aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
Showing search results for ".bomj"
us mahfil me.n sab hii kuchh thaasaaqii bhii aur piir-e-muGaa.n bhiisahbaa kii aaGosh ke paaletiflak-e-mastii rind-e-javaa.n bhiiGaaza o rang kii ma.ashuuqaa.e.njin kii lataafat shab bhar kii thiiitr aur resham kii miinaa.e.njin kii sahbaa lab bhar kii thiiaaj kaa sukh thaa, kal kaa dukh thaaaaj kii aashaa, kal kii niraashaaha.ns ha.ns kar Gam dekh rahe thein jhuuTii KHushiyo.n kaa tamaashaanaa-ummiidii ke kaa.ndho.n parrakkhaa thaa ummiid kaa laashaaaj vo le le.n, jo mil jaa.ekal kyaa hogaa kaun bataa.eaaj dilo.n kii sham.a jalaa.e.nkal shaayad ye raat na aa.eaaj to mai kii kashtii khe le.nkal ye safiina Duub na jaa.eaaj labo.n kaa bosa le le.nmaut kaa bosa kal lenaa haiaaj dilo.n kaa qarz chukaa le.nkal to sab kuchh de denaa haiis naazuk lamhe me.n mai.n neruuh-e-bashar ko viiraa.n dekhaaatom-bomb ke KHauf ke aageaql o KHirad ko hairaa.n dekhaasaare jahaa.n ko larzaa.n dekhaa
tiir ulfat ke chale.n golii chale ehsaan kiiKHatm kar diije ra.uunat is tarah insaan kiichappe chappe par jahaa.n me.n aise atom-bomb phaTe.nis jahaalat ke a.ndhere me.n ujaalaa jo kare.nrockito.n me.n ho madad laakho.n Gariibo.n ke liyeaur agan buuTo.n me.n KHushiyaa.n bad-nasiibo.n ke liyebhuuke bachcho.n par falak se roTiyaa.n barsaa.iyemoze juute kuchh qamiize.n nekare.n phikvaa.iyeja.ng kii baaruud me.n zaa.e.a na kiije maal-o-zarmuskuraa kar Daaliye laakho.n Gariibo.n par nazarjo Gariibii kii thakan se ho rahe hai.n chuur-chuurun kii jebe.n faaltuu noTo.n se bhar diije huzuurpyaar kaa ulfat kaa har zaKHmii ko marham diijiyeapnii KHushiyaa.n de ke dukh vaalo.n ke dukh le liijiyejo bhalaa.ii me.n maza hai vo buraa.ii me.n nahii.nbandagii me.n jo maza hai vo KHudaa.ii me.n nahii.nye jahaa.n pyaaraa jahaa.n kyuu.n ja.ng me.n barbaad hois zamii.n par kyo.n na jannat pyaar kii aabaad hojo.D kar ham haath nanhe KHat ko karte hai.n tamaamaap ke bachcho.n ko sab duniyaa ke bachcho.n ko salaam
mai.n atom-bomb ke Dher pe baiThaa soch rahaa thaaye raushniyo.n aur ra.ngo.n kaa sailaab-e-ravaa.nye resham ke lachchho.n aisaa narm badanye barf ke gaale se is nanhe seb kii nii.ndye us kii farishto.n jaisii maasuumaana ha.nsiiye gandum ke daano.n se nanhe nanhe daa.ntye kaliyo.n kii maanind tar-o-taaza ruKHsaarye gesuu.n kii KHushbuu se naa-vaaqif naakye cigarette ke dhu.e.n se begaana dahanye mere apne dil sii kushaada peshaaniiye sub.h kii pahlii kirno.n jaise us ke baalye sab kuchh us kaa apnaa hai lekin phir bhiiye sab kuchh aaKHir kab tak us kaa apnaa haiye meraa apnaa KHuun hai mere haatho.n me.nyaa merii sahmii sahmii be-KHvaab aa.nkho.n me.nye mustaqbil kaa ko.ii bhayaanak sapnaa haimai.n KHud apnii hii socho.n ke par noch rahaa thaamai.n atom-bomb ke Dher pe baiThaa soch rahaa thaa
sab aa.nkhe.n Taa.ngo.n me.n ja.Dii hai.nrii.Dh kii haDDii ke manko.n me.n kaan lage hai.nnaaf ke uupar ro.e.n ro.e.n me.n ek zabaa.n haipatluune.n saarii aavaaze.n sun letii hai.ndo patluune.n jhaga.D rahii hai.n''itnii qiimat kyuu.n letii ho tum me.n aisii kyaa KHuubii hai''kaise gaahak ho tum aaKHir mol badan kaa de sakte hopatii-vartaa kaa mol tumhaare paas nahii.n haichust nukiilaa brazier ye chiiKH rahaa haisharm nahii.n aatii kutto.n ko charch ke aage kha.De hu.e hai.nrustam Tharra piye kha.Daa hai bus-stop kii chhat ke niicheaur sohraab se puuchh rahaa hai''beTaa maal kahaa.n miltaa hai?''mandir kii chaukhaT par baiThii andhii aa.nkhe.naate jaate autaaro.n kii KHufiya jebe.n taak rahii hai.nhaspataal ke uu.nche niiche ziino.n par ik ik murde kogaa.ndhii jii dono.n haatho.n se injection dete phirte hai.nwashington vietnam me.n baiThaa barham-putr ke paanii ko whiskey ke jaam me.n ghol rahaa hailondon lanka kii sa.Dko.n pe sar niv.Dhaa.e ghuum rahaa haikaa.ngo.n aavaara phirtaa hai paris ke gande chaklo.n me.nbudh ke TuuTe-phuuTe but ke sar par buu.Dhaa kargasmurdo.n kii majlis me.n baiThaa apnii biptaa sunaa rahaa haimasjid ke saa.e me.n baiThaa kam-sin giida.Dus kii gavaahii me.n kahtaa haibechaara kam-sin hai us kii cho.nch se ab takduudh kii KHushbuu sii aatii haiuupar niile khule gagan me.nek kabuutar apnii cho.nch me.n ik zaituun kii shaaKH liye u.Dtaa phirtaa haiaur us shaaKH ke dono.n jaanibatom bomb ke paat lage hai.ninsaa.n kaa daayaa.n baazuu ik barg-e-KHizaa.n kii tarah laraz kar TuuT rahaa haiaur us ke baa.e.n baazuu par koh-e-himala dharaa hu.aa haijaane phir bhii vo talvaar kii dhaar pe kaise chal saktaa haimai.n is bhii.D me.n chauraahe par tanhaa baiThaa soch rahaa huu.nduniyaa israafiil ke pahle suur ke baa'd yuu.nhii lagtii hai''gas ke kamre me.n'' shaayad yuu.nhii hotaa haipop paal kii Topii mere bheje me.n dha.nstii jaatii hai
darvaaze pe khaT se hu.ii ik aavaazaur mai.n chau.nk ga.iizaruur hogaa aaj kaa aKHbaardarvaaza khol kar dekhaameraa andaaza sahii nahii.n thaavahaa.n aKHbaar pa.Daa nahii.n thaavahaa.n thaa aag kaa ek golaaus me.n lipTii thii.nchand maslii hu.ii ma.asuum kaliyaa.nkuchh gandii tang galiyaa.nbhuuk kaa sozaur kuchh zaKHiira-andozbe-roz-gaarii kaa sannaaTaaGurbat kaa chaa.nTaasuukhaa aur baazaar mandasaath me.n KHud-kushii kaa thaa phandaasarhado.n ke jhag.Dejangaur ek KHatra atom-bombkitne jangalghaTtii hariyaaliibiimaariiaspataalo.n kii bad-haliighoTaalo.n kaa shoraur rishvat-KHorii kii ho.Dzulm-o-sitam kii daastaane.ndhamaako.n kii aavaaze.ndimaaG ghuum gayaaphir Gaur se dekhaaare nahii.nvo aaj kaa aKHbaar hii thaalarazte kaa.npte haatho.n se uThaa liyaauThaanaa to thaa hii naa
chamakmeraa tasavvurKHushiyo.n kaa jho.nkaalams-e-ruKH-e-gulraahat-e-shab-e-mahtaabfarhat-e-sub.h-e-bahaarnaGmagiibhuukdard kii kasakGam-e-bechaargii azm-e-javaa.nsuurat-haa-e-yaaraan-e-be-yaarehsaas-e-silsila-haa-e-makr-o-farebnaqsh-haa-e-kashmakash-e-marg-o-ziistkarb-e-KHaak-e-hiroshimaidraak-e-rag me.n ye chubhte hu.e laakho.n nashtarshiddat-e-dardtuumai.nhar ko.ii jo nigah-o-dil me.n aa.eroTiiatom-bombtuumai.ndhu.ndalkaalamhe kii mautek aur lamhe kii jalvagariiumr yuu.n hii tamaam hotii hai
ek Time-bomb kii tarah haimeraa zaa.iqaagar use chhu.aa na jaa sake
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books