aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
Showing search results for "gaaraa"
chaar tinke uThaa ke jangal seek baalii anaaj kii le karchand qatre bilakte ashko.n kechand faaqe bujhe hu.e lab parmuTThii bhar apnii qabr kii miTTiimuTThii bhar aarzuu.o.n kaa gaaraaek ta.amiir kii, liye hasratteraa KHaana-ba-dosh be-chaarashahr me.n dar-ba-dar bhaTaktaa hai
jahaa.n me.n har taraf hai ilm hii kii garm-baazaariizamii.n se aasmaa.n tak bas isii kaa faiz hai jaariiyahii sar-chashma-e-aslii hai tahziib-o-tamaddun kaabaGair is ke bashar honaa bhii hai ik saKHt biimaariibanaataa hai yahii insaan ko kaamil-tariin insaa.nsikhaataa hai yahii aKHlaaq o iisaar o ravaa-daariiyahii qaumo.n ko pahu.nchaataa hai baam-e-auj-o-rif.at paryahii mulko.n ke andar phuu.nktaa hai ruuh-e-bedaariiisii ke naam kaa chaltaa hai sikka saare aalam me.nisii ke sar pe rahtaa hai hamesha taaj-e-sardaariiisii ke sab karishme ye nazar aate hai.n duniyaa me.nisii ke dam se raunaq aalam-e-imkaa.n kii hai saariiye laa-silkii, ye telephone ye raile.n, ye tayyaareye zer-e-aab o baalaa-e-falak insaa.n kii tarraariihuduud-e-istavaa qutbain se yuu.n ho ga.e mudGamki hai ab rub.a masko.n jaise ghar kii chaar-diivaariisamundar ho ga.e paayaab sahraa bin ga.e gulshankiyaa science ne bhii e.ataraaf-e-ijz-o-naachaariibuKHaar o barq kaa jarraar lashkar hai ab aamaadaugalvaa le zamiin o aasmaa.n kii daulate.n saariiGaraz chaaro.n taraf ab ilm hii kii baadshaahii haiki us ke baazuu.o.n me.n quvvat-e-dast-e-ilaahii hainigaah-e-Gaur se dekho agar haalaat-e-insaaniito ho saktaa hai hal ye uqda-e-mushkil ba-aasaaniivahii qaume.n taraqqii ke madaarij par hai.n faa.eq-tarki hai jin me.n tamaddun aur siyaasat kii faraavaaniiisii ke zo.am me.n hai germany charKH-e-tafaaKHur parisii ke zor par mirriiKH kaa ham-sar hai jaapaaniiisii kii quvvat-e-baazuu pe hai maGruur americaisii ke bil par la.Dkii ho rahii hai rustam-e-saaniiishaare par isii ke naql-o-harakat hai sab italy kiiisii ke taaba-e-farmaan hai.n ruusii o iiraaniiisii ke jumbish-e-abruu pe hai england kaa Garraisii ke hai.n sab aavurde francisi o albaaniiko.ii mulk ab nahii.n jin me.n ye jauhar ho na raKHshandana Gaafil is se chiinii hai.n na shaamii hai.n na afGaaniibaGair is ke jo rahnaa chaahte hai.n is zamaane me.nsamajh rakkhe.n fanaa un ke liye hai hukm-e-rabbaaniizamaana phe.nk degaa KHud unhe.n qa.ar-e-halaakat me.nvo apne haath se ho.nge KHud apnii qabr ke baaniizamaane me.n jise ho saahib-e-fat.h-o-zafar honaazaruurii hai use ilm-o-hunar se bahra-var honaataraqqii kii khulii hai.n shaahraahe.n dahr me.n har suunazar aataa hai tahziib-o-tamaddun se jahaa.n mamluuchale jaate hai.n u.Dte shahsavaaraan-e-falak-paimaaKHiraaj-e-tahniyat lete hu.e karte hu.e jaaduuguzarte jaa rahe hai.n duusro.n ko chho.Dte piichhekabhii hotaa hai sahraa mustaqar un kaa kabhii Taapukamar baa.ndhe hu.e din raat chalne par hai.n aamaadadimaaG afkaar se aur dil vufuur-e-shauq se maluulalag rah kar KHayaal-e-zahmat o ehsaas-e-raahat selage hai.n apnii apnii fikr me.n baa-KHaatir-e-yaksuumagar ham hai.n ki aslan his nahii.n ham ko ko.ii is kiihamaare paa-e-himmat in maraahil me.n hai.n be-qaabuujahaa.n pahlaa qadam rakkhaa thaa roz-e-avvalii.n ham nenahii.n sarke is apne aslii markaz se ba-qadr-e-muuye haalat hai ki ham par band hai har ek darvaazanazar aataa nahii.n hargiz ko.ii ummiid kaa pahluumagar vaa-hasrataa phir bhii ham apne zo.am-e-baatil me.nsamajhte hai.n zamaane bhar se aage KHud ko manzil me.nzaruurat hai ki ham me.n raushnii ho ilm kii paidaanazar aa.e hame.n bhii taaki asl-e-haalat-e-duniyaahame.n ma.aluum ho haalaat ab kyaa hai.n zamaane kehamaare saath kaa jo qaafila thaa vo kahaa.n pahu.nchaajo pastii me.n the ab vo jalva-gar hai.n baam-e-rif.at parjo baalak be-nishaa.n the aaj hai in kaa alam barpaahamaarii KHuubiyaa.n sab duusro.n ne chhiin lii.n ham sezamaane ne hame.n itnaa jhi.njho.Daa kar diyaa na.ngaaravaa-daarii, uKHuvvat, dostii, iisaar, hamdardiiKHayaal-e-mulk-o-millat dard-e-qaum, andesha-e-fardaaye sab jauhar hamaare the kabhii ai vaa.e-mahruumiibane hai.n KHuubii-e-qismat se jo ab Gair kaa hissaaagar ho jaa.e.n raaGib ab bhii ham ta.aliim kii jaanibto kar sakte hai.n ab bhii mulk me.n ham zindagii paidaabahut kuchh vaqt ham ne kho diyaa hai lekin is par bhiiagar chaahe.n to kar de.n pesh-rau ko apne ham paspaanikammaa kar diyaa hai kaahilii ne go hame.n lekinrago.n me.n hai hamaarii KHuun abhii tak dau.Dtaa phirtaako.ii maKHfii haraarat gar hamaare dil ko garmaa dehamaare jism me.n phir zindagii kii ruuh dau.Daa devatan vaalo bahut Gaafil rahe ab hosh me.n aa.ouTho be-daar ho aql-o-KHirad ko kaam me.n laa.otumhaare qaum ke bachcho.n me.n hai ta.aliim kaa fuqdaa.nye gutthii saKHt pechiida hai is ko jald suljhaa.oyahii bachche bil-aaKHir tum sabho.n ke jaa-nashii.n ho.ngetum apne saamne jaisaa unhe.n chaaho banaa jaa.obahut hii ra.nj-dah ho jaa.egii us vaqt kii Gaflatkahii.n aisaa na ho mauqa.a nikal jaane pe pachhtaa.oye hai kaar-e-aham do chaar is ko kar nahii.n sakteKHudaa-raa tum bhii apne farz kaa ehsaas farmaa.oye bojh aisaa nahii.n jis ko uThaa le.n chaar chhe mil karsahaaraa do, sahaaraa duusro.n se is me.n dilvaa.ojo zii-ehsaas hai.n haasil karo tum KHidmate.n un kiijo zii-parvaa hai.n un ko jis tarah ho us taraf laa.oGaraz jaise bhii ho jis shakl se bhii ho ye laazim haitum apne qaum ke bachcho.n ko ab ta.aliim dilvaa.oagar tum musta.iddii ko banaa loge shi.aar apnaayaqii.n jaano ki mustaqbil hai behad shaandaar apnaaKHudaavandaa! du.aa.o.n me.n hamaarii ho asar paidaashab-e-Gaflat hamaarii phir kare nuur-e-sahar paidaahamaare saare KHvaabiida qavaa be-daar ho jaa.e.nsar-e-nau ho phir in me.n zindagii kii karr-o-farr paidaahame.n ehsaas ho ham kaun the aur aaj ham kyaa hai.nkare.n maahaul-e-mulkii ke liye gahrii nazar paidaamilaa rakkhaa hai apne jauhar-e-kaamil ko miTTii me.nham ab bhii KHaak se kar sakte hai.n la.al-o-guhar paidaaagar chaahe.n to ham mushkil vatan kii dam me.n hal kar de.nhazaaro.n suurate.n kar sakte hai.n ham kaargar paidaaba-zaahir go ham ik tuuda hai.n bilkul raakh kaa lekinagar chaahe.n to KHaakistar se kar de.n sau sharar paidaavatan kaa nakbat o aflaas kho de.n ham ishaare me.njahaa.n Thokar lagaa de.n ho vahii.n se kaan-e-zar paidaaham is manzil ke aaKHir par pahu.nch kar bil-yaqii.n dam le.nagar kuchh taaza-dam ho jaa.e.n apne ham-safar paidaajo koshish muttahid ho kar kahii.n ik baar ho jaa.eyaqii.n hai mulk kii qismat kaa be.Daa paar ho jaa.e
june kii garmii ka.Daktii dhuup luu chaltii hu.iihar gha.Dii mazduur ke sar se qazaa Taltii hu.iisar pe gaare kii ka.Dhaa.ii aur diivaar-e-bulandhaa.nptaa vo cha.Dh rahaa hai le ke himmat kii kamandpaa.D par pahu.nchaa to ik gaalii sunii me.amaar sejii me.n aayaa sar ko Takraa de usii diivaar sehaa.e us mazluum kii majbuuriyaa.n naa-chaariyaa.njaan kaa aazaar hai.n iflaas kii biimaariyaa.ndil me.n kahtaa hai ki ye me.amaar bhii mazduur haiphir yahii jaan-e-hazii.n kyuu.n is qadar maqhuur haius kii ujrat mujh se dugunii hai magar kam hai shu.uurtamkanat kis baat par kis chiiz par itnaa Guruurmai.n agar naadaar huu.n ye bhii nahii.n sarmaaya-daarbhuut vo hai kis ba.Daa.ii kaa jo us par hai savaarii.nT gaaraa mai.n na duu.n us ko to ye kis kaam kaaasl me.n me.amaar mai.n huu.n ye faqat hai naam kaamerii himmat kah rahii.n hai.n kaaKH-e-diivaan-e-bulandaah is par bhii mai.n duniyaa me.n huu.n itnaa mustamandlag gayaa phir kaam me.n ye soch kar vo bad-nasiibai KHudaa duniyaa me.n itnaa bhii na ho ko.ii Gariibdin Dhalaa jis vaqt maalik bhii makaa.n kaa aa gayaaik sukuut-e-marg saa diivaar-o-dar par chhaa gayaakaa.nptaa rahtaa hai har mazduur jis ke naam sesab usii dhun me.n the vo KHush ho hamaare kaam seus kii peshaanii pe lekin bal zaraa aane lagephan uThaa kar tamkanat ke saa.np lahraane lagesab se pahle us ne gaalii dii usii me.amaar koapnii milkiyyat jo samjhaa thaa har ik diivaar kojosh-e-naKHvat se kahaa us ne ki ai paajii la.ii.nkal jahaa.n tak thii ga.ii diivaar ab bhii hai vahii.nkyaa kiyaa hai tuu ne din-bhar me.n zaraa mujh ko bataayuu.n takabbur me.n vo aa kar jaa.eza lene lagaadil me.n vo mazduur phir kahne lagaa uf re Gazabjo bhii is duniyaa me.n hai.n fir.aun hai.n vo sab ke sabjis kaa jis par bas chale paamaal kartaa hai useKHud agar KHush-haal hai bad-haal kartaa hai usekyaa kahuu.n sarmaaya-daaro.n ke sitam kii daastaa.ndiida-e-mazduur hai mazduur se bhii KHuu.nfishaa.njis kii laaThii us kii bhai.ns is misl ko saadiq samajhye samajh kar is KHudaa-e-paak ko raaziq samajh
diivaaro.n par gaaraa miltehaath adhuure rah jaa.e.ngeaadhe aadhe logo.n andar puure KHvaab mashaqqat jaisekaahe kaaT sake hai ko.iiitnaa to batlaayaa hotaadekh nii maa.e!kiikar kii shaaKHo.n sii baate.nroz nagalnii pa.D jaa.e.n toha.nDiyaa kachchii rah jaatii haiha.nDiyaa kachchii rah jaa.e to pakke lafz hathau.Daa ban karman kaa kachlaa kar dete hai.nTaaT kaa paivand aa.nkh me.n ho toresham tho.Daa pa.D jaataa haisaa.ns kii puunii punte puntejiivan aadhaa rah jaataa haiuplo.n kii diivaare.n ik dinjism ke bhiitar dar aatii haisahn kaa shiisham pe.ng ke mausam se pahle murjhaa jaataa haibaa.nhe.n jhuulaa ban jaatii hai.nGam ko pa.nkhii jhalte jhaltesaarii baate.n man andar kii kachraa ghaaTii ban jaatii hai.naavaazo.n kii is duniyaa me.ntanhaa baate.n karte kartebanda rogii ho jaataa haisar kii chaa.ndii me.n naalii kaa tel chapa.D karnashsha karne vaale jogiipyaas bujhaane aa jaate hai.nmushk kaa baalan ban jaataa haiaur phir duniyaa naam badal kar kaise paagal kar detii hai!dekh nii maa.e!
mai.n raakh zada muskuraahaT jantii huu.nkhi.nchtii hai.n lakiire.naur nuquush biga.Dte chale jaate hai.ntumhaarii muskuraahaT kii taraavat kyo.n nahii.n jaatiiye to aur hii rang kaa gaaraa haikis ne guu.ndhii hai merii miTTiira.ng hii nahii.n badaltaamai.n apne rang me.ntumhaaraa rang milaatii huu.nna mai.n rahtii huu.naur na tumaave kaa KHaalii-pan qahqahe lagaane lagtaa haiDhale Dhalaa.etarshe tarshaa.etumhe.n pahchaan.naa mushkil to nahii.nmagar merii pore.ntumhe.n pahchaan.ne se qaasir hai.ntumhaaraa vajuud kis miTTii se banaa haigaare kii khan-khanaahaT hii nahii.n jaatii
kaise niklegaa jiite-jii dil se Dar kaa kaa saahibkab KHauf kii vahshii galiyo.n me.n bhaTkii hu.ii saa.at lauTegii?kab andesho.n ke saa.np mire pe.Do.n se lipaTnaa chho.De.nge?sahme hu.e shabdo.n ko apne siine se lagaa.e baiThii huu.nkaise batlaa.uu.n kyuu.n mujh ko din ke zahriile haatho.n se!shaamo.n ke surKH aasebo.n se, raato.n kii be-dil aa.nkho.n se!aur aas ke aaTho.n pahro.n se!Dar lagtaa haiKHvaabo.n ke ran me.n pa.De hu.e KHvaahish ke adhuure jismo.n seaur maan kii ruuh me.n ga.De hu.e tar panjo.n sejaanii-pahchaanii aa.nkho.n me.n pinhaa.n an-jaanii vahshat serishto.n ke mazbah-KHaano.n sebandhan kii zinda laasho.n seDar lagtaa haiis jism kii diivaaro.n me.n hai Dar kaa KHasta gaaraa saahibshiishe me.n raqsaa.n saayo.n se, saa.nso.n aur aavaazo.n sepal pal me.n badalte ra.ngo.n se! Dar lagtaa hai..........niilii pa.D jaatii huu.n saahibchehre kii piilii ra.ngat ko kab tak mai.n chhupaa.uu.n Gaaze me.n?
abr-e-siyah kii farsuuda vo chaadartaariik rakhtii kab tak ye manzartal.at pe zulmat kyaa Gaalib aatiikhulte na kab tak fitrat ke jauhardaaman ghaTaa kaa KHud chaak karkedekho vo niklaa maah-e-munavvarye KHaas maz.har mahr-e-mubii.n kaakitnaa hasii.n hai allaahu-akbarjo ruup is kaa vo ruup us kaaitnaa mushaabah chehra hai kis kaa
chalo aa.oham apne bank keba.Dhte asaaso.n ke tanaasub sena.ii building banaa.e.naur is ta.amiir me.nham vo visaa.el kaam me.n laa.e.njo pas-maa.nda mumaalik kesabhii naadaar jismo.n me.nzaKHiira hai.nchalo aa.oham in jismo.n kii saarii haDDiyo.n koKHuub kuuTe.nphir in ko piis ke gaaraa banaa.e.nham in ke gosh ke Tuk.De jalaa karplastar bhii banaa.e.n aur Daamar bhiimagar saare amal me.nvo ta.affun kam se kam ho jokisii bhii chiiz ke jalne se chou-tarfaafazaa me.n phuuT pa.Dtaa hai
janm kaa pahlaa dev-maalaa.ii mausam guzar gayaaaur tum ruk ga.eaaKHirii qadam ke aage diivaar kii ii.nTe.n chunte chunte raat ho ga.iito mai.n ne sochaajaane zanjiiro.n kaa tuul kaun se mausam se kaun se mausam tak haimagar aage sirf laa-mahduudiat hai yaa phir diivaarjis kii ii.nTo.n kaa gaaraa vaqt kii miTTii se banaa haitanhaa.ii kaa paanii aaKHirii qadam ke aage diivaar ko mazbuut kar detaa haito achaanak raat apnaa sar uThaatii haitumhe.n nahii.n maaluumsaa.np Dasne se pahle kitnii der phan phailaa.e kha.Daa rahaaaur tum kahaa.n ruke theaur apne aage diivaar kii bulandii ke saamnetumhe.n kuchh nahii.n maaluumsirf ek baat ke sivaaki har janm kaa sirf ek hii dev-maalaa.ii mausam hotaa hai
koh-e-almaas parmausamo.n aur rango.n ke jaaduu bhare des me.nibn-e-adnaa ko ik baar phir se bulaayaa gayaaibn-e-adnaa ki apne kamaal-e-mahaarat me.n be-misl thaaek amboh us ke fusuu.n kii itaa'at me.n thaadevtaa.o.n kaa vo laaDlaaqaum kii rahbarii us ke hisse me.n thiiKHilqat-e-shahr sab us ke halqe me.n thiibe-zabaa.nKHilqat-e-shahr-e-aazurdagaa.naasmaa.n se utaarii ga.ii mushkilo.n se nabard-aazmaa niim-jaa.napnii haalat pe nauha-kunaa.naur vohar nafas devtaa.o.n kii hamd-o-munaajaat me.n musta'idek nuuraanii bahruupjis ke tavassul se is shahr-e-zulmaat me.nmushkilo.n ke KHudaa.o.n kii saarii KHudaa.iibahut shaan sezindagii ke shajar se KHaraaj-e-musalsal talab kar rahii thii
tum ham se milo ham shoriidaharfo.n kii bunat ke girviidamizhgaa.n pe abad kii KHaak liyeik chaak ghumaate rahte hai.nsiine ke aave me.n rakkheham kuuza-garo.n ne KHvaab apneye gaaraa qarno.n sadiyo.n seik dhiimii aa.nch me.n paktaa haiye aavaa yuu.nhii jaltaa haitum ham se milo ham shoriidaaflaak se uljhe baiThe hai.n
har baar mere saamne aatii rahii ho tumhar baar tum se mil ke bichha.Dtaa rahaa huu.n mai.ntum kaun ho ye KHud bhii nahii.n jaantii ho tummai.n kaun huu.n ye KHud bhii nahii.n jaantaa huu.n mai.ntum mujh ko jaan kar hii pa.Dii ho azaab me.naur is tarah KHud apnii sazaa ban gayaa huu.n mai.n
kyuu.n ziyaa.n-kaar banuu.n suud-faraamosh rahuu.nfikr-e-fardaa na karuu.n mahv-e-Gam-e-dosh rahuu.nnaale bulbul ke sunuu.n aur hama-tan gosh rahuu.nham-navaa mai.n bhii ko.ii gul huu.n ki KHaamosh rahuu.njur.at-aamoz mirii taab-e-suKHan hai mujh koshikva allaah se KHaakam-ba-dahan hai mujh kohai bajaa sheva-e-tasliim me.n mash.huur hai.n hamqissa-e-dard sunaate hai.n ki majbuur hai.n hamsaaz KHaamosh hai.n fariyaad se maamuur hai.n hamnaala aataa hai agar lab pe to ma.azuur hai.n hamai KHudaa shikva-e-arbaab-e-vafaa bhii sun leKHuugar-e-hamd se tho.Daa saa gila bhii sun lethii to maujuud azal se hii tirii zaat-e-qadiimphuul thaa zeb-e-chaman par na pareshaa.n thii shamiimshart insaaf hai ai saahib-e-altaaf-e-amiimbuu-e-gul phailtii kis tarah jo hotii na nasiimham ko jam.iiyat-e-KHaatir ye pareshaanii thiivarna ummat tire mahbuub kii diivaanii thiiham se pahle thaa ajab tere jahaa.n kaa manzarkahii.n masjuud the patthar kahii.n ma.abuud shajarKHuugar-e-paikar-e-mahsuus thii insaa.n kii nazarmaantaa phir ko.ii an-dekhe KHudaa ko kyuu.nkartujh ko ma.aluum hai letaa thaa ko.ii naam tiraaquvvat-e-baazu-e-muslim ne kiyaa kaam tiraabas rahe the yahii.n saljuuq bhii tuuraanii bhiiahl-e-chii.n chiin me.n iiraan me.n saasaanii bhiiisii maamuure me.n aabaad the yuunaanii bhiiisii duniyaa me.n yahuudii bhii the nasraanii bhiipar tire naam pe talvaar uThaa.ii kis nebaat jo big.Dii hu.ii thii vo banaa.ii kis nethe hamii.n ek tire maarka-aaraa.o.n me.nKHushkiyo.n me.n kabhii la.Dte kabhii dariyaa.o.n me.ndii.n azaane.n kabhii europe ke kaliisaa.o.n me.nkabhii africa ke tapte hu.e sahraa.o.n me.nshaan aa.nkho.n me.n na jachtii thii jahaa.n-daaro.n kiikalma pa.Dhte the hamii.n chhaa.nv me.n talvaaro.n kiiham jo jiite the to jango.n kii musiibat ke liyeaur marte the tire naam kii azmat ke liyethii na kuchh teGzanii apnii hukuumat ke liyesar-ba-kaf phirte the kyaa dahr me.n daulat ke liyeqaum apnii jo zar-o-maal-e-jahaa.n par martiibut-faroshii ke evaz but-shikanii kyuu.n kartiiTal na sakte the agar jang me.n a.D jaate thepaa.nv shero.n ke bhii maidaa.n se ukha.D jaate thetujh se sarkash hu.aa ko.ii to biga.D jaate theteG kyaa chiiz hai ham top se la.D jaate thenaqsh-e-tauhiid kaa har dil pe biThaayaa ham nezer-e-KHanjar bhii ye paiGaam sunaayaa ham netuu hii kah de ki ukhaa.Daa dar-e-KHaibar kis neshahr qaisar kaa jo thaa us ko kiyaa sar kis neto.De maKHluuq KHudaa-vando.n ke paikar kis nekaaT kar rakh diye kuffaar ke lashkar kis nekis ne ThanDaa kiyaa aatish-kada-e-iiraa.n kokis ne phir zinda kiyaa tazkira-e-yazdaa.n kokaun sii qaum faqat terii talabgaar hu.iiaur tere liye zahmat-kash-e-paikaar hu.iikis kii shamshiir jahaa.ngiir jahaa.n-daar hu.iikis kii takbiir se duniyaa tirii bedaar hu.iikis kii haibat se sanam sahme hu.e rahte themu.nh ke bal gir ke huu-allahu-ahad kahte theaa gayaa ain la.Daa.ii me.n agar vaqt-e-namaazqibla-ruu ho ke zamii.n-bos hu.ii qaum-e-hijaazek hii saf me.n kha.De ho ga.e mahmuud o ayaazna ko.ii banda rahaa aur na ko.ii banda-navaazbanda o saahab o mohtaaj o Ganii ek hu.eterii sarkaar me.n pahu.nche to sabhii ek hu.emahfil-e-kaun-o-makaa.n me.n sahar o shaam phiremai-e-tauhiid ko le kar sifat-e-jaam phirekoh me.n dasht me.n le kar tiraa paiGaam phireaur ma.aluum hai tujh ko kabhii naakaam phiredasht to dasht hai.n dariyaa bhii na chho.De ham nebahr-e-zulmaat me.n dau.Daa diye gho.De ham nesafha-e-dahr se baatil ko miTaayaa ham nenau-e-insaa.n ko Gulaamii se chhu.Daayaa ham netere ka.abe ko jabiino.n se basaayaa ham netere qur.aan ko siino.n se lagaayaa ham nephir bhii ham se ye gila hai ki vafaadaar nahii.nham vafaadaar nahii.n tuu bhii to dildaar nahii.nummate.n aur bhii hai.n un me.n gunahgaar bhii hai.nijz vaale bhii hai.n mast-e-mai-e-pindaar bhii hai.nun me.n kaahil bhii hai.n Gaafil bhii hai.n hushyaar bhii hai.nsaik.Do.n hai.n ki tire naam se be-zaar bhii hai.nrahmate.n hai.n tirii aGyaar ke kaashaano.n parbarq girtii hai to bechaare musalmaano.n parbut sanam-KHaano.n me.n kahte hai.n musalmaan ga.ehai KHushii un ko ki ka.abe ke nigahbaan ga.emanzil-e-dahr se uu.nTo.n ke hudii-KHvaan ga.eapnii baGlo.n me.n dabaa.e hu.e qur.aan ga.eKHanda-zan kufr hai ehsaas tujhe hai ki nahii.napnii tauhiid kaa kuchh paas tujhe hai ki nahii.nye shikaayat nahii.n hai.n un ke KHazaane maamuurnahii.n mahfil me.n jinhe.n baat bhii karne kaa shu.uurqahr to ye hai ki kaafir ko mile.n huur o qusuuraur bechaare musalmaa.n ko faqat vaada-e-huurab vo altaaf nahii.n ham pe inaayaat nahii.nbaat ye kyaa hai ki pahlii sii mudaaraat nahii.nkyuu.n musalmaano.n me.n hai daulat-e-duniyaa naayaabterii qudrat to hai vo jis kii na had hai na hisaabtuu jo chaahe to uThe siina-e-sahraa se habaabrah-rav-e-dasht ho sailii-zada-e-mauj-e-saraabtaan-e-aGyaar hai rusvaa.ii hai naadaarii haikyaa tire naam pe marne kaa evaz KHvaarii haibanii aGyaar kii ab chaahne vaalii duniyaarah ga.ii apne liye ek KHayaalii duniyaaham to ruKHsat hu.e auro.n ne sa.nbhaalii duniyaaphir na kahnaa hu.ii tauhiid se KHaalii duniyaaham to jiite hai.n ki duniyaa me.n tiraa naam rahekahii.n mumkin hai ki saaqii na rahe jaam raheterii mahfil bhii ga.ii chaahne vaale bhii ga.eshab kii aahe.n bhii ga.ii.n sub.h ke naale bhii ga.edil tujhe de bhii ga.e apnaa sila le bhii ga.eaa ke baiThe bhii na the aur nikaale bhii ga.eaa.e ushshaaq ga.e vaada-e-fardaa le karab unhe.n Dhuu.nD charaaG-e-ruKH-e-zebaa le kardard-e-lailaa bhii vahii qais kaa pahluu bhii vahiinajd ke dasht o jabal me.n ram-e-aahuu bhii vahiiishq kaa dil bhii vahii husn kaa jaaduu bhii vahiiummat-e-ahmad-e-mursil bhii vahii tuu bhii vahiiphir ye aazurdagi-e-Gair sabab kyaa ma.aniiapne shaidaa.o.n pe ye chashm-e-Gazab kyaa ma.aniitujh ko chho.Daa ki rasuul-e-arabii ko chho.Daabut-garii pesha kiyaa but-shikanii ko chho.Daaishq ko ishq kii aashufta-sarii ko chho.Daarasm-e-salmaan o uvais-e-qaranii ko chho.Daaaag takbiir kii siino.n me.n dabii rakhte hai.nzindagii misl-e-bilaal-e-habashii rakhte hai.nishq kii KHair vo pahlii sii adaa bhii na sahiijaada-paimaali-e-tasliim-o-razaa bhii na sahiimuztarib dil sifat-e-qibla-numaa bhii na sahiiaur paabandi-e-aa.iin-e-vafaa bhii na sahiikabhii ham se kabhii Gairo.n se shanaasaa.ii haibaat kahne kii nahii.n tuu bhii to harjaa.ii haisar-e-faaraa.n pe kiyaa diin ko kaamil tuu neik ishaare me.n hazaaro.n ke liye dil tuu neaatish-andoz kiyaa ishq kaa haasil tuu nephuu.nk dii garmi-e-ruKHsaar se mahfil tuu neaaj kyuu.n siine hamaare sharer-aabaad nahii.nham vahii soKHta-saamaa.n hai.n tujhe yaad nahii.nvaadii-e-najd me.n vo shor-e-salaasil na rahaaqais diivaana-e-nazzaara-e-mahmil na rahaahausle vo na rahe ham na rahe dil na rahaaghar ye uj.Daa hai ki tuu raunaq-e-mahfil na rahaaai KHushaa aa.n roz ki aa.ii o ba-sad naaz aa.iibe-hijaabaana suu-e-mahfil-e-maa baaz aa.iibaada-kash Gair hai.n gulshan me.n lab-e-juu baiThesunte hai.n jaam-ba-kaf naGma-e-kuu-kuu baiThedaur ha.ngaama-e-gulzaar se yaksuu baiThetere diivaane bhii hai.n muntazir-e-huu baiTheapne parvaano.n ko phir zauq-e-KHud-afrozii debarq-e-deriina ko farmaan-e-jigar-sozii deqaum-e-aavaara inaa.n-taab hai phir suu-e-hijaazle u.Daa bulbul-e-be-par ko mazaaq-e-parvaazmuztarib-e-baaG ke har Gunche me.n hai buu-e-niyaaztuu zaraa chhe.D to de tishna-e-mizraab hai saaznaGme betaab hai.n taaro.n se nikalne ke liyetuur muztar hai usii aag me.n jalne ke liyemushkile.n ummat-e-marhuum kii aasaa.n kar demor-e-be-maaya ko ham-dosh-e-sulaimaa.n kar dejins-e-naayaab-e-mohabbat ko phir arzaa.n kar dehind ke dair-nashiino.n ko musalmaa.n kar dejuu-e-KHuu.n mii chakad az hasrat-e-dairiina-e-maamii tapad naala ba-nishtar kada-e-siina-e-maabuu-e-gul le ga.ii bairuun-e-chaman raaz-e-chamankyaa qayaamat hai ki KHud phuul hai.n Gammaaz-e-chamanahd-e-gul KHatm hu.aa TuuT gayaa saaz-e-chamanu.D ga.e Daaliyo.n se zamzama-pardaaz-e-chamanek bulbul hai ki mahv-e-tarannum ab takus ke siine me.n hai naGmo.n kaa talaatum ab takqumriyaa.n shaaKH-e-sanobar se gurezaa.n bhii hu.ii.npattiyaa.n phuul kii jha.D jha.D ke pareshaa.n bhii hu.ii.nvo puraanii raushe.n baaG kii viiraa.n bhii hu.ii.nDaaliyaa.n pairahan-e-barg se uryaa.n bhii hu.ii.nqaid-e-mausam se tabii.at rahii aazaad us kiikaash gulshan me.n samajhtaa ko.ii fariyaad us kiilutf marne me.n hai baaqii na maza jiine me.nkuchh maza hai to yahii KHuun-e-jigar piine me.nkitne betaab hai.n jauhar mire aa.iine me.nkis qadar jalve ta.Dapte hai.n mire siine me.nis gulistaa.n me.n magar dekhne vaale hii nahii.ndaaG jo siine me.n rakhte ho.n vo laale hii nahii.nchaak is bulbul-e-tanhaa kii navaa se dil ho.njaagne vaale isii baa.ng-e-daraa se dil ho.nya.anii phir zinda na.e ahd-e-vafaa se dil ho.nphir isii baada-e-dairiina ke pyaase dil ho.najamii KHum hai to kyaa mai to hijaazii hai miriinaGma hindii hai to kyaa lai to hijaazii hai mirii
dil se jo baat nikaltii hai asar rakhtii haipar nahii.n taaqat-e-parvaaz magar rakhtii haiqudsi-ul-asl hai rif.at pe nazar rakhtii haiKHaak se uThtii hai garduu.n pe guzar rakhtii haiishq thaa fitnagar o sarkash o chaalaak miraaaasmaa.n chiir gayaa naala-e-bebaak miraapiir-e-garduu.n ne kahaa sun ke kahii.n hai ko.iibole sayyaare sar-e-arsh-e-barii.n hai ko.iichaa.nd kahtaa thaa nahii.n ahl-e-zamii.n hai ko.iikahkashaa.n kahtii thii poshiida yahii.n hai ko.iikuchh jo samjhaa mire shikve ko to rizvaa.n samjhaamujh ko jannat se nikaalaa hu.aa insaa.n samjhaathii farishto.n ko bhii hairat ki ye aavaaz hai kyaaarsh vaalo.n pe bhii khultaa nahii.n ye raaz hai kyaataa-sar-e-arsh bhii insaa.n kii tag-o-taaz hai kyaaaa ga.ii KHaak kii chuTkii ko bhii parvaaz hai kyaaGaafil aadaab se sukkaan-e-zamii.n kaise hai.nshoKH o gustaaKH ye pastii ke makii.n kaise hai.nis qadar shoKH ki allaah se bhii barham haithaa jo masjuud-e-malaa.ik ye vahii aadam haiaalim-e-kaif hai daanaa-e-rumuuz-e-kam haihaa.n magar ijz ke asraar se naa-mahram hainaaz hai taaqat-e-guftaar pe insaano.n kobaat karne kaa saliiqa nahii.n naa-daano.n koaa.ii aavaaz Gam-a.ngez hai afsaana tiraaashk-e-betaab se labrez hai paimaana tiraaaasmaa.n-giir hu.aa naara-e-mastaana tiraakis qadar shoKH-zabaa.n hai dil-e-diivaana tiraashukr shikve ko kiyaa husn-e-adaa se tuu neham-suKHan kar diyaa bando.n ko KHudaa se tuu neham to maa.il-ba-karam hai.n ko.ii saa.il hii nahii.nraah dikhlaa.e.n kise rah-rav-e-manzil hii nahii.ntarbiyat aam to hai jauhar-e-qaabil hii nahii.njis se ta.amiir ho aadam kii ye vo gil hii nahii.nko.ii qaabil ho to ham shaan-e-ka.ii dete hai.nDhuu.nDne vaalo.n ko duniyaa bhii na.ii dete hai.nhaath be-zor hai.n ilhaad se dil KHuugar hai.nummatii baa.is-e-rusvaa.i-e-paiGambar hai.nbut-shikan uTh ga.e baaqii jo rahe but-gar hai.nthaa braahiim pidar aur pisar aazar hai.nbaada-aashaam na.e baada nayaa KHum bhii na.eharam-e-kaaba nayaa but bhii na.e tum bhii na.evo bhii din the ki yahii maaya-e-raanaa.ii thaanaazish-e-mausam-e-gul laala-e-sahraa.ii thaajo musalmaan thaa allaah kaa saudaa.ii thaakabhii mahbuub tumhaaraa yahii harjaa.ii thaakisii yakjaa.ii se ab ahd-e-Gulaamii kar lomillat-e-ahmad-e-mursil ko maqaamii kar lokis qadar tum pe giraa.n sub.h kii bedaarii haiham se kab pyaar hai haa.n nii.nd tumhe.n pyaarii haitab-e-aazaad pe qaid-e-ramazaa.n bhaarii haitumhii.n kah do yahii aa.iin-e-vafaadaarii haiqaum maz.hab se hai maz.hab jo nahii.n tum bhii nahii.njazb-e-baaham jo nahii.n mahfil-e-anjum bhii nahii.njin ko aataa nahii.n duniyaa me.n ko.ii fan tum honahii.n jis qaum ko parvaa-e-nasheman tum hobijliyaa.n jis me.n ho.n aasuuda vo KHirman tum hobech khaate hai.n jo aslaaf ke madfan tum hoho niko naam jo qabro.n kii tijaarat kar kekyaa na bechoge jo mil jaa.e.n sanam patthar kesafha-e-dahr se baatil ko miTaayaa kis nenau-e-insaa.n ko Gulaamii se chhu.Daayaa kis nemere ka.abe ko jabiino.n se basaayaa kis nemere qur.aan ko siino.n se lagaayaa kis nethe to aabaa vo tumhaare hii magar tum kyaa hohaath par haath dhare muntazir-e-fardaa hokyaa kahaa bahr-e-musalmaa.n hai faqat vaada-e-huurshikva bejaa bhii kare ko.ii to laazim hai shu.uuradl hai faatir-e-hastii kaa azal se dastuurmuslim aa.ii.n hu.aa kaafir to mile huur o qusuurtum me.n huuro.n kaa ko.ii chaahne vaalaa hii nahii.njalva-e-tuur to maujuud hai muusaa hii nahii.nmanfa.at ek hai is qaum kaa nuqsaan bhii ekek hii sab kaa nabii diin bhii iimaan bhii ekharam-e-paak bhii allaah bhii qur.aan bhii ekkuchh ba.Dii baat thii hote jo musalmaan bhii ekfirqa-bandii hai kahii.n aur kahii.n zaate.n hai.nkyaa zamaane me.n panapne kii yahii baate.n hai.nkaun hai taarik-e-aa.iin-e-rasuul-e-muKHtaarmaslahat vaqt kii hai kis ke amal kaa me.aarkis kii aa.nkho.n me.n samaayaa hai shi.aar-e-aGyaarho ga.ii kis kii nigah tarz-e-salaf se be-zaarqalb me.n soz nahii.n ruuh me.n ehsaas nahii.nkuchh bhii paiGaam-e-mohammad kaa tumhe.n paas nahii.njaa ke hote hai.n masaajid me.n saf-aaraa to Gariibzahmat-e-roza jo karte hai.n gavaaraa to Gariibnaam letaa hai agar ko.ii hamaaraa to Gariibparda rakhtaa hai agar ko.ii tumhaaraa to Gariibumaraa nashsha-e-daulat me.n hai.n Gaafil ham sezinda hai millat-e-baizaa Gorabaa ke dam sevaa.iz-e-qaum kii vo puKHta-KHayaalii na rahiibarq-e-tab.ii na rahii shola-maqaalii na rahiirah ga.ii rasm-e-azaa.n ruuh-e-bilaalii na rahiifalsafa rah gayaa talqiin-e-Gazaalii na rahiimasjide.n marsiyaa.n-KHvaa.n hai.n ki namaazii na raheyaanii vo sahib-e-ausaaf-e-hijaazii na raheshor hai ho ga.e duniyaa se musalmaa.n naabuudham ye kahte hai.n ki the bhii kahii.n muslim maujuudvaz.a me.n tum ho nasaaraa to tamaddun me.n hunuudye musalmaa.n hai.n jinhe.n dekh ke sharmaa.e.n yahuudyuu.n to sayyad bhii ho mirzaa bhii ho afGaan bhii hotum sabhii kuchh ho bataa.o to musalmaan bhii hodam-e-taqriir thii muslim kii sadaaqat bebaakadl us kaa thaa qavii laus-e-maraa.aat se paakshajar-e-fitrat-e-muslim thaa hayaa se namnaakthaa shujaa.at me.n vo ik hasti-e-fauq-ul-idraakKHud-gudaazii nam-e-kaifiyat-e-sahbaa-yash buudKHaalii-az-KHesh shudan suurat-e-miinaa-yash buudhar musalmaa.n rag-e-baatil ke liye nashtar thaaus ke aa.iina-e-hastii me.n amal jauhar thaajo bharosaa thaa use quvvat-e-baazuu par thaahai tumhe.n maut kaa Dar us ko KHudaa kaa Dar thaabaap kaa ilm na beTe ko agar azbar hophir pisar qaabil-e-miiraas-e-pidar kyuu.nkar hohar ko.ii mast-e-mai-e-zauq-e-tan-aasaanii haitum musalmaa.n ho ye andaaz-e-musalmaanii haihaidarii faqr hai ne daulat-e-usmaanii haitum ko aslaaf se kyaa nisbat-e-ruuhaanii haivo zamaane me.n mu.azziz the musalmaa.n ho karaur tum KHvaar hu.e taarik-e-qur.aa.n ho kartum ho aapas me.n Gazabnaak vo aapas me.n rahiimtum KHataa-kaar o KHataa-bii.n vo KHataa-posh o kariimchaahte sab hai.n ki ho.n auj-e-surayyaa pe muqiimpahle vaisaa ko.ii paidaa to kare qalb-e-saliimtaKHt-e-faGfuur bhii un kaa thaa sariir-e-ka.e bhiiyuu.n hii baate.n hai.n ki tum me.n vo hamiyat hai bhiiKHud-kushii sheva tumhaaraa vo Gayuur o KHuddaartum uKHuvvat se gurezaa.n vo uKHuvvat pe nisaartum ho guftaar saraapaa vo saraapaa kirdaartum taraste ho kalii ko vo gulistaa.n ba-kanaarab talak yaad hai qaumo.n ko hikaayat un kiinaqsh hai safha-e-hastii pe sadaaqat un kiimisl-e-anjum ufuq-e-qaum pe raushan bhii hu.ebut-e-hindii kii mohabbat me.n birhman bhii hu.eshauq-e-parvaaz me.n mahjuur-e-nasheman bhii hu.ebe-amal the hii javaa.n diin se bad-zan bhii hu.ein ko tahziib ne har band se aazaad kiyaalaa ke ka.abe se sanam-KHaane me.n aabaad kiyaaqais zahmat-kash-e-tanhaa.i-e-sahraa na raheshahr kii khaa.e havaa baadiya-paimaa na rahevo to diivaana hai bastii me.n rahe yaa na raheye zaruurii hai hijaab-e-ruKH-e-lailaa na rahegila-e-zaur na ho shikva-e-bedaad na hoishq aazaad hai kyuu.n husn bhii aazaad na hoahd-e-nau barq hai aatish-zan-e-har-KHirman haiaiman is se ko.ii sahraa na ko.ii gulshan haiis na.ii aag kaa aqvaam-e-kuhan ii.ndhan haimillat-e-KHatm-e-rusul shola-ba-pairaahan haiaaj bhii ho jo braahiim kaa iimaa.n paidaaaag kar saktii hai andaaz-e-gulistaa.n paidaadekh kar ra.ng-e-chaman ho na pareshaa.n maaliiKaukab-e-Guncha se shaaKHe.n hai.n chamakne vaaliiKHas o KHaashaak se hotaa hai gulistaa.n KHaaliiGul-bar-andaaz hai KHuun-e-shohdaa kii laaliira.ng garduu.n kaa zaraa dekh to unnaabii haiye nikalte hu.e suuraj kii ufuq-taabii haiummate.n gulshan-e-hastii me.n samar-chiida bhii hai.naur mahruum-e-samar bhii hai.n KHizaa.n-diida bhii hai.nsaik.Do.n naKHl hai.n kaahiida bhii baaliida bhii hai.nsaik.Do.n batn-e-chaman me.n abhii poshiida bhii hai.nnaKHl-e-islaam namuuna hai birau-mandii kaaphal hai ye saik.Do.n sadiyo.n kii chaman-bandii kaapaak hai gard-e-vatan se sar-e-daamaa.n teraatuu vo yuusuf hai ki har misr hai kan.aa.n teraaqaafila ho na sakegaa kabhii viiraa.n teraaGair yak-baa.ng-e-daraa kuchh nahii.n saamaa.n teraanaKHl-e-shama astii o dar shola do-resha-e-tuuaaqibat-soz bavad saaya-e-andesha-e-tuutuu na miT jaa.egaa iiraan ke miT jaane senashsha-e-mai ko ta'alluq nahii.n paimaane sehai ayaa.n yurish-e-taataar ke afsaane sepaasbaa.n mil ga.e ka.abe ko sanam-KHaane sekashti-e-haq kaa zamaane me.n sahaaraa tuu haiasr-e-nau-raat hai dhundlaa saa sitaaraa tuu haihai jo ha.ngaama bapaa yurish-e-bulGaarii kaaGaafilo.n ke liye paiGaam hai bedaarii kaatuu samajhtaa hai ye saamaa.n hai dil-aazaarii kaaimtihaa.n hai tire iisaar kaa KHuddaarii kaakyuu.n hiraasaa.n hai sahiil-e-faras-e-aadaa senuur-e-haq bujh na sakegaa nafas-e-aadaa sechashm-e-aqvaam se maKHfii hai haqiiqat teriihai abhii mahfil-e-hastii ko zaruurat teriizinda rakhtii hai zamaane ko haraarat teriikaukab-e-qismat-e-imkaa.n hai KHilaafat teriivaqt-e-fursat hai kahaa.n kaam abhii baaqii hainuur-e-tauhiid kaa itmaam abhii baaqii haimisl-e-buu qaid hai Gunche me.n pareshaa.n ho jaaraKHt-bar-dosh havaa-e-chamanistaa.n ho jaahai tunak-maaya tuu zarre se bayaabaa.n ho jaanaGma-e-mauj hai ha.ngaama-e-tuufaa.n ho jaaquvvat-e-ishq se har past ko baalaa kar dedahr me.n ism-e-mohammad se ujaalaa kar deho na ye phuul to bulbul kaa tarannum bhii na hochaman-e-dahr me.n kaliyo.n kaa tabassum bhii na hoye na saaqii ho to phir mai bhii na ho KHum bhii na hobazm-e-tauhiid bhii duniyaa me.n na ho tum bhii na hoKHema-e-aflaak kaa istaada isii naam se hainabz-e-hastii tapish-aamaada isii naam se haidasht me.n daaman-e-kohsaar me.n maidaan me.n haibahr me.n mauj kii aaGosh me.n tuufaan me.n haichiin ke shahr maraaqash ke bayaabaan me.n haiaur poshiida musalmaan ke iimaan me.n haichashm-e-aqvaam ye nazzaara abad tak dekherif.at-e-shaan-e-rafaanaa-lakaa-zikrak dekhemardum-e-chashm-e-zamii.n yaanii vo kaalii duniyaavo tumhaare shohdaa paalne vaalii duniyaagarmii-e-mehr kii parvarda hilaalii duniyaaishq vaale jise kahte hai.n bilaalii duniyaatapish-andoz hai is naam se paare kii tarahGota-zan nuur me.n hai aa.nkh ke taare kii tarahaql hai terii sipar ishq hai shamshiir tiriimire darvesh KHilaafat hai jahaa.ngiir tiriimaa-sivaa-allaah ke liye aag hai takbiir tiriituu musalmaa.n ho to taqdiir hai tadbiir tiriikii mohammad se vafaa tuu ne to ham tere hai.nye jahaa.n chiiz hai kyaa lauh-o-qalam tere hai.n
bol ki lab aazaad hai.n terebol zabaa.n ab tak terii haiteraa sutvaa.n jism hai teraabol ki jaa.n ab tak terii haidekh ki aahan-gar kii dukaa.n me.ntund hai.n sho.ale surKH hai aahankhulne lage quflo.n ke dahaanephailaa har ik zanjiir kaa daamanbol ye tho.Daa vaqt bahut haijism o zabaa.n kii maut se pahlebol ki sach zinda hai ab takbol jo kuchh kahnaa hai kah le
pahle bhii to guzre hai.ndaur naa-rasaa.ii ke ''be-riyaa'' KHudaa.ii kephir bhii ye samajhte ho hech aarzuu-mandiiye shab-e-zabaa.n-bandii hai rah-e-KHudaa-vandiitum magar ye kyaa jaanolab agar nahii.n hilte haath jaag uThte hai.nhaath jaag uThte hai.n raah kaa nishaa.n ban karnuur kii zabaa.n ban karhaath bol uThte hai.n sub.h kii azaa.n ban karraushnii se Darte horaushnii to tum bhii ho raushnii to ham bhii hai.nraushnii se Darte hoshahr kii fasiilo.n pardev kaa jo saaya thaa paak ho gayaa aaKHirraat kaa libaada bhiichaak ho gayaa aaKHir KHaak ho gayaa aaKHirizhdihaam-e-insaa.n se fard kii navaa aa.iizaat kii sadaa aa.iiraah-e-shauq me.n jaise raah-rau kaa KHuu.n lapkeik nayaa junuu.n lapkeaadmii chhalak uTTheaadmii ha.nse dekho shahr phir base dekhotum abhii se Darte ho?haa.n abhii to tum bhii hohaa.n abhii to ham bhii hai.ntum abhii se Darte ho
bujhaa jo rauzan-e-zindaa.n to dil ye samjhaa haiki terii maa.ng sitaaro.n se bhar ga.ii hogiichamak uThe hai.n salaasil to ham ne jaanaa haiki ab sahar tire ruKH par bikhar ga.ii hogiiGaraz tasavvur-e-shaam-o-sahar me.n jiite hai.ngiraft-e-saaya-e-diivaar-o-dar me.n jiite hai.n
gorii dekh ke aage ba.Dhnaa sab kaa jhuuTaa sachchaa 'huu'Duubne vaalii Duub ga.ii vo gha.Daa thaa jis kaa kachchaa 'huu'
is qadar pyaar se ai jaan-e-jahaa.n rakkhaa haidil ke ruKHsaar pe is vaqt tirii yaad ne haatyuu.n gumaa.n hotaa hai garche hai abhii sub.h-e-firaaqDhal gayaa hijr kaa din aa bhii ga.ii vasl kii raat
naam bhuule se jo meraa kahii.n aayaa hogaaGair-mahsuus tariiqe se vo chau.nkaa hogaaek jumle ko ka.ii baar sunaayaa hogaabaat karte hu.e sau baar vo bhuulaa hogaaye jo la.Dkii na.ii aa.ii hai kahii.n vo to nahii.nus ne har chehra yahii soch ke dekhaa hogaajaan-e-mahfil hai magar aaj faqat mere baGairhaa.e kis darja vahii bazm me.n tanhaa hogaakabhii sannaaTo.n se vahshat jo hu.ii hogii useus ne be-saaKHta phir mujh ko pukaaraa hogaachalte chalte ko.ii maanuus sii aahaT paa kardosto.n ko bhii kis uzr se rokaa hogaayaad kar ke mujhe nam ho ga.ii ho.ngii palke.n''aa.nkh me.n pa.D gayaa kuchh'' kah ke ye Taalaa hogaaaur ghabraa ke kitaabo.n me.n jo lii hogii panaahhar satar me.n miraa chehra ubhar aayaa hogaajab milii hogii use merii alaalat kii KHabarus ne aahista se diivaar ko thaamaa hogaasoch kar ye ki bahal jaa.e pareshaanii-e-dilyuu.nhii be-vaj.h kisii shaKHs ko rokaa hogaa!
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books