SEARCH RESULTS
Showing search results for "zoom"
Ghazal MATCHES FOR "zoom"
Ghazal
tasavvuraat me.n vo zoom kar rahaa thaa mujhe
bahut shadiid tavajjoh kaa saamnaa thaa mujhe
Inaam azmi
Ghazal
kahaa.n kahaa.n se shikasta kiyaa hai logo.n ne
mai.n apne jism ko ab zoom kar ke dekhuu.ngaa
Mahwar Sirsivi
Ghazal
manzar the duur duur to kitne hasiin the
tasviir zoom kii hai to pixel hii phaT ga.e
Zeeshaan sajid
Ghazal
ye kaun shauqiin hai KHalaa ke mushaahide kaa
mirii taraf kis ne camera zoom kar liyaa hai
Umair Najmi
Ghazal
aap aa ke mil ga.e to vo diivaar gir ga.ii
kuchh faasle the biich ke vo zoom ho ga.e
Tariq Mahmood
Ghazal
allaah-re fareb-e-mashiyyat ki aaj tak
duniyaa ke zulm sahte rahe KHaamushii se ham
Sahir Ludhianvi
Ghazal
ham ne to ko.ii baat nikaalii nahii.n Gam kii
vo zuud-pashemaan pashemaan saa kyuu.n hai
Shahryar
Ghazal
kii mire qatl ke baa'd us ne jafaa se tauba
haa.e us zuud-pashemaa.n kaa pashemaa.n honaa
Mirza Ghalib
Ghazal
magar vo zuud-faraamosh zuud-ranj bhii hai
ki ruuTh jaa.e agar yaad kuchh dilaa.uu.n use
Ahmad Faraz
Ghazal
jis din se e'timaad me.n aayaa tiraa shabaab
us din se tujh pe zulm hii Dhaataa rahaa huu.n mai.n
Jaun Eliya
Ghazal
zulm ke daur se ikraah-e-dilii kaafii hai
ek KHuu.n-rez baGaavat ho zaruurii to nahii.n
Saba Akbarabadi
Ghazal
zulm aur sabr kaa ye khel mukammal ho jaa.e
us ko KHanjar jo diyaa hai mujhe sar bhii denaa
Meraj Faizabadi
Ghazal
tuu hai kis haal me.n ai zuud-faraamosh mire
mujh ko to chhiin liyaa ahd-e-vafaa ne mere
Ahmad Faraz
Ghazal
ma.ashuuq aur bhii hai.n bataa de jahaan me.n
kartaa hai kaun zulm kisii par tirii tarah