SEARCH RESULTS
Showing search results for "siyah-post"
Ghazal MATCHES FOR "siyah-post"
Ghazal
phir siyah-posh hu.ii shaam nazar me.n rakhnaa
tum ye bedardii-e-ayyaam nazar me.n rakhnaa
Naz Qadri
Ghazal
daaKHila man' hai rango.n kaa jahaa.n
ham usii shahr-e-siyah-posh me.n hai.n
Vikas Sharma Raaz
Ghazal
ruuh afsurda tabii.at mirii Gam-kosh hu.ii
zindagii apne hii maatam me.n siyah-posh hu.ii
Aleem Masroor
Ghazal
kahaa kisii ne siyah-posh ho gayaa 'KHurshiid'
sunaa kisii ne dam-e-kahkashaa.n nikaltaa hai
Khursheed Akbar
Ghazal
kyuu.n arsa-e-aflaak siyah-posh hai bolo
kis tarah zamii.n ho ga.ii gulnaar mirii jaa.n
Khursheed Akbar
Ghazal
sayyaara-e-gunaah kaa saaya jidhar pa.Daa
taare siyaah-posh the suuraj gahan me.n thaa
Manohar Lal Hadi
Ghazal
tanhaa tire maatam me.n nahii.n shaam-e-siyah-posh
rahtaa hai sadaa chaak garebaan-e-sahar bhii
Mohammad Rafi Sauda
Ghazal
sochaa na thaa ki abr-e-siyah-posh se kabhii
kau.nde tere badan ke mire naam aa.e.nge
Wazir Agha
Ghazal
jaane kab us pe ujaale ko taras aa.egaa
vo siyah-posh fazaa jo mirii taqdiir me.n hai
Urooj Zaidi Badayuni
Ghazal
Yaseen Afzal
Ghazal
but-kada ho gayaa sunsaan tire jaane se
umr bhar KHaana-e-ka.aba bhii siyah-posh rahaa
Mast Banarsi
Ghazal
mere maatam me.n nahii.n apnii raqam ke Gam me.n
shahr kaa baniyaa siyah-posh hu.aa mere ba.ad
Qazi Ghulam Mohammad
Ghazal
kuchh siyah-posh charaaGo.n kaa bhalaa kyaa mazkuur
azhdahe khaa ga.e mahtaab-nagar aaKHir-e-kaar
Talib Husain Talib
Ghazal
us zulf kii taasiir se aa.nsuu hai.n siyah-posh
saamaan-e-alam ashk kii mahfil ne dikhaayaa
Nawab Nazeer Al-Daula
Ghazal
is baar vo sho'la na.e andaaz se bha.Dkaa
ik aan me.n sau-baar siyah-posh hu.aa mai.n
Nomaan Shauque
Ghazal
sham.a bujhtii hai to us me.n se dhu.aa.n uThtaa hai
sho.ala-e-ishq siyah-posh hu.aa mere ba.ad
Mirza Ghalib
Ghazal
jaataa rahaa nigaah se juu.n mausam-e-bahaar
aaj us baGair daaG-e-jigar hai.n siyaah-posh