SEARCH RESULTS
Showing search results for "vaardaat"
Ghazal MATCHES FOR "vaardaat"
Ghazal
zamaana vaardaat-e-qalb sun.ne ko tarastaa hai
isii se to sar aa.nkho.n par miraa diivaan lete hai.n
Firaq Gorakhpuri
Ghazal
itnii daqiiq shai ko.ii kaise samajh sake
yazdaa.n ke vaaqi.aat se ghabraa ke pii gayaa
Saghar Siddiqui
Ghazal
ik rang sii kamaan ho KHushbuu saa ek tiir
marham sii vaardaat ho aur zaKHm khaa.uu.n mai.n
Jaun Eliya
Ghazal
vaardaat-e-qalb likkhii ham ne farzii naam se
aur haatho.n-haath us ko KHud hii le jaa kar diyaa
Adil Mansuri
Ghazal
kuchh apnaa farz pyaar tiraa fikr-e-rozgaar
kitne hii vaardaat me.n uljhaa hu.aa huu.n mai.n
Jahangeer Nayab
Ghazal
ma.aaz-allaah us kii vaardaat-e-Gam ma.aaz-allaah
chaman jis kaa vatan ho aur chaman-be-zaar ho jaa.e
Jigar Moradabadi
Ghazal
apnii taraf hii ruKH thaa vahaa.n vaardaat kaa
ilzaam us ke naam pe dharne ke baavajuud
Zafar Iqbal
Ghazal
vaardaat-e-dil ko dil hii me.n jagah dete rahe
har hisaab-e-Gam hisaab-e-dostaa.n bantaa gayaa
Firaq Gorakhpuri
Ghazal
ye log kis qadar aaraam se hai.n baiThe hu.e
agarche hone ko ik vaardaat baaqii hai
Jamal Ehsani
Ghazal
ai jaa.n! ko.ii tabassum-e-ra.ngii.n kii vaardaat
phiikaa hai maahtaab ki mausam KHaraab hai
Saghar Siddiqui
Ghazal
tire huzuur ye kyaa vaardaat-e-qalb hai aaj
ki jaise chaa.nd pe badlii sii chhaa.ii jaatii hai
Jigar Moradabadi
Ghazal
ham ek vaardaat se tho.De hii duur hai.n
vo haath lag gayaa hai magar chhin nahii.n rahaa
Khurram Afaq
Ghazal
yuu.n to bachii bachii sii uThii vo nigaah-e-naaz
duniyaa-e-dil me.n ho hii ga.ii ko.ii vaardaat
Firaq Gorakhpuri
Ghazal
is bad-dimaaG dil ne kiyaa zabt kaa bhii KHuun
ye sirf vaardaat hai ham ro nahii.n rahe
Nivesh Sahu
Ghazal
yuu.n fart-e-be-KHudii se mohabbat me.n jaan de
tujh ko bhii kuchh KHabar na ho is vaardaat kii