aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
Showing search results for "ann data krishn chander ebooks"
chaahato.n kaa jahaan hai urduraahato.n kaa nishaan hai urduishq kaa e'tibaar aur vaqaarhusn kii aan-baan hai urdudil-fazaa zau-kada sabaahat kaaaur malaahat kii kaan hai urdunasr kaa hai KHiraam-e-KHush-ha.ngaamshaa.irii kii u.Daan hai urduzinda hai apnaa zauq-o-shauq is seaarzuu.o.n kii jaan hai urdulutf hastii kaa rang mastii kaaKHushnumaa kaarvaan hai urduzikr-e-aaraa.ish-e-KHam-e-kaakulkaif-e-hindostaan hai urdudaftar-e-ittihaad-o-yak-jehtiipyaar kii daastaan hai urduektaa hai anektaa me.n bhiidost-daarii kaa maan hai urdu'Gaalib'-o-'miir' is ke shaidaa thejin kii ruuh-e-ravaan hai urdu'aatish' o 'momin' o 'naziir' o 'jigar'jin kii ra.ngii.n zabaan hai urduis ke aashiq 'nasiim' aur chakbastjin ke jazbo.n kii shaan shaan hai urdudost is ke 'suruur' aur 'sarshaar'is liye shaadmaan hai urdudard-ma.nd is ke 'premchand' rahejin ke baa.is javaan hai urduis ke mushtaaq 'mullaa' aur 'firaaq'jin ke dil kaa bayaan hai urduna.ara-zan 'josh' kaa KHarosh is me.njosh kii tarjumaan hai urdu'faiz' o 'iqbaal' o kirshn-chandar sevus.at-e-be-karaan hai urdudhuum 'mahruum' kii hu.ii is me.naur 'munavaar' kii aan hai urdu'raashid' o 'miiraa-jii' kii albeliishoKH-adaa raazdaan hai urdufitnat-o-fan kii daulat-e-bedaar'krishn-mohan' kii jaan hai urdu
dariyaa hai.n 'miir'-o-'Gaalib' har lab pe jo ravaa.n hai.n'faiz' o 'firaaq' aur 'daaG' har dil pe hukmaraa.n hai.naur 'kirshn-chandr' 'manto' zinda kahaaniyaa.n hai.nlafzo.n ke aa.ine me.n husn-e-bayaa.n kaa jaaduu
jab bhii bichh.Dii hu.ii dillii kaa samaa.n yaad aayaabhuulii-bisrii hu.ii yaado.n kaa jahaa.n yaad aayaaapne aaGaaz-e-javaanii kaa samaa.n yaad aayaakuucha-e-ruud-garaa.n laal ku.aa.n yaad aayaausii phaaTak me.n to guzraa thaa la.Dak-pan apnaaek ik tifl to ek ek javaa.n yaad aayaachaachaa kallan kii miThaa.ii kii duukaa.n yaad aa.iius ke uupar kisii mahvash kaa makaa.n yaad aayaahaa.e vo nuqra.ii aavaaz vo tiikhe KHad-o-KHaalpas-e-chilman vo nazaaro.n kaa jahaa.n yaad aayaakyaa na yaad aayaa Gariib-ul-vatanii me.n ham koek ik vahm to ek ek gumaa.n yaad aayaaaa.ii hamdard davaa-KHaane kii jab yaad hame.nek taabinda-o-paa.inda jahaa.n yaad aayaaal-jam'iyyat ke qarii.n ho ke tasavvur jo chalaahifz-e-rahmaan saa ik mard-e-jahaa.n yaad aayaajis kii taqriir rag-o-pai me.n utar jaatii thiisab se thaa jis kaa judaa tarz-e-bayaa.n yaad aayaakaale saahib kaa ahaata bhii nazar me.n ghuumaamahfil-e-she'r-o-suKHan kaa bhii samaa.n yaad aayaaballimaaraan se pahle galii qaasim-jaa.n me.n'Gaalib'-e-KHasta kaa bosiida makaa.n yaad aayaavahii.n yaad aayaa davaa-KHaana-e-hindustaaniiKHaan ajmal saa masiihaa-e-zamaa.n yaad aayaakuucha-e-'daaG' se ho kar jo chalaa husn-e-KHayaalshaa'ir-e-ahl-e-nazar ahl-e-zabaa.n yaad aayaachaa.ndnii chauk kii yaad aa.ii jo gahmaa-gahmiivo hasii.n shaam kaa pur-kaif samaa.n yaad aayaakaale burqa'o.n me.n vo malbuus hasiinaa.o.n ke Golchaa.nd ke Tuk.Do.n kaa ik sail-e-ravaa.n yaad aayaaghanTa-ghar log samajhte the jise dillii kii naakpuurii dillii kaa vo tanhaa nigaraa.n yaad aayaaho ke favvaare se jaa poh.nchaa dariibe me.n KHayaalsone chaa.ndii kii dukaano.n kaa jahaa.n yaad aayaajaame' masjid nazar aa.ii to udhar ko lapkeKHvaanche vaalo.n kaa andaaz-e-bayaa.n yaad aayaasii.Dhiyo.n par vo kaToro.n kii sadaa guu.nj uThiipech khaataa hu.aa huqqe kaa dhu.aa.n yaad aayaajaame' masjid ke minaaro.n se jise dekhaa thaavo nazaara ki jo thaa raahat-e-jaa.n yaad aayaakaabako.n jaise makaanaat nazar me.n ghuumeek ik foot kaa har ik piir-o-javaa.n yaad aayaaik uchaTtii sii nazar laal qila par bhii pa.Diidil pe dhachkaa saa lagaa shaah-jahaa.n yaad aayaaurdu baazaar kii yaad aa.ii is andaaz ke saathki sahaafat kaa ko.ii bahr-e-ravaa.n yaad aayaaaa ga.e yaad vahii.n 'saa.il'-o-'beKHud' 'kaifii''daaG' vaalo.n kaa phir andaaz-e-bayaa.n yaad aayaa‘miir-mushtaaq' kii mardaana-ravii yaad aa.iiKHidmat-e-KHalq kaa ik 'azm-e-javaa.n yaad aayaayaad aa.ii vahii.n maulaanaa samii'ullaah kiijaise baa-himmat-o-paamard javaa.n yaad aayaashaa'iro.n kii jahaa.n rahtii thii nishast-o-barKHaast'jigar'-e-KHasta ko dekhaa thaa kahaa.n yaad aayaa'bismil'-o-'bedii'-o-'mahruum'-o-'vafaa'-o-'gulzaar'majma'-e-shaa'ir-o-saahib-nazaraa.n yaad aayaachaav.Dii phir ga.ii aa.nkho.n me.n javaanii kii tarahkuucha-haa-e-sanam-e-siim-tanaa.n yaad aayaayak-ba-yak scene jo badlaa to samaa.n yaad aayaadahshat-o-KHauf kaa ek sail-e-ravaa.n yaad aayaaKHaak u.Dne lagii dillii ke galii kuucho.n me.nmutafakkir saa har ik piir-o-javaa.n yaad aayaachho.D kar dillii ko jaane lage dillii vaaleik hujuum-e-ba-lab-e-aah-o-fuGaa.n yaad aayaapaa.o.n tak jin kaa na dekhaa thaa khule sar dekhaanauhagar qaafila-e-laala-ruKHaa.n yaad aayaaqaafile dillii se jaane lage ban ban ke jahaa.nmaqbare kaa vo humaayuu.n ke samaa.n yaad aayaathaa qayaamat kaa vo manzar ki thii nafsii-nafsiihaal par apne falak girya-kunaa.n yaad aayaayaa'nii barsaat ye kahtii thii ki barsuu.n barsuu.nkitnaa us daur me.n allaah miyaa.n yaad aayaaaur ik parda uThaa aur samaa.n yaad aayaaaur ik manzar-e-dil-doz vahaa.n yaad aayaaGadr kii khi.nch ga.ii aa.nkho.n me.n mukammal tasviir'zafar'-e-soKHta-tan soKHta-jaa.n yaad aayaashaahzaado.n ke jo sar pesh-e-'zafar' yaad aa.eapnaa Gam bhuul ga.e jab vo samaa.n yaad aayaatere KHurshiid tire chaa.nd sitaare dilliichhuuT kar tujh se muhaajir hai.n bichaare dilliibe-vatan ho ke tire raaj-dulaare dilliijii rahe hai.n tirii yaado.n ke sahaare dillii
phir dekhe kaisaa bachcha haiye kitnaa pyaaraa bachcha hai7is jag me.n sab kuchh rab kaa haijo rab kaa hai vo sab kaa haisab apne hai.n ko.ii Gair nahii.nhar chiiz me.n sab kaa saajhaa haijo ba.Dhtaa hai jo ugtaa haivo daanaa hai yaa meva haijo kap.Daa hai jo kambal haijo chaa.ndii hai jo sonaa haivo saaraa hai is bachche kaajo teraa hai jo meraa hai
vaa.e taqdiir mai.n gadhaa na hu.aaham-navaa krishn chandr kaa na hu.aamaster kii palak jhapakte hiihaazirii de ke mai.n ravaana hu.aavahii aayaa savaal parche me.nek din kaa bhii jo pa.Dhaa na hu.aakhel bhii ham sake na jii bhar kekhelne kaa bhii haq adaa na hu.aamuddato.n apne master jii semadrase me.n bhii saamnaa na hu.aamai.n vo daadaa huu.n sab ko maar ke bhiiaaj tak qaabil-e-sazaa na hu.aa'kaif' maidaan-e-sher-go.ii me.nko.ii 'Gaalib' saa duusraa na hu.aa
ek safed-o-shaffaaf siidhulii chaadarbe-shikan bin chhuu.ii aur be-daaGmere sone kii chaarpaa.ii parsub.h se shaam takbichhii rahtii haiaur jabraat ko mai.n sotaa huu.nus ko dhiire se KHudhaTaa detaa huu.naur us kii jagah puraanii siiek chaadar bichhaa detaa huu.nsub.h ko phir vahii chaadarbe-shikan bin chhuu.ii aur be-daaGchaarpaa.ii kii ziinat hotii haiye bharamdekhiyebanaa rah jaa.e
ye kis ne bazm-e-adab ke sukuun ko taakaamushaa.eron me.n bhii pa.Dne lagaa hai ab Daakamushaa.ere me.n Dakaitii kaa shauq rakhte hai.nhamaare ahd ke Daaku bhii zauq rakhte hai.nadab-navaaz the Daaku suKHan-shanaas the vomire vatan kii siyaasat kaa iqtibaas the voajab Dakait the jin kaa nasiib phuuTaa thaajinho.n ne shahr ke in mufliso.n ko luuTaa thaapa.Daa vo ran ki ik ustaad sher bhuul gayaakisii nahiif se shaa.er kaa saa.ns phuul gayaabayaaz apnii kisii ne uchhaal kar rakh diibajaa.e cash rubaa.ii nikaal kar rakh diiudhar Dakait sambhaale the gun u.Daa.ii hu.iiudhar vo pel rahaa thaa Gazal churaa.ii hu.iiye kis ne bazm-e-suKHan luuT lii KHudaa jaane''tamaam shahr ne pahne hu.e hai.n dastaane''mushaa.ere me.n na sonaa thaa aur na chaa.ndii thiisuKHan-varo.n kii to har chiiz hii puraanii haijo sab se qiimtii shai hai vo shervaanii haiye apne sher sunaate hii phuuT lete hai.nmushaa.ere ko tarannum se luuT lete hai.nhamaare sher sune.n aur sher-bii.n ho jaa.e.nKHudaa kare ki ye Daaku bhii saama.ii.n ho jaa.e.n
baiThaa thaa ek roz mai.n aa.ngan kii dhuup me.naalam tamaam halqa-e-daam-e-KHayaal thaasargoshiyo.n me.n vaqt sunaataa thaa baar baarqisse qadiim qaisar-o-kisraa kii shaan kekartaa thaa varq varq har ik daastaan kemai.n ne kahaa ki ham-dam-o-ham-raaz-o-diida-varmaa-qissaa-e-sikandar-o-daaraa na KHvaanda-aimkuchh zikr ho sabaa kaa gulo.n kaa shabaab kaasaaGar kaa mai-kade kaa suraahii kaa naab kaakuchh baat ho bahaar kii baaraa.n kii dhuup kiiKHushbuu kii chaa.ndnii kii fazaa.o.n kii ruup kiiho jaa.e kuchh mushaahida-e-haq kii guftuguukuchh bhuulne kii phir use paane kii justujuukuchh puuchh mujh se baabat-e-afkaar-e-dojahaa.nahvaal-o-iKHteyaar-o-shikaayaat-e-dostaa.njo jii me.n aa.e puuchhmagar itnaa yaad rakh''az maa ba-juz hikaayat-e-mehr-o-vafaa mapurs''bolaa ki tuu ''rahiin-e-sitam-haa-e-rozgaar''kyaa jaantaa hai baabat-e-imkaan-e-zindagiijiitaa hai zindagii se pashemaan-e-zindagiikuchh apne dil kaa haal bhii ma.aluum hai tujheye vahshate.n ye dard ye tanhaa.iyo.n kaa bojhye hijrate.n ye karb ye bezaariyo.n kaa rogye hasrate.n ye ranj ye afsurdagii ye sogsiina hai daaG daaG jigar laKHt laKHt haituu KHud kahaa.n hai aur kahaa.n teraa baKHt haiqulzum ko ek qatre kii KHaatir bahaa diyaajo vaqt ne diyaa tujhe sab kuchh ga.nvaa diyaaek baar mu.D ke dekh ki kyaa teraa kho gayaajaagaa tiraa nasiib to tuu KHud hii so gayaaab hijr na visaal na saudaa na suud hailamhe se bhii qaliil ye teraa vajuud haibaaqii bachaa hai aur kyaa tere hisaab me.n“nai haath baag par hai na paa hai rikaab me.n''
jhuuT kii garmii-e-baazaar kahaa.n se laa.uu.nraqs-e-be-ma.anii kii jhankaar kahaa.n se laa.uu.nDhuu.nD ke hiila-e-takziib baraa.e-insaafbe-muhaabaa sar-e-darbaar kahaa.n se laa.uu.nbe-KHabar ishq se hai.n aaj riyaa-kaar shuyuuKHjazb-e-mansuur sar-e-daar kahaa.n se laa.uu.nbech kar chaadar-e-zahraa ko sajaataa firdausreshmii makr kii dastaar kahaa.n se laa.uu.nmaut kii god me.n hai aarif-o-daanaa kaa vajuuddil-rubaa fikr-e-sahar-kaar kahaa.n se laa.uu.nme.n vo fankaar huu.n iKHlaas hai jis kaa shahkaarmakr-o-tarviiz kii guftaar kahaa.n se laa.uu.nKHaanqaaho.n me.n bhii raa.ij hai havas kii tadriisbaa-KHudaa shaiKH-e-nigah-daar kahaa.n se laa.uu.nmaktab-e-nau kaa moallim hai fara.ngii baqqaalbuuzar-o-KHaalid-o-karraar kahaa.n se laa.uu.nruuh-e-tauhiid kii qaatil hai siyaasii ta.aliimsar-faroshaan-e-vafaadaar kahaa.n se laa.uu.nKHuub vaaqif huu.n hadiis-e-mai-o-miinaa se magaraalam-e-hashr me.n dildaar kahaa.n se laa.uu.nsaaz-e-fitrat pe Gazal-KHvaa.n hai shu.uur-e-tanqiidkaaGzii kaakul-o-ruKHsaar kahaa.n se laa.uu.nshola-zan daaman-e-giitii hai to mazmuun ko.iijinsiyat-baKHsh trahdaar kahaa.n se laa.uu.ndil kaa paimaana hai zahraab-e-alam se labrezbulbul-e-zamzama-aasaar kahaa.n se laa.uu.ntazkire hai.n qad-o-gesuu ke bahar-taur aziizmuflisii me.n dil-e-gulbaar kahaa.n se laa.uu.ntishnagii saahab-e-naama kii bujhaane vaaloaabruu-baaKHta shahkaar kahaa.n se laa.uu.narsa-e-dahr kaa har zarra hai aatish-ba-kanaarramish-o-ra.ng ke ash.aar kahaa.n se laa.uu.njannatii hone kii maanaa ki sanad biktii haiganj-e-qaaruun kaa ambaar kahaa.n se laa.uu.nzeb-e-tan vaqt kaa pairaahan-e-sho.ala hai abhiikaif-a.ngez mai.n afkaar kahaa.n se laa.uu.nKHair-aagaah miraa fikr hai masruuf-e-amalbahs-o-takraar kii talvaar kahaa.n se laa.uu.njaan pa.D saktii hai 'bebaak' tan-e-murda me.nmard-e-'faaruuq' saa kirdaar kahaa.n se laa.uu.n
mai.n urdu zabaa.n huu.nmujhe aaryaa.o.n ne paalaamirii asl hindostaa.n haiki mere lahuu se hii vedo.n kii aayaat likkhii ga.ii hai.nye raam aur siitaa kii azmat ke qisse ramaayan-kathaa.e.nkrishan aur raadhaa ke rangii.n fasaanehar ik lafz kii ruuh naGma-saraa haimai.n urdu zabaa.n huu.nvo gautam ki jis ne mohabbat kii paiGambarii se jahannam ko jannat banaayaamagar kis zabaa.n me.nzaraa sochiye kis zabaa.n me.nvo paalii jo mere gharaane kii paalii hu.ii thiimai.n urdu zabaa.n huu.nmujhe dekhnaa chaahte ho to aa.oajantaa elora ke Gaaro.n me.n dekhoye mai.n huu.nmiraa husn merii kashish hai abad takmujhe dekhnaa chaahte ho to aa.oashokaa kii laaTo.n me.n kanda huruuf-e-muqaddas me.n dekhoye mai.n huu.nsadaaqat adaalat kii tahriir-e-mohkammai.n urdu zabaa.n huu.nmohabbat kii man-mohnii daastaa.n huu.nmirii vus.ate.n be-karaa.n hai.nye uttar ye dakhkhin ye puurab ye pachchhimhar ik samt mere nishaa.n hai.ndeccan jo kabhii rang-o-harf-o-adaa aur cha.ng-o-sadaa se banaa ek qaus-e-quzah thaatumhe.n kuchh KHabar hai vo kyaa silsila thaamuu.arriKH se puuchho vo meraa hii jaaduu miraa mo.ajiza thaamai.n 'KHusrav' kii pyaarii 'valii' kii niyaarii 'qulii' kii dulaariiKHudaa-e-suKHan 'miir' ke soz-e-pinhaa.n kii mai.n raazdaa.n huu.nvo diivaan-e-Gaalib vo shahkaar-e-taKHliiq-e-aadammagar us kaa har sher kahtaa hai paihammai.n urdu zabaa.n huu.nvo 'iqbaal' jo azmat-e-aadamiyyat kaa paiGaambar hailahuu ke jumuud aur dil ke taGaaful kaa jo nauhagar haivo jis kii nazar baal-e-jibriil kii ham-safar haivo jis kii sadaa KHvaab-e-Gaflat me.n bad-mast insaaniyat ke liye ek baa.ng-e-daraa haivo jis kii KHudii daur-e-haazir kii fir.auniyat ke liye bahr-e-qulzum ke saahil pe zarb-e-kaliimii kii nemul-badal haivo jis ne dayaar-e-Gazal se lab-o-aariz-o-zulf jaise anaasir ko baahar nikaalaavo 'iqbaal' bhii merii zulfo.n kaa qaidii rahaa haimai.n urdu zabaa.n huu.nvo 'aazaad' aazaadi-e-hind kaa ek aashiqvo 'aazaad' jis kii fuGaa.n soz-o-mastiivo 'aazaad' jis kii sadaa saaz-e-hastiivo 'aazaad' jis kaa suKHan qaul-e-faisalmagar qaul-e-faisal kaa ye faisla haimai.n urdu zabaa.n huu.nmai.n taariiKH-o-tahziib-e-hindostaa.n huu.nmai.n hindostaanii huu.n rashk-e-jahaa.n huu.njahaan-e-mohabbat kii mai.n paasbaa.n huu.nmagar paasbaan-e-vatan mujh ko Gaddaar kahne lage hai.nto Gaddaar kahne kaa matlab musalmaa.n huu.n mai.n bhiimusalmaan ya.anii ki dahshat jihaalat Galaazat kii pahchaan huu.n mai.nye pahchaan merii ajab saaneha haimagar saaneha maadar-e-hind kaa hai ye meraa nahii.n haimai.n kuchh bhii nahii.n huu.nmujhe aaryaa.o.n ne paalaamirii asl hindostaa.n haimai.n hindostaanii huu.n hindostaa.n huu.nmagar mere ahl-e-vatan mujh ko Gaddaar kahne lage hai.nba-zaahir to hai garche ye merii zillatmagar asl me.n maadar-e-hind kii hii ye ismat-darii haimai.n urdu zabaa.n huu.nmujhe aaryaa.o.n ne paalaamirii asl hindostaa.n hai
mai.n ghar ke pate kii ek parchiihar sub.hun kii jeb me.n rakh detaa huu.nkisii ko kahii.n mil jaa.emerii gum ho ga.ii ko.ii nazmto mujhe bataa denaamerii nazme.n sair kartii hai.n akeliishahr me.n ab
us kaa KHat aayaa hai mere pate parlikhaa haiye jo mai.n naam us kaa u.nglii setakiye pe likhapnii lambii raate.n rakh detaa huu.n us peto dam ghuTtaa hai us kaaaur us ko nii.nde.n nahii.n aatii
ik chaa.nd haiik chaa.ndniimas.huur-kun hairaagniishahr-e-dilshahr-e-‘ajabjal uThaa hai aab aurjam ga.ii hai aagniiik dard jo hai laa-davaaus kii davaa haisaajniiyuu.nhii sadaa ta.Dpegaa dilgar Das ga.ii ye naaganiipatthar saa hai ye hijr bhiidiivaar-e-jaa.n bhiiaahanii
aaKHirash TuuTaa tilism-e-intizaarmai.n magar tishna rahiimeraa tarsaa pyaar nafrat ban gayaamai.n ne us ko maar Daalaa daf.atanvarna KHud ko maar detii raat kovo mirii ummiid par puuraa na utraa mujh ko paagal kar gayaa
har maz.hab kii uu.nchii shaanjis se banaa hai desh mahaansab ko detaa prem kaa daanprem pyaar kii hai ye khaanhinduu muslim sikh iisaa.iibodh aur jainii kii hai aanpaaTh yahii hai pahlaa basban jaa.o saare insaanviir bano ai pyaare bachchotum bhaarat kii ho santaankisii ko ko.ii kashT nahii.nsab so.e hai.n chaadar taanhar maz.hab kaa aadar kartaa meraa bhaarat hindostaan
tan pe o.Dhe hu.e chaadar Gam-e-tanhaa.ii kiiaaj biimaar mai.n bistar pe pa.Dii sochtii huu.nhaal naa-saaz hai meraa ye bataa.uu.n kis koapnii takliif pareshaanii sunaa.uu.n kis kojab sahaa jaataa nahii.n dard to uTh jaatii huu.naur phir uTh ke davaa zahr sii mai.n khaatii huu.nko.ii hamdard to hotaa kahii.n nazdiik meredekh kar dard miraa vo bhii pareshaa.n hotaahaath se apne davaa detaa sahaaraa detaayuu.n na ghabraa.o mujhe kah ke dilaasa detaaThiik ho jaa.ogii apne ko sambhaalo tho.Daaaur israar ye kartaa chalo khaa lo tho.Daais zamaane me.n hu.ii kis kii tamannaa puuriikaun bad-haal kii samjhaa hai yahaa.n majbuurii
ab ki jab aa ga.ii hai shaam-e-shabaababruu.o.n kii taraash se haasil
raakh raakh badan le kardhu.aa.n dhu.aa.n shagun le karraat kii a.ndherii galiyo.n me.nintizaar sulgaataa huu.nmai.n us ke aur apne vaastebaar baar dohraataa huu.nmilaataa huu.n baar baar numbermilaa kar kaaT Daaltaa huu.nmai.n us kii pinhaa.iyo.n me.n muKHil ab toho nahii.n saktaaaur apnii tanhaa.iyo.n kii baabatuse kuchh kah nahii saktaaqatra qatra Tapaktii rahtii hairaat kii chhat aurbadan kaa lahuu jaltaa haiu.ngliyo.n me.n cigarettesulagtaa rahtaa haiaurvaqt kii dahliiz pardafn shuda mai.napne marqad par chaadar cha.Dhaataa rahtaa huu.nKHud ko haqiiqat me.nbas jalaataa rahtaa huu.n
havaa kii sarsaraahaTun ke aane kii KHabar detiimiraa dil mor ban kar naachtaa haihavaa bhii baa.ndh kar pairo.n me.n ghu.nghruuba.Dii chanchal hu.ii jaatii hai dekhomire hamraah vo bhii naachtii haiachaanak kyaa hu.aa aisaahavaa ke paa.nv saakit ho ga.e hai.nna ghu.nghruu hai.n na aavaaze.n bhii us kiina bal khaanaa na lahraanaa vo us kaaKHamoshii kii pa.Dii chaadar sabhii parhare pe.Do.n ne bhii sar Dhaa.np Daalaaparindo.n ne paro.n me.n sar chhupaayaaakelii mai.n khulii aa.nkhe.n hai.n meriikisii ke intizaar me.nraaste kii duuriyaa.n naaptii hai.n
ye ik baaGii mufakkir kaa janaaza haihilaa Daalaa thaa apnii kaafiraana fikr se jis neyakaayak saarii duniyaa kofaqat biis aadmii hamraah hai.n is ke janaaze kezamaana jis kii qadr-o-manzilat kartaa thaa aur jis ke KHayaalo.n se sa.nvartaa thaavo baaGii jaa rahaa hai aaj akelaa ek albelaa musaafir thaakaro.Do.n momino.n par thaa jo bhaarii aisaa kaafir thaasitaare kyuu.n chamakte hai.n dilo.n kaa maajraa kyaa haisatiiza-KHuu hai kyuu.n insaa.n mohabbat kaa maza kyaa haiye tahqiiq is kaa maz.hab thaahazaaro.n saal nargis apnii be-nuurii pe ro.egii
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books