SEARCH RESULTS
Showing search results for "yaziid"
Ghazal MATCHES FOR "yaziid"
Ghazal
yahii.n husain bhii guzre yahii.n yaziid bhii thaa
hazaar rang me.n Duubii hu.ii zamii.n huu.n mai.n
Rahat Indori
Ghazal
qatl-e-husain asl me.n marg-e-yaziid hai
islaam zinda hotaa hai har karbalaa ke ba.ad
Maulana Mohammad Ali Jauhar
Ghazal
dono.n ko pyaasaa maar rahaa hai ko.ii yaziid
ye zindagii husain hai aur mai.n furaat huu.n
Bashir Badr
Ghazal
isii ne mujh se kahaa bai'at-e-yaziid na kar
isii ne mujh se kahaa maslak-e-husain pe chal
Ahmad Faraz
Ghazal
jahaa.n jahaa.n bhii hai nahr-e-furaat kaa imkaa.n
vahii.n yaziid kaa lashkar dikhaa.ii detaa hai
Ameer Qazalbash
Ghazal
yaziid-e-vaqt hu.aa jis gha.Dii se taKHt-nashii.n
hamaare naam ke KHanjar har ik me.n baTne lage
Nawaz Asimi
Ghazal
Ejaz Ansari
Ghazal
Aqib Sabir
Ghazal
sunte bhii hai.n jo log to yuu.n daastaan-e-Gam
jaise yaziid saaneha-e-karbalaa sune
Josh Malihabadi
Ghazal
yaziid zulm sitam taKHt taaj bai.at fauj
husain sabr razaa karbalaa namaaz aur ishq
Ammar Yasir Migsi
Ghazal
banaa yaziid zamaana jo mai.n husain banaa
ki zulm baaqii abhii karbalaa ke rakkhe the
Zafar Moradabadi
Ghazal
suntaa huu.n roz-e-hashr na hogii use najaat
jo sayyado.n se buGz rakhe vo yaziid hai
Miyan dad Khan Sayyah
Ghazal
sitam aaj bhii us kaa vird-e-zabaa.n hai
yaziid-e-la.ii.n jo vahaa.n hukmaraa.n thaa
Barqi Azmi
Ghazal
furaat aaj ravaa.n hai yaziid pyaasaa hai
ye pyaas ko.ii bujhaa kar savaab kyaa letaa
Shaz Tamkanat
Ghazal
yaziid-e-vaqt ko duniyaa qubuul kar le magar
sinaa.n kii nok pe ik sar KHilaaf rahtaa hai
Khursheed Akbar
Ghazal
Rizwan Haider
Ghazal
yaziid-e-vaqt miraa KHuu.n bahaanaa chaahtaa hai
vo karbalaa me.n mujhe phir se laanaa chaahtaa hai
Imtiyaz Danish Nadwi
Ghazal
mujh ko kisii yaziid kii bai.at nahii.n qubuul
neze ye rakkho aa.o miraa sar bhii le chalo