aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
Showing search results for "jaan-e-e'tibaar-e-vafaa"
mai.n jaantaa huu.n ki ai jaan-e-e'tibaar-e-vafaatumhii.n ne mere liye ashk bhii bahaa.e hai.ntumhii.n ne merii uma.ngo.n kii rahnumaa.ii kiitumhii.n ne merii Dagar me.n diye jalaa.e hai.n
KHair ab ham mutma.in yuu.n hai.n ki jaan-e-aarzuuham ne kuchh kho bhii diyaa hai aur kuchh paayaa bhii haikaise kaise aql ko de kar dilaase jaan-e-jaa.nruuh ko taskiin dii hai dil ko samjhaayaa bhii hai
ham vahii ahl-e-junuu.n ahl-e-vafaa saahib-dilham ki har daur me.n auraaq-e-zamaana ke amii.nvo lahuu apne hii maathe se bahaa hai jis seaaj diivaar-e-KHirad kii hai lahuu-rang jabii.n
hame.n naamuus kii viraasat kosho.ala-e-jaa.n banaa ke rakhnaa haiapne maazii se raabte ke liyeapnaa virsa bachaa ke rakhnaa hai
farz karo ham ahl-e-vafaa ho.n, farz karo diivaane ho.nfarz karo ye dono.n baate.n jhuuTii ho.n afsaane ho.n
ham ahl-e-vafaa ranjuur sahii, majbuur nahii.naur shahr-e-vafaa se dasht-e-junuu.n kuchh duur nahii.nham KHush na sahii, par tere sar kaa vabaal gayaa
shikvo.n ko uThaa rakhnaa, aa.nkho.n ko bichhaa rakhnaaik sham.a dariiche kii chaukhaT pe jalaa rakhnaamaayuus na phir jaa.e, haa.n paas-e-vafaa rakhnaadarvaaza khulaa rakhnaadarvaaza khulaa rakhnaa
avvalii.n shahr kii tasKHiir me.n pahluu the bahutra.nj ke KHauf ke hairat ke shakebaa.ii kephir ye dekhaa ki tan-o-jaa.n ke asaase ke evazmiTTii ham jis pe qadam rakhte hai.njis kii Tho.Dii pe lahuu ra.ng-e-alam rakhte hai.nus kii mamtaa kii haraarat se alag chiiz nahii.njis me.n ham apnaa nasab apnaa janam rakhte hai.napne hone kaa bharam rakhte hai.n
chaa.nd niklaa hai daaGo.n kii mish.al liyeduur girjaa ke miinaaro.n kii oT seaa mirii jaan aa ek se do bhaleaaj phere kare.n kuucha-e-yaar keaur hai kaun dard-aashnaa baavare!ek mai.n shahr me.n, ek tuu shahr me.n
KHaakistar-e-dil ko hai phir shola-ba-jaa.n honaahairat kaa jahaa.n honaa hasrat kaa nishaa.n honaaai shaKHs jo tuu aakar yuu.n dil me.n samaayaa haituu dard ki darmaa.n hai to dhuup ki saayaa hai?nainaa.n tire jaaduu hai.n gesuu tire KHushbuu hai.nbaate.n kisii jangal me.n bhaTkaa hu.aa aahuu hai.nmaqsuud-e-vafaa sun le kyaa saaf hai saada haijiine kii tamannaa hai marne kaa iraada hai
aaj to ham bikne ko aa.e, aaj hamaare daam lagaayuusuf to baazaar-e-vafaa me.n, ek Tike ko biktaa hai
haa.n gaahe gaahe diid kii daulat haath aa.iiyaa ek vo lazzat naam hai jis kaa rusvaa.iibas is ke sivaa to jo bhii savaab kamaayaa haisab maayaa haiik naam to baaqii rahtaa hai, gar jaan nahii.njab dekh liyaa is saude me.n nuqsaan nahii.ntab sham.a pe dene jaan pati.ngaa aayaa haisab maayaa hai
shahr-e-dil kii galiyo.n me.nshaam se bhaTakte hai.nchaa.nd ke tamannaa.iibe-qaraar saudaa.iidil-gudaaz taariikiiruuh-o-jaa.n ko Dastii hairuuh-o-jaa.n me.n bastii haishahr-e-dil kii galiyo.n me.ntaak shab kii belo.n parshabnamii.n sarishko.n kiibe-qaraar logo.n nebe-shumaar logo.n neyaadgaar chho.Dii haiitnii baat tho.Dii hai
shahr-e-dil kii galiyo.n me.nshaam se bhaTakte hai.nchaa.nd ke tamannaa.iibe-qaraar saudaa.iidil-gudaaz taariikiijaa.n-gudaaz tanhaa.iiruuh-o-jaa.n ko Dastii hairuuh-o-jaa.n me.n bastii haishahr-e-dil kii galiyo.n me.ntaak shab kii belo.n parshabnamii.n sarishko.n kiibe-qaraar logo.n nebe-shumaar logo.n neyaadgaar chho.Dii haiitnii baat tho.Dii haisad-hazaar baate.n thii.nhiila-e-shakebaa.iisuurato.n kii zebaa.iiqaamato.n kii ra.anaa.iiun siyaah raato.n me.nek bhii na yaad aa.iijaa-ba-jaa bhaTakte hai.nkis kii raah takte hai.nchaa.nd ke tamannaa.iiye nagar kabhii pahleis qadar na viiraa.n thaakahne vaale kahte hai.nqarya-e-nigaaraa.n thaaKHair apne jiine kaaye bhii ek saamaa.n thaaaaj dil me.n viiraaniiabr ban ke ghir aa.iiaaj dil ko kyaa kahiyebaa-vafaa na harjaa.iiphir bhii log diivaaneaa ga.e hai.n samjhaaneapnii vahshat-e-dil kebun liye hai.n afsaaneKHush-KHayaal duniyaa negarmiyaa.n to jaatii hai.nvo rute.n bhii aatii hai.njab maluul raato.n me.ndosto.n kii baato.n me.njii na chain paa.egaaaur uub jaa.egaaaahaTo.n se guu.njegiishahr-e-dil kii pinhaa.iiaur chaa.nd-raato.n me.nchaa.ndnii ke shaidaa.iihar bahaane nikle.ngeaarzuu kii giiraa.iiDhuu.nDne ko rusvaa.iisard sard raato.n kozard chaa.nd baKHshegaabe-hisaab tanhaa.iibe-hijaab tanhaa.iishahr-e-dil kii galiyo.n me.n
ai matavaalo naaqo.n vaalo dete ho kuchh us kaa pataanajd ke andar majnuu.n naamii ek hamaaraa bhaa.ii thaaaaKHir us par kyaa kuchh biitii jaano to ahvaal kahomaut milii yaa lailaa paa.ii? diivaane kaa ma.aal kahoaql kii baate.n kahne vaale dosto.n ne use samjhaayaaus ko to lekin chup sii lagii thii naa bolaa naa baaz aayaaKHair ab us kii baat ko chho.Do diivaanaa phir diivaanaajaate jaate ham logo.n kaa ek sandesaa le jaanaa
nashriya aal india radio bhopal indaur 8 july 68sajii hu.ii gulo.n se ye hasiin vaadiyaa.nye sabza-zaar-e-KHushnumaa harii-bharii ye khetiyaa.nye nahre.n jin me.n zindagii bhare hu.e hai mastiyaa.nye jhilmilaatii naddiyaa.n ye muskuraatii naddiyaa.nye gaa.nv gaa.nv shahr shahr svarg ke samaan hai.nmere aziim desh kii ye bastiyaa.n mahaan hai.njagah jagah vikaas kii ubhar rahii hai raushniina.ii adaa se karvaTe.n badal rahii hai zindagiimahak uThii ravish ravish chamak uThii galii galiivo aaj phuul ban ga.ii jo kal thii adh-khilii kaliijo pastiyaa.n thii.n kal vo ab uruuj-e-aasmaan hai.nmire aziim desh kii ye bastiyaa.n mahaan hai.nbuland uu.nchii buildinge.n ye jagmagaate raastebaso.n ke motoro.n ke dau.Dte hu.e ye silsilekalo.n kii ga.Dga.DaahaTo.n me.n zindagii ke valvaletaraqqiyo.n kii khoj me.n ravaa.n davaa.n ye qaafilemire vatan kii ruuh hai.n mire chaman kii jaan hai.nmire vishaal desh ke bhavishya kaa nishaan hai.nhar ek fard is chaman kaa aaj paasbaan haiclerk yaa majuur hai javaan yaa kisaan haimiraa vatan aziim hai miraa vatan mahaan haiye khetiyo.n kaa desh hai milo.n kaa ye jahaan haiye sar-buland chimniyaa.n vatan kii aan-baan hai.nharii bharii ye khetiyaa.n mire chaman kii shaan hai.n
jo merii god me.n pal kar javaan ho ga.e hai.nmire safiine ke ab baadbaan ho ga.e hai.nvo jin pe niil ubharte the haath lagte hiivo phuul jaise badan ab chaTTaan ho ga.e hai.nvo jin ko sii.nchaa thaa mai.n ne ab un ke saa.e me.n huu.nki ab vo nanhe shajar saa.ebaan ho ga.e hai.nvo dekh-bhaal me.n jin kii guzar ga.ii mirii umrKHudaa kaa shukr mire paasbaan ho ga.e hai.njo chand phuul mahakte the mere aa.ngan me.nKHushaa nasiib vo KHud gulistaa.n ho ga.e hai.nnahii.n jhuke hu.e shaano.n kaa ab mujhe ko.ii GamKHudaa rakhe mire bachche javaan ho ga.e hai.nna pa.Dnaa apne paraa.e me.n tum mire bachchotabaah is se bahut KHaandaan ho ga.e hai.nvo jin kii fikr me.n rahtii thii mai.n 'vafaa' bechainGam-o-KHushii ke mire tarjumaan ho ga.e hai.n
tumhii kah do kuchh had hai zulm-o-jafaa kiivafaa kii tarah saarii duniyaa hai shaakiikabhii ye adaa kii kabhii vo adaa kiirahii shakl abtar dil-e-mubtalaa kiinahii.n hai.n nahii.n hai.n mohabbat kii baate.nhaqiiqat me.n ye hai.n adaavat kii baate.n
na dil kaa intiKHaab haina ko.ii be-hijaab haina aalam-e-shabaab haijo dekhtaa huu.n KHvaab haijahaan ko baqaa kahaa.nkaram kahaa.n vafaa kahaa.n
lucknow mere vatan mere chaman-zaar vatantere gahvaara-e-aaGosh me.n ai jaan-e-bahaarapnii duniyaa-e-hasii.n dafn kiye jaataa huu.ntuu ne jis dil ko dha.Dakne kii adaa baKHshii thiiaaj vo dil bhii yahii.n dafn kiye jaataa huu.ndafn hai dekh miraa ahd-e-bahaaraa.n tujh me.ndafn hai dekh mirii ruuh-e-gulistaa.n tujh me.nmerii gul-posh javaa.n-saal uma.ngo.n kaa suhaagmerii shaadaab tamannaa ke mahakte hu.e KHvaabmerii bedaar javaanii ke firozaa.n mah o saalmerii shaamo.n kii malaahat mirii sub.ho.n kaa jamaalmerii mahfil kaa fasaana mirii KHalvat kaa fusuu.nmerii diivaangii-e-shauq miraa naaz-e-junuu.nmere marne kaa saliiqa mire jiine kaa shu.uurmeraa naamuus-e-vafaa merii mohabbat kaa Guruurmerii nabzo.n kaa tarannum mire naGmo.n kii pukaarmere shero.n kii sajaavaT mire giito.n kaa si.ngaarlucknow apnaa jahaa.n sau.np chalaa huu.n tujh koapnaa har KHvaab-e-javaa.n sau.np chalaa huu.n tujh koapnaa sarmaaya-e-jaa.n sau.np chalaa huu.n tujh kolucknow mere vatan mere chaman-zaar vatanye mire pyaar kaa madfan hii nahii.n hai tanhaadafn hai.n is me.n mohabbat ke KHazaane kitneek unvaan me.n muzmar hai.n fasaane kitneik bahan apnii rifaaqat kii qasam khaa.e hu.eek maa.n mar ke bhii siine me.n liye maa.n kaa gudaazapne bachcho.n ke la.Dakpan ko kaleje se lagaa.eapne khilte hu.e ma.asuum shaguufo.n ke liyeband aa.nkho.n me.n bahaaro.n ke javaa.n KHvaab basaa.eye mire pyaar kaa madfan hii nahii.n hai tanhaaek saathii bhii tah-e-KHaak yahaa.n sotii haiarsa-e-dahr kii be-rahm kashaakash kaa shikaarjaan de kar bhii zamaane se na maane hu.e haarapne tevar me.n vahii azm-e-javaa.n-saal liyeye mire pyaar kaa madfan hii nahii.n hai tanhaadekh ik sham-e-sar-e-raah-guzar chaltii haijagmagaataa hai agar ko.ii nishaan-e-manzilzindagii aur bhii kuchh tez qadam chaltii hailucknow mere vatan mere chaman-zaar vatandekh is KHvaab-gah-e-naaz pe kal mauj-e-sabaale ke nau-roz-e-bahaaraa.n kii KHabar aa.egiisurKH phuulo.n kaa ba.De naaz se guu.ndhe hu.e haarkal isii KHaak pe gul-ra.ng sahar aa.egiikal isii KHaak ke zarro.n me.n samaa jaa.egaa ra.ngkal mire pyaar kii tasviir ubhar aa.egiiai mirii ruuh-e-chaman KHaak-e-lahad se teriiaaj bhii mujh ko tire pyaar kii buu aatii haizaKHm siine ke mahakte hai.n tirii KHushbuu sevo mahak hai ki mirii saa.ns ghuTii jaatii haimujh se kyaa baat banaa.egii zamaane kii jafaamaut KHud aa.nkh milaate hu.e sharmaatii haimai.n aur in aa.nkho.n se dekhuu.n tujhe paivand-e-zamii.nis qadar zulm nahii.n haa.e nahii.n haa.e nahii.nko.ii ai kaash bujhaa de mirii aa.nkho.n ke diyechhiin le mujh se ko.ii kaash nigaahe.n meriiai mirii sham-e-vafaa ai mirii manzil ke charaaGaaj taariik hu.ii jaatii hai.n raahe.n meriitujh ko ro.uu.n bhii to kyaa ro.uu.n ki in aa.nkho.n me.nashk patthar kii tarah jam se ga.e hai.n merezindagii arsa-gah-e-johd-e-musalsal hii sahiiek lamhe ko qadam tham se ga.e hai.n merephir bhii is arsa-gah-e-johd-e-musalsal se mujheko.ii aavaaz pe aavaaz diye jaataa haiaaj sotaa hii tujhe chho.D ke jaanaa hogaanaaz ye bhii Gam-e-dauraa.n kaa uThaanaa hogaazindagii dekh mujhe hukm-e-safar detii haiik dil-e-shola-ba-jaa.n saath liye jaataa huu.nhar qadam tuu ne kabhii azm-e-javaa.n baKHshaa thaa!mai.n vahii azm-e-javaa.n saath liye jaataa huu.nchuum kar aaj tirii KHaak-e-lahad ke zarrean-ginat phuul mohabbat ke cha.Dhaataa jaa.uu.njaane is samt kabhii meraa guzar ho ki na hoaaKHirii baar gale tujh ko lagaataa jaa.uu.nlucknow mere vatan mere chaman-zaar vatandekh is KHaak ko aa.nkho.n me.n basaa kar rakhnaais amaanat ko kaleje se lagaa kar rakhnaa
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books