SEARCH RESULTS
Showing search results for "sahaar"
Ghazal MATCHES FOR "sahaar"
Ghazal
Gam-e-hastii kaa 'asad' kis se ho juz marg ilaaj
sham.a har rang me.n jaltii hai sahar hote tak
Mirza Ghalib
Ghazal
ko.ii dam kaa mehmaa.n huu.n ai ahl-e-mahfil
charaaG-e-sahar huu.n bujhaa chaahtaa huu.n
Allama Iqbal
Ghazal
tum aa.e ho na shab-e-intizaar guzrii hai
talaash me.n hai sahar baar baar guzrii hai
Faiz Ahmad Faiz
Ghazal
is shab ke muqaddar me.n sahar hii nahii.n 'mohsin'
dekhaa hai ka.ii baar charaaGo.n ko bujhaa kar
Mohsin Naqvi
Ghazal
kab Thahregaa dard ai dil kab raat basar hogii
sunte the vo aa.e.nge sunte the sahar hogii
Faiz Ahmad Faiz
Ghazal
Shakeel Badayuni
Ghazal
apnii marzii se kahaa.n apne safar ke ham hai.n
ruKH havaa.o.n kaa jidhar kaa hai udhar ke ham hai.n
Nida Fazli
Ghazal
Bashir Badr
Ghazal
'attaar' ho 'ruumii' ho 'raazii' ho 'Gazaalii' ho
kuchh haath nahii.n aataa be-aah-e-sahar-gaahii
Allama Iqbal
Ghazal
ab to KHurshiid ko guzre hu.e sadiyaa.n guzrii.n
ab use Dhuu.nDne mai.n taa-ba-sahar jaa.uu.ngaa
Ahmad Nadeem Qasmi
Ghazal
kaThin hai raahguzar tho.Dii duur saath chalo
bahut ka.Daa hai safar tho.Dii duur saath chalo
Ahmad Faraz
Ghazal
Nasir Kazmi
Ghazal
us kii yaado.n ne ugaa rakkhe hai.n suuraj itne
shaam kaa vaqt bhii aa.e to sahar lagtaa hai
Waseem Barelvi
Ghazal
jhapak rahii hai.n zamaan o makaa.n kii bhii aa.nkhe.n
magar hai qaafila aamaada-e-safar phir bhii
Firaq Gorakhpuri
Ghazal
tevar tire ai rashk-e-qamar dekh rahe hai.n
ham shaam se aasaar-e-sahar dekh rahe hai.n
Dagh Dehlvi
Ghazal
guzar rahe hai.n ajab marhalo.n se diida-o-dil
sahar kii aas to hai zindagii kii aas nahii.n
Nasir Kazmi
Ghazal
raat ke baa'd sahar hogii magar kis ke liye
ham hii shaayad na rahe.n raat ke Dhalte Dhalte
Iqbal Azeem
Ghazal
umr jalvo.n me.n basar ho ye zaruurii to nahii.n
har shab-e-Gam kii sahar ho ye zaruurii to nahii.n