SEARCH RESULTS
Showing search results for "tanaa"
Ghazal MATCHES FOR "tanaa"
Ghazal
zo.af me.n taana-e-aGyaar kaa shikva kyaa hai
baat kuchh sar to nahii.n hai ki uThaa bhii na sakuu.n
Mirza Ghalib
Ghazal
taj diyaa thaa kal jin ko ham ne terii chaahat me.n
aaj un se majbuuran taaza aashnaa.ii kii
Ahmad Faraz
Ghazal
Jaleel 'Aali'
Ghazal
Muztar Khairabadi
Ghazal
mujhii ko taana-e-Gaarat-garii na de pyaare
ye naqsh mai.n ne tire haath se miTaayaa thaa
Zafar Iqbal
Ghazal
taaki ta.ana na mile ham ko tunuk-zarfii kaa
ham qadah saamne aGyaar ke rakh dete hai.n
Ahmad Faraz
Ghazal
dar-ba-darii kaa hame.n ta.ana na de ai chashm-e-Gazaal
dekh vo KHvaab ki jis ke liye ghar se nikle
Ummeed Fazli
Ghazal
har vaqt hai dushnaam har ik baat me.n taana
phir us pe bhii kahtaa hai ki mai.n kuchh nahii.n kahtaa
Momin Khan Momin
Ghazal
ek lamhe me.n bikhar jaataa hai taanaa-baanaa
aur phir umr guzar jaatii hai yakjaa.ii me.n
Ahmad Mushtaq
Ghazal
hai KHuu-e-ayaazii hii sazaavaar-e-malaamat
mahmuud ko kyuu.n ta.ana-e-ikraam diyaa jaa.e
Mohsin Bhopali
Ghazal
vo riyaa jis par the zaahid ta.ana-zan
pahle aadat phir ibaadat ho ga.ii
Khwaja Aziz-ul-Hasan Majzuub
Ghazal
ham diyaa karte the aGyaar ko ta.ana jin kaa
ab to ham ko bhii vo aadaab-e-vafaa yaad nahii.n
Qateel Shifai
Ghazal
taanaa-baanaa bunte bunte ham udh.De
hasrat phir thak kar Gash khaa kar baiTh ga.ii
Irshad Khan Sikandar
Ghazal
haa.n ahl-e-talab kaun sune taana-e-naa-yaaft
dekhaa ki vo miltaa nahii.n apne hii ko kho aa.e
Mirza Ghalib
Ghazal
vaa.n ta.ana tiir-e-yaar yahaa.n shikva zaKHm-rez
baaham thii kis maze kii la.Daa.ii tamaam shab
Momin Khan Momin
Ghazal
kaabe me.n jaa rahaa to na do ta.ana kyaa kahe.n
bhuulaa huu.n haqq-e-sohbat-e-ahl-e-kunisht ko
Mirza Ghalib
Ghazal
us naaz-e-hosh ko ki hai muusaa pe taana-zan
ik din naqaab ulaT ke pashiimaa.n to kiijiye
Josh Malihabadi
Ghazal
husn aur 'ishq ko de taana-e-bedaad 'majaaz'
tum ko to sirf isii baat pe mar jaanaa thaa