SEARCH RESULTS
Showing search results for "shokh-nazar"
Ghazal MATCHES FOR "shokh-nazar"
Ghazal
jamaal shoKH-nazar baa-sabaat zinda hai
mirii rago.n me.n abhii kaa.enaat zinda hai
Mubashshara Mehfooz
Ghazal
jab se ik shoKH-nazar phail ga.ii chehre par
aatish-e-barq-o-sharar phail ga.ii chehre par
Hina Rizvi
Ghazal
shoKH-nazar kii chuTkii ne nuqsaan kiyaa
haatho.n se chaa.e ke bartan chhuuTe the
Farzana Nainan
Ghazal
ga.ii jidhar se vo mad.hosh ho ga.ii mahfil
magar vo shoKH nazar hoshiyaar guzrii hai
Syed Hamid
Ghazal
pa.Dte hii dil pe kisii shoKH nazar kaa partav
jagmagaane lagii dha.Dkan to saje mahsuusaat
Javed Vashisht
Ghazal
kisii kii shoKH nazar se nazar jo mil jaa.e
zabaa.n KHamosh rahe guftuguu kiye jaa.o
Mir Sajjad
Ghazal
piichhe tire ai shoKH-nazar husn ke paikar
ik shaKHs nahii.n saaraa zamaana hii pa.Daa hai
Nihal jalib
Ghazal
kitne dilchasp hai.n us shoKH-nazar ke andaaz
ko.ii diivaana na bantaa ho to diivaana bane
Bismil Aghai
Ghazal
har javaa.n-qalb kisii shoKH-nazar kii zad me.n
ye vo naKHchiir kare aap nishaana paidaa
Shaukat Wasti
Ghazal
abhii is siine me.n zaKHmo.n kii jagah baaqii hai
aap kii shoKH-adaa shoKH-nazar aur ba.Dhe
Hosh Nomani Rampuri
Ghazal
husn kii shoKH-nazar maa.nge hai qiimat apnii
jhuktii aa.nkho.n ke dariiche me.n hayaa thii kal tak
Jafar Sahni
Ghazal
dil me.n paivast hu.ii thii jo mire roz-e-azal
hai vahii shoKH-nazar saa.iqa-e-tuur nahii.n
Mirza Mohammad Hadi Aziz Lakhnavi
Ghazal
mushtaaq sadaa ham to hai.n us husn-e-azal ke
vo shoKH-nazar saanii-e-talvaar na aaya
Meeran Shah Jalandhari
Ghazal
haTtii hai jo aa.iina se pa.D jaatii hai dil par
kyaa shoKH nazar hai ki udhar bhii hai idhar bhii
Bekhud Dehlvi
Ghazal
terii har shoKH nazar fitna-gar-e-aalam hai
terii har chaal qayaamat ko sadaa detii hai
Shariq Balyavi
Ghazal
Shamshad shaad
Ghazal
nairangii-e-andaaz-e-nazar dekh rahaa huu.n
Duubii hu.ii hai shoKH-nazar sharm-o-hayaa me.n