aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
Showing search results for "bichaare"
mirii shaa.erii hai ishaaro.n kii duniyaafalak par hai.n gardish me.n chaa.nd aur taarezamii.n par bahaar-o-KHizaa.n ke nazaarebaraabar chale jaa rahe hai.n bichaareki zauq-e-nazar de rahaa hai sahaaremagar kaun samjhe ye naazuk ishaaremirii shaa.erii hai ishaaro.n kii duniyaa
dost hai.n apne bhaa.ii bhulakka.Dbaate.n in kii saarii ga.Dba.Draah chale.n to rasta bhuule.nbas me.n jaa.e.n to basta bhuule.npuurab jaa.e.n pachchhim pahu.nche.nmanzil par apnii kam pahu.nche.nTopii hai to juutaa Gaa.ebjuutaa hai to moza Gaa.ebpyaalii me.n hai chamcha ulTaapher rahe hai.n ka.nghaa ulTaakaam hai un kaa saaraa ulTaaaur to aur pajaama ulTaalauT pa.De.nge chalte chaltechau.nk uThe.nge baiThe baiThesaudaa de kar daam na de.ngedaam diye to chiiz na le.ngeko.ii pukaare daam to laa.oko.ii kahe banDal to uThaa.otairne jaa.e.n gha.Dii bhuul aa.e.nbaaG me.n jaa.e.n chha.Dii bhuul aa.e.nvo to ye kahiye ki KHudaa nejo.D diye hai.n a.azaa tan sebaa.ndh rakhe hai.n sab kal purzevarna har roz aap ye suntegir ga.ii merii daahinii chha.nguliiDhuu.nD rahaa huu.n biich kii u.ngliikyaa kahiye ausaan hai.n Gaa.ebkal se dono.n kaan hai.n Gaa.ebek to saabun-daan me.n paayaaek na jaane kis ne u.Daayaaraan ek lipTii shaal se nikliinaak ba.ndhii ruumaal me.n nikliitum ne to nahii.n dekhii bhaa.iikhuu.nTii par thii khaal hamaariibhuule kahii.n sar aur kahii.n dha.Dhaa.e bichaare bhaa.ii bhulakka.D
kyuu.n khaataa hai hiran hamaarenanhe se KHargosh bichaare
pa.Dhaa kar uThe jaise qaazii nikaahkisii ne chhohaaro.n kii de dii salaahchhohaaro.n kii thaalii luTaa.ii ga.iishakar bhii maze le ke khaa.ii ga.iikisii ne chhohaaro.n se Topii bhariishakar bhii kahii.n KHuub phaa.nkii ga.iimagar ek saahab kamand-e-havaakahe.n kis se apnaa ajab maajraaye har chand bachpan ke hushiyaar thechhohaaro.n kii luTTas pe tayyaar themagar bhii.D me.n aise kuchh ye dabeki har paa.nv ke niiche kuchle ga.epaTaa-paT chhohaare baraste rahemagar ye bichaare taraste raheko.ii naak par ko.ii sar par lagaamagar un ke mu.nh tak na ko.ii gayaashakar aa.nkh aur kaan me.n ghus ga.iibichaare kii puurii hii durgat baniinatiija ye sab jald-baazii kaa thaaki in kaa maza kirkiraa ho gayaa
kis ne darvaaza khaTkhaTaayaa haijaa ke dekhuu.n to kaun aayaa haikaun aayaa hai mere dvaare parraat aa.ii kahaa.n bichaare parmere chhappar se Tek kar kaa.ndhaakaun istaada hai thakaa-maa.ndamerii kuTiyaa me.n aa.o sustaa loye miraa saaGar-e-shikasta lomerii chhaagal se gho.nT paanii piyoik na.e azm kii javaanii piyoTimTimaate diye kii jhilmil me.njot sulgaa lo ik na.ii dil me.nye mire aa.nsu.o.n kii shabnam lopaa.nv ke aablo.n kii marham loye mujhe iftiKHaar do baiThosar se ga utaar do baiThomere zaanuu par apnaa sar rakh kartaaq par kaahish-e-safar rakh karnii.nd kii anjuman me.n kho jaa.omanzilo.n ke sapan me.n kho jaa.oKHvaab vaadii-o-kohsaar ke KHvaabdasht-o-dariyaa-o-aabshaar ke KHvaabKHvaab a.ndherii taviil raaho.n kekunj-e-sahraa kii KHema-gaaho.n kejahaa.n ik sham.a abhii farozaa.n haijahaa.n ik dil tapaa.n hai sozaa.n haitum lipaT jaa.o in KHayaalo.n seaur mai.n kheluu.n tumhaare baalo.n sesub.h jab nuur kaa fusuu.n barsesuunii pagDanDiyo.n pe KHuu.n barsebaag thaame hasii.n iraado.n kiitum KHabar lo phir apne jaado.n kiijab talak ziist kaa safiina baheajnabii ajnabii ko yaad rahemujh ko ye apnii yaad de jaa.oaa.o bhii kyuu.n jhijhakte ho aa.otum kahaa.n ho kahaa.n javaab to doo mire mehmaa.n javaab to dotum ne darvaaza khaTkhaTaayaa thaakis kii dastak thii kaun aayaa thaaniim-shab qaafile sitaaro.n ketez harkaare abr-paaro.n kekis ne niindo.n ko merii Tokaa thaako.ii jho.nkaa thaa ko.ii dhokaa thaa
ik hasii.n gaa.nv thaa kanaar-e-aabkitnaa shaadaab thaa dayaar-e-aabkyaa ajab be-niyaaz bastii thiimuflisii me.n bhii ek mastii thiikitne dildaar the hamaare dostvo bichaare vo be-sahaare dostapnaa ik daa.era thaa dhartii thiizindagii chiin se guzartii thiiqissa jab yuusuf o zuleKHaa kaamiiThe miiThe suro.n me.n chhi.Dtaa thaaqasr shaaho.n ke hilne lagte thechaak siino.n ke silne lagte the
ye tan jo hai har ik ke utaare kaa jho.npa.Daais se hai ab bhii sab ke sahaare kaa jho.npa.Daais se hai baadshah ke nazaare kaa jho.npa.Daais me.n hii hai faqiir bichaare kaa jho.npa.Daaapnaa na mol kaa na ijaare kaa jho.npa.Daabaabaa ye tan hai dam ke guzaare kaa jho.npa.Daais me.n hii bhole-bhaale isii me.n siyaane hai.nis me.n hii hoshiyaar isii me.n divaane hai.nis me.n hii dushman is me.n hii apne begaane hai.nshaa-jho.npa.Daa bhii apne isii me.n namaane hai.napnaa na mol hai na ijaare kaa jho.npa.Daabaabaa ye tan hai dam ke guzaare kaa jho.npa.Daais me.n hii log ishq-o-mohabbat ke maare hai.nis me.n hii shoKH husn ke chaa.nd aur sitaare hai.nis me.n hii yaar-dost isii me.n piyaare hai.nshaa-jho.npa.Daa bhii apne isii me.n bichaare hai.napnaa na mol hai na ijaare kaa jho.npa.Daabaabaa ye tan hai dam ke guzaare kaa jho.npa.Daais me.n hii ahl-e-daulat-o-mun.im amiir hai.nis me.n hii rahte saare jahaa.n ke faqiir hai.nis me.n hii shaah aur isii me.n vaziir hai.nis me.n hii hai.n saGiir isii me.n kabiir hai.nitnaa na mol kaa na ijaare kaa jho.npa.Daabaabaa ye tan hai dam ke guzaare kaa jho.npa.Daais me.n hii chor-Thag hai.n isii me.n amol hai.nis me.n hii ronii shakl isii me.n ThiThol hai.nis me.n hii baaje aur naqaare-o-Dhol hai.nshaa-jho.npa.Daa bhii is me.n hii karte kalol hai.nitnaa na mol kaa na ijaare kaa jho.npa.Daabaabaa ye tan hai dam ke guzaare kaa jho.npa.Daais me.n hii paarsaa hai.n isii me.n tavand hai.nbedard bhii isii me.n hai aur dardmand hai.nis me.n hii sab parand isii me.n charand hai.nshaa-jho.npa.Daa bhii ab isii Dar be band hai.nitnaa na mol kaa na ijaare kaa jho.npa.Daabaabaa ye tan hai dam ke guzaare kaa jho.npa.Daais jho.npa.De me.n rahte hai.n sab shaah aur vaziiris me.n vakiil baKHshii o mutasaddi aur amiiris me.n hii sab Gariib hai.n is me.n hii sab faqiirshaa-jho.npa.Daa jo kahte hai.n sach hai miyaa.n 'naziir'itnaa na mol kaa na ijaare kaa jho.npa.Daabaabaa ye tan hai dam ke guzaare kaa jho.npa.Daa
vaziir-chand ne puuchhaa zafar-alii-KHaa.n seshrii-krishn se kyaa tum ko bhii iraadat haikahaa ye us ne vo the apne vaqt ke haadiiisii liye adab un kaa mirii sa.aadat haifasaad se unhe.n nafrat thii jo hai mujh ko bhiiaur us pe de rahii fitrat mirii shahaadat haihai is vatan me.n ik aisaa giroh bhii maujuudshrii-krishn kii jo kar rahaa ibaadat haimagar fasaad hai us kii sarisht me.n daaKHilbichaare kyaa kare.n pa.D hii chukii ye aadat hai
to kyaa dekhtaa huu.nbichaare mujaavar keshaano.n se ukh.De hu.eaur TuuTe hu.e haathmazbuut rassii sena.ngii kamar par ba.ndhe hai.n
in se miliye ye hai.n aslam gaamaa ke ustaad hai.ndaaraa singh aur bholuu ke bhii daa.o sab in ko yaad hai.nmaktab aur mohalle me.n ye har bachche se la.Dte hai.njis se KHafagii ho jaatii hai us par KHuub biga.Dte hai.nin se sab Darte hai.n jaise ye bijlii kaa taar hai.nin se sab bezaar hai.nin se miliye bhuul bhulakka.D log sab in ko kahte hai.naadat se majbuur bichaare kho.e kho.e rahte hai.npaise saudaa taKHtii basta ye jo kuchh bhii paate hai.nmaktab me.n baazaar me.n yaa raste me.n gum kar aate hai.nlekin da.avaa ye karte hai.n ham sab se hoshyaar hai.nin se sab bezaar hai.nin se miliye raam bharose jaise filmii hero hai.nsaalaana exam me.n in ke har parche me.n zero hai.nlekin kitnii hii filmo.n kii inhe.n kahaanii yaad haiis nagrii kaa har qissa har baat zabaanii yaad hairaam bharose nahii.n ye filmii duniyaa kaa aKHbaar hai.nin se sab bezaar hai.n
mehnat-kash mazduur bichaaresab hii mere vaar se haarelekin meraa ye kahnaa haihar mausam kaa ek mazaa haimai.n bhii to huu.n ik sachchaa.iidekho mai.n kis shaan se aa.ii
ye jo log hai.n bichaareapnii bekasii ke maaresab asiir hai.n tumhaarekis tarah vafaa karogeitnaa husn kyaa karoge
jab bhii bichh.Dii hu.ii dillii kaa samaa.n yaad aayaabhuulii-bisrii hu.ii yaado.n kaa jahaa.n yaad aayaaapne aaGaaz-e-javaanii kaa samaa.n yaad aayaakuucha-e-ruud-garaa.n laal ku.aa.n yaad aayaausii phaaTak me.n to guzraa thaa la.Dak-pan apnaaek ik tifl to ek ek javaa.n yaad aayaachaachaa kallan kii miThaa.ii kii duukaa.n yaad aa.iius ke uupar kisii mahvash kaa makaa.n yaad aayaahaa.e vo nuqra.ii aavaaz vo tiikhe KHad-o-KHaalpas-e-chilman vo nazaaro.n kaa jahaa.n yaad aayaakyaa na yaad aayaa Gariib-ul-vatanii me.n ham koek ik vahm to ek ek gumaa.n yaad aayaaaa.ii hamdard davaa-KHaane kii jab yaad hame.nek taabinda-o-paa.inda jahaa.n yaad aayaaal-jam'iyyat ke qarii.n ho ke tasavvur jo chalaahifz-e-rahmaan saa ik mard-e-jahaa.n yaad aayaajis kii taqriir rag-o-pai me.n utar jaatii thiisab se thaa jis kaa judaa tarz-e-bayaa.n yaad aayaakaale saahib kaa ahaata bhii nazar me.n ghuumaamahfil-e-she'r-o-suKHan kaa bhii samaa.n yaad aayaaballimaaraan se pahle galii qaasim-jaa.n me.n'Gaalib'-e-KHasta kaa bosiida makaa.n yaad aayaavahii.n yaad aayaa davaa-KHaana-e-hindustaaniiKHaan ajmal saa masiihaa-e-zamaa.n yaad aayaakuucha-e-'daaG' se ho kar jo chalaa husn-e-KHayaalshaa'ir-e-ahl-e-nazar ahl-e-zabaa.n yaad aayaachaa.ndnii chauk kii yaad aa.ii jo gahmaa-gahmiivo hasii.n shaam kaa pur-kaif samaa.n yaad aayaakaale burqa'o.n me.n vo malbuus hasiinaa.o.n ke Golchaa.nd ke Tuk.Do.n kaa ik sail-e-ravaa.n yaad aayaaghanTa-ghar log samajhte the jise dillii kii naakpuurii dillii kaa vo tanhaa nigaraa.n yaad aayaaho ke favvaare se jaa poh.nchaa dariibe me.n KHayaalsone chaa.ndii kii dukaano.n kaa jahaa.n yaad aayaajaame' masjid nazar aa.ii to udhar ko lapkeKHvaanche vaalo.n kaa andaaz-e-bayaa.n yaad aayaasii.Dhiyo.n par vo kaToro.n kii sadaa guu.nj uThiipech khaataa hu.aa huqqe kaa dhu.aa.n yaad aayaajaame' masjid ke minaaro.n se jise dekhaa thaavo nazaara ki jo thaa raahat-e-jaa.n yaad aayaakaabako.n jaise makaanaat nazar me.n ghuumeek ik foot kaa har ik piir-o-javaa.n yaad aayaaik uchaTtii sii nazar laal qila par bhii pa.Diidil pe dhachkaa saa lagaa shaah-jahaa.n yaad aayaaurdu baazaar kii yaad aa.ii is andaaz ke saathki sahaafat kaa ko.ii bahr-e-ravaa.n yaad aayaaaa ga.e yaad vahii.n 'saa.il'-o-'beKHud' 'kaifii''daaG' vaalo.n kaa phir andaaz-e-bayaa.n yaad aayaa‘miir-mushtaaq' kii mardaana-ravii yaad aa.iiKHidmat-e-KHalq kaa ik 'azm-e-javaa.n yaad aayaayaad aa.ii vahii.n maulaanaa samii'ullaah kiijaise baa-himmat-o-paamard javaa.n yaad aayaashaa'iro.n kii jahaa.n rahtii thii nishast-o-barKHaast'jigar'-e-KHasta ko dekhaa thaa kahaa.n yaad aayaa'bismil'-o-'bedii'-o-'mahruum'-o-'vafaa'-o-'gulzaar'majma'-e-shaa'ir-o-saahib-nazaraa.n yaad aayaachaav.Dii phir ga.ii aa.nkho.n me.n javaanii kii tarahkuucha-haa-e-sanam-e-siim-tanaa.n yaad aayaayak-ba-yak scene jo badlaa to samaa.n yaad aayaadahshat-o-KHauf kaa ek sail-e-ravaa.n yaad aayaaKHaak u.Dne lagii dillii ke galii kuucho.n me.nmutafakkir saa har ik piir-o-javaa.n yaad aayaachho.D kar dillii ko jaane lage dillii vaaleik hujuum-e-ba-lab-e-aah-o-fuGaa.n yaad aayaapaa.o.n tak jin kaa na dekhaa thaa khule sar dekhaanauhagar qaafila-e-laala-ruKHaa.n yaad aayaaqaafile dillii se jaane lage ban ban ke jahaa.nmaqbare kaa vo humaayuu.n ke samaa.n yaad aayaathaa qayaamat kaa vo manzar ki thii nafsii-nafsiihaal par apne falak girya-kunaa.n yaad aayaayaa'nii barsaat ye kahtii thii ki barsuu.n barsuu.nkitnaa us daur me.n allaah miyaa.n yaad aayaaaur ik parda uThaa aur samaa.n yaad aayaaaur ik manzar-e-dil-doz vahaa.n yaad aayaaGadr kii khi.nch ga.ii aa.nkho.n me.n mukammal tasviir'zafar'-e-soKHta-tan soKHta-jaa.n yaad aayaashaahzaado.n ke jo sar pesh-e-'zafar' yaad aa.eapnaa Gam bhuul ga.e jab vo samaa.n yaad aayaatere KHurshiid tire chaa.nd sitaare dilliichhuuT kar tujh se muhaajir hai.n bichaare dilliibe-vatan ho ke tire raaj-dulaare dilliijii rahe hai.n tirii yaado.n ke sahaare dillii
kyuu.n ziyaa.n-kaar banuu.n suud-faraamosh rahuu.nfikr-e-fardaa na karuu.n mahv-e-Gam-e-dosh rahuu.nnaale bulbul ke sunuu.n aur hama-tan gosh rahuu.nham-navaa mai.n bhii ko.ii gul huu.n ki KHaamosh rahuu.njur.at-aamoz mirii taab-e-suKHan hai mujh koshikva allaah se KHaakam-ba-dahan hai mujh kohai bajaa sheva-e-tasliim me.n mash.huur hai.n hamqissa-e-dard sunaate hai.n ki majbuur hai.n hamsaaz KHaamosh hai.n fariyaad se maamuur hai.n hamnaala aataa hai agar lab pe to ma.azuur hai.n hamai KHudaa shikva-e-arbaab-e-vafaa bhii sun leKHuugar-e-hamd se tho.Daa saa gila bhii sun lethii to maujuud azal se hii tirii zaat-e-qadiimphuul thaa zeb-e-chaman par na pareshaa.n thii shamiimshart insaaf hai ai saahib-e-altaaf-e-amiimbuu-e-gul phailtii kis tarah jo hotii na nasiimham ko jam.iiyat-e-KHaatir ye pareshaanii thiivarna ummat tire mahbuub kii diivaanii thiiham se pahle thaa ajab tere jahaa.n kaa manzarkahii.n masjuud the patthar kahii.n ma.abuud shajarKHuugar-e-paikar-e-mahsuus thii insaa.n kii nazarmaantaa phir ko.ii an-dekhe KHudaa ko kyuu.nkartujh ko ma.aluum hai letaa thaa ko.ii naam tiraaquvvat-e-baazu-e-muslim ne kiyaa kaam tiraabas rahe the yahii.n saljuuq bhii tuuraanii bhiiahl-e-chii.n chiin me.n iiraan me.n saasaanii bhiiisii maamuure me.n aabaad the yuunaanii bhiiisii duniyaa me.n yahuudii bhii the nasraanii bhiipar tire naam pe talvaar uThaa.ii kis nebaat jo big.Dii hu.ii thii vo banaa.ii kis nethe hamii.n ek tire maarka-aaraa.o.n me.nKHushkiyo.n me.n kabhii la.Dte kabhii dariyaa.o.n me.ndii.n azaane.n kabhii europe ke kaliisaa.o.n me.nkabhii africa ke tapte hu.e sahraa.o.n me.nshaan aa.nkho.n me.n na jachtii thii jahaa.n-daaro.n kiikalma pa.Dhte the hamii.n chhaa.nv me.n talvaaro.n kiiham jo jiite the to jango.n kii musiibat ke liyeaur marte the tire naam kii azmat ke liyethii na kuchh teGzanii apnii hukuumat ke liyesar-ba-kaf phirte the kyaa dahr me.n daulat ke liyeqaum apnii jo zar-o-maal-e-jahaa.n par martiibut-faroshii ke evaz but-shikanii kyuu.n kartiiTal na sakte the agar jang me.n a.D jaate thepaa.nv shero.n ke bhii maidaa.n se ukha.D jaate thetujh se sarkash hu.aa ko.ii to biga.D jaate theteG kyaa chiiz hai ham top se la.D jaate thenaqsh-e-tauhiid kaa har dil pe biThaayaa ham nezer-e-KHanjar bhii ye paiGaam sunaayaa ham netuu hii kah de ki ukhaa.Daa dar-e-KHaibar kis neshahr qaisar kaa jo thaa us ko kiyaa sar kis neto.De maKHluuq KHudaa-vando.n ke paikar kis nekaaT kar rakh diye kuffaar ke lashkar kis nekis ne ThanDaa kiyaa aatish-kada-e-iiraa.n kokis ne phir zinda kiyaa tazkira-e-yazdaa.n kokaun sii qaum faqat terii talabgaar hu.iiaur tere liye zahmat-kash-e-paikaar hu.iikis kii shamshiir jahaa.ngiir jahaa.n-daar hu.iikis kii takbiir se duniyaa tirii bedaar hu.iikis kii haibat se sanam sahme hu.e rahte themu.nh ke bal gir ke huu-allahu-ahad kahte theaa gayaa ain la.Daa.ii me.n agar vaqt-e-namaazqibla-ruu ho ke zamii.n-bos hu.ii qaum-e-hijaazek hii saf me.n kha.De ho ga.e mahmuud o ayaazna ko.ii banda rahaa aur na ko.ii banda-navaazbanda o saahab o mohtaaj o Ganii ek hu.eterii sarkaar me.n pahu.nche to sabhii ek hu.emahfil-e-kaun-o-makaa.n me.n sahar o shaam phiremai-e-tauhiid ko le kar sifat-e-jaam phirekoh me.n dasht me.n le kar tiraa paiGaam phireaur ma.aluum hai tujh ko kabhii naakaam phiredasht to dasht hai.n dariyaa bhii na chho.De ham nebahr-e-zulmaat me.n dau.Daa diye gho.De ham nesafha-e-dahr se baatil ko miTaayaa ham nenau-e-insaa.n ko Gulaamii se chhu.Daayaa ham netere ka.abe ko jabiino.n se basaayaa ham netere qur.aan ko siino.n se lagaayaa ham nephir bhii ham se ye gila hai ki vafaadaar nahii.nham vafaadaar nahii.n tuu bhii to dildaar nahii.nummate.n aur bhii hai.n un me.n gunahgaar bhii hai.nijz vaale bhii hai.n mast-e-mai-e-pindaar bhii hai.nun me.n kaahil bhii hai.n Gaafil bhii hai.n hushyaar bhii hai.nsaik.Do.n hai.n ki tire naam se be-zaar bhii hai.nrahmate.n hai.n tirii aGyaar ke kaashaano.n parbarq girtii hai to bechaare musalmaano.n parbut sanam-KHaano.n me.n kahte hai.n musalmaan ga.ehai KHushii un ko ki ka.abe ke nigahbaan ga.emanzil-e-dahr se uu.nTo.n ke hudii-KHvaan ga.eapnii baGlo.n me.n dabaa.e hu.e qur.aan ga.eKHanda-zan kufr hai ehsaas tujhe hai ki nahii.napnii tauhiid kaa kuchh paas tujhe hai ki nahii.nye shikaayat nahii.n hai.n un ke KHazaane maamuurnahii.n mahfil me.n jinhe.n baat bhii karne kaa shu.uurqahr to ye hai ki kaafir ko mile.n huur o qusuuraur bechaare musalmaa.n ko faqat vaada-e-huurab vo altaaf nahii.n ham pe inaayaat nahii.nbaat ye kyaa hai ki pahlii sii mudaaraat nahii.nkyuu.n musalmaano.n me.n hai daulat-e-duniyaa naayaabterii qudrat to hai vo jis kii na had hai na hisaabtuu jo chaahe to uThe siina-e-sahraa se habaabrah-rav-e-dasht ho sailii-zada-e-mauj-e-saraabtaan-e-aGyaar hai rusvaa.ii hai naadaarii haikyaa tire naam pe marne kaa evaz KHvaarii haibanii aGyaar kii ab chaahne vaalii duniyaarah ga.ii apne liye ek KHayaalii duniyaaham to ruKHsat hu.e auro.n ne sa.nbhaalii duniyaaphir na kahnaa hu.ii tauhiid se KHaalii duniyaaham to jiite hai.n ki duniyaa me.n tiraa naam rahekahii.n mumkin hai ki saaqii na rahe jaam raheterii mahfil bhii ga.ii chaahne vaale bhii ga.eshab kii aahe.n bhii ga.ii.n sub.h ke naale bhii ga.edil tujhe de bhii ga.e apnaa sila le bhii ga.eaa ke baiThe bhii na the aur nikaale bhii ga.eaa.e ushshaaq ga.e vaada-e-fardaa le karab unhe.n Dhuu.nD charaaG-e-ruKH-e-zebaa le kardard-e-lailaa bhii vahii qais kaa pahluu bhii vahiinajd ke dasht o jabal me.n ram-e-aahuu bhii vahiiishq kaa dil bhii vahii husn kaa jaaduu bhii vahiiummat-e-ahmad-e-mursil bhii vahii tuu bhii vahiiphir ye aazurdagi-e-Gair sabab kyaa ma.aniiapne shaidaa.o.n pe ye chashm-e-Gazab kyaa ma.aniitujh ko chho.Daa ki rasuul-e-arabii ko chho.Daabut-garii pesha kiyaa but-shikanii ko chho.Daaishq ko ishq kii aashufta-sarii ko chho.Daarasm-e-salmaan o uvais-e-qaranii ko chho.Daaaag takbiir kii siino.n me.n dabii rakhte hai.nzindagii misl-e-bilaal-e-habashii rakhte hai.nishq kii KHair vo pahlii sii adaa bhii na sahiijaada-paimaali-e-tasliim-o-razaa bhii na sahiimuztarib dil sifat-e-qibla-numaa bhii na sahiiaur paabandi-e-aa.iin-e-vafaa bhii na sahiikabhii ham se kabhii Gairo.n se shanaasaa.ii haibaat kahne kii nahii.n tuu bhii to harjaa.ii haisar-e-faaraa.n pe kiyaa diin ko kaamil tuu neik ishaare me.n hazaaro.n ke liye dil tuu neaatish-andoz kiyaa ishq kaa haasil tuu nephuu.nk dii garmi-e-ruKHsaar se mahfil tuu neaaj kyuu.n siine hamaare sharer-aabaad nahii.nham vahii soKHta-saamaa.n hai.n tujhe yaad nahii.nvaadii-e-najd me.n vo shor-e-salaasil na rahaaqais diivaana-e-nazzaara-e-mahmil na rahaahausle vo na rahe ham na rahe dil na rahaaghar ye uj.Daa hai ki tuu raunaq-e-mahfil na rahaaai KHushaa aa.n roz ki aa.ii o ba-sad naaz aa.iibe-hijaabaana suu-e-mahfil-e-maa baaz aa.iibaada-kash Gair hai.n gulshan me.n lab-e-juu baiThesunte hai.n jaam-ba-kaf naGma-e-kuu-kuu baiThedaur ha.ngaama-e-gulzaar se yaksuu baiThetere diivaane bhii hai.n muntazir-e-huu baiTheapne parvaano.n ko phir zauq-e-KHud-afrozii debarq-e-deriina ko farmaan-e-jigar-sozii deqaum-e-aavaara inaa.n-taab hai phir suu-e-hijaazle u.Daa bulbul-e-be-par ko mazaaq-e-parvaazmuztarib-e-baaG ke har Gunche me.n hai buu-e-niyaaztuu zaraa chhe.D to de tishna-e-mizraab hai saaznaGme betaab hai.n taaro.n se nikalne ke liyetuur muztar hai usii aag me.n jalne ke liyemushkile.n ummat-e-marhuum kii aasaa.n kar demor-e-be-maaya ko ham-dosh-e-sulaimaa.n kar dejins-e-naayaab-e-mohabbat ko phir arzaa.n kar dehind ke dair-nashiino.n ko musalmaa.n kar dejuu-e-KHuu.n mii chakad az hasrat-e-dairiina-e-maamii tapad naala ba-nishtar kada-e-siina-e-maabuu-e-gul le ga.ii bairuun-e-chaman raaz-e-chamankyaa qayaamat hai ki KHud phuul hai.n Gammaaz-e-chamanahd-e-gul KHatm hu.aa TuuT gayaa saaz-e-chamanu.D ga.e Daaliyo.n se zamzama-pardaaz-e-chamanek bulbul hai ki mahv-e-tarannum ab takus ke siine me.n hai naGmo.n kaa talaatum ab takqumriyaa.n shaaKH-e-sanobar se gurezaa.n bhii hu.ii.npattiyaa.n phuul kii jha.D jha.D ke pareshaa.n bhii hu.ii.nvo puraanii raushe.n baaG kii viiraa.n bhii hu.ii.nDaaliyaa.n pairahan-e-barg se uryaa.n bhii hu.ii.nqaid-e-mausam se tabii.at rahii aazaad us kiikaash gulshan me.n samajhtaa ko.ii fariyaad us kiilutf marne me.n hai baaqii na maza jiine me.nkuchh maza hai to yahii KHuun-e-jigar piine me.nkitne betaab hai.n jauhar mire aa.iine me.nkis qadar jalve ta.Dapte hai.n mire siine me.nis gulistaa.n me.n magar dekhne vaale hii nahii.ndaaG jo siine me.n rakhte ho.n vo laale hii nahii.nchaak is bulbul-e-tanhaa kii navaa se dil ho.njaagne vaale isii baa.ng-e-daraa se dil ho.nya.anii phir zinda na.e ahd-e-vafaa se dil ho.nphir isii baada-e-dairiina ke pyaase dil ho.najamii KHum hai to kyaa mai to hijaazii hai miriinaGma hindii hai to kyaa lai to hijaazii hai mirii
radiif o qaafiya kyaa hai.n shikast-e-naa-ravaa kyaa haishikast-e-naaravaa ne mujh ko paara paara kar Daalaaanaa ko merii be-andaaza-tar be-chaara kar Daalaamai.n apne aap me.n haaraa huu.n aur KHvaaraana haaraa huu.njigar-chaakaana haaraa huu.n dil-afgaaraana haaraa huu.n
hai.n laakho.n rog zamaane me.n kyuu.n ishq hai rusvaa be-chaaraahai.n aur bhii vaj.he.n vahshat kii insaan ko rakhtii.n dukhiyaaraahaa.n be-kal be-kal rahtaa hai ho piit me.n jis ne jii haaraapar shaam se le kar sub.h talak yuu.n kaun phiregaa aavaaraye baate.n jhuuTii baate.n ye logo.n ne phailaa.ii.n hai.ntum 'inshaa'-jii kaa naam na lo kyaa 'inshaa'-jii saudaa.ii hai.n
haa.n umr kaa saath nibhaane ke the ahd bahut paimaan bahutvo jin pe bharosa karne me.n kuchh suud nahii.n nuqsaan bahutvo naar ye kah kar duur hu.ii 'majbuurii saajan majbuurii'ye vahshat se ranjuur hu.e aur ra.njuurii sii ra.njuurii?us roz hame.n ma.aluum hu.aa us shaKHs kaa mushkil samjhaanaais bastii ke ik kuuche me.n ik 'inshaa' naam kaa diivaanaago aag se chhaatii jaltii thii go aa.nkh se dariyaa bahtaa thaahar ek se dukh nahii.n kahtaa thaa chup rahtaa thaa Gam sahtaa thaanaadaan hai.n vo jo chhe.Dte hai.n is aalam me.n naa-daano.n kous shaKHs se ek javaab milaa sab apno.n ko begaano.n ko'kuchh aur kaho to suntaa huu.n is baab me.n kuchh mat farmaanaa'is bastii ke ik kuuche me.n ik 'inshaa' naam kaa diivaanaaab aage kaa tahqiiq nahii.n go sun.ne ko ham sunte theus naar kii jo jo baate.n thii.n us naar ke jo jo qisse theik shaam jo us ko bulvaayaa kuchh samjhaayaa bechaare neus raat ye qissa paak kiyaa kuchh khaa hii liyaa dukhyaare nekyaa baat hu.ii kis taur hu.ii aKHbaar se logo.n ne jaanaais bastii ke ik kuuche me.n ik inshaa naam kaa diivaanaa
jab nayaa mahiina aataa hai tobijlii kaa bil aa jaataa haihaalaa.nki baadal bechaaraye bijlii muft banaataa haiphir ham ne apne ghar bijliibaadal se kyuu.n lagvaa.ii nahii.n
tujh se bichha.D kar bhii zinda thaamar mar kar ye zahr piyaa haichup rahnaa aasaan nahii.n thaabarso.n dil kaa KHuun kiyaa haijo kuchh guzrii jaisii guzriitujh ko kab ilzaam diyaa haiapne haal pe KHud royaa huu.nKHud hii apnaa chaak siyaa haikitnii jaa.nkaahii se mai.n netujh ko dil se mahv kiyaa haisannaaTe kii jhiil me.n tuu nephir kyuu.n patthar phe.nk diyaa hai
vaqt ke agle shahr ke saare baashindesab din sab raate.njo tum se naa-vaaqif ho.ngevo kab merii baat sune.ngemujh se kahe.ngejaa.o apnii raah lo raahiiham ko kitne kaam pa.De hai.njo biitii so biit ga.iiab vo baate.n kyuu.n dohraate hoka.ndhe par ye jholii rakkhekyuu.n phirte ho kyaa paate homai.n be-chaaraik banjaaraaavaara phirte phirte jab thak jaa.uu.ngaatanhaa.ii ke Tiile par jaa kar baiThuu.ngaaphir jaise pahchaan ke mujh koik banjaara jaan ke mujh kovaqt ke agle shahr ke saare nanhe-munne bhole lamhena.nge paa.nvdau.De dau.De bhaage bhaage aa jaa.e.ngemujh ko gher ke baiThe.ngeaur mujh se kahe.ngekyuu.n banjaaretum to vaqt ke kitne shahro.n se guzre houn shahro.n kii ko.ii kahaanii hame.n sunaa.oun se kahuu.ngaananhe lamho!ek thii raaniisun ke kahaaniisaare nanhe lamheGamgii.n ho kar mujh se ye puuchhe.ngetum kyuu.n in ke shahr na aa.ii.nlekin un ko bahlaa luu.ngaaun se kahuu.ngaaye mat puuchhoaa.nkhe.n muu.ndoaur ye sochotum hotii.n to kaisaa hotaatum ye kahtii.ntum vo kahtii.ntum is baat pe hairaa.n hotii.ntum us baat pe kitnii ha.nstii.ntum hotii.n to aisaa hotaatum hotii.n to vaisaa hotaa
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books