aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
Showing search results for ",Yms"
aajizii siikhii Gariibo.n kii himaayat siikhiiyaas-o-hirmaan ke dukh-dard ke ma.anii siikhezer-dasto.n ke masaa.ib ko samajhnaa siikhaasard aaho.n ke ruKH-e-zard ke ma.anii siikhe
havaa bhii KHush-gavaar haigulo.n pe bhii nikhaar haitarannum-e-hazaar haibahaar pur-bahaar haikahaa.n chalaa hai saaqiyaaidhar to lauT idhar to aaare ye dekhtaa hai kyaauThaa subuu subuu uThaasubuu uThaa pyaala bharpyaala bhar ke de idharchaman kii samt kar nazarsamaa.n to dekh be-KHabarvo kaalii kaalii badliyaa.nufuq pe ho ga.ii.n ayaa.nvo ik hujuum-e-mai-kashaa.nhai suu-e-mai-kada ravaa.nye kyaa gumaa.n hai bad-gumaa.nsamajh na mujh ko naa-tavaa.nKHayaal-e-zohd abhii kahaa.nabhii to mai.n javaan huu.nibaadato.n kaa zikr hainajaat kii bhii fikr haijunuun hai savaab kaaKHayaal hai azaab kaamagar suno to shaiKH jiiajiib shai hai.n aap bhiibhalaa shabaab o aashiqiialag hu.e bhii hai.n kabhiihasiin jalva-rez ho.nadaa.e.n fitna-KHez ho.nhavaa.e.n itr-bez ho.nto shauq kyuu.n na tez ho.nnigaar-haa-e-fitnagarko.ii idhar ko.ii udharubhaarte ho.n aish parto kyaa kare ko.ii basharchalo jii qissa-muKHtasartumhaaraa nuqta-e-nazardurust hai to ho magarabhii to mai.n javaan huu.nye gasht kohsaar kiiye sair juu-e-baar kiiye bulbulo.n ke chahchaheye gul-ruKHo.n ke qahqahekisii se mel ho gayaato ranj o fikr kho gayaakabhii jo baKHt so gayaaye ha.ns gayaa vo ro gayaaye ishq kii kahaaniyaa.nye ras bharii javaaniyaa.nudhar se mehrbaaniyaa.nidhar se lan-taraaniyaa.nye aasmaan ye zamii.nnazaara-haa-e-dil-nashii.ninhe.n hayaat-aafrii.nbhalaa mai.n chho.D duu.n yahii.nhai maut is qadar qarii.nmujhe na aa.egaa yaqii.nnahii.n nahii.n abhii nahii.nabhii to mai.n javaan huu.nna Gam kushuud o bast kaabuland kaa na past kaana buud kaa na hast kaana vaada-e-alast kaaummiid aur yaas gumhavaas gum qayaas gumnazar se aas paas gumhama-bajuz gilaas gumna mai me.n kuchh kamii raheqadah se hamdamii rahenashist ye jamii raheyahii hamaa-hamii rahevo raag chhe.D mutribaatarab-fazaa, alam-rubaaasar sadaa-e-saaz kaajigar me.n aag de lagaahar ek lab pe ho sadaana haath rok saaqiyaapilaa.e jaa pilaa.e jaaabhii to mai.n javaan huu.n
KHudaa vo vaqt na laa.e ki sogvaar ho tuusakuu.n kii nii.nd tujhe bhii haraam ho jaa.etirii masarrat-e-paiham tamaam ho jaa.etirii hayaat tujhe talKH jaam ho jaa.eGamo.n se aa.iina-e-dil gudaaz ho teraahujuum-e-yaas se betaab ho ke rah jaa.evufuur-e-dard se siimaab hoke rah jaa.etiraa shabaab faqat KHvaab ho ke rah jaa.eGuruur-e-husn saraapaa niyaaz ho teraataviil raato.n me.n tuu bhii qaraar ko tarsetirii nigaah kisii Gam-gusaar ko tarseKHizaa.n-rasiida tamannaa bahaar ko tarseko.ii jabii.n na tire sa.ng-e-aastaa.n pe jhukeki jins-e-ijz-o-aqiidat se tujh ko shaad karefareb-e-vaada-e-fardaa pe e'timaad kareKHudaa vo vaqt na laa.e ki tujh ko yaad aa.evo dil ki tere liye be-qaraar ab bhii haivo aa.nkh jis ko tiraa intizaar ab bhii hai
ruKHsat hu.aa vo baap se le kar KHudaa kaa naamraah-e-vafaa kii manzil-e-avval hu.ii tamaammanzuur thaa jo maa.n kii ziyaarat kaa intizaamdaaman se ashk po.nchh ke dil se kiyaa kalaamiz.haar-e-be-kasii se sitam hogaa aur bhiidekhaa hame.n udaas to Gam hogaa aur bhiidil ko sa.nbhaaltaa hu.aa aaKHir vo naunihaalKHaamosh maa.n ke paas gayaa suurat-e-KHayaaldekhaa to ek dar me.n hai baiThii vo KHasta-haalsaktaa saa ho gayaa hai ye hai shiddat-e-malaaltan me.n lahuu kaa naam nahii.n zard rang haigoyaa bashar nahii.n ko.ii tasviir-e-sa.ng haikyaa jaane kis KHayaal me.n gum thii vo be-gunaahnuur-e-nazar ye diida-e-hasrat se kii nigaahjumbish hu.ii labo.n ko bharii ek sard aahlii gosha-ha-e-chashm se ashko.n ne ruKH kii raahchehre kaa rang haalat-e-dil kholne lagaahar muu-e-tan zabaa.n kii tarah bolne lagaaaaKHir asiir-e-yaas kaa qufl-e-dahan khulaaafsaana-e-shadaa.id-e-ra.nj-o-mehan khulaaik daftar-e-mazaalim-e-charKH-e-kuhan khulaavaa thaa dahaan-e-zaKHm ki baab-e-suKHan khulaadard-e-dil-e-Gariib jo sarf-e-bayaa.n hu.aaKHuun-e-jigar kaa rang suKHan se 'ayaa.n hu.aaro kar kahaa KHamosh kha.De kyuu.n ho merii jaa.nmai.n jaantii huu.n jis liye aa.e ho tum yahaa.nsab kii KHushii yahii hai to sahraa ko ho ravaa.nlekin mai.n apne mu.nh se na hargiz kahuu.ngii haa.nkis tarah ban me.n aa.nkho.n ke taare ko bhej duu.njogii banaa ke raaj-dulaare ko bhej duu.nduniyaa kaa ho gayaa hai ye kaisaa lahuu sapiidandhaa kiye hu.e hai zar-o-maal kii umiidanjaam kyaa ho ko.ii nahii.n jaantaa ye bhedsoche bashar to jism ho larzaa.n misaal-e-biidlikkhii hai kyaa hayaat-e-abad in ke vaastephailaa rahe hai.n jaal ye kis din ke vaasteletii kisii faqiir ke ghar me.n agar janamhote na merii jaan ko saamaan ye bahamDastaa na saa.np ban ke mujhe shaukat-o-hashamtum mere laal the mujhe kis saltanat se kammai.n KHush huu.n phuu.nk de ko.ii is taKHt-o-taaj kotum hii nahii.n to aag lagaa duu.ngii raaj kokin kin riyaazato.n se guzaare hai.n maah-o-saaldekhii tumhaarii shakl jab ai mere naunihaalpuuraa hu.aa jo byaah kaa armaan thaa kamaalaafat ye aa.ii mujh pe hu.e jab safed baalchhaTtii huu.n un se jog liyaa jin ke vaastekyaa sab kiyaa thaa mai.n ne isii din ke vaasteaise bhii naa-muraad bahut aa.e.nge nazarghar jin ke be-charaaG rahe aah 'umr bharrahtaa miraa bhii naKHl-e-tamannaa jo be-samarye jaa-e-sabr thii ki du'aa me.n nahii.n asarlekin yahaa.n to ban ke muqaddar biga.D gayaaphal phuul laa ke baaG-e-tamannaa uja.D gayaasarzad hu.e the mujh se KHudaa jaane kyaa gunaahma.njdhaar me.n jo yuu.n mirii kashtii hu.ii tabaahaatii nazar nahii.n ko.ii amn-o-amaa.n kii raahab yaa.n se kuuch ho to 'adam me.n mile panaahtaqsiir merii KHaaliq-e-aalam bahal kareaasaan mujh Gariib kii mushkil ajal karesun kar zabaa.n se maa.n kii ye fariyaad-e-dard-KHezus KHasta-jaa.n ke dil pe chalii Gam kii teG-e-tez'aalam ye thaa qariib ki aa.nkhe.n ho.n ashk-rezlekin hazaar zabt se rone se kii gurezsochaa yahii ki jaan se bekas guzar na jaa.enaashaad ham ko dekh ke maa.n aur mar na jaa.ephir arz kii ye maadar-e-naashaad ke huzuurmaayuus kyuu.n hai.n aap alam kaa hai kyuu.n vafuursadma ye shaaq 'aalam-e-piirii me.n hai zaruurlekin na dil se kiijiye sabr-o-qaraar duurshaayad KHizaa.n se shakl 'ayaa.n ho bahaar kiikuchh maslahat isii me.n ho parvardigaar kiiye jaa'l ye fareb ye saazish ye shor-o-sharhonaa jo hai sab us ke bahaane hai.n sar-ba-sarasbaab-e-zaahirii me.n na in par karo nazarkyaa jaane kyaa hai parda-e-qudrat me.n jalva-garKHaas us kii maslahat ko.ii pahchaantaa nahii.nmanzuur kyaa use hai ko.ii jaantaa nahii.nraahat ho yaa ki ranj KHushii ho ki intishaarvaajib har ek rang me.n hai shukr-e-kird-gaartum hii nahii.n ho kushta-e-naira.ng-e-rozgaarmaatam-kade me.n dahr ke laakho.n hai.n sogvaarsaKHtii sahii nahii.n ki uThaa.ii ka.Dii nahii.nduniyaa me.n kyaa kisii pe musiibat pa.Dii nahii.n
chand kaliyaa.n nashaat kii chun karmuddato.n mahv-e-yaas rahtaa huu.nteraa milnaa KHushii kii baat sahiitujh se mil kar udaas rahtaa huu.n
na.e shu.uur kii hai raushnii nigaaho.n me.nik aag sii bhii hai ab apnii sard aaho.n me.nkhile.nge phuul nazar ke sahar kii baa.nho.n me.ndukhe dilo.n ko isii aas kaa sahaaraa haiKHudaa tumhaaraa nahii.n hai KHudaa hamaaraa haiuse zamiin pe ye zulm kab gavaaraa haitilism-e-saaya-e-KHauf-o-haraas to.De.ngeqadam ba.Dhaa.e.nge zanjiir-e-yaas to.De.ngekabhii kisii ke na ham dil kii aas to.De.ngerahegaa yaad jo ahd-e-sitam guzaaraa haiuse zamiin pe ye zulm kab gavaaraa hai
ham to majbuur the is dil se ki jis me.n har damgardish-e-KHuu.n se vo kohraam bapaa rahtaa haijaise rindadan-e-balaa-nosh jo mil baiThe.n bahammai-kade me.n safar-e-jaam bapaa rahtaa haisoz-e-KHaatir ko milaa jab bhii sahaaraa ko.iidaaG-e-hirmaan ko.ii, dard-e-tamannaa ko.iimarham-e-yaas se maa.il-ba-shifaa hone lagaazaKHm-e-ummiid ko.ii phir se haraa hone lagaaham to majbuur the is dil se ki jis kii zid parham ne us raat ke maathe pe sahar kii tahriirjis ke daaman me.n a.ndhere ke sivaa kuchh bhii na thaaham ne is dasht ko Thahraa liyaa firdaus-e-naziirjis me.n juz san.at-e-KHuun-e-sar-e-paa kuchh bhii na thaadil ko ta.abiir ko.ii aur gavaaraa hii na thiikulfat-e-ziist to manzuur thii har taur magarraahat-e-marg kisii taur gavaaraa hii na thii
ai mirii ummiid merii jaa.n-navaazai mirii dil-soz merii kaarsaazmerii sipar aur mire dil kii panaahdard-o-musiibat me.n mirii takiya-gaahaish me.n aur ranj mai.n merii shafiiqkoh me.n aur dasht me.n merii rafiiqkaaTne vaalii Gam-e-ayyaam kiithaamne vaalii dil-e-naakaam kiidil pa pa.Daa aan ke jab ko.ii dukhtere dilaase se milaa ham ko sukhtuu ne na chho.Daa kabhii Gurbat me.n saathtuu ne uThaayaa na kabhii sar se haathjii ko ho kabhii agar usrat kaa ra.njkhol diye tuu nai qanaa.at ke ganjtujh se hai mohtaaj kaa dil be-hiraastujh se hai biimaar ko jiine kii aasKHaatir-e-ranjuur kaa darmaa.n hai tuuaashiq-e-mahjuur kaa iimaa.n hai tuunuuh kii kashtii kaa sahaaraa thii tuuchaah me.n yuusuf kii dil-aaraa thii tuuraam ke ham-raah cha.Dhii ran me.n tuupaa.nDav ke bhii saath phirii ban me.n tuutuu ne sadaa qais kaa bahlaayaa dilthaam liyaa jab kabhii ghabraayaa dilho gayaa farhaad kaa qissa tamaampar tire fiqro.n pe rahaa KHush mudaamtuu ne hii raa.njhe kii ye ba.ndhvaaii aashiir thii furqat me.n bhii goyaa ki paashotii hai tuu pusht pe himmat kii jabmushkile.n aasaa.n nazar aatii hai.n sabhaath me.n jab aa ke liyaa tuu ne haatsaat samundar se guzarnaa hai baatsaath milaa jis ko tiraa do qadamkahtaa hai vo ye hai arab aur ajamgho.De kii lii apne jahaa.n tuu ne baagsaamne hai tere gayaa aur praagazm ko jab detii hai tuu mel jastgumbad-e-garduu.n nazar aataa hai pasttuu ne diyaa aa ke ubhaaraa jahaa.nsamjhe ki muTThii me.n hai saaraa jahaa.nzarre ko KHurshiid me.n de khapaabande ko allaah se de tuu milaadono.n jahaa.n kii hai ba.ndhii tujh se la.Ddiin kii tuu asl hai duniyaa kii ja.Dnekiyo.n kii tujh se hai qaa.em asaastuu na ho to jaa.e.n na nekii ke paasdiin kii tujh bin kahii.n pursish na hotuu na ho to haq kii parastish na hoKHushk thaa bin tere daraKHt-e-amaltuu ne lagaa.e hai.n ye sab phuul phaldil ko lubhaatii hai kabhii ban ke huurgaah dikhaatii hai sharaab-e-tahuurnaam hai sidra kabhii tuubaa tiraaroz niraalaa hai tamaashaa tiraakausar o tasniim hai yaa salsabiiljalve hai.n sab tere ye be-qaal-o-qiilruup hai.n har panth me.n tere alaghai kahii.n firdaus kahii.n hai sovargchhuuT ga.e saare qariib aur ba.iidek na chhuuTii to na chhuuTii umiidtere hii dam se kaTe jo din the saKHttere hii sadqe se milaa taaj-o-taKHtKHaakiyo.n kii tujh se hai himmat bulandtuu na ho to kaam ho.n duniyaa ke bandtujh se hii aabaad hai kaun-o-makaa.ntuu na ho to hai bhii barham jahaa.nko.ii pa.Dtaa phirtaa hai bahr-e-ma.aashhai ko.ii iksiir ko kartaa talaashik tamannaa me.n hai aulaad kiiek ko dil-daar kii hai lau lagiiek ko hai dhan jo kuchh haath aa.edhuum se aulaad kii shaadii rachaa.eek ko kuchh aaj agar mil gayaakal kii hai ye fikr ki khaa.e.nge kyaaqaum kii bahbuud kaa bhuukaa hai ekjin me.n ho un ke liye anjaam-e-nekek ko hai tishnagii-e-qurb-e-haqjis ne kiyaa dil se jigar tak hai shaqjo hai Garaz us kii na.ii justujuulaakh agar dil hai.n to laakh aarzuutujh se hai.n dil sab ke magar baaG baaGgul ko.ii hone nahii.n paataa charaaGsab ye samajhte hai.n ki paa.ii muraadkahtii hai jab tuu ki ab aa.ii muraadva.ada tiraa raast ho yaa ho daroGtuu ne diye hai.n use kyaa kyaa faroGva.ade vafaa kartii hai go chand tuurakhtii hai har ek ko KHursand tuubhaatii hai sab ko tirii lait-o-la.altuu ne kahaa.n siikhii hai ye aaj kaltalKH ko tuu chaahe to shiirii.n karebazm-e-azaa ko tarab-aagii.n kareaane na de ranj ko muflis ke paasrakhe Ganii us ko rahe jis ke paasyaas kaa paatii hai jo tuu kuchh lagaavsaik.Do.n kartii hai utaar aur cha.Dhaa.oaane nahii.n detii dilo.n par hiraasTuuTne detii nahii.n taalib kii aasjin ko mayassar na ho kamlii phaTiiKHush hai.n tavaqqo.a pe vo zar-baft kiichaTnii se roTii kaa hai jin kii banaavbaiThe pakaate hai.n KHayaalii polaavpaa.nv me.n juutii nahii.n par hai ye zauqgho.Daa jo sabza ho to niilaa ho tauqfaiz ke khole hai.n jahaa.n tuu ne baabdekhte hai.n jho.npa.De mahlo.n ke KHvaabtere karishme hai.n Gazab dil-farebdil me.n nahii.n chho.Dte sabr-o-shakebtujh se muhavvis ne jo shuuraa liyaaphuu.nk diyaa kaan me.n kyaa jaane kyaadil se bhulaayaa zan o farzand kolag gayaa ghun naKHl-e-baroma.nd kokhaane se piine se hu.aa sard jiiaisii kuchh iksiir kii hai lau lagiidiin kii hai fikr na duniyaa se kaamdhun hai yahii raat din aur sub.h shaamdho.nknii hai baiTh ke jab dho.nknaashah ko samajhtaa hai ik adnaa gadaapaise ko jab taav pe detaa hai taavpuuchhtaa yaaro.n se hai sone kaa bhaavkahtaa hai jab ha.nste hai.n sab dekh karrah ga.ii ik aa.nch kii baaqii kasarhai isii dhu.nd me.n vo aasuuda-haaltuu ne diyaa aql pe parda saa Daaltol kar gar dekhiye us kii KHushiiko.ii KHushii is ko na pahu.nche kabhiiphirte hai.n mohtaaj ka.ii tiira-baKHtjan ke pairo.n me.n thaa kabhii taaj-o-taKHtaaj jo bartan hai.n to kal ghar karomaltii hai mushkil se inhe.n naan-e-jautaire sivaa KHaak nahii.n in ke paassaarii KHudaa.ii me.n hai le de ke aasphuule samaate nahii.n is aas parsaahib-e-aalam unhe.n kahiye agarkhaate hai.n is aas pa qasme.n ajiibjhuuTe ko ho taKHt na yaa-rab nasiibhotaa hai naumiidiyo.n kaa jab hujuumaatii hai hasrat kii ghaTaa jhuum jhuumlagtii hai himmat kii kamar TuuTnehausla kaa lagtaa hai jii chhuuTnehotii hai be-sabrii o taaqat me.n ja.ngarsa-e-aalam nazar aataa hai ta.ngjii me.n ye aataa hai ki sam khaa.iyephaa.D ke yaa kap.De nikal jaa.iyebaiThne lagtaa hai dil aave kii tarahyaas Daraatii hai chhalaave kii tarahhotaa hai shikva kabhii taqdiir kaau.Dtaa hai KHaaka kabhii tadbiir kaaThantii hai garduu.n se la.Daa.ii kabhiihotii hai qismat kii ha.nsaa.ii kabhiijaataa hai qaabuu se aaKHir dil nikalkartii hai in mushkilo.n ko tuu hii halkaan me.n pahu.nchii tirii aahaT jo hai.nraKHt-e-safar yaas nai baa.ndhaa vahii.nsaath ga.ii yaas ke pazhmurdagiiho ga.ii kaafuur sab afsurdagiitujh me.n chhupaa raahat-e-jaa.n kaa hai bhedchho.Diyo 'haalii' kaa na saath ai umiid
mere idraak ke naasuur to riste rahtemerii ho kar bhii vo mere liye kyaa kar letiihasrat-o-yaas ke gambhiir a.ndhere me.n bhalaaek naazuk sii kiran saath kahaa.n tak detii
fazaa me.n dard-aagii.n giit lahraa.e to aa jaanaasukuut-e-shab me.n ko.ii aah tharraa.e to aa jaanaajahaa.n kaa zarra zarra yaas barsaa.e to aa jaanaadar-o-diivaar par andoh chhaa jaa.e to aa jaanaa
us kii daanaa.ii kaa haasil naaKHuun-e-uqda-kushaataabnaaki-e-zamiir-o-ziirakii kaa aaftaabchaahne vaalo.n kaa us kii zikr hii kyaa kiijiyeus ke dushman bhii sirhaane rakhte hai.n us kii kitaabmaaddii taariiKH-e-aalam jis kii taaliif-e-aziimtaas kaipiTaal hai yaa ziist kaa lubb-e-lubaabpa.Dh ke jis ke ho ga.ii.n hushyaar aqvaam-e-Gulaamishtiraakii falsafa kaa khul gayaa har dil me.n baabkitne dozaKH us ke ik manshuur se jannat banekitne sahraa.o.n ko jis ne kar diyaa shahr-e-gulaabmarx ne science o insaa.n ko kiyaa hai ham-kanaarzehn ko baKHshaa shu.uur-e-zindagaanii kaa nisaabus kii biinish us kii vajdaanii-nigaah-e-haq-shanaaskar ga.ii jo chehra-e-iflaas-e-zar ko be-naqaab'Gasab-e-ujrat' ko diyaa 'sarmaayaa' kaa jis ne laqabbe-hisaab us kii basiirat us kii mantiq laa-javaabaaftaab taaza kii us ne bashaarat dii hame.nus kii har peshan-go.ii hai barafganda naqaabko.ii quvvat us kii sadd-e-raah ban saktii nahii.nvaqt kaa farmaan jab aataa hai ban kar inqilaabahl-e-daanish kaa rajaz aur siina-e-dahqaa.n kii Dhaallashkar mazduur ke hai.n ham-safiir o ham-rikaabkaaTtii hai sehr-e-sultaanii ko jab muusaa kii zarbsatvat-e-firaun ho jaatii hai az KHud Garq-e-aabaaj kii fir.auniyat bhii kuchh isii andaaz serafta rafta hotii jaa.egii shikaar-e-inqilaabla.D rahaa hai ja.ng aaKHir kiisa-e-sarmaaya-daarjauhrii hathiyaar se kartaa nahii.n jo ijtinaabapne mustaqbil se taaGuutii tamaddun ko hai yaasdiidanii hai dushman-e-insaaniyat kaa iztiraabhazrat-e-iqbaal kaa ibliis-e-kochak KHauf selarza-bar-andaam yuu.n shaitaa.n se kartaa hai KHitaabpanDit o mullaa o raahib be-zarar Thahre magarTuuTne vaalaa hai tujh par ik yahuudii kaa itaabvo kaliim-e-be-tajallii vo masiih-e-be-saliibniist paiGambar o lekin dar baGal daarad kitaab
mai.n ne gul-rez bahaaro.n kii tamannaa kii thiimujhe afsurda nigaaho.n ke sivaa kuchh na milaachand sahmii hu.ii aaho.n ke sivaa kuchh na milaajagmagaate hu.e taaro.n kii tamannaa kii thiimai.n ne mauhuum umiido.n kii panaahe.n Dhuu.nDii.nshiddat-e-yaas me.n mub.ham saa ishaara na milaaDagmagaate hu.e qadmo.n ko sahaaraa na milaahaa.e kis dasht-e-balaa-KHez me.n raahe.n Dhuu.nDe.nab fusuu.n-saaz bahaaro.n se mujhe kyaa matlabaaj hii merii nigaaho.n me.n vo manzar taubamai.n ne dekhe hai.n lapakte hu.e nashtar taubaKHuld bar-dosh nazaaro.n se mujhe kyaa matlabaasmaa.n nuur ke naGmaat se ma.amuur sahiimai.n ne ghaTtii hu.ii chiiKHo.n ke sune hai.n nauhehaa.e vo ashk jo palko.n se Dhalak bhii na sakezindagii husn-o-javaanii se abhii chuur sahiikabhii zau-paash sitaaro.n kii tamannaa thii mujheaaj zarro.n ko bhii maqsuud banaa rakkhaa haiaaj kaa.nTo.n ko kaleje se lagaa rakkhaa haikabhii gul-rez bahaaro.n kii tamannaa thii mujhe
KHalvat-o-jalvat me.n tum mujh se milii ho baar-haatum ne kyaa dekhaa nahii.n mai.n muskuraa saktaa nahii.nmai.n ki maayuusii mirii fitrat me.n daaKHil ho chukiijabr bhii KHud par karuu.n to gungunaa saktaa nahii.nmujh me.n kyaa dekhaa ki tum ulfat kaa dam bharne lagii.nmai.n to KHud apne bhii ko.ii kaam aa saktaa nahii.nruuh-afzaa hai.n junuun-e-ishq ke naGme magarab mai.n in gaa.e hu.e giito.n ko gaa saktaa nahii.nmai.n ne dekhaa hai shikast-e-saaz-e-ulfat kaa samaa.nab kisii tahriik par barbat uThaa saktaa nahii.ndil tumhaarii shiddat-e-ehsaas se vaaqif to haiapne ehsaasaat se daaman chhu.Daa saktaa nahii.ntum mirii ho kar bhii begaana hii paa.ogii mujhemai.n tumhaaraa ho ke bhii tum me.n samaa saktaa nahii.ngaa.e hai.n mai.n ne KHuluus-e-dil se bhii ulfat ke giitab riyaa-kaarii se bhii chaahuu.n to gaa saktaa nahii.nkis tarah tum ko banaa luu.n mai.n shariik-e-zindagiimai.n to apnii zindagii kaa baar uThaa saktaa nahii.nyaas kii taariikiyo.n me.n Duub jaane do mujheab mai.n sham-e-aarzuu kii lau ba.Dhaa saktaa nahii.n
ye a.ndherii raat ye saarii fazaa so.ii hu.iipattii pattii manzar-e-KHaamosh me.n kho.ii hu.iimaujzan hai bahr-e-zulmat tiirgii kaa josh haishaam hii se aaj qindiil-e-falak KHaamosh haichand taare hai.n bhii to be-nuur pathraa.e hu.ejaise baasii haar me.n ho.n phuul kumhlaa.e hu.ekhap gayaa hai yuu.n ghaTaa me.n chaa.ndnii kaa saaf ra.ngjis tarah maayuusiyo.n me.n dab ke rah jaa.e uma.ngumDii hai kaalii ghaTaa duniyaa Dubone ke liyeyaa chalii hai baal khole raa.nD rone ke liyejitnii hai gunjaan bastii utnii hii viiraan haihar galii KHaamosh hai har raasta sunsaan haiik makaa.n se bhii makii.n kii kuchh KHabar miltii nahii.nchilmane.n uThtii nahii.n zanjiir-e-dar hiltii nahii.nso rahe hai.n mast-o-be-KHud ghar ke kul piir-o-javaa.nho ga.ii hai.n band husn-o-ishq me.n sargoshiyaa.nhaa.n magar ik samt ik goshe me.n ko.ii nauhagarle rahii hai karvaTo.n par karvaTe.n dil thaam kardil sambhaltaa hii nahi.n hai siina-e-sad-chaak me.nphuul saa chehra aTaa hai bevgii kii KHaak me.nu.D chalii hai ra.ng-e-ruKH ban kar hayaat-e-musta.aarho rahaa hai qalb-e-murda me.n javaanii kaa fishaarhasrate.n dam to.Dtii hai.n yaas kii aaGosh me.nsaik.Do.n shikve machalte hai.n lab-e-KHaamosh me.numr aamaada nahii.n murda-parastii ke liyebaar hai ye zinda mayyat dosh-e-hastii ke liyechaahtii hai laakh qaabuu dil pe paatii hii nahii.nhaa.e-re zaalim javaanii bas me.n aatii hii nahii.nthartharaa kar girtii hai jab suune bistar par nazarle ke ik karvaT paTak detii hai vo takiya pe sirjab khanak uThtii hai.n sotii la.Dkiyo.n kii chuu.Diyaa.naah ban kar uThne lagtaa hai kaleja se dhu.aa.nho ga.ii beva kii KHaatir nii.nd bhii jaise haraammuKHtasar saa ahd-e-vaslat de gayaa soz-e-davaamdopahar kii chhaa.nv daur-e-shaadmaanii ho gayaapyaas bhii bujhne na paa.ii KHatm paanii ho gayaale rahii hai karvaTo.n par karvaTe.n baa-iztiraaraag me.n paara hai yaa bistar pe jism-e-be-qaraarpa.D ga.ii ik aah kar ke ro ke uTh baiThii kabhiiu.ngliyo.n me.n le ke zulf-e-KHam-ba-KHam ai.nThii kabhiiaa ke ho.nTo.n par kabhii maayuus aahe.n tham ga.ii.naur kabhii suunii kalaa.ii par nigaahe.n jam ga.ii.nitnii duniyaa me.n kahii.n apnii jagah paatii nahii.nyaas is had kii ki shauhar kii bhii yaad aatii nahii.naa rahe hai.n yaad paiham saas nando.n ke suluukphaT rahaa hai Gam se siina uTh rahii hai dil me.n huukapnii maa.n bahno.n kaa bhii aa.nkhe.n churaanaa yaad haiaisii duniyaa me.n kisii kaa chho.D jaanaa yaad haibaaGbaa.n to qabr me.n hai kaun ab dekhe bahaarKHud usii ko tiir us ke karne vaale hai.n shikaarjab nazar aataa nahii.n detaa ko.ii bekas kaa saathzahr kii shiishii kii jaanib KHud-ba-KHud ba.Dhtaa hai haathdil ta.Dap kar kah rahaa hai jald is duniyaa ko chho.Dchuu.Diyaa.n to.Dii.n to phir zanjiir-e-hastii ko bhii to.Ddam agar niklaa to kho.ii zindagii mil jaa.egiiye nahi.n to KHair tanhaa qabr hii mil jaa.egiivaa.n tujhe zillat kii nazro.n se na dekhegaa ko.iichaahe ha.nsnaa chaahe ronaa phir na rokegaa ko.iivaa.n sab ahl-e-dard hai.n sab saahab-e-insaaf hai.nrahbar aage jaa chukaa raahe.n bhii terii saaf hai.ndil inhii.n baato.n me.n uljhaa thaa ki dam ghabraa gayaahaath le kar zahr kii shiishii labo.n tak aa gayaatilmilaatii aa.nkh jhapkaatii jhijaktii haa.nptiipii ga.ii kul zahr aaKHir thartharaatii kaa.nptiimaut ne jhaTkaa diyaa kul uzv Dhiile ho ga.esaa.ns ukh.Dii, nabz Duubii, ho.nT niile ho ga.eaa.nkh jhapkii ashk Tapkaa hichkii aa.ii kho ga.iimaut kii aaGosh me.n ik aah bhar kar so ga.iiaur kar ik aah sulge hind kii rasmo.n kaa daamai javaanaa-marg beva tujh pe 'kaifii' kaa salaam
jiine se dil bezaar haihar saa.ns ik aazaar haikitnii hazii.n hai zindagiiandoh-gii.n hai zindagiivo bazm-e-ahbaab-e-vatanvo ham-navaayaan-e-suKHanaate hai.n jis dam yaad abkarte hai.n dil naashaad abguzrii hu.ii ra.ngiiniyaa.nkho.ii hu.ii dilchaspiyaa.npahro.n rulaatii hai.n mujheakasr sataatii hai.n mujhevo zamzame vo chahchahevo ruuh-afzaa qahqahejab dil ko maut aa.ii na thiiyuu.n be-hisii chhaa.ii na thiicollege kii ra.ngii.n vaadiyaa.nvo dil nashii.n aabaadiyaa.nvo naazniinaan-e-vatanzohra-jabiinaan-e-vatanjin me.n se ik ra.ngii.n qabaaaatish-nafs aatish-navaakar ke mohabbat aashnaara.ng-e-aqiidat aashnaamere dil-e-naakaam koKHuu.n-gashta-e-aalaam kodaaG-e-judaa.ii de ga.iisaarii KHudaa.ii le ga.iiun saa.ato.n kii yaad me.nun raahato.n kii yaad me.nmaGmuum saa rahtaa huu.n mai.nGam kii kasak sahtaa huu.n mai.nsuntaa huu.n jab ahbaab seqisse Gam-e-ayyaam kebetaab ho jaataa huu.n mai.naaho.n me.n kho jaataa huu.n mai.nphir vo aziiz-o-aqribaajo to.D kar ahd-e-vafaaahbaab se mu.nh mo.D karduniyaa se rishta to.D karhadd-e-ufuq se us tarafra.ng-e-shafaq se us tarafik vaadii-e-KHaamosh kiiik aalam-e-behosh kiigahraa.iyo.n me.n sau ga.etaariikiyo.n me.n kho ga.eun kaa tasavvur naa-gahaa.nletaa hai dil me.n chuTkiyaa.naur KHuu.n rulaataa hai mujhebe-kal banaataa hai mujhevo gaa.nv kii ham-joliyaa.nmafluuk dahqaa.n-zaadiyaa.njo dast-e-fart-e-yaas seaur yuurish-e-aflaas seismat luTaa kar rah ga.ii.nKHud ko ga.nvaa kar rah ga.ii.nGamgii.n javaanii ban ga.ii.nrusvaa kahaanii ban ga.ii.nun se kabhii galiyo.n me.n abhotaa huu.n mai.n do-chaar jabnazre.n jhukaa letaa huu.n mai.nKHud ko chhupaa letaa huu.n mai.nkitnii hazii.n hai zindagiiandoh-gii.n hai zindagii
gungunaa ke mastii me.n saaz le liyaa mai.n nechhe.D hii diyaa aaKHir naGma-e-vafaa mai.n neyaas kaa dhu.aa.n uTThaa har navaa-e-KHasta seaah kii sadaa niklii barbat-e-shikasta se
natiija sun ke ka.ii log bad-havaas hu.eKHudaa kaa shukr hai ham imtihaa.n me.n paas hu.esila milaa hai hame.n saal bhar kii mehnat kaachamak rahaa hai sitaara hamaarii qismat kaayahii to vaqt milaa hai hame.n masarrat kaajo fail ho ga.e vo kis qadar udaas hu.eKHudaa kaa shukr hai ham imtihaa.n me.n paas hu.evo imtihaan me.n raato.n ko jaag kar pa.Dhnaavo nii.nd aa.nkho.n me.n chhaa.ii hu.ii magar pa.Dhnaavo aadhii raat se bistar pe taa-sahar pa.Dhnaazahe-nasiib vo lamhaat ham ko raas hu.eKHudaa kaa shukr hai ham imtihaa.n me.n paas hu.ejo khel-kuud me.n din-raat chuur rahte thehar ek khel me.n shaamil zaruur rahte thejo sub.h-o-shaam kitaabo.n se duur rahte thejahaa.n me.n aaj vahii mubtalaa-e-yaas hu.eKHudaa kaa shukr hai ham imtihaa.n me.n paas hu.ejinhe.n thaa apnii liyaaqat pe e'tibaar bahutjinhe.n KHud apne qalam par thaa iKHtiyaar bahutjo apne aap ko samjhe the hoshiyaar bahutunhii.n ke hosh u.De aur gum havaas hu.eKHudaa kaa shukr hai ham imtihaa.n me.n paas hu.e
mai.n aksar sard raato.n me.nzamiin-e-KHaana-e-dil parakele baiTh jaataa huu.nphir apnaa sar jhukaa kar yaad-e-ahd-e-raftagaa.n dil me.n sajaataa huu.nKHayaal-e-maazii-e-dauraa.n mire is jism ke andar ajab tuufaa.n uThaataa haihazaaro.n miil kaa lambaa safar paidal karaataa haimai.n yaado.n ke dhu.ndlako.n me.n tumhaare naqsh-e-paa ko Dhuu.nDne jab bhii nikaltaa huu.nto ik taariik vaadii me.n utartaa huu.njahaa.n yaado.n kii kuchh be-ra.ng tasviire.n mujhe bikhrii pa.Dii ma.aluum detii hai.nmujhe aavaaz detii hai.nki vahshat kaa ye jangal baahe.n phailaa.e bulaataa haimiraa shauq-e-nazar thak kar zamiin par baiTh jaataa haiachaanak jab tumhaarii yaad ke vahshii jaanvar aavaaz dete hai.nmai.n Dartaa huu.nki jaise ko.ii bachcha apne hii saa.e se Dar jaa.eko.ii shiisha bikhar jaa.eko.ii furqat me.n ghabraa.emire taar-e-nafas par zarb kartii mustaqil dha.Dkanmujhe rukne nahii.n detiimujhe thakne nahii.n detiiye bechainii mujhe phir ik safar par le ke aatii haimai.n chaltaa huu.nki jaise ik musaafir baa'd muddat apne ghar jaa.eThiThurtii sard raato.n me.nko.ii jaise ki jam jaa.eki jaise saa.ns tham jaa.emagar mere muqaddar me.nsukuun-e-qalb-o-jaa.n kab hainigaah-e-yaas me.n mub.ham sahii ko.ii nishaa.n kab haikahii.n par shorish-e-amvaaj-e-dariyaa haikahii.n aavaaz-e-qulqul haimagas kaa shor hai sarsar sabaa kii aah-o-giryaa haiso dil apnaa machaltaa haikisii se kab bahaltaa haidhu.aa.n uThtaa hai dil se aa.nkh me.n tuufaa.n machaltaa haitabii.at zor kartii haiye dha.Dkan shor kartii haitumhaarii yaad ke ye chiiKHte aur piiTte lamhemujhe rone nahii.n detemujhe sone nahii.n dete
maut apnii na amal apnaa na jiinaa apnaakho gayaa shorish-e-giitii me.n qariina apnaanaaKHudaa duur havaa tez, qarii.n kaam-e-naha.ngvaqt hai phe.nk de lahro.n me.n safiina apnaaarsa-e-dahr ke ha.ngaame tah-e-KHavaab sahiigarm rakh aatish-e-paikaar se siina apnaasaaqiyaa ranj na kar jaag uThegii mahfilaur kuchh der uThaa rakhte hai.n piinaa apnaabesh-qiimat hai.n ye Gam-haa-e-mahabbat mat bhuulzulmat-e-yaas ko mat sau.np KHaziina apnaa
yuu.n lab se apne nikle hai ab baar-baar aahkartaa hai jis tarah ki dil-e-be-qaraar aahham iid ke bhii din rahe ummiid-vaar aahho jii me.n apne iid kii farhat se shaad-kaamKHuubaa.n se apne apne liye sab ne dil ke kaamdil khol khol sab mile aapas me.n KHaas o aamaaGosh-e-KHalq gul-badano.n se bhare tamaamKHaalii rahaa par ek hamaaraa kanaar aahkyaa puuchhte ho shoKH se milne kii ab KHabarkitnaa hii justujuu me.n phire ham idhar idharlekin milaa na ham se vo ayyaar fitnagarmilnaa to ik taraf hai aziizo ki bhar-nazarposhaak kii bhii ham ne na dekhii bahaar aahrakhte the ham umiid ye dil me.n ki iid kokyaa kyaa gale lagaave.nge dil-bar ko shaad hoso tuu vo aaj bhii na milaa shoKH-e-hiila-juuthii aas iid kii so ga.ii vo bhii dostoab dekhe.n kyaa kare dil-e-ummiid-vaar aahus sa.ng-dil kii ham ne Garaz jab se chaah kiidekhaa na apne dil ko kabhii ek dam KHushiikuchh ab hii us kii jaur-o-ta.addii nahii.n na.iihar iid me.n hame.n to sadaa yaas hii rahiikaafir kabhii na ham se hu.aa ham-kanaar aahiqraar ham se thaa ka.ii din aage iid seyaanii ki iid-gaah ko jaave.nge tum ko leaaKHir ko ham ko chho.D ga.e saath aur keham haath malte rah ga.e aur raah dekhtekyaa kyaa Garaz sahaa sitam-e-intizaar aahkyuu.n kar lage.n na dil me.n mire hasrato.n ke tiirdin iid ke bhii mujh se hu.aa vo kanaara-giiris dard ko vo samjhe jo ho ishq kaa asiirjis iid me.n ki yaar se milnaa na ho 'naziir'us ke upar to haif hai aur sad-hazaar aah
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books