SEARCH RESULTS
Showing search results for "tappe"
Ghazal MATCHES FOR "tappe"
Ghazal
duruud-bar-dil-e-vahshii salaam-bar-tap-e-ishq
KHud apnii hamd KHud apnii sanaa ke saath huu.n mai.n
Ali Zaryoun
Ghazal
tap-e-hijr kii kaahisho.n ne kiye hai.n
judaa post se ustuKHvaa.n kaise kaise
Haidar Ali Aatish
Ghazal
ilaaj kyaa kare.n hukamaa tap-e-judaa.ii kaa
sivaa.e vasl ke is kaa ko.ii tabiib na ho
Nazeer Akbarabadi
Ghazal
ik kitaab chaa.nd aur pe.D sab ke kaale collar par
zehn tape kii gardish mu.nh me.n toto.n kii bolii
Bashir Badr
Ghazal
kiije bayaa.n suruur-e-tap-e-Gam kahaa.n talak
har muu mire badan pe zabaan-e-sipaas hai
Mirza Ghalib
Ghazal
vo tap-e-ishq-e-tamannaa hai ki phir suurat-e-sham.a
sho.ala taa-nabz-e-jigar resha-davaanii maa.nge
Mirza Ghalib
Ghazal
dil me.n vo shor na aa.nkho.n me.n vo nam rahtaa hai
ab tap-e-hijr tavaqqo se bhii kam rahtaa hai
Ahmad Mushtaq
Ghazal
tap-e-daruu.n Gam-e-furqat varam-e-payaada-ravii
maraz to itne hai.n aur kuchh davaa nahii.n rakhte
Meer Anees
Ghazal
matlab ko to pahu.nchte nahii.n andhe ke se taur
ham maarte phire hai.n u nahii.n Tappe To.iye
Meer Taqi Meer
Ghazal
KHariidte to KHariidaar KHud bhii bik jaate
tape hu.e khare sone kaa bhaav aisaa thaa
Krishn Bihari Noor
Ghazal
Mirza Ghalib
Ghazal
maut kyaa aa.ii tap-e-furqat se sehat ho ga.ii
dam nikalne se badan ThanDaa hu.aa ranjuur kaa
Ameer Minai
Ghazal
bikhar rahii hai tap-e-intiqaam se mirii KHaak
guzar rahii hai ko.ii mauj-e-aatishii.n mujh se
Shahid Zaki
Ghazal
kuchh tap-e-Gam ko ghaTaa kyaa faa.eda is se tabiib
roz nusKHe me.n agar KHurfa ghaTe kaahuu ba.Dhe
Shaikh Ibrahim Zauq
Ghazal
tap-e-ulfat me.n 'sabaa' hai ye tumhaaraa darja
diq ke aasaar hai.n biimaar nazar aate ho
Wazir Ali Saba Lakhnavi
Ghazal
jalaa jigar tap-e-Gam se pha.Dakne jaan lagii
ilaahii KHair ki ab aag paas aan lagii
Momin Khan Momin
Ghazal
uryaa.n haraarat-e-tap-e-furqat se mai.n rahaa
har baar mere jism kii poshaak jal ga.ii
Mirza Raza Barq
Ghazal
az-bas-ki sabt-e-naama hai soz-e-tap-e-daruu.n
qaasid kaa haath hai yad-e-baizaa kaliim kaa
Momin Khan Momin
Ghazal
parhez tap-e-hijr se hai tujh ko jo ai dil
tuu aur bhii aage kabhii biimaar pa.Daa hai
Lala Madhav Ram Jauhar
Ghazal
dil me.n poshiida tap-e-ishq-e-butaa.n rakhte hai.n
aag ham sang kii maanind nihaa.n rakhte hai.n