SEARCH RESULTS
Showing search results for "virse"
Ghazal MATCHES FOR "virse"
Ghazal
mujh se ba.Dh kar kyaa ko.ii hogaa amiir
qiimtii virse kii arzaanii huu.n mai.n
Abdul Hamid Adam
Ghazal
saarii chamak hamaare pasiine kii hai janaab
virse me.n ham ko ko.ii bhii zevar nahii.n milaa
Hastimal Hasti
Ghazal
har ba.Daa bachcho.n ko jiine kii du.aa detaa hai
ham bhii shaayad isii virse kii sazaa paate hai.n
Kafeel Aazar Amrohvi
Ghazal
milaa thaa zahr jo virse me.n pii rahe hai.n ham
na us ne sulh kii sochii na mai.n jhukaa ab tak
Shakeel Azmi
Ghazal
apne maazii se jo virse me.n mile hai.n ham ko
un usuulo.n kii tijaarat nahii.n hogii ham se
Iqbal Azeem
Ghazal
ishq kaa rog to virse me.n milaa thaa mujh ko
dil dha.Daktaa hu.aa siine me.n milaa thaa mujh ko
Bharat Bhushan Pant
Ghazal
likhtaa huu.n na.ii nazm-o-Gazal jis ke sabab mai.n
vo zauq-e-suKHan to mujhe virse me.n milaa hai
Badiuzzaman Khawar
Ghazal
huu.n agar to huu.n bhii kyaa is ke sivaa
qiimtii virse kii arzaanii huu.n mai.n
Abdul Hamid Adam
Ghazal
apnii pasand chho.D dii us kii KHariid lii
virse kaa khet bech ke koThii KHariid lii
Paras Mazari
Ghazal
hunar hai shaa.irii shatranj shauq hai meraa
ye jaa.idaad 'muzaffar' milii hai virse me.n
Muzaffar Warsi
Ghazal
is ahd me.n kyaa rakkhaa thaa jis pe basar hotii
kyaa hotaa jo virse me.n miltaa na KHudaa mujh ko
Shuja Khaavar
Ghazal
tahziib-o-saqaafat hame.n virse me.n milii aur
ajdaad kaa ham logo.n pe ehsaan bahut hai
Qamar Rais Bahraichi
Ghazal
dardmandii se mohabbat se miluu.n mai.n sab se
mere ajdaad ne virse me.n ye fitrat dii hai
Shahnaz Rahmat
Ghazal
tule hai.n haath jo virse pe saaf karne par
kisii bhii daur kaa baaqii nishaa.n na rakkhe.nge
Ghulam Murtaza Rahi
Ghazal
virse me.n ye milii thii mujhe mehrbaa.n mire
is vaaste mujhe hai bahut tiirgii pasand
Asad Raza Sahar
Ghazal
qaabuu me.n phir hamaarii ibaadat nahii.n rahii
virse me.n jo milii thii imaarat nahii.n rahii
Sanjay Mishra Shauq
Ghazal
yahii tahziib to virse me.n milii hai mujh ko
tum anaa samjhe ho jis ko mirii KHuddaarii hai