aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
Showing search results for "galiiz"
mirii galii ke Galiiz bachchotum apne maile badan kii saarii Galaazato.n ko udhaar samjhotumhaarii aa.nkhe.nudaasiyo.n se bharii hu.ii hai.nazal se jaise Darii hu.ii hai.ntumhaare ho.nTo.n pe pii.Dhiyo.n kii jamii hu.ii tah ye kah rahii haihayaat kii aabjuu pas-e-pusht bah rahii haitumhaarii jebe.n munaafiqat se aTii hu.ii hai.nsabhii qamiise.n phaTii hu.ii hai.ntumhaarii phiikii hatheliyo.n kii bujhii lakiire.nbaqaa kii abjad se ajnabii hai.ntumhaarii qismat kii aasmaanii nishaaniyaa.n ab KHutuut-e-vahdaaniyat kaa maqsuum ho rahii hai.nnazar se maaduum ho rahii hai.nmirii galii ke Galiiz bachchotumhaare maa.n-baap ne tamaddun kaa qarz le kartumhaarii tahziib bech dii haitumhaaraa ustaad apnii TuuTii hu.ii chha.Dii le ke chup kha.Daa haiki is ke suukhe gale me.n naan-e-javii.n kaa Tuk.Daa a.Daa hu.aa haimirii galii ke Galiiz bachchotumhaare maile badan kii saarii Galaazate.n ab ga.e zamaano.n ke armuGaa.n hai.ntumhaare virse kii daastaa.n hai.ninhe.n sambhaaloki aane vaalaa har ek lamha tumhaare jha.Dte hu.e papoTo.n se jaane vaale dino.n dino.n kii utaar legaamirii galii ke Galiiz bachchozido.n ko chho.Doqariib aa.oruto.n kii nafrat ko pyaar samjhoKHizaa.n ko rang-e-bahaar samjhoGalaazato.n ko udhaar samjho
to kyo.n bhalaa ye Galiiz jismo.n ko o.Dhte hai.nye gande muu.nho.n ko suu.nghte hai.nye paa.nch raato.n kaa karb sahte hai.naadhii shab ke mu’aavze me.nye bhar ke laate hai.n apne kaano.n me.nghaTiyaa lafzo.n kaa garm siisa
mai.n jaantaa huu.n ki aisii duniyaahai Dhuu.nD paanaa bahut hii mushkilyaa yuu.n bhii kah le.n nahii.n hai mumkinvo is liye kyo.n ki aadmii abGaliiz kii.Do.n se bhii buraa haijo apnii had se guzar chukaa haiaur ek duuje ko khaa rahaa haibashar kaa matlab bhulaa rahaa haiki KHud ko haivaa.n banaa rahaa haina jaane kis samt jaa rahaa haiham is jahannam se jaa.n chhu.Daa le.nchalo nayaa ik jahaa.n basaa le.n
mere nazdiik mohabbat ilhaamii shai haiye aasmaano.n se utartii haidil kii paak shaffaaf zamiin parye mohabbat azaan-e-fajr ke baad utartii hu.ii paak sahar haiye itnii paak hai jitnaa jis kaa taKHayyul paak haimohabbat is qadar paakiiza hotii hai jitnaa jis kaa KHuun paak hotaa haimohabbat us ko kahte hai.n jab roza-daar iftaar ke vaqtik paanii kaa gilaas saamne rakhe us aavaaz kaa intizaar kartaa hai ki kab hukm hous aavaaz kaa intizaar mohabbat haimohabbat vo manzil hai jis ke raaste pe chalne vaale dil aab-e-zamzam se dhule hote hai.nmohabbat rizq hai un aa.nkho.n kaa jo mahbuub kaa diidaar baa-vazuu ho kar kartii hai.nun logo.n ke chahaar-jaanib bahaar-e-mohabbat ke gulaab khilte hai.n jin pe KHizaa.n nahii.n aatiimohabbat kaa gulshanizzat kii KHushbuu se mahaktaa haiye mohabbat vo jazba hai jis ke tahat garmii kii shiddat pyaas kii hiddat me.nchhaa.nv kii jagah par parindo.n ko paanii rakhaa jaa.eye mohabbat vo manzil hai jis pe pahu.nchne ke liye ik pyaase kutte ko paanii pilaanaa pa.Dtaa haimohabbat naam zabaan pe aane se pahle soch ko baa-vazuu ho jaanaa chaahiyeaur jinho.n ne naam-e-mohabbat ko utran kii tarah pahnaa haijinho.n ne mohabbat ko hii dhoka diyaa haiun pe phir mohabbat azaab ban ke utartii haimohabbat ruuTh jaatii haikyuu.nki ye izzat haiaisii izzat jo mohabbat se pahle dil kii sarzamiin pe utreaur izzate.n buland rahe.n hamesha mohabbato.n sejahaa.n izzat kii sar-bulandii rahegii vahaa.n mohabbat hamesha zinda rahegiiaur jin logo.n nemohabbat ko kaarobaar banaayaa haivo log mohabbat kii miim se naa-balad hai.nun ke vaaste mohabbat naam ke chand din hote hai.nphir bahaane aur apnii Galiiz fitrat ke pesh-e-nazarkabhii ik dar kabhii duusraa darkabhii yahaa.n jhukaa kabhii vahaa.n jhukaaare sunomohabbat ke naam pe ta'alluqaat ko libaas se jald badalne vaale insaantauhiin mat karo mohabbat kiiis ilhaamii shai ko is paak jazbe ko paak rahne doaur yaad rakho tauhiin-e-mohabbat ke murtakibtum se to ab nafrat bhii mere shaayaan-e-shaan nahii.n
shahr tuu apne gande paa.nv pasaare dariyaa ke kinaare leTaa haiaur tere siine par re.ngtii hu.ii chyuu.nTiyaa.n suuraj ko ghuur rahii hai.njab nisf darjan Gair-mulkii hakiimo.n ne mushtarka taur par ailaan kiyaamaraz sa.ngiin hai aur ye bahut jald hii mar jaa.egaato kisii chechak-zada bachche kii tarah tuu ne unhe.n dekhaa aur KHaamosh ho rahaaGaliiz badkaar be-rahmshahr log kahte hai.n tuu badkaar haiaur mai.n ne KHud dekhaa haisar-e-shaamtere ra.nge chehre vaalii aurte.n la.Dkha.Daate nau-javaano.n ko nigal jaatii hai.nbe-rahmjab raat ga.e tere daanish-var rickshaw kiye KHud-kushii karne jaate hai.ntuu KHaamosh rahtaa hai
daraKHt din raat kaa.npte hai.nparind kitne Dare hu.e hai.nfalak pe taare zamii.n pe jugnuugharo.n ke andar chhupe KHazaanekaTe phaTe sab badan puraaneqadiim chiknii taviil Dorii me.n ba.ndh ga.e hai.nkasiif Dar kii Galiiz muTThii me.n aa ga.e hai.nkahaa.n ga.e vo dilo.n ke bandhangulaab-ho.nTo.n kii narm qause.nzamii.n jo raakhii sii ban kesuuraj ke haath par muskuraa rahii thiikahaa.n ga.ii vo havaa jo pe.nge.n ba.Dhaa rahii thiivo sabz KHushbuu jo band naafegalii galii phir ke baa.nTtii thiivo haath thaamenahiif jismo.n kii ek lambii qataar jis me.nkahii.n bhii ko.ii ta.DaKH nahii.n thiiye kaun hai.n hamjo sahme pe.Do.nDare parindo.n larazte taaro.nse ba.ndh ga.e hai.nKHud apne saayo.n se Dar ga.e hai.n
log apne andaazo.n kii juutiyaa.nmere ehsaas ke darvaaze pe utaarte hai.naur kufr kii masjid me.n na.nge paa.nv chale aate hai.nmai.n apnii zaat me.n itnii muta.assib huu.n kilahjo.n ko un ke maslak se pahchaantii huu.naur kisii baa-muravvat KHaanqaah me.nmajbuurii kaa sajda nahii.n kartiiko.ii Galiiz muskuraahaT merii aa.nkho.n ko chhuunaa chaahe tomai.n ho.nTo.n pe thuuk detii huu.nlekin sadqa-e-jaariya kaa surKH rumaal u.nglii pe nahii.n baa.ndh saktii
hariif kaun thaa Galiiz bad-numaa saa jaanvarvo be-KHabarjo re.ngtaa hu.aa chalaajo re.ngtaa chalaa gayaana jaane kis jahaan se tumhaarii rah me.n aa gayaausuul ban ke zindagii ke aasmaa.n pe chhaa gayaa
sub.h-savereek laraztii kaa.nptii sii aavaaz aatii haisone vaalo! tum maalik ko bhuul ga.e hotum maalik ko bhuul ga.e hophir chamkiilii mil kaa saa.eranek Galiiz Daraane vaalii tund sadaa ke ruup me.n Dhal kardiivaaro.n se Takraataa haiaur galiyo.n keta.ng a.ndhere baa.De me.n kohraam machaa karbhe.Do.n ke galle ko haa.nk ke le jaataa haiphir engine kii barham siiTiimeKH sii ban kar mere kaan me.n ga.D jaatii haiaur shab bhar kii nuchii hu.ii ik rail kii bogiiapnii kalaa.ii engine ke panje me.n de karchal pa.Dtii haiphir ik dam ik sannaaTaa saa chhaa jaataa haiaur mai.n gha.Dii kii zaalim suu.iyo.n kii Tik Tik me.ndin ke zard pahaa.D pe cha.Dhne lagtaa huu.n
ai mere beTo!mai.n sochtii huu.nki qadmo.n semai.n apne tan ke hayaat-aagii.n lahuu ke chashmebahaa rahii huu.ntumhaare saarenazaar jismo.n nahiif zehno.n kii murdanii komiTaa rahii huu.nazal se apne za.iif chehre kii aa.Dii-tirchhiisii jhurriyo.n kii lakiir me.n toudaas aa.nkho.n maluul palko.nse Tapke qatremilaa rahii huu.nhasiin KHvaabo.n ke buu.Dhe bargadke zard patte bhii chun rahii huu.nvo KHvaab jin kechamakte jugnuuasiir karne ko merii baa.nho.n ke saahilo.n parsafed chehre siyaah qaalibGaniim utrehasiin KHvaabo.n ke jugnu.o.n koasiir kar keKHud apnii maa.o.n kii sard aa.nkho.n ko zindagii diimire dafiine mire KHaziinese apnii kashtiikii god bhar bhar ke le ga.e aurmere beTo.n ke zehn-o-dil me.ntafaavuto.n aur adaavato.n kiikariih faslo.n ke biij bo.evo fasle.n jin koaziiz beTo.n ne apne apne lahuu se sii.nchaaki jin ke siine kii paak miTTiiko garm taaza lahuu sehar damGaliiz rakkhaaaur mere beTo!mai.n sochtii huu.nisii tarah gartafaavuto.n aur adaavato.n keye biich boterahe to ik dinye dekhnaa tumna tum rahoge na mai.n rahuu.ngiifaqat hamaarii kathaa rahegii!
asiir-e-aarzuu hujuum-e-be-amaa.nsharaab roz-o-shab kii aatish-ravaa.n me.nbarhamii ke qahqaho.n kii baazgashtab hamaare darmiyaa.najiib KHvaahisho.n ke biij bo rahii haimere vaaste jo ajnabii haius ko paas se guzartaa dekh luu.n to us kii raushniiko noch luu.njo us ke KHuun me.n utar rahii haius ke ek pal ko duusre se jo.Dtii haitairtii hai saa.ns me.nhavaa kii vo shariir mauj chhiin luu.nvo jaanvar hamaarii nasl kaa nahii.nvo kyuu.n ha.nse vo kyuu.n jiyehamaare ruu-ba-ruu hamaarii aarzuu ke ruu-ba-ruuvo is zamii.n pe kyuu.n chaleajiib KHvaahishe.n ajab KHvaahisho.n kii ham-safarhar ek aa.ina magar hai duusre ke saamneGaliiz suurate.n Galiiz suurato.n ke saamne
vo ek mai.n hii nahii.n huu.nna jaane kitne hai.njo sochte hai.n samajhte hai.n chaahte bhii hai.nki phuuTtii hu.ii pahlii kiran se bhii pahleufuq pe vaqt ke chamke.nnayaa saa rang bhare.njo sub.h hoto nasiim-e-sahar kaa saath dhare.nsamiir ban ke bahe.nra.ng-o-buu kii dhartii pargulo.n se baat kare.nhar galii se khul khile.n
mai.n nauha likhtaa huu.n apne KHaliyo.n ke chhalnii KHvaabo.n aisar-zamiin-e-havas me.n phaile saraab-aasaa khile gulaabo.n kaamanzaro.n ke lahuu me.n ghultii Galiiz miTTii kii baato.n kaamire vajuud siyah-baKHtii me.n uj.De ashko.n ke gard saa.e qafas bane me.nmai.n daa.ero.n ke mahiin taaro.n kiinaa-tamaamii me.nresha resha simaT gayaa huu.nkahaaniyo.n ke dabiiz pardo.n kii tah me.n uryaa.ntumhaarii aa.nkho.n kii muskuraahaT azaab ban karmire safar kii har ek manzil me.n aa chhupii haimai.n nauha likhtaa huu.nzard socho.n kaakaalii saa.nso.n kaaapne ho.nTo.n ke shamsii lafzo.n kaa zaa.iqo.n kaatumhaare siine pe kunDalii maare jo saa.np baiThaa haius kii KHuunii zabaa.n kaa nauhaKHud apne baatin ke KHushk sahraa me.nujle taaro.n kii taabnaakii kaaKHvaahisho.n se bharii havaa.o.n kii kaa.enaato.n kaa nauha likhtaa huu.n nauha-KHvaa.n huu.n
aziim qaatil ga.e zamaano.n ke maKHfii auhaam ke shikanjo.n me.nsaada-lauhii ke sikka sikka bikaa.uu gaahaksisaktii KHilqat lahuu me.n lat-patuqaabii panjo.n me.n aabruu.e.n ta.Dap rahii hai.nsazaa ke mehvar se TuuT girnaashadiid mushkilga.e yagaano.n ke jubbe ab tak lahuu me.n tar hai.nshanaas-naame gale me.n laTkaa.e phirne vaaletalaash-e-zar me.nbadan ghumaatii havaa ke jhakka.D se girne vaalemusaafiro.n ke qadamgadaa.ii ke KHaarzaaro.n me.nzaKHm-KHurdashikam-sipardaGaliiz saa.ilga.e savaaro.n kii baKHshisho.n sehatheliyo.n pe larazte kaasemusiibato.n kii kasiif KHairaat selabaalab bhare hu.e hai.nhar ek jaanib hamaare kuucho.n me.nhaDDiyo.n se bane makaano.n ke baam-o-dar munhadimfasiilo.n pe duurbiine.n liyemuqaabilga.e shikaaro.n se utremajbuuriyo.n ke aajarla.iim saudaagaro.n ke Tolehamaare malbo.n ke baar-daane havas ke baaTo.n se tolte hai.nhamaarii khaalo.n kaa KHasta resham gadho.n pe laadeamiir KHitto.n me.n bechte hai.nmaluul bastii me.n uryaa.n laashe.ngirii hai jin pe azaab ohdo.n kiibhaarii silga.e Thikaano.n pe ullu.o.n ke udaas maskankabuutaro.n ke vo aalne hai.n ki jin me.n sannaaTe bolte hai.nsaudaagaro aafiyat ke parcham khuleshikaare palaT bhii aa.emagar ye socho ki mauj dar mauj tangnaa.o.n me.nkoh-paikar javaar-bhaaTemusaafirat me.n tamaam ghaaTezaliil ghaayalga.e musaafir ki jin ke thailo.n me.n zar ba.ndhaa thaataho.n kii qabro.n me.n jaa chhupe hai.nlahiim whalo.n ne un ke jismo.n ko noch Daalaa
galii ke mo.D par Galiiz naaliyo.n kii ret me.nsafed paaniyo.n me.n haath Daal kar vo la.Dkiyaa.nna jaane Dhuu.nDhtii hai.n kyaamai.n Taafiyo.n ke packeto.n kii rangate.n dikhaa dikhaa keminnato.n samaajato.n se haath jo.D jo.D keunhe.n bulaa ke apnii samtkah rahaa huu.n kaan me.ntumhe.n mai.n chaar aane vaalii qulfiyaa.n KHariid duu.nmagar is ek shart parko.ii agar tumhe.n kahetumhaaraa baap kaun haitumhaaraa baap kaun haito chup raho
zaraa sii baat hai iimaa-e-raushnii samjhoa.ndheraa zaahir-o-baatin kaa chaak-chaak raherahe na mus.haf-e-hastii kuduurato.n se Galiizmataa.a-e-fe.al-o-suKHan laGzisho.n se paak rahesafaa-o-sidq ho.n kirdaar kii khulii tahriirna ko.ii vahm ho baaqii na ko.ii baak rahe
gavaah rahnaaye past-qaamat kariih chehro.n ghamanD lahjo.n sisaktii sargoshiyo.n ke haamilmire qabiile ke suurmaa sabnajis akhaa.Do.n me.n apne laaGar nahiif jismo.n ko chaaTte hai.nmire qabiile ke falsafa-garGaliiz faasid rutuubato.n se bharii Tapaktii saraab socho.n se kaam le kar ajiib mantiq taraashte hai.nye falsafa-gar sadaa-o-aahang-o-harf-o-ma.anii ko zaKHm de kar lahuu kaa kachchaa khuranD daa.nto.n se nochte hai.n
yahaa.n pe kal tak jo gaa.nv thaa us ke sab makii.n abudaas qasbo.n Galiiz shahro.n me.n bas chuke hai.nzamii.n ke siine se jhaa.Diyo.n KHushk aur be-kaar zard paudo.nkii fasl ugtii hai har baras surKH aag kaa kaarvaa.n utartaa haisub.h-dam dasht ke kinaaro.n pe phail jaataa haigard-e-aafaaq me.n shab-sard kii hado.n tak
ta.ng-o-taariik sii koTharii me.nmoTii moTii salaaKHo.n ke piichheGaliiz se farsh par pa.Daa haivo ek qaidiipareshaa.n baal hai.n aur zard chehraho jaise haDDiyo.n kaa ek Dhaa.nchapa.Dii hai.n be.Diyaa.n paa.nv me.n us kehai jurm us kaa apnaa faqat is qadarki rah rah ke vo sochtaa hai yahiivo zindaa.n me.n kis jurm par band haisoche vo kyuu.n na aaKHirus kii rago.n me.n bhii toduusre aazaad logo.n kii tarahdau.Dtaa hai zindagii kaa garm KHuun
hamaarii dastaras me.n kyaa hai kyaa nahii.nzamii.n nahii.nKHalaa nahii.nki aasmaa.n nahii.nhame.n to sirf sochnaa ye chaahiyeki muTThiyaa.n khulii rahe.nhatheliyo.n se u.ngliyaa.n ju.Dii rahe.nzamii.n se paa.nvpaa.nv se qadamqadam se raasto.n kaa silsila banaa rahehame.n to sirf dekhnaa ye chaahiyeki jis ko log radd kare.naur apnii diid kii Galiiz chaadaro.n se Dhaa.np kar shikaayato.n se baa.ndh de.nhamaare jism maavaraa ho.n us Gilaaf sehamaarii dastaras me.n kyaa hai kyaa nahii.nbas yahii to shart haihamaare jism an-ginat rahe.nmagar hamaare sar ju.De rahe.nrago.n me.n pyaar kaa lahuu ravaa.n rahe badan badan javaa.n rahezamii.n rahe KHalaa rahe na aasmaa.n rahemagar hame.n yahii gumaa.n rahehamaarii dastaras me.n kyaa nahii.n
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books