aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
Showing search results for "foot"
ma.iishat duusro.n ke haath me.n hai mere qabze me.njuz ik zehn-e-rasaa kuchh bhii nahii.n phir bhii magar mujh koKHarosh-e-umr ke itmaam tak ik baar uThaanaa haianaasir muntashir ho jaane nabze.n Duub jaane taknavaa-e-sub.h ho yaa naala-e-shab kuchh bhii gaanaa haizafar-mando.n ke aage rizq kii tahsiil kii KHaatirkabhii apnaa hii naGma un kaa kah kar muskuraanaa haivo KHaama-sozii shab-bedaariyo.n kaa jo natiija house ik khoTe sikke kii tarah sab ko dikhaanaa haikabhii jab sochtaa huu.n apne baare me.n to kahtaa huu.nki tuu ik aabla hai jis ko aaKHir phuuT jaanaa haiGaraz gardaa.n huu.n baad-e-sub.h-gaahii kii tarah lekinsahar kii aarzuu me.n shab kaa daaman thaamtaa huu.n jabye la.Dkaa puuchhtaa hai aKHtar-ul-iimaan tum hii hoye la.Dkaa puuchhtaa hai jab to mai.n jhallaa ke kahtaa huu.nvo aashufta-mizaaj andoh-parvar iztiraab-aasaajise tum puuchhte rahte ho kab kaa mar chukaa zaalimuse KHud apne haatho.n se kafan de kar farebo.n kaaisii kii aarzuu.o.n kii lahad me.n phe.nk aayaa huu.nmai.n us la.Dke se kahtaa huu.n vo sho.ala mar chukaa jis nekabhii chaahaa thaa ik KHaashaak-e-aalam phuu.nk Daalegaaye la.Dkaa muskuraataa hai ye aahista se kahtaa haiye kizb-o-iftiraa hai jhuuT hai dekho mai.n zinda huu.n
yaad kii raahguzar jis pe isii suurat semuddate.n biit ga.ii hai.n tumhe.n chalte chalteKHatm ho jaa.e jo do chaar qadam aur chalomo.D pa.Dtaa hai jahaa.n dasht-e-faraamoshii kaajis se aage na ko.ii mai.n huu.n na ko.ii tum hosaa.ns thaame hai.n nigaahe.n ki na jaane kis damtum palaT aa.o guzar jaa.o yaa mu.D kar dekhogarche vaaqif hai.n nigaahe.n ki ye sab dhokaa haigar kahii.n tum se ham-aaGosh hu.ii phir se nazarphuuT niklegii vahaa.n aur ko.ii raahguzarphir isii tarah jahaa.n hogaa muqaabil paihamsaaya-e-zulf kaa aur jumbish-e-baazuu kaa safar
rukii rukii sii safe.n malgajii ghaTaa.o.n kiiutaar par hai sar-e-sahn raqs piipal kaavo kuchh nahii.n hai ab ik jumbish-e-KHafii ke sivaaKHud apnii kaifiyat-e-niil-guu.n me.n har lahzaye shaam Duubtii jaatii hai chhuptii jaatii haihijaab-e-vaqt sire se hai be-his-o-harakatrukii rukii dil-e-fitrat kii dha.Dkane.n yak-laKHtye ra.ng-e-shaam ki gardish hii aasmaa.n me.n nahii.nbas ek vaqfa-e-taariik, lamha-e-shahlaasamaa me.n jumbish-e-mub.ham sii kuchh hu.ii faurantulii ghaTaa ke tale bhiige bhiige patto.n seharii harii ka.ii chi.ngaariyaa.n sii phuuT pa.Dii.nki jaise khultii jhapaktii ho.n be-shumaar aa.nkhe.najab ye aa.nkh-micholii thii nuur-o-zulmat kiisuhaanii narm lave.n dete an-ginat jugnuughanii siyaah KHunuk pattiyo.n ke jhurmuT semisaal-e-chaadar-e-shab-taab jagmagaane lageki thartharaate hu.e aa.nsu.o.n se saaGar-e-shaamchhalak chhalak pa.De jaise baGair saan gumaanbutuun-e-shaam me.n in zinda qumqumo.n kii damakkisii kii so.ii hu.ii yaad ko jagaatii thiivo be-panaah ghaTaa vo bharii bharii barsaatvo scene dekh ke aa.nkhe.n mirii bhar aatii thii.nmirii hayaat ne dekhii hai.n biis barsaate.nmire janam hii ke din mar ga.ii thii maa.n meriivo maa.n ki shakl bhii jis maa.n kii mai.n na dekh sakaajo aa.nkh bhar ke mujhe dekh bhii sakii na vo maa.nmai.n vo pisar huu.n jo samjhaa nahii.n ki maa.n kyaa haimujhe khilaa.iyo.n aur daa.iyo.n ne paalaa thaavo mujh se kahtii thii.n jab ghir ke aatii thii barsaatjab aasmaan me.n har suu ghaTaa.e.n chhaatii thii.nba-vaqt-e-shaam jab u.Dte the har taraf jugnuudiye dikhaate hai.n ye bhuulii-bhaTkii ruuho.n komaza bhii aataa thaa mujh ko kuchh un kii baato.n me.nmai.n un kii baato.n me.n rah rah ke kho bhii jaataa thaapar is ke saath hii dil me.n kasak sii hotii thiikabhii kabhii ye kasak huuk ban ke uThtii thiiyatiim dil ko mire ye KHayaal hotaa thaa!ye shaam mujh ko banaa detii kaash ik jugnuuto maa.n kii bhaTkii hu.ii ruuh ko dikhaataa raahkahaa.n kahaa.n vo bichaarii bhaTak rahii hogiikahaa.n kahaa.n mirii KHaatir bhaTak rahii hogiiye soch kar mirii haalat ajiib ho jaatiipalak kii oT me.n jugnuu chamakne lagte thekabhii kabhii to mirii hichkiyaa.n sii ba.ndh jaatii.nki maa.n ke paas kisii tarah mai.n pahu.nch jaa.uu.naur us ko raah dikhaataa hu.aa mai.n ghar laa.uu.ndikhaa.uu.n apne khilaune dikhaa.uu.n apnii kitaabkahuu.n ki pa.Dh ke sunaa to mirii kitaab mujhephir is ke baa'd dikhaa.uu.n use mai.n vo copyki te.Dhii-me.Dhii lakiire.n banii thii.n kuchh jis me.nye harf the jinhe.n mai.n ne likkhaa thaa pahle-pahalaur us ko raah dikhaataa hu.aa mai.n ghar laa.uu.ndikhaa.uu.n phir use aa.ngan me.n vo gulaab kii belsunaa hai jis ko usii ne kabhii lagaayaa thaaye jab ki baat hai jab merii umr hii kyaa thiinazar se guzrii thii.n kal chaar paa.nch barsaate.n
dekhnaa jazb-e-mohabbat kaa asar aaj kii raatmere shaane pe hai us shoKH kaa sar aaj kii raataur kyaa chaahiye ab ai dil-e-majruuh tujheus ne dekhaa to ba-andaaz-e-digar aaj kii raatphuul kyaa KHaar bhii hai.n aaj gulistaa.n-ba-kanaarsa.ng-reze hai.n nigaaho.n me.n guhar aaj kii raatmahv-e-gulgasht hai ye kaun mire dosh-ba-doshkahkashaa.n ban ga.ii har raahguzar aaj kii raatphuuT niklaa dar-o-diivaar se sailaab-e-nashaatallaah allaah miraa kaif-e-nazar aaj kii raatshabnamistaan-e-tajallii kaa fusuu.n kyaa kahiyechaa.nd ne phe.nk diyaa raKHt-e-safar aaj kii raatnuur hii nuur hai kis samt uThaa.uu.n aa.nhke.nhusn hii husn hai taa-hadd-e-nazar aaj kii raatqasr-e-giitii me.n uma.nD aayaa hai tuufaan-e-hayaatmaut larzaa.n hai pas-e-parda-e-dar aaj kii raatallaah allaah vo peshaani-e-siimii.n kaa jamaalrah ga.ii jam ke sitaaro.n kii nazar aaj kii raataariz-e-garm pe vo ra.ng-e-shafaq kii lahre.nvo mirii shoKH-nigaahii kaa asar aaj kii raatnargis-e-naaz me.n vo nii.nd kaa halkaa saa KHumaarvo mire naGma-e-shiirii.n kaa asar aaj kii raatnaGma o mai kaa ye tuufaan-e-tarab kyaa kahiyeghar miraa ban gayaa 'KHayyaam' kaa ghar aaj kii raatmerii har saa.ns pe vo un kii tavajjoh kyaa KHuubmerii har baat pe vo jumbish-e-sar aaj kii raatvo tabassum hii tabassum kaa jamaal-e-paihamvo mohabbat hii mohabbat kii nazar aaj kii raatuf vo vaaraftagi-e-shauq me.n ik vahm-e-latiifkapkapaa.e hu.e ho.nTo.n pe nazar aaj kii raatmaz.hab-e-ishq me.n jaa.ez hai yaqiinan jaa.ezchuum luu.n mai.n lab-e-la.alii.n bhii agar aaj kii raatapnii rif.at pe jo naazaa.n hai.n to naazaa.n hii rahe.nkah do anjum se ki dekhe.n na idhar aaj kii raatun ke altaaf kaa itnaa hii fusuu.n kaafii haikam hai pahle se bahut dard-e-jigar aaj kii raat
ziist KHudaa jaane hai kyaa shai bhuuk tajassus ashk faraarphuul se bachche zohra-jabiine.n mard mujassam baaG-o-bahaar
tiirgii hai ki u.nmaDtii hii chalii aatii haishab kii rag rag se lahuu phuuT rahaa ho jaisechal rahii hai kuchh is andaaz se nabz-e-hastiidono.n aalam kaa nasha TuuT rahaa ho jaiseraat kaa garm lahuu aur bhii bah jaane doyahii taariikii to hai Gaaza-e-ruKHsaar-e-saharsub.h hone hii ko hai ai dil-e-betaab Thaharabhii zanjiir chhanaktii hai pas-e-parda-e-saazmutlaq-ul-hukm hai shiiraaza-e-asbaab abhiisaaGar-e-naab me.n aa.nsuu bhii Dhalak jaate hai.nlaGzish-e-paa me.n hai paabandIi-e-aadaab abhiiapne diivaano.n ko diivaana to ban lene doapne mai-KHaano.n ko mai-KHaana to ban lene dojald ye satvat-e-asbaab bhii uTh jaa.egiiye giraa.n-baarii-e-aadaab bhii uTh jaa.egiiKHvaah zanjiir chhanaktii hii chhanaktii hii rahe
rah-guzar, saa.e, shajar, manzil-o-dar, halqa-e-baambaam par siina-e-mahtaab khulaa, aahistajis tarah khole ko.ii band-e-qabaa, aahistahalqa-e-baam tale, saayo.n kaa Thahraa hu.aa niilniil kii jhiiljhiil me.n chupke se tairaa, kisii patte kaa habaabek pal tairaa, chalaa, phuuT gayaa, aahistabahut aahista, bahut halkaa, KHunuk-ra.ng sharaabmere shiishe me.n Dhalaa, aahistashiisha-o-jaam, suraahii, tire haatho.n ke gulaabjis tarah duur kisii KHvaab kaa naqshaap hii aap banaa aur miTaa aahista
meraa har ik sahaaraa kho hii gayaaphuuT kar aaj mai.n bhii ro hii gayaa
ishve hai.n ki ik fauj kha.Dii luuT rahii haichhal-bal hai ki chhaatii ko zamii.n kuuT rahii haia.ng.Daa.ii kaa KHam hai ki dhanak TuuT rahii haimukh.Daa hai ki parbat pe kiran phuuT rahii haiqaamat hai ki barnaa.ii-e-sarv-e-chamanii haikyaa gul-badanii gul-badanii gul-badanii hai
tum ne likkhaa hai mire KHat mujhe vaapas kar doDar ga.ii.n husn-e-dil-aavez kii rusvaa.ii semai.n na kahtaa thaa ki tum mujh se mohabbat na karoyuu.n na khelo mire jazbaat kii ra.anaa.ii sesab samajhte the hamesha mujhe jaan-e-mahfilab miraa haal to puuchho mirii tanhaa.ii setum na.ii bazm sajaa logii tumhaaraa kyaa haitumhe.n Dhuu.nDe.ngii kahaa.n merii sulagtii raate.nbhuul hii jaa.ogii do chaar dino.n me.n tum todo dha.Dakte hu.e be-taab dilo.n kii baate.nmai.n kahaa.n jaa.uu.ngaa mahruumii-e-dil ko le karphuuT kar ro.e.ngii jis vaqt bharii barsaate.nkaash kuchh pyaar kaa anjaam to sochaa hotaachhiin lii merii javaanii se javaanii tum nemai.n na kahtaa thaa ki tum mujh se mohabbat na karolaakh samjhaayaa magar ek na maanii tum netum na maano to bhalaa kaun kahe kaun sunepyaar puujaa hai parastish hai tijaarat to nahii.nsone chaa.ndii ke liye ishq ko Thukraa denaakhel ho saktaa hai me.ayaar-e-mohabbat to nahii.ntum zar-o-siim kii miizaan me.n tul saktii hopyaar biktaa nahii.n chaahat kaa ko.ii mol nahii.nis se pahle ki mire ishq par ilzaam dharodekh lo husn kii fitrat me.n to kuchh jhol nahii.n
mai.n ne kaaGaz khol ke dekhaakuchh bhii na thaasirf TuuTii TuuTii chand lakiire.n thii.naise KHat aate rahte hai.nnaam nahii.n hotaa jin parbaat nahii.n bantii lekinbaat banegii kaise?jab pahluu me.n KHaar lagaa hoaa.nkho.n me.n nam aa bhii chukaa hojanam janam ke saude me.n tumsab se aage nikal ga.e hosaare saathii chhuuT ga.eGam ke chhaale phuuT ga.ejiine kii ummiid nahii.n haiphir bhii tum ab tak jiite houmr tumhaarii maut se aage nikal ga.ii haisannaaTe me.n jiinaa kitnaa mushkil hai
ammii kii ye jaa-e-namaaz mujhe de domujhe pata haiis me.n kitnii raushan sub.he.n jazb hu.ii hai.nkitnii sannaaTii do-pahre.nis kii siivan me.n zinda hai.nmaGrib ke jhaT-paT anvaar kii shaahid hai yeaaKHir shab kaa giryaus ke taane-baane kaa hissa haimujhe pata haiammii ke paakiiza sajdo.n kii sargoshiius ke kaano.n me.n zinda haius ke sachche sachche sajdedekho kaise chamak rahe hai.nun ke lams kii KHushbuukaisii phuuT rahii haiammii kii ye jaa-e-namaaz ba.Dii daulat haiammii kii ye jaa-e-namaaz mujhe de do
udaasii ke ufuq par jab tumhaarii yaad ke jugnuu chamakte hai.nto merii ruuh par rakkhaa hu.aa ye hijr kaa pattharchamaktii barf kii suurat pighaltaa hai!agarche yuu.n pighalne se ye patthar, sa.ng-reza to nahii.n bantaa!magar ik hausla saa dil ko hotaa hai,ki jaise sar-ba-sar taariik shab me.n bhiiagar ik zard-ruu, sahmaa hu.aa taaraa nikal aa.eto qaatil raat kaa be-ism jaaduu TuuT jaataa haimusaafir ke safar kaa raasta to kam nahii.n hotaamagar taare kii chilman seko.ii bhuulaa hu.aa manzar achaanak jagmagaataa hai!sulagte paa.nv me.n ik aabla saa phuuT jaataa hai
barbat-e-dil ke taar TuuT ga.ehai.n zamii.n-bos raahato.n ke mahalmiT ga.e qissa-haa-e-fikr-o-amal!bazm-e-hastii ke jaam phuuT ga.echhin gayaa kaif-e-kausar-o-tasniimzahmat-e-girya-o-bukaa be-suudshikva-e-baKHt-e-naa-rasaa be-suudho chukaa KHatm rahmato.n kaa nuzuulband hai muddato.n se baab-e-qubuulbe-niyaaz-e-du.aa hai rabb-e-kariimbujh ga.ii sham-e-aarzuu-e-jamiilyaad baaqii hai be-kasii kii daliilintazaa-e-fuzuul rahne deraaz-e-ulfat nibaahane vaalebaar-e-Gam se karaahne vaalekaavish-e-be-husuul rahne de
phuuT pa.Dii.n mashriq se kirne.nhaal banaa maazii kaa fasaanaguu.njaa mustaqbil kaa taraanabheje hai.n ahbaab ne tohfeaTe pa.De hai.n mez ke konedulhan banii hu.ii hai.n raahe.njashn manaa.o saal-e-nau ke
tumhaare ho.nTo.n pe giit ke phuul muskuraa.e ki tum ne apne libaas ko yuu.n utaar phe.nkaaki jaise raagii ne taan lii hotumhaarii har taan tiirgii kii siyaah dhaaraa banii hu.ii haiko.ii kiran is se phuuT paa.e bhalaa ye kyuu.n ho
sach kaho sach kaho hamesha sachhai bhale-maanaso.n kaa pesha sachsach kahoge to tum rahoge aziizsach to ye hai ki sach hai achchhii chiizsach kahoge to tum rahoge shaadfikr se paak ranj se aazaadsach kahoge tum rahoge dilerjaise Dartaa nahii.n dilaavar shersach se rahtii hai taqviyat dil kosahl kartaa hai saKHt mushkil kosach hai saare mu.aamalo.n kii jaansach se rahtaa hai dil ko itminaansach me.n raahat hai aur aasaaniisach se hotii nahii.n pashemaaniisach hai duniyaa me.n nekiyo.n kii ja.Dsach na ho to jahaan jaa.e uja.Dsach kahoge to dil rahegaa saafsach karaa degaa sab qusuur mu.aafsach se zinhaar dar-guzar na karodil me.n kuchh KHauf aur KHatar na karojis ko sach bolne kii aadat haivo ba.Daa nek baa-sa.aadat haivahii daanaa hai jo ki hai sachchaais me.n buDDhaa ho yaa ko.ii sachchaahai buraa jhuuT bolne vaalaaaap kartaa hai apnaa mu.nh kaalaafaa.eda us ko kuchh na degaa jhuuTjaa.egaa ek roz bhaa.nDaa phuuTjhuuT kii bhuul kar na Daalo KHuujhuuT zillat kii baat hai aaKH-thuu
naGma-dar-jaa.n raqs barpaa KHanda-bar-labdil tamannaa.o.n ke be-paayaa.n alaav ke qariibdil mire sahraa-navard-e-piir dilreg ke dil-shaad shahrii reg tuuaur reg hii terii talabreg kii nik.hat tire paikar me.n terii jaa.n me.n haireg sub.h-e-iid ke maanind zartaab-o-jaliilreg sadiyo.n kaa jamaaljashn-e-aadam par bichha.D kar milne vaalo.n kaa visaalshauq ke lamhaat ke maanind aazaad-o-aziimreg naGma-zanki zarre reg-zaaro.n kii vo paazeb-e-qadiimjis pe pa.D saktaa nahii.n dast-e-la.iimreg-e-sahraa zar-garii kii ek kii lahro.n se duurchashma-e-makr-o-riyaa shahro.n se duurreg shab-bedaar hai suntii hai har jaabir kii chaapreg shab-bedaar hai nigaraa.n hai maanind-e-naqiibdekhtii hai saaya-e-aamir kii chaapreg har ayyaar Gaarat-gar kii mautreg istibdaad ke tuGyaa.n ke shor-o-shar kii mautreg jab uThtii hai u.D jaatii hai har faateh kii nii.ndreg ke nezo.n se zaKHmii sab shahanshaaho.n ke KHvaabreg ai sahraa kii regmujh ko apne jaagte zarro.n ke KHvaabo.n kiina.ii ta.abiir dereg ke zarro.n ubhartii sub.h tumaa.o sahraa kii hado.n tak aa gayaa roz-e-tarabdil mire sahraa-navard-e-piir dilaa chuum reghai KHayaalo.n ke parii-zaado.n se bhii ma.asuum regreg-e-raqsaa.n maah-o-saal nuur tak raqsaa.n raheus kaa abresham mulaa.em narm-KHuu KHandaa.n rahedil mire sahraa-navard-e-piir dilye tamannaa.o.n kaa be-paayaa.n alaavraah gum kar duu.n kii mash.al is ke lab par aa.o aa.otere maazii ke KHazaf rezo.n se jaagii hai ye aagaag kii qurmuz zabaa.n par imbisaat-e-nau ke raagdil mire sahraa-navard-e-piir dilsargiraanii kii shab-e-rafta se jaagkuchh sharar aaGosh sarsar me.n hai.n gumaur kuchh ziina ba ziina sho.alo.n ke miinaar par cha.Dhte hu.eaur kuchh tah me.n alaav kii abhiimuztarib lekin muzabzab tifl-e-kam-sin kii tarahaag ziina aag ra.ngo.n kaa KHaziinaaag un lazzaat kaa sar-chashma haijis se letaa hai Gizaa ushshaaq ke dil kaa tapaakchob-e-KHushk anguur us kii mai hai aagsarsaraatii hai rago.n me.n iid ke din kii tarahaag kaahin yaad se utrii hu.ii sadiyo.n kii ye afsaana-KHvaa.naane vaale qarnahaa kii daastaane.n lab pe hai.ndil miraa sahraa-navard-e-piir dil sun kar javaa.naag aazaadii kaa dil-shaadii kaa naamaag paidaa.ish kaa afzaa.ish kaa naamaag ke phuulo.n me.n nasrii.n yaasman sumbul shafiiq-o-nastaranaag aaraa.ish kaa zebaa.ish kaa naamaag vo taqdiis dhul jaate hai.n jis se sab gunaahaag insaano.n kii pahlii saa.ns ke maanind ik aisaa karamumr kaa ik tuul bhii jis kaa nahii.n kaafii javaabye tamannaa.o.n kaa be-paayaa.n alaav gar na hois laq-o-daq me.n nikal aa.e.n kahii.n se bhe.Diyeis alaav ko sadaa raushan rakhoreg-e-sahraa ko bashaarat ho ki zinda hai alaavbhe.Diyo.n kii chaap tak aatii nahii.naag se sahraa kaa rishta hai qadiimaag se sahraa ke Te.Dhe re.ngne vaalegirah-aaluud zholiida daraKHtjaagte hai.n naGma-dar-jaa.n raqs barpaa KHanda-bar-labaur manaa lete hai.n tanhaa.ii me.n jashn-e-maahtaabun kii shaaKHe.n Gair-mara.ii tabl kii aavaaz par detii hai.n taalbiikH-o-bun se aane lagtii hai KHudaavandii jalaajil kii sadaaaag se sahraa kaa rishta hai qadiimrahravo.n sahraa-navardo.n ke liye hai rahnumaakaarvaano.n kaa sahaaraa bhii hai aagaur sahraa.o.n kii tanhaa.ii ko kam kartii hai aagaag ke chaaro.n taraf pashmiina-o-dastaar me.n lipTe hu.eafsaana-gojaise gird-e-chashm mizhgaa.n kaa hujuumun ke hairat-naak dilkash tajrabo.n sejab damak uThtii hai retzarra zarra bajne lagtaa hai misaal-e-saaz-e-jaa.ngosh-bar-aavaaz rahte hai.n daraKHtaur ha.ns dete hai.n apnii aarifaana be-niyaazii se kabhiiye tamannaa.o.n kaa be-paayaa.n alaav gar na horeg apnii KHalvat-e-be-nuur-o-KHud-bii.n me.n raheapnii yaktaa.ii kii tahsii.n me.n raheis alaav ko sadaa raushan rakhoye tamannaa.o.n kaa be-paayaa.n alaav gar na hoasia africa pahnaa.ii kaa naambe-kaar pahnaa.ii kaa naameurope aur america daaraa.ii kaa naamtakraar-e-daaraa.ii kaa naammeraa dil sahraa-navard-e-piir diljaag uThaa hai mashriq-o-maGrib kii aisii yak-diliike kaarvaano.n kaa nayaa ruuyaa liyeyak-dilii aisii ki hogii fahm-e-insaa.n se varaayak-dilii aisii ki ham sab kah uThe.nis qadar ujlat na karizhdihaam-e-gul na bankah uThe.n hamtuu Gam-e-kul to na thiiab lazzat-e-kul bhii na banroz-e-aasaa.ish kii bedardii na banyak-dilii ban aisaa sannaaTaa na banjis me.n taabistaa.n kii dopahro.n kiibe-haasil kasaalat ke sivaa kuchh bhii na hois jafaa-gar yak-dilii ke kaarvaa.n yuu.n aa.e.ngedast-e-jaaduu-gar se jaise phuuT nikle ho.n tilismishq-e-haasil-KHez se yaa zor-e-paidaa.ii se jaise naa-gahaa.nkhul ga.e ho.n mashriq-o-maGrib ke jismjism sadiyo.n ke aqiimkaarvaa.n farKHanda-pai aur un kaa baarkiisa kiisa taKHt-e-jam aur taaj-e-kaikuuza kuuza fard kii satvat kii maijaama jaama roz-o-shab mehnat kaa KHainaGma naGma hurriyat kii garm laisaaliko firoz-baKHto aane vaale qaafloshahr se lauToge tum to paa.ogeret ke sarhad pe jo ruuh-e-abad KHvaabiida thiijaag uThii hai shikva-haa-e-nai se voret kii tah me.n jo sharmiilii sahar ro.iida thiijaag uThii hai hurriyat kii lai se voitnii doshiiza thii itnii mard-e-naa-diida thii sub.hpuuchh sakte the na us kii umr hamdard se ha.nstii na thiizarro.n kii ra.anaa.ii pe bhii ha.nstii na thiiek mahjuubaana be-KHabarii me.n ha.ns detii thii sub.hab manaatii hai vo sahraa kaa jalaaljaise izz-o-jal ke paa.nv kii yahii mehraab hozer-e-mehraab aa ga.ii ho us ko bedaarii kii raatKHud janaab-e-izz-o-jal se jaise umiid-e-zafaafsaare naa-karda gunaah is ke mu.aafsub.h-e-sahraa shaad-baadai uruus-e-izz-o-jal farKHanda ro taabinda khotuu ik aise hujra-e-shab se nikal kar aa.ii haidast-e-qaatil ne bahaayaa thaa jahaa.n har sej parsai.nka.Do.n taaro.n kaa raKHshanda lahuu phuulo.n ke paassub.h-e-sahraa sar mire zaanuu pe rakh kar daastaa.nun tamannaa ke shahiido.n kii na kahun kii niima-ras uma.ngo.n aarzuu.o.n kii na kahjin se milne kaa ko.ii imkaa.n nahii.nshahd teraa jin ko nashsh-e-jaa.n nahii.naaj bhii kuchh duur is sahraa ke paardev kii diivaar ke niiche nasiimroz-o-shab chaltii hai mub.ham KHauf se sahmii hu.iijis tarah shahro.n kii raaho.n par yatiimnaGma-bar-lab taaki un kii jaa.n kaa sannaaTaa ho duuraaj bhii is reg ke zarro.n me.n hai.naise zarre aap hii apne Ganiimaaj bhii is aag ke sho.alo.n me.n hai.nvo sharar jo us kii tah me.n par-buriida rah ga.emisl-e-harf naa-shuniida rah ga.esub.h-e-sahraa ai uruus-e-izz-o-jalaa ki un kii daastaa.n dohraa.e.n hamun kii izzat un kii azmat gaa.e.n hamsub.h ret aur aag ham sab kaa jalaalyak-dilii ke kaarvaa.n un kaa jamaalaa.ois tahliil ke halqe me.n ham mil jaa.e.naa.oshaad-baaG apnii tamannaa.o.n kaa be-paayaa.n alaav
mirii jhukii hu.ii aa.nkhe.n talaash kartii rahe.nko.ii zamiir kaa lahja ko.ii usuul kii baatguzar ga.ii mirii palko.n pe jaagtii hu.ii raatnadaamato.n kaa pasiina jabii.n pe phuuT gayaamirii zabaa.n pe tiraa naam aa ke TuuT gayaaqubuul kar ye nadaamat ki is pasiine kiihar ek buu.nd me.n chi.ngaariyo.n ke saa.nche hai.nqubuul kar mire chehre kii jhurriyaa.n jin me.nkahii.n junuu.n kahii.n tahziib ke tamaa.nche hai.nsambhaal meraa subuk hadiya-e-Gam-e-idraakjo mujh ko saat samundar kaa zahr pii ke milaasaqaafato.n ke har aatish-fishaa.n me.n jii ke milaatalab kiyaa mujhe yuunaan ke KHudaa.o.n nejanam liyaa mire siine me.n devtaa.o.n nefareb-o-hirs ke har raaste se mo.D diyaaaur is ke baa'd super market pe chho.D diyaajahaa.n bas ek hii me.aar-e-aadamiyat thaahujuum-e-mard-o-zanaa.n mahv-sair-e-vahshat thaagha.Dii kaa husn na.e radio kii zebaa.iiplastic ke ka.nval nylon kii tieitaliya ke na.e boot hong-kong ke haarcrisler kii na.ii range, tokyo ke si.ngaarhar ek jism ko aasuudgii kii KHvaahish thiihar ek aa.nkh me.n asbaab kii parastish thiiye inhimaak qayaadat me.n bhii nahii.n miltaaye suu-e-nafs-e-ibaadat me.n bhii nahii.n miltaa
jab ban siyaah raat ke taaro.n se bhar ga.ekunj-e-chaman me.n chamke shaguufe na.e na.emujh ko havaa ne baat sujhaa.ii ajiib siibaadal me.n ek shakl dikhaa.ii ajiib siichaa.nd aasmaa.n kii sej pe soyaa hu.aa milaara.ng-e-gul-e-anaar me.n luth.Daa hu.aa milaaai aashiqaan-e-husn-e-azal Gaur se sunomai.n barg-e-be-navaa to nahii.n huu.n ki chup rahuu.ndil ke kisii bhii shole ko uryaa.n na kar sakuu.nmai.n teG haath me.n liye suu-e-falak gayaajazbo.n ke ras se mahke hu.e chaa.nd tak gayaakaafii thaa ek vaar mirii teG-e-tez kaamahtaab ke badan se lahuu phuuT kar bahaa
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books