SEARCH RESULTS
Showing search results for "viraasat"
Ghazal MATCHES FOR "viraasat"
Ghazal
ye phuul mujhe ko.ii viraasat me.n mile hai.n
tum ne miraa kaa.nTo.n bharaa bistar nahii.n dekhaa
Bashir Badr
Ghazal
ummiid-e-sahar bhii to viraasat me.n hai shaamil
shaayad ki diyaa ab ke jalaa.egaa ko.ii aur
Aanis Moin
Ghazal
zaraa sii umr adaavat kii lambii fehriste.n
ajiib qarz viraasat me.n mere naam hu.aa
Aanis Moin
Ghazal
mai.n viraasat me.n milaa thaa mire naa-qadro.n ko
ya.anii mumkin nahii.n mil paa.e.n nishaanaat mire
Ismail Raaz
Ghazal
Nida Fazli
Ghazal
ab is se ba.Dh ke kyaa ho viraasat faqiir kii
bachcho.n ko apnii bhiik ke pyaale to de gayaa
Mohsin Naqvi
Ghazal
ham KHush hai.n hame.n dhuup viraasat me.n milii hai
ajdaad kahii.n pe.D bhii kuchh bo ga.e hote
Shahryar
Ghazal
Aal-e-Umar
Ghazal
la.Daa.ii ham ko viraasat me.n dii ga.ii hai huzuur
ham ahl-e-ja.ng kahaa.n shaa.irii ke qaabil hai.n
Sabahat Urooj
Ghazal
shahr merii majbuurii gaa.nv merii aadat hai
ek saaneha mujh par ik mirii viraasat hai
Nazim Naqvi
Ghazal
Zafar Gorakhpuri
Ghazal
ye tishnagii to milii hai hame.n viraasat me.n
hamaare vaaste dariyaa ko.ii udaas na ho
Tahir Faraz
Ghazal
film taqsiim-e-viraasat kaa yahii the-end hai
dard kuchh aisaa thaa jo gardan dabaane se gayaa
Khalid Irfan
Ghazal
ham aa.nkho.n me.n aa.nsuu nahii.n laate hai.n ki ham ne
paa.ii hai viraasat me.n adaa aur tarah kii
Mansoor Usmani
Ghazal
din viraasat me.n mujhe raushnii de jaataa hai
vo diyaa huu.n ki sar-e-shaam hii jal jaataa huu.n
Sarfraz Nawaz
Ghazal
Arshad Jamal Sarim
Ghazal
mere purkho.n kii viraasat kaa bharam rahne de
tuu havelii ko khulaa dekh ke andar mat jaa
Qaisarul Jafri
Ghazal
aurte.n apne dukh kii viraasat kis ko de.ngii
sanduuqo.n me.n band ye zevar kyo.n rakhtii hai.n
Ishrat Afreen
Ghazal
nahii.n hai ghar me.n maal o zar to kyaa Gam
viraasat me.n magar qarze na rakhnaa
Tabish Mehdi
Ghazal
jin buzurgo.n kii viraasat ke amii.n hai.n ham log
un kii qabro.n ne kabhii shahr badalne na diyaa