiir hai.nitnaa na mol kaa na ijaare kaa jho.npa.Daabaabaa ye tan hai dam ke guzaare kaa jho.npa.Daais me.n hii chor-Thag hai.n isii me.n amol hai.nis me.n hii ronii shakl isii me.n ThiThol hai.nis me.n hii baaje aur naqaare-o-Dhol hai.nshaa-jho.npa.Daa bhii is me.n hii karte kalol hai.nitnaa na mol kaa na ijaare kaa jho.npa.Daabaabaa ye tan hai dam ke guzaare kaa jho.npa.Daais me.n hii paarsaa hai.n isii me.n tavand hai.nbedard bhii isii me.n hai aur dardmand hai.nis me.n hii sab parand isii me.n charand hai.nshaa-jho.npa.Daa bhii ab isii Dar be band hai.nitnaa na mol kaa na ijaare kaa jho.npa.Daabaabaa ye tan hai dam ke guzaare kaa jho.npa.Daais jho.npa.De me.n rahte hai.n sab shaah aur vaziiris me.n vakiil baKHshii o mutasaddi aur amiiris me.n hii sab Gariib hai.n is me.n hii sab faqiirshaa-jho.npa.Daa jo kahte hai.n sach hai miyaa.n 'naziir'itnaa na mol kaa na ijaare kaa jho.npa.Daabaabaa ye tan hai dam ke guzaare kaa jho.npa.Daa
yahaa.n in silvaTo.n par haath rakh duu.nye lahre.n hai.n bahii jaatii hai.n aur mujh ko bahaatii hai.nye mauj-e-baada hai.n saaGar kii KHvaabiida-fazaa dil me.nachaanak jaag uThtii haihaqiiqat ke jahaa.n se ko.ii is duniyaa me.n dar aa.eto us ke ho.nT mutabassim ho.n shaayad qahqaha uTh karmire dil ko jaka.D le apne haatho.n semagar mai.n ye samajhtaa huu.n ki ye lahre.n abhii tak saahilii manzar se naa-vaaqif hai.n yuu.nhii ik bahaanaa kar rahii hai.n ik bahaana kis ko kahte hai.n
vo papers ke ja.ngalo.n ke shumaalii kinaare pe baiThiiniil ke paaniyo.n ko kaat rahii thiius ne mere KHaak-aaluud chehre koniil kaa aa.iina dikhaayaaham mutabarrik tel ke namkiin charaaG hatheliyo.n pe rakheshahr-e-panaah kii taraf chal diyejahaa.n devtaabaaryaabii ke muntazir thehamaare qadmo.n kii aahaT paa karmuqaddas phaaTak ke sunahre kivaa.Dzamiin ke aaKHirii kinaaro.n tak khul ga.eaur shahar kii itr-bez galiyaa.nhamaare talve chuumne lagii.n
dar diivaar aur dariicheek mu.aahida hai.nadam-e-mudaaKHalat kaa mashruut mu.aahidado mohazzab insaano.n ke darmiyaa.ndo mutamaddin KHaandaano.n ke darmiyaa.ndiivaartahziib kii tarjumaantamaddun kii pahchaanaur baqaa-e-baahamii kii aa.iina-daarhiila huquuq kii zamaanatbaqaa-e-tahiiyat kii alaamathait aur ahaatazehnii-o-jismaanii aasuudgiiaursukh-chain ke liye laazim haidaKHl dar ma.aquulaatGair-aKHlaaqii hii nahii.nGair-insaanii ravayya bhii haighar kaa haq hai ki voduusre ghar kii be-jaa mudaaKHalat se mahfuuz raheham diivaar tohamdard hotaa haiKHabar-giir hotaa haiKHabar-rasaa.n nahii.n ban saktaataKHayyul aasuudgiisukh ghaTaatiiaur dukh ba.Dhaatii haishakar-ganjii paidaa kartii haiaazurda-dilii kaa maujib bantii haifaasle diivaar kii puKHtagii se nahii.ndilo.n kii saKHtii se ba.Dhte hai.npuKHta diivaar to tamaddun kii baqaa haisuurii faasle be-ma.anii ho jaate hai.nagar qalb-o-nazar shaad ho.nhaq KHalvat KHaliij nahii.nfaraaKHii tarfain haiprivacy kaa haqtahziib-e-insaanii kii me.araaj hai
kaa.enaat ek aziim sadaaqat haisaraapaa magar tah-dar-tah sadaaqatkaa.enaat kii ye sadaaqate.naadmii par ba-tadriij zaahir hotii hai.nki aadmii sadaaqat-e-kaamila ke idraak kaa ba-yak-vaqt mutahammil nahii.nek sadaaqat ke baa'd duusrii kaa irfaan pahlii ko baatil nahii.n kartaadin kaa ujaalaa raat ke a.ndhere kaa munkir nahii.n haipatjha.D kii be-raunaqii aane vaale mausam kii shaadaabii kaa muzhda haimaut hamesha hii zindagii kii ham-safar rahii haikaashham is nukte ko samajh sakte
shahro.n ke shaffaaf badan aur tahziibo.n ke siino.n parniilii baraa me.n lipTii mutamaddin chhaatiyo.n me.njitnii kashish hai utnaa duudh nahii.n haichaa.nd rang Dhalvaano.n parinsaano.n ke aa.nsu.o.n kaa ek bhii qatraThahar nahii.n saktaa hai aa karto phir ham sab kyuu.n na chal karsahraa me.n hii rahaa kare.n ab
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books