SEARCH RESULTS
Showing search results for "phando.n"
Ghazal MATCHES FOR "phando.n"
Ghazal
zulf ke phando.n ko kholo phir dam-e-'sho.ala' rukaa
kyo.n gale me.n gho.nTte ho jaan-e-be-taqsiir ko
Munshi Banwari Lal Shola
Ghazal
har taraf phailaa hu.aa hai jab tiraa daam-e-fareb
taa-ba-kai bachte tire phando.n se ai sayyaad ham
Anwar-ul-Haq Ahmar Lucknowi
Ghazal
KHud a.ndhero.n kii mulaaqaat se Dar jaate hai.n
KHauf ke phando.n pe lahraa.e hu.e ye chehre
Shiv Om Misra Anvar
Ghazal
hirs-o-havaa ke phando.n me.n har dam pha.nse hu.e
kitne vabaal-e-jaa.n hai.n tavangar liye hu.e
Jauhar Bilgrami
Ghazal
Khalid Raheem
Ghazal
andar kii fazaa.o.n ke karishme bhii ajab hai.n
me.nh TuuT ke barse bhii to baadal nahii.n hote
Ahmad Faraz
Ghazal
mahruum fazaa.o.n me.n maayuus nazaaro.n me.n
tum 'azm' nahii.n Thahre mai.n kaise Thahar jaataa
Azm Bahzad
Ghazal
qurbate.n hote hu.e bhii faaslo.n me.n qaid hai.n
kitnii aazaadii se ham apnii hado.n me.n qaid hai.n
Saleem Kausar
Ghazal
shaa.ista mahfilo.n kii fazaa.o.n me.n zahr thaa
zinda bache hai.n zehn kii aavaargii se ham
Nida Fazli
Ghazal
aisii dahshat thii fazaa.o.n me.n khule paanii kii
aa.nkh jhapkii bhii nahii.n haath se patvaar gire
Shakeb Jalali
Ghazal
Gulzar
Ghazal
jis kii gardan me.n hai phandaa vahii insaan ba.Daa
suuliyo.n se yahaa.n paimaa.ish-e-qad hotii hai
Muzaffar Warsi
Ghazal
na.e makaan banaa.e to faaslo.n kii tarah
hame.n ye shahr basaanaa bhii to nahii.n aayaa
Waseem Barelvi
Ghazal
mujhe ma.aal-e-safar kaa malaal kyuu.n-kar ho
ki jab safar hii miraa faaslo.n kaa dhokaa thaa
Fahmida Riaz
Ghazal
jaane kis KHaak me.n poshiida hai.n aa.nsuu mere
kin fazaa.o.n me.n mu.allaq hai.n tumhaarii baate.n
Ahmad Mushtaq
Ghazal
ghaTaa.o.n kii aamad ko saavan taraste
fazaa.o.n me.n bahkii baGaavat na hotii