SEARCH RESULTS
Showing search results for "siraa"
Ghazal MATCHES FOR "siraa"
Ghazal
falsafii ko bahs ke andar KHudaa miltaa nahii.n
Dor ko suljhaa rahaa hai aur siraa miltaa nahii.n
Akbar Allahabadi
Ghazal
Sabir Zafar
Ghazal
Atif tauqeer
Ghazal
falsafo.n ke dhaago.n se khii.nch kar siraa dil kaa
vahm se haqiiqat tak ham ne silsila paayaa
Abdul Ahad Saaz
Ghazal
karnaa thaa intiKHaab maraasim me.n ishq me.n
mai.n ne siraa bachaayaa kinaaraa chalaa gayaa
Amritanshu Sharma
Ghazal
mire qissa-go ne kahaa.n kahaa.n se ba.Dhaa.ii baat
mujhe daastaa.n kaa siraa milaa to KHabar hu.ii
Iftikhar Arif
Ghazal
ye kaun utraa pa.e-gasht apnii masnad se
aur intizaam-e-makaan o siraa badalne lagaa
Sarvat Husain
Ghazal
ye shiddat dard kii us ke na hone se na hotii
yaqiinan aur kuchh us ke sivaa gum ho gayaa hai
Irfan Sattar
Ghazal
vusa.at-e-qudrat-e-haq hogii na mahduud kabhii
nahii.n milne kaa siraa zulf-e-chaliipaa teraa
Shad Azimabadi
Ghazal
jaa-e-qayaam manzil-e-hastii na thii 'amiir'
utre the ham siraa me.n ki kos-e-safar bajaa
Ameer Minai
Ghazal
vo daastaan mukammal kare to achchhaa hai
mujhe milaa hai zaraa saa siraa kahaanii kaa
Zeeshan Sahil
Ghazal
tum ne to hikaayaat hii sun rakkhii hai.n varna
vo shahr vo KHeme vo siraa hai mire dil me.n
Idris Babar
Ghazal
ehsaas kii vaadii me.n ko.ii saut na suurat
ye manzil-e-irfaan tak aane kaa sila hai
Shamim Hanafi
Ghazal
baarish KHushbuu rang havaa hai.n mai.n aur tuu
KHvaabo.n kaa be-naam siraa hai.n mai.n aur tuu
Naina Adil
Ghazal
uljhane.n tamaam umr zaat me.n rahii.n mire
kaash mere haath phir lage ko.ii siraa miraa