aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
Showing search results for "apv"
aap ko ilm hai vo aaj nahii.n aa.ii hai.n?merii har dost se us ne yahii puuchhaa hogaakyuu.n nahii.n aa.ii vo kyaa baat hu.ii hai aaKHirKHud se is baat pe sau baar vo uljhaa hogaakal vo aa.egii to mai.n us se nahii.n boluu.ngaaaap hii aap ka.ii baar vo ruuThaa hogaavo nahii.n hai to bulandii kaa safar kitnaa kaThinsii.Dhiyaa.n cha.Dhte hu.e us ne ye sochaa hogaaraahdaarii me.n hare lawn me.n phuulo.n ke qariibus ne har samt mujhe aan ke Dhuu.nDaa hogaa
kuchh aisaa hai ye mai.n jo huu.n ye mai.n apne sivaa huu.n ''mai.n''so apne aap me.n shaayad nahii.n vaaq.e hu.aa huu.n mai.njo hone me.n ho vo har lamha apnaa Gair hotaa haiki hone ko to hone se ajab kuchh bair hotaa haiyuu.nhii bas yuu.nhii 'zenuu' ne yakaayak KHud-kushii kar liiajab hiss-e-zaraafat ke the maalik ye ravaaqii bhii
is liye ai shariif insaanojang Taltii rahe to behtar haiaap aur ham sabhii ke aa.ngan me.nsham' jaltii rahe to behtar hai
havaa bhii KHush-gavaar haigulo.n pe bhii nikhaar haitarannum-e-hazaar haibahaar pur-bahaar haikahaa.n chalaa hai saaqiyaaidhar to lauT idhar to aaare ye dekhtaa hai kyaauThaa subuu subuu uThaasubuu uThaa pyaala bharpyaala bhar ke de idharchaman kii samt kar nazarsamaa.n to dekh be-KHabarvo kaalii kaalii badliyaa.nufuq pe ho ga.ii.n ayaa.nvo ik hujuum-e-mai-kashaa.nhai suu-e-mai-kada ravaa.nye kyaa gumaa.n hai bad-gumaa.nsamajh na mujh ko naa-tavaa.nKHayaal-e-zohd abhii kahaa.nabhii to mai.n javaan huu.nibaadato.n kaa zikr hainajaat kii bhii fikr haijunuun hai savaab kaaKHayaal hai azaab kaamagar suno to shaiKH jiiajiib shai hai.n aap bhiibhalaa shabaab o aashiqiialag hu.e bhii hai.n kabhiihasiin jalva-rez ho.nadaa.e.n fitna-KHez ho.nhavaa.e.n itr-bez ho.nto shauq kyuu.n na tez ho.nnigaar-haa-e-fitnagarko.ii idhar ko.ii udharubhaarte ho.n aish parto kyaa kare ko.ii basharchalo jii qissa-muKHtasartumhaaraa nuqta-e-nazardurust hai to ho magarabhii to mai.n javaan huu.nye gasht kohsaar kiiye sair juu-e-baar kiiye bulbulo.n ke chahchaheye gul-ruKHo.n ke qahqahekisii se mel ho gayaato ranj o fikr kho gayaakabhii jo baKHt so gayaaye ha.ns gayaa vo ro gayaaye ishq kii kahaaniyaa.nye ras bharii javaaniyaa.nudhar se mehrbaaniyaa.nidhar se lan-taraaniyaa.nye aasmaan ye zamii.nnazaara-haa-e-dil-nashii.ninhe.n hayaat-aafrii.nbhalaa mai.n chho.D duu.n yahii.nhai maut is qadar qarii.nmujhe na aa.egaa yaqii.nnahii.n nahii.n abhii nahii.nabhii to mai.n javaan huu.nna Gam kushuud o bast kaabuland kaa na past kaana buud kaa na hast kaana vaada-e-alast kaaummiid aur yaas gumhavaas gum qayaas gumnazar se aas paas gumhama-bajuz gilaas gumna mai me.n kuchh kamii raheqadah se hamdamii rahenashist ye jamii raheyahii hamaa-hamii rahevo raag chhe.D mutribaatarab-fazaa, alam-rubaaasar sadaa-e-saaz kaajigar me.n aag de lagaahar ek lab pe ho sadaana haath rok saaqiyaapilaa.e jaa pilaa.e jaaabhii to mai.n javaan huu.n
ye baat ajiib sunaate ho vo duniyaa se be-aas hu.eik naam sunaa aur Gash khaayaa ik zikr pe aap udaas hu.evo ilm me.n aflaatuun sune vo sher me.n tulsiidaas hu.evo tiis baras ke hote hai.n vo B-A M.A paas hu.eye baate.n jhuuTii baate.n hai.n ye logo.n ne phailaa.ii hai.ntum 'inshaa'-jii kaa naam na lo kyaa 'inshaa'-jii saudaa.ii hai.n
us naar me.n aisaa ruup na thaa jis ruup se din kii dhuup dabeis shahr me.n kyaa kyaa gorii hai mahtaab-ruKHe gulnaar-labekuchh baat thii us kii baato.n me.n kuchh bhed the us kii chitvan me.nvahii bhed ki jot jagaate hai.n kisii chaahne vaale ke man me.nuse apnaa banaane kii dhun me.n hu.aa aap hii aap se begaanais bastii ke ik kuuche me.n ik 'inshaa' naam kaa diivaanaa
chhoTaa saa ik gaa.nv thaa jis me.ndiye the kam aur bahut a.ndheraabahut shajar the tho.De ghar thejin ko thaa duurii ne gheraaitnii ba.Dii tanhaa.ii thii jis me.njaagtaa rahtaa thaa dil meraabahut qadiim firaaq thaa jis me.nek muqarrar had se aagesoch na saktaa thaa dil meraaaisii suurat me.n phir dil kodhyaan aataa kis KHvaab me.n teraaraaz jo had se baahar me.n thaaapnaa-aap dikhaataa kaisesapne kii bhii had thii aaKHirsapnaa aage jaataa kaise
aur ammii ne samjhaa.ii nahii.nme.n kaise miiThii baat karuu.njab mai.n ne miThaa.ii khaa.ii nahii.naapii bhii pakaatii hai.n halvaphir vo bhii kyuu.n halvaa.ii nahii.n
duniyaa me.n paadshah hai so hai vo bhii aadmiiaur muflis-o-gadaa hai so hai vo bhii aadmiizardaar-e-be-navaa hai so hai vo bhii aadmiinemat jo khaa rahaa hai so hai vo bhii aadmiiTuk.De chabaa rahaa hai so hai vo bhii aadmiiabdaal, qutub o Gaus valii-aadmii hu.emunkir bhii aadmii hu.e aur kufr ke bharekyaa kyaa karishme kashf-o-karaamaat ke liyehattaa ki apne zohd-o-riyaazat ke zor seKHaaliq se jaa milaa hai so hai vo bhii aadmiifir.aun ne kiyaa thaa jo da.avaa KHudaa.ii kaashaddaad bhii bahisht banaa kar hu.aa KHudaanamruud bhii KHudaa hii kahaataa thaa barmalaaye baat hai samajhne kii aage kahuu.n mai.n kyaayaa.n tak jo ho chukaa hai so hai vo bhii aadmiikul aadmii kaa husn o qubah me.n hai yaa.n zuhuurshaitaa.n bhii aadmii hai jo kartaa hai makr-o-zoraur haadii rahnumaa hai so hai vo bhii aadmiimasjid bhii aadmii ne banaa.ii hai yaa.n miyaa.nbante hai.n aadmii hii imaam aur KHutba-KHvaa.npa.Dhte hai.n aadmii hii qur.aan aur namaaziyaa.naur aadmii hii un kii churaate hai.n juutiyaa.njo un ko taa.Dtaa hai so hai vo bhii aadmiiyaa.n aadmii pe jaan ko vaare hai aadmiiaur aadmii pe teG ko maare hai aadmiipag.Dii bhii aadmii kii utaare hai aadmiichillaa ke aadmii ko pukaare hai aadmiiaur sun ke dau.Dtaa hai so hai vo bhii aadmiichaltaa hai aadmii hii musaafir ho le ke maalaur aadmii hii maare hai phaa.nsii gale me.n Daalyaa.n aadmii hii said hai aur aadmii hii jaalsachchaa bhii aadmii hii nikaltaa hai mere laalaur jhuuT kaa bharaa hai so hai vo bhii aadmiiyaa.n aadmii hii shaadii hai aur aadmii biyaahqaazii vakiil aadmii aur aadmii gavaahtaashe bajaate aadmii chalte hai.n KHvaah-maKHvaahdau.De hai.n aadmii hii to mash.al jalaa ke raahaur byaahane cha.Dhaa hai so hai vo bhii aadmiiyaa.n aadmii naqiib ho bole hai baar baaraur aadmii hii pyaade hai.n aur aadmii savaarhuqqa suraahii juutiyaa.n dau.De.n baGal me.n maarkaa.ndhe pe rakh ke paalkii hai.n dau.Dte kahaaraur us me.n jo pa.Daa hai so hai vo bhii aadmiibaiThe hai.n aadmii hii dukaane.n lagaa lagaaaur aadmii hii phirte hai.n rakh sar pe khuunchaakahtaa hai ko.ii lo ko.ii kahtaa hai laa re laakis kis tarah kii beche.n hai.n chiize.n banaa banaaaur mol le rahaa hai so hai vo aadmiitable majiire daa.ere saara.ngiyaa.n bajaagaate hai.n aadmii hii har ik tarah jaa-ba-jaaranDii bhii aadmii hii nachaate hai.n gat lagaaaur aadmii hii naache hai.n aur dekh phir mazaajo naach dekhtaa hai so hai vo bhii aadmiiyaa.n aadmii hii la.al-o-javaahar me.n be-bahaaaur aadmii hii KHaak se bad-tar hai ho gayaakaalaa bhii aadmii hai ki ulTaa hai juu.n tavaagoraa bhii aadmii hai ki Tuk.Daa hai chaa.nd-saabad-shakl bad-numaa hai so hai vo bhii aadmiiik aadmii hai.n jin ke ye kuchh zarq-barq hai.nruupe ke jin ke paa.nv hai.n sone ke farq hai.njhamke tamaam Garb se le taa-ba-sharq hai.nkam-KHvaab taash shaal do-shaalo.n me.n Garq hai.naur chiitha.Do.n lagaa hai so hai vo bhii aadmiihairaa.n huu.n yaaro dekho to kyaa ye svaa.ng haiaur aadmii hii chor hai aur aapii thaang haihai chhiinaa jhapTii aur baa.ng taa.ng haidekhaa to aadmii hii yahaa.n misl-e-raa.ng haifaulaad se ga.Dhaa hai so hai vo bhii aadmiimarne me.n aadmii hii kafan karte hai.n tayaarnahlaa-dhulaa uThaate hai.n kaa.ndhe pe kar savaarkalma bhii pa.Dhte jaate hai.n rote hai.n zaar-zaarsab aadmii hii karte hai.n murde ke kaarobaaraur vo jo mar gayaa hai so hai vo bhii aadmiiashraaf aur kamiine se le shaah-taa-vaziirye aadmii hii karte hai.n sab kaar-e-dil-paziiryaa.n aadmii muriid hai aur aadmii hii piirachchhaa bhii aadmii hii kahaataa hai ai 'naziir'aur sab me.n jo buraa hai so hai vo bhii aadmii
bartar az andesha-e-suud-o-ziyaa.n hai zindagiihai kabhii jaa.n aur kabhii tasliim-e-jaa.n hai zindagiituu ise paimaana-e-imroz-o-fardaa se na naapjaavedaa.n paiham davaa.n har-dam javaa.n hai zindagiiapnii duniyaa aap paidaa kar agar zindo.n me.n haisirr-e-aadam hai zamiir-e-kun-fakaa.n hai zindagiizindagaanii kii haqiiqat kohkan ke dil se puuchhjuu-e-shiir-o-tesha-o-sa.ng-e-garaa.n hai zindagiibandagii me.n ghaT ke rah jaatii hai ik juu-e-kam-aabaur aazaadii me.n bahr-e-be-karaa.n hai zindagiiaashkaaraa hai ye apnii quvvat-e-tasKHiir segarche ik miTTii ke paikar me.n nihaa.n hai zindagiiqulzum-e-hastii se to ubhraa hai maanind-e-habaabis ziyaa.n-KHaane me.n teraa imtihaa.n hai zindagiiKHaam hai jab tak tuu hai miTTii kaa ik ambaar tuupuKHta ho jaa.e tuu hai shamsher-e-be-zinhaar tuuho sadaaqat ke liye jis dil me.n marne kii ta.Dappahle apne paikar-e-KHaakii me.n jaa.n paidaa karephuu.nk Daale ye zamiin-o-aasmaan-e-musta'aaraur KHaakistar se aap apnaa jahaa.n paidaa karezindagii kii quvvat-e-pinhaa.n ko kar de aashkaartaa ye chingaarii froG-e-jaavedaa.n paidaa kareKHaak-e-mashriq par chamak jaa.e misaal-e-aaftaabtaa-badaKHshaa.n phir vahii laa'l-e-giraa.n paidaa karesuu-e-garduu.n naala-e-shab-giir kaa bheje safiirraat ke taaro.n me.n apne raaz-daa.n paidaa kareye gha.Dii mahshar kii hai tuu arsa-e-mehshar me.n haipesh kar Gaafil ‘amal ko.ii agar daftar me.n haisaltanat
gul hu.ii jaatii hai afsurda sulagtii hu.ii shaamDhul ke niklegii abhii chashma-e-mahtaab se raataur mushtaaq nigaaho.n kii sunii jaa.egiiaur un haatho.n se mas ho.nge ye tarse hu.e haatun kaa aa.nchal hai ki ruKHsaar ki pairaahan haikuchh to hai jis se hu.ii jaatii hai chilman ra.ngii.njaane us zulf kii mauhuum ghanii chhaa.nv me.nTimTimaataa hai vo aaveza abhii tak ki nahii.naaj phir husn-e-dil-aaraa kii vahii dhaj hogiivahii KHvaabiida sii aa.nkhe.n vahii kaajal kii lakiirra.ng-e-rukHsaar pe halkaa saa vo Gaaze kaa Gubaarsandalii haath pe dhu.ndlii sii hinaa kii tahriirapne afkaar kii ash.aar kii duniyaa hai yahiijaan-e-mazmuu.n hai yahii shaahid-e-ma.anii hai yahiiaaj tak surKH o siyah sadiyo.n ke saa.e ke taleaadam o havvaa kii aulaad pe kyaa guzrii hai?maut aur ziist kii rozaana saf-aaraa.ii me.nham pe kyaa guzregii ajdaad pe kyaa guzrii hai?in damakte hu.e shahro.n kii faraavaa.n maKHluuqkyuu.n faqat marne kii hasrat me.n jiyaa kartii haiye hasii.n khet phaTaa pa.Dtaa hai jauban jin kaa!kis liye in me.n faqat bhuuk ugaa kartii haiye har ik samt pur-asraar ka.Dii diivaare.njal-bujhe jin me.n hazaaro.n kii javaanii ke charaaGye har ik gaam pe un KHvaabo.n kii maqtal-gaahe.njin ke partav se charaaGaa.n hai.n hazaaro.n ke dimaaGye bhii hai.n aise ka.ii aur bhii mazmuu.n ho.ngelekin us shoKH ke aahista se khulte hu.e ho.nThaa.e us jism ke kambaKHt dil-aavez KHutuutaap hii kahiye kahii.n aise bhii afsuu.n ho.nge
nahii.n minnat-kash-e-taab-e-shuniidan daastaa.n meriiKHamoshii guftuguu hai be-zabaanii hai zabaa.n meriiye dastuur-e-zabaa.n-bandii hai kaisaa terii mahfil me.nyahaa.n to baat karne ko tarastii hai zabaa.n meriiuThaa.e kuchh varaq laale ne kuchh nargis ne kuchh gul nechaman me.n har taraf bikhrii hu.ii hai daastaa.n meriiu.Daa lii qumriyo.n ne tuutiyo.n ne andaliibo.n nechaman vaalo.n ne mil kar luuT lii tarz-e-fuGaa.n meriiTapak ai sham.a aa.nsuu ban ke parvaane kii aa.nkho.n sesaraapaa dard huu.n hasrat bharii hai daastaa.n meriiilaahii phir maza kyaa hai yahaa.n duniyaa me.n rahne kaahayaat-e-jaavedaa.n merii na marg-e-naa-gahaa.n meriimiraa ronaa nahii.n ronaa hai ye saare gulistaa.n kaavo gul huu.n mai.n KHizaa.n har gul kii hai goyaa KHizaa.n meriidarii.n hasrat saraa umriist afsuun-e-jaras daaramz faiz-e-dil tapiidan-haa KHarosh-e-be-nafas daaramriyaaz-e-dahr me.n naa-aashnaa-e-bazm-e-ishrat huu.nKHushii rotii hai jis ko mai.n vo mahruum-e-masarrat huu.nmirii big.Dii hu.ii taqdiir ko rotii hai goyaa.iimai.n harf-e-zer-e-lab sharminda-e-gosh-e-samaa.at huu.npareshaa.n huu.n mai.n musht-e-KHaak lekin kuchh nahii.n khultaasikandar huu.n ki aa.iina huu.n yaa gard-e-kuduurat huu.nye sab kuchh hai magar hastii mirii maqsad hai qudrat kaasaraapaa nuur ho jis kii haqiiqat mai.n vo zulmat huu.nKHaziina huu.n chhupaayaa mujh ko musht-e-KHaak-e-sahraa nekisii ko kyaa KHabar hai mai.n kahaa.n huu.n kis kii daulat huu.nnazar merii nahii.n mamnuun-e-sair-e-arsa-e-hastiimai.n vo chhoTii sii duniyaa huu.n ki aap apnii vilaayat huu.nna sahbaa huu.n na saaqii huu.n na mastii huu.n na paimaanamai.n is mai-KHaana-e-hastii me.n har shai kii haqiiqat huu.nmujhe raaz-e-do-aalam dil kaa aa.iina dikhaataa haivahii kahtaa huu.n jo kuchh saamne aa.nkho.n ke aataa haiataa aisaa bayaa.n mujh ko hu.aa ra.ngii.n-bayaano.n me.nki baam-e-arsh ke taa.ir hai.n mere ham-zabaano.n me.nasar ye bhii hai ik mere junuun-e-fitna-saamaa.n kaamiraa aa.iina-e-dil hai qazaa ke raaz-daano.n me.nrulaataa hai tiraa nazzaara ai hindostaa.n mujh koki ibrat-KHez hai teraa fasaana sab fasaano.n me.ndiyaa ronaa mujhe aisaa ki sab kuchh de diyaa goyaalikhaa kalk-e-azal ne mujh ko tere nauha-KHvaano.n me.nnishaan-e-barg-e-gul tak bhii na chho.D us baaG me.n gulchii.ntirii qismat se razm-aaraa.iyaa.n hai.n baaGbaano.n me.nchhupaa kar aastii.n me.n bijliyaa.n rakkhii hai.n garduu.n neanaadil baaG ke Gaafil na baiThe.n aashiyaano.n me.nsun ai Gaafil sadaa merii ye aisii chiiz hai jis kovaziifa jaan kar pa.Dhte hai.n taa.ir bostaano.n me.nvatan kii fikr kar naadaa.n musiibat aane vaalii haitirii barbaadiyo.n ke mashvare hai.n aasmaano.n me.nzaraa dekh us ko jo kuchh ho rahaa hai hone vaalaa haidharaa kyaa hai bhalaa ahd-e-kuhan kii daastaano.n me.nye KHaamoshii kahaa.n tak lazzat-e-fariyaad paidaa karzamii.n par tuu ho aur terii sadaa ho aasmaano.n me.nna samjhoge to miT jaa.oge ai hindostaa.n vaalotumhaarii daastaa.n tak bhii na hogii daastaano.n me.nyahii aa.iin-e-qudrat hai yahii usluub-e-fitrat haijo hai raah-e-amal me.n gaam-zan mahbuub-e-fitrat haihuvaidaa aaj apne zaKHm-e-pinhaa.n kar ke chho.Duu.ngaalahuu ro ro ke mahfil ko gulistaa.n kar ke chho.Duu.ngaajalaanaa hai mujhe har sham-e-dil ko soz-e-pinhaa.n setirii taariik raato.n me.n charaaGaa.n kar ke chho.Duu.ngaamagar Guncho.n kii suurat huu.n dil-e-dard-aashnaa paidaachaman me.n musht-e-KHaak apnii pareshaa.n kar ke chho.Duu.ngaapironaa ek hii tasbiih me.n in bikhre daano.n kojo mushkil hai to is mushkil ko aasaa.n kar ke chho.Duu.ngaamujhe ai ham-nashii.n rahne de shaGl-e-siina-kaavii me.nki mai.n daaG-e-mohabbat ko numaayaa.n kar ke chho.Duu.ngaadikhaa duu.ngaa jahaa.n ko jo mirii aa.nkho.n ne dekhaa haitujhe bhii suurat-e-aa.iina hairaa.n kar ke chho.Duu.ngaajo hai pardo.n me.n pinhaa.n chashm-e-biinaa dekh letii haizamaane kii tabii.at kaa taqaazaa dekh letii haikiyaa rif.at kii lazzat se na dil ko aashnaa tuu negizaarii umr pastii me.n misaal-e-naqsh-e-paa tuu nerahaa dil-basta-e-mahfil magar apnii nigaaho.n kokiyaa bairuun-e-mahfil se na hairat-aashnaa tuu nefidaa kartaa rahaa dil ko hasiino.n kii adaa.o.n parmagar dekhii na us aa.iine me.n apnii adaa tuu neta.assub chho.D naadaa.n dahr ke aa.iina-KHaane me.nye tasviire.n hai.n terii jin ko samjhaa hai buraa tuu nesaraapaa naala-e-bedaad-e-soz-e-zindagii ho jaasapand-aasaa girah me.n baa.ndh rakkhii hai sadaa tuu nesafaa-e-dil ko kyaa aaraa.ish-e-ra.ng-e-ta.alluq sekaf-e-aa.iina par baa.ndhii hai o naadaa.n hinaa tuu nezamii.n kyaa aasmaa.n bhii terii kaj-biinii pe rotaa haiGazab hai satr-e-qur.aa.n ko chaliipaa kar diyaa tuu nezabaa.n se gar kiyaa tauhiid kaa daavaa to kyaa haasilbanaayaa hai but-e-pindaar ko apnaa KHudaa tuu neku.e.n me.n tuu ne yuusuf ko jo dekhaa bhii to kyaa dekhaaare Gaafil jo mutlaq thaa muqayyad kar diyaa tuu nehavas baalaa-e-mimbar hai tujhe ra.ngii.n-bayaanii kiinasiihat bhii tirii suurat hai ik afsaana-KHvaanii kiidikhaa vo husn-e-aalam-soz apnii chashm-e-pur-nam kojo ta.Dpaataa hai parvaane ko rulvaataa hai shabnam kozaraa nazzaara hii ai bul-havas maqsad nahii.n us kaabanaayaa hai kisii ne kuchh samajh kar chashm-e-aadam koagar dekhaa bhii us ne saare aalam ko to kyaa dekhaanazar aa.ii na kuchh apnii haqiiqat jaam se jam koshajar hai firqa-aaraa.ii ta.assub hai samar us kaaye vo phal hai ki jannat se nikalvaataa hai aadam kona uTThaa jazba-e-KHurshiid se ik barg-e-gul tak bhiiye rif.at kii tamannaa hai ki le u.Dtii hai shabnam kophiraa karte nahii.n majruuh-e-ulfat fikr-e-darmaa.n me.nye zaKHmii aap kar lete hai.n paidaa apne marham komohabbat ke sharar se dil saraapaa nuur hotaa haizaraa se biij se paidaa riyaaz-e-tuur hotaa haidavaa har dukh kii hai majruuh-e-teG-e-aarzuu rahnaailaaj-e-zaKHm hai aazaad-e-ehsaan-e-rafuu rahnaasharaab-e-be-KHudii se taa-falak parvaaz hai meriishikast-e-ra.ng se siikhaa hai mai.n ne ban ke buu rahnaathame kyaa diida-e-giryaa.n vatan kii nauha-KHvaanii me.nibaadat chashm-e-shaa.ir kii hai har dam baa-vazuu rahnaabanaa.e.n kyaa samajh kar shaaKH-e-gul par aashiyaa.n apnaachaman me.n aah kyaa rahnaa jo ho be-aabruu rahnaajo tuu samjhe to aazaadii hai poshiida mohabbat me.nGulaamii hai asiir-e-imtiyaaz-e-maa-o-tuu rahnaaye istiGnaa hai paanii me.n niguu.n rakhtaa hai saaGar kotujhe bhii chaahiye misl-e-habaab-e-aabjuu rahnaana rah apno.n se be-parvaa isii me.n KHair hai teriiagar manzuur hai duniyaa me.n o begaana-KHuu rahnaasharaab-e-ruuh-parvar hai mohabbat nau-e-insaa.n kiisikhaayaa is ne mujh ko mast be-jaam-o-subuu rahnaamohabbat hii se paa.ii hai shifaa biimaar qaumo.n nekiyaa hai apne baKHt-e-KHufta ko bedaar qaumo.n nebayaabaan-e-mohabbat dasht-e-Gurbat bhii vatan bhii haiye viiraana qafas bhii aashiyaana bhii chaman bhii haimohabbat hii vo manzil hai ki manzil bhii hai sahraa bhiijaras bhii kaarvaa.n bhii raahbar bhii raahzan bhii haimaraz kahte hai.n sab is ko ye hai lekin maraz aisaachhupaa jis me.n ilaaj-e-gardish-e-charKH-e-kuhan bhii haijalaanaa dil kaa hai goyaa saraapaa nuur ho jaanaaye parvaana jo sozaa.n ho to sham-e-anjuman bhii haivahii ik husn hai lekin nazar aataa hai har shai me.nye shiirii.n bhii hai goyaa be-sutuu.n bhii kohkan bhii haiujaa.Daa hai tamiiz-e-millat-o-aa.ii.n ne qaumo.n komire ahl-e-vatan ke dil me.n kuchh fikr-e-vatan bhii haisukuut-aamoz tuul-e-daastaan-e-dard hai varnazabaa.n bhii hai hamaare mu.nh me.n aur taab-e-suKHan bhii hainamii-gardiid ko tah rishta-e-ma.anii rihaa kardamhikaayat buud be-paayaa.n ba-KHaamoshii adaa kardam
tumhaare naam tumhaare nishaa.n se be-sarokaartumhaarii yaad ke mausam guzarte jaate hai.nbas ek manzar-e-be-hijr-o-visaal hai jis me.nham apne aap hii kuchh rang bharte jaate hai.n
bahut mai.n ne sunii hai aap kii taqriir maulaanaamagar badlii nahii.n ab tak mirii taqdiir maulaanaaKHudaaraa shukr kii talqiin apne paas hii rakkhe.nye lagtii hai mire siine pe ban kar tiir maulaanaanahii.n mai.n bol saktaa jhuuT is darja DhiTaa.ii seyahii hai jurm meraa aur yahii taqsiir maulaanaahaqiiqat kyaa hai ye to aap jaane.n yaa KHudaa jaanesunaa hai jimmy-carter aap kaa hai piir maulaanaazamiine.n ho.n vaDero.n kii mashiine.n ho.n luTero.n kiiKHudaa ne likh ke dii hai ye tumhe.n tahriir maulaanaakaro.Do.n kyuu.n nahii.n mil kar filistii.n ke liye la.Dtedu.aa hii se faqat kaTtii nahii.n zanjiir maulaanaa
chand qadmo.n ke nishaa.n haa.n kabhii milte hai.n kahii.nsaath chalte hai.n jo kuchh duur faqat chand qadamaur phir TuuT ke gir jaate hai.n ye kahte hu.eapnii tanhaa.ii liye aap chalo, tanhaa akelesaath aa.e jo yahaa.n ko.ii nahii.n, ko.ii nahii.n
ye bachcha kis kaa bachcha haiye bachcha kaisaa bachcha haijo ret pe tanhaa baiThaa hainaa is ke peT me.n roTii hainaa is ke tan par kap.Daa hainaa is ke sar par Topii hainaa is ke pair me.n juutaa hainaa is ke paas khilauno.n me.nko.ii bhaaluu hai, ko.ii gho.Daa hainaa is kaa jii bahlaane koko.ii lorii hai, ko.ii jhuulaa hainaa is kii jeb me.n dhelaa hainaa is ke haath me.n paisaa hainaa is ke ammii abbuu hai.nnaa is kii aapaa KHaalaa hai
haa.n kis ke liye sab us ke liyevo jis ke lab par Tesuu hai.nvo jis ke nainaa.n aahuu hai.njo KHaar bhii hai aur KHushbuu bhiijo dard bhii hai aur daaruu bhiivo allha.D sii vo chanchal siivo shaa.er sii vo paagal siilog aap-hii-aap samajh jaa.e.nham naam na us kaa batlaa.e.nai dekhne vaalo tum ne bhiius naar kii piit kii aa.ncho.n me.nis dil kaa tiinaa dekhaa hai?kal ham ne sapnaa dekhaa hai
zamaana aayaa hai be-hijaabii kaa aam diidaar-e-yaar hogaasukuut thaa parda-daar jis kaa vo raaz ab aashkaar hogaaguzar gayaa ab vo daur-e-saaqii ki chhup ke piite the piine vaalebanegaa saaraa jahaan mai-KHaana har ko.ii baada-KHvaar hogaakabhii jo aavaara-e-junuu.n the vo bastiyo.n me.n phir aa base.ngebarahna-paa.ii vahii rahegii magar nayaa KHaarzaar hogaasunaa diyaa gosh-e-muntazir ko hijaaz kii KHaamushii ne aaKHirjo ahd sahraa.iyo.n se baa.ndhaa gayaa thaa phir ustuvaar hogaanikal ke sahraa se jis ne ruumaa kii saltanat ko ulaT diyaa thaasunaa hai ye qudsiyo.n se mai.n ne vo sher phir hoshiyaar hogaakiyaa miraa tazkira jo saaqii ne baada-KHvaaro.n kii anjuman me.nto piir-e-mai-KHaana sun ke kahne lagaa ki mu.nh-phaT hai KHvaar hogaadayaar-e-maGrib ke rahne vaalo KHudaa kii bastii dukaa.n nahii.n haikharaa jise tum samajh rahe ho vo ab zar-e-kam-ayaar hogaatumhaarii tahziib apne KHanjar se aap hii KHud-kushii karegiijo shaaKH-e-naazuk pe aashiyaana banegaa naa-paa.edaar hogaasafiina-e-barg-e-gul banaa legaa qaafila mor-e-naa-tavaa.n kaahazaar maujo.n kii ho kashaakash magar ye dariyaa se paar hogaachaman me.n laala dikhaataa phirtaa hai daaG apnaa kalii kalii koye jaantaa hai ki is dikhaave se dil-jalo.n me.n shumaar hogaajo ek thaa ai nigaah tuu ne hazaar kar ke hame.n dikhaayaayahii agar kaifiyat hai terii to phir kise e'tibaar hogaakahaa jo qumrii se mai.n ne ik din yahaa.n ke aazaad paa-ba-gil hai.ntuu Gunche kahne lage hamaare chaman kaa ye raazdaar hogaaKHudaa ke aashiq to hai.n hazaaro.n bano.n me.n phirte hai.n maare maaremai.n us kaa banda banuu.ngaa jis ko KHudaa ke bando.n se pyaar hogaaye rasm-e-bazm-e-fanaa hai ai dil gunaah hai jumbish-e-nazar bhiirahegii kyaa aabruu hamaarii jo tuu yahaa.n be-qaraar hogaamai.n zulmat-e-shab me.n le ke nikluu.ngaa apne dar-maa.nda kaarvaa.n kosharar-fishaa.n hogii aah merii nafas miraa shola-baar hogaanahii.n hai Gair-az-numuud kuchh bhii jo mudda.aa terii zindagii kaatuu ik nafas me.n jahaa.n se miTnaa tujhe misaal-e-sharaar hogaana puuchh 'iqbaal' kaa Thikaanaa abhii vahii kaifiyat hai us kiikahii.n sar-e-raah-guzaar baiThaa sitam-kash-e-intizaar hogaa
raat bhar diida-e-namnaak me.n lahraate rahesaa.ns kii tarah se aap aate rahe jaate raheKHush the ham apnii tamannaa.o.n kaa KHvaab aa.egaaapnaa armaan bar-afganda-naqaab aa.egaanazre.n niichii kiye sharmaa.e hu.e aa.egaakaakule.n chehre pe bikhraa.e hu.e aa.egaaaa ga.ii thii dil-e-muztar me.n shakebaa.ii siibaj rahii thii mire Gam-KHaane me.n shahnaa.ii siipatiyaa.n kha.Dkii.n to samjhaa ki lo aap aa hii ga.esajde masruur ki ma.abuud ko ham paa hii ga.eshab ke jaage hu.e taaro.n ko bhii nii.nd aane lagiiaap ke aane kii ik aas thii ab jaane lagiisub.h ne sej se uThte hu.e lii a.ng.Daa.iio sabaa! tuu bhii jo aa.ii to akelii aa.iimere mahbuub mirii nii.nd u.Daane vaalemere masjuud mirii ruuh pe chhaane vaaleaa bhii jaa, taaki mire sajdo.n kaa armaa.n nikleaa bhii jaa, ki tire qadmo.n pe mirii jaa.n nikle
rahne ko sadaa dahr me.n aataa nahii.n ko.iitum jaise ga.e aise bhii jaataa nahii.n ko.iiDartaa huu.n kahii.n KHushk na ho jaa.e samundarraakh apnii kabhii aap bahaataa nahii.n ko.iiik baar to KHud maut bhii ghabraa ga.ii hogiiyuu.n maut ko siine se lagaataa nahii.n ko.iimaanaa ki ujaalo.n ne tumhe.n daaG diye thebe-raat Dhale sham.a bujhaataa nahii.n ko.iisaaqii se gilaa thaa tumhe.n mai-KHaane se shikvaab zahr se bhii pyaas bujhaataa nahii.n ko.iihar sub.h hilaa detaa thaa zanjiir zamaanakyuu.n aaj divaane ko jagaataa nahii.n ko.iiarthii to uThaa lete hai.n sab ashk bahaa kenaaz-e-dil-e-betaab uThaataa nahii.n ko.ii
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books