aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
Showing search results for "asar-e-ishq"
1jab aa.nkh khol ke dekhaa to ho gayaa mastuurye meraa diida-e-biinaa hii ik hijaab hu.aatuu chhup gayaa mah o anjum me.n laala-o-gul me.nhar ek jalva-e-ra.ngii.n tiraa naqaab hu.aajab aa.nkh band hu.ii tuu hii jalva-aaraa thaa2mirii zabaan khulii sharh-e-aashiqii ke liyemiraa bayaa.n thaa muraqqa.a mirii KHajaalat kaahar ek harf me.n thaa Gairiyat kaa afsaanamirii zabaa.n ne kiyaa KHuu.n mirii mohabbat kaamire sukuut me.n tuufaan-e-ishq barpaa thaa3mire havaas rahe tere vasl me.n haa.iljo be-KHudii me.n hu.aa Garq tuu milaa mujh koajiib shai hai mohabbat me.n KHud-faraamoshiifanaa hu.aa to milii lazzat-e-baqaa mujh komiraa vajuud hii ai dost ek parda thaa
haqiiqat talKH hai aur talKH-tar hai.n is kii tadbiire.nDuboyaa mujh ko hone ne na hotaa mai.n to kyaa hotaaagar is bahr-e-tuufaanii me.n honaa hii muqaddar thaato apnii kashtii-e-jazbaat kaa KHud naaKHudaa hotaakabhii maujo.n se Takraataa kabhii lahro.n pe lahraataahalaakat-KHez girdaabo.n kaa siina rau.ndtaa hotaanasiim-e-sub.h ban kar shoKHiyaa.n kartaa gulistaa.n me.ngulo.n ko gudgudaataa ko.npalo.n ko chhe.Dtaa hotaagharo.n me.n yaas ke kartaa umiido.n ke ka.nval raushankisii biimaar-e-Gam kaa muunis-e-shaam-e-balaa hotaaik aisii baa.nsurii hotaa ki jis ke kaif-e-naGma sejhapaktii aa.nkh taaro.n kii zamaana jhuumtaa hotaaquluub-e-saKHt kii sangiin diivaaro.n se Takraataasukuut-e-shab me.n ik TuuTe hu.e dil kii sadaa hotaaDubo kar kashtii-e-sarmaaya-daarii qa'r-e-dariyaa me.nmai.n maGruuro.n kii hasrat kaa tamaashaa dekhtaa hotaaGariibo.n ke mohallo.n me.n charaaG-e-rah-guzar ban kara.ndhere jho.npa.Do.n ko bhiik apnii de rahaa hotaacharaaG-e-rahguzaar-e-be-kasii jis ke ujaale me.nkisii mazduur faaqa-kash kaa bachcha kheltaa hotaabahisht-e-qaisar-o-faGfuur ke sunsaan kha.nDaro.n me.ntabaahii aur baGaavat kaa taraana gaa rahaa hotaapatango.n ko haraarat sham' ko sozish 'ataa kartaaagar jalnaa hii thaa dil ko to ik aatish-kada hotaamagar afsos fitrat ne mujhe shaa'ir banaa Daalaanahii.n to 'ashk' apnii aarzuu.o.n kaa KHudaa hotaa
agar ai sham'-e-dil jalnaa hii thaa tujh ko to jalnaa thaakisii bekas kii turbat par charaaG-e-niim-jaa.n ho karye hasrat thii ki maujo.n ke talaatum me.n bahaa jaataamai.n apnii kashtii-e-be-baadbaa.n kaa paasbaa.n ho karbataataa haalat-e-raftaar-e-shab sahraa-nashiino.n konujuum-e-charKH ban kar kaarvaa.n-dar-kaarvaa.n ho karthake-maa.nde musaafir ko sulaa detaa lab-e-dariyaahavaa-e-sarv ban kar mauja-e-‘ambar-fashaa.n ho karguzar jaataa fuGaa.n kartaa hu.aa sunsaan vaadii sefazaa.o.n ko jagaa detaa daraa-e-kaarvaa.n ho karumiid-o-biim ke jhag.De miTaa detaa zamaane seKHudii kaa devtaa ban kar KHudaa kaa tarjumaa.n ho karfareb-e-husn detaa diida-e-kor-e-tamanna konigaah-e-dil-nashii.n ban kar adaa-e-dilsitaa.n ho karkisii kii aarzuu karnii hii thii to 'umr bhar kartaajavaanii me.n havas ban kar bu.Dhaape me.n javaa.n ho kartaraqqii munhasir 'isyaa.n pe hai maqsuud-e-fitrat kiita.Daptaa siina-haa-e-shauq me.n raaz-e-ziyaa.n ho karye hasrat thii ki ‘aalamgiir hotii raushnii dil kiiye hasrat thii ki chhaa jaataa zamii.n par aasmaa.n ho karmagar kyaa kiijiye jab faisla ye hai mashiyyat kaaki mai.n fitrat kii aa.nkho.n se giruu.n ashk-e-ravaa.n ho kar
aah sad-afsos hai phir aam ruKHsat ho gayaajis ko khaataa thaa mai.n sub.h-o-shaam ruKHsat ho gayaakyo.n na us Gam par pa.Dhuu.n mai.n innaa lillaah dostodar-haqiiqat rab kaa ik in.aam ruKHsat ho gayaahausla rakh muntazir rah mausam-e-garmaa kaa phirbain mat kar ab dil-e-naakaam ruKHsat ho gayaadekhne se jis ke hotii thii.n nigaahe.n shaad-baadjis se paataa thaa ye dil aaraam ruKHsat ho gayaaroknaa chaahaa bahut lekin vo niklaa bevafaaaaKHirash mahbuub-e-KHaas-o-aam ruKHsat ho gayaaphiikii lagtii hai mujhe to zindagii us ke baGairkaif-o-lazzat kaa vo shiirii.n jaam ruKHsat ho gayaasair kyaa hotii tabii.at batn hai KHaalii abhiichho.D kar vo mujh ko tishna-kaam ruKHsat ho gayaaab kisii ke jaal me.n ye qaid ho saktaa nahii.nthaa 'asar' jis kaa asiir-e-daam ruKHsat ho gayaa
ho rahaa hai zikr paiham aam kaaaa rahaa hai phir se mausam aam kaanazm likh kar us ke istiqbaal me.nkar rahaa huu.n KHair-maqdam aam kaaun se ham rakkhe.n ziyaada rabt kyuu.nshauq jo rakhte hai.n kam kam aam kaatab kahii.n aataa hai mere dam me.n damnaam jab letaa huu.n hamdam aam kaashauq se pa.Dhte hai.n us ko KHaas-o-aamjab qasiida likhte hai.n ham aam kaakyaa kahuu.n asmaar kii fihrist me.nnaam hai sab se muqaddam aam kaaik faqat mai.n hii nahii.n shaidaa 'asar'shaidaa hai aalam kaa aalam aam kaa
jazba-e-ushshaaq kaam aane ko haiphir laziiz-o-shiirii.n jaam aane ko haimausam-e-sarmaa kii aamad marhabaakyuu.nki is mausam me.n aam aane ko haiKHatm hone ko hai vaqt-e-intizaarintiKHaab-e-KHaas-o-aam aane ko haidhiire dhiire chaltaa la.ng.Daataa hu.aaKHush-aada-o-KHush-KHiraam aane ko haimuqtadii tayyaar ho.n saf baa.ndh karsab phalo.n kaa ab imaam aane ko haiqurbato.n kaa hogaa ab aaGaaz phirfurqato.n kaa iKHtitaam aane ko haiaate hii jaane kii tayyaarii karevo savaar-e-tez-gaam aane ko haivajd me.n yuu.n gungunaataa hai 'asar'aam aane ko hai aam aane ko hai
chhuTTiiyaa.n hai.n mai.n huu.n miiThaa aam haiaur ab meraa bhalaa kyaa kaam haimango khaanaa aur piinaa milkshakeshaGl ab apnaa ye sub.h-o-shaam haigarmiyaa.n hai.n garmiyaa.n hai.n garmiyaa.naam hai aur aam hai aur aam hainaashta khaanaa dinner yaa lunch hoaam ke mausam me.n nazr-e-aam haimai.n nahii.n chho.Duu.ngaa ab la.ng.De kii Taa.ngchuus luu.ngaa chausaa aisaa aam haiaam kahtaa hai jise saaraa jahaa.nGaaliban jannat ke phal kaa naam haiis kii quvvat kaa bhalaa kyaa puuchhnaafauq sad.haa pista-o-baadaam haishauq jis ko aam khaane kaa nahii.nzauq me.n vo ham-sar-e-in.aam haisab phalo.n kaa jab taqaabul ho 'asar'aam hii bas qaabil-e-in.aam hai
miraa jazba-e-shauq kaam aa rahaa haiki baazaar me.n dekhuu.n aam aa rahaa haiGariib-o-amiir us ke shaidaa.ii yaksaa.npasandiida-e-KHaas-o-aam aa rahaa haikisii muqtadii ko KHriiduu.n mai.n kyuu.nkarki jab KHud phalo.n kaa imaam aa rahaa haisab haatho.n ko phailaa.e.n aa.nkhe.n bichhaa.e.nphalo.n me.n vo aalii maqaam aa rahaa haivo chausaa sarolii vo sindh.Dii vo fazliivo aamo.n kaa ik azhdahaam aa rahaa haihai la.ngDaa pa la.ng.Daate la.ng.Daate dekhovo mahbuub-e-man KHush-KHiraam aa rahaa haimujhe hai KHushii jo hai.n diivaane us ke'asar' un me.n meraa bhii naam aa rahaa hai
qumriyaa.n miiThe suro.n ke saaz le kar aa ga.ii.nbulbule.n mil-jul ke aazaadii ke gun gaane lagii.ngul se apnii nisbat-e-deriina kii khaa kar qasamahl-e-dil ko ishq ke andaaz samjhaane lagii.n
tirii chaah me.n dekhaa ham ne ba-haal-e-KHaraab isepar ishq o vafaa ke yaad rahe aadaab isetiraa naam o maqaam jo puuchhaa, ha.ns kar Taal gayaa
kyo.n shaam kaa aa.nchal mailaa haihar samt dhu.aa.n saa phailaa haimaaduum hu.e aasaar sabhiikaliyo.n kii chanchal aa.nkhe.njhukii jhukii sii muu.nde palke.ngul-badan sar niguu.n ho ga.eKHushbuu bhii u.Diiaur gesuu-e-shab me.n jaa uljhii
iisaa-e-ashk ne chamkaa.ii hai palko.n kii saliibpyaar ne dard kii injiil ko dohraayaa haiphir kisii yaad kaa jaltaa hu.aa paagal jho.nkaamere suukhe hu.e ho.nTo.n ke qariib aayaa hai
jis tarah parinda sahraa kaa paanii kii talaash me.n phirtaa haituu Dhuu.nDhtaa mujh ko aa.egaa kyo.n mujh se nafrat kartaa haikyaa merii judaa.ii se bhii ta.Dap dil kii tire tez nahii.n hotiikyaa bastiyaa.n armaano.n kii tirii siine me.n pa.Dii hai.n yuu.nhii sotiikyaa mere tasavvur se bhii tire jazbaat me.n josh nahii.n aataakyaa KHuun kaa ik qatra bhii tiraa aisaa nahii.n jo garmaa jaataajo dil hai tiraa vo meraa hai aur merii itaa.at kartaa haikamzor mohabbat hai terii par dam vo miraa hii bhartaa haimai.n thaame hu.e huu.n haatho.n se phande mai.n mire hai vo goyaayaa daam me.n jaise murG ko.ii daana kii havas me.n ho aayaau.D jaa hai ijaazat tujh ko mirii par halqa-e-ulfat se baahartuu u.D nahii.n saktaa ai pyaare gar ghuum bhii le sab bahr-o-bar
vo terii saadgii tire iKHlaas-o-ittiqaamajbuur hai zabaan-e-qalam kyaa bayaa.n kareiisaar-o-zabt-o-hausla-o-jauhar-e-vafaaausaaf tere ko.ii kahaa.n tak ayaa.n kare
har zarra-e-dehlii hai tire zau se munavvarpunjab kii mastii asar-e-jazb-e-qalandarga.ngoh kii taqdiis se qudduus saraasarpaTne kii zamii.n nik.hat-e-KHvaaja se mo.attar
majlis-e-ittihaad-e-millat kolikhiye habl-ul-matiin-e-kalkattasaare hindostaa.n kii daulat kokahiye milk-e-yamiin-e-kalkattakufr hoogli me.n jaa ke Duub gayaadii.n hu.aa hai makiin-e-kalkattaasar-e-sajda-haa-e-paiham sehu.ii raushan jabiin-e-kalkattahar taraf phir rahe hai.n niilii poshaasmaa.n hai zamiin-e-kalkatta
tuu hai dariyaa-e-muqaddas tuu ki hai isyaa.n se paakteraa daaman hai abhii aalaa.ish-e-insaa.n se paakterii shaukat ke hai.n shaahid ai vafaadaar-e-kuhantere burjo.n aur tire qilo.n ke aasaar-e-kuhantere saahil se Tapaktii ab bhii hai shaan-e-bulandaasmaa.n-farsaa hai.n ab bhii tere aivaan-e-bulandtere farsuuda nishaa.n hai.n naqsh-e-naaz-e-husn-o-ishqterii maujo.n me.n nihaa.n hai aah-e-raaz-e-husn-o-ishq
har lab-e-juu par hai.n yuu.n sarv-e-KHiraamaa.n sai.nka.Do.ngoyaa shiishe me.n utar aa.ii hai.n pariyaa.n sai.nka.Do.n
ye kaa.enaat ke talvo.n ko chaaTtaa hu.aa dinmujaaviraan-e-dar-e-'ishq ke qarii.n rah karjanaab-e-‘ishq kehujre me.n shab guzaartaa haicharaaG-e-'ishq kii lau me.n sedin ubhaartaa haicharaaG-e-'ishq kii lau me.n sedin ubhaartaa hai
asiir-e-'ishq hotaa hai Gam-e-duniyaa se vaarastatujhe ai merii jaa.n har Gam se aazaadii mubaarak ho
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books