SEARCH RESULTS
Showing search results for "simat"
Ghazal MATCHES FOR "simat"
Ghazal
sub.h-dam chho.D gayaa nik.hat-e-gul kii suurat
raat ko Guncha-e-dil me.n simaT aane vaalaa
Ahmad Faraz
Ghazal
ek lamhe me.n simaT aaya hai sadiyo.n kaa safar
zindagii tez bahut tez chalii ho jaise
faiz anwar
Ghazal
vo zaanuu.o.n me.n siina chhupaanaa simaT ke haa.e
aur phir sambhaalnaa vo dupaTTa chhu.Daa ke haath
Nizam Rampuri
Ghazal
zamaane bhar kii kaifiyat simaT aa.egii saaGar me.n
piyo un a.nkh.Diyo.n ke naam par aahista aahista
Mustafa Zaidi
Ghazal
shaam hote hii simaT jaa.e.nge saare raste
bahte dariyaa se jahaa.n hoge Thahar jaa.oge
Nida Fazli
Ghazal
ab to simaT ke aa jaa aur ruuh me.n samaa jaa
vaise kisii kii pyaare vus.at nahii.n hai mujh me.n
Jaun Eliya
Ghazal
Bashir Badr
Ghazal
zaa.iqa jism kaa aa.nkho.n me.n simaT aayaa hai
ab tujhe haath lagaanaa bhii buraa lagtaa hai
Shakeel Azmi
Ghazal
Jaun Eliya
Ghazal
simaT ke rah ga.e aaKHir pahaa.D se qad bhii
zamii.n se har ko.ii uu.nchaa dikhaa.ii detaa hai
Shakeb Jalali
Ghazal
ab yaad nahii.n mujh ko 'faraaz' apnaa bhii paikar
jis roz se bikhraa huu.n simaT kar nahii.n dekhaa
Ahmad Faraz
Ghazal
supurdagii kaa ye aalam bhii kyaa qayaamat hai
simaT ke yuu.n teraa aa jaanaa merii baaho.n me.n
Jahangeer nayab
Ghazal
baa.nho.n me.n aa sakaa na havelii kaa ik sutuun
putlii me.n merii aa.nkh kii sahraa simaT gayaa
Shakeb Jalali
Ghazal
Sufi Ghulam Mustafa Tabassum
Ghazal
mujh se maazii miraa kal raat simaT kar bolaa
kis tarah mai.n ne yahaa.n KHud ko sambhaalaa dekhuu.n
Kumar Vishwas
Ghazal
shagufta phuul simaT kar kalii bane jaise
kuchh is kamaal se tuu ne badan churaayaa thaa
Jan Nisar Akhtar
Ghazal
abr uTThe to simaT jaa.uu.n tirii aa.nkho.n me.n
dhuup nikle to tire sar kii ridaa ho jaa.uu.n