aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
Showing search results for "lipton"
ye tire husn se lipTii hu.ii aalaam kii gardapnii do roza javaanii kii shikasto.n kaa shumaarchaandnii raato.n kaa bekaar dahaktaa hu.aa dard
ibliisye anaasir kaa puraanaa khel ye duniyaa-e-duu.nsaakinaan-e-arsh-e-aazam kii tamannaa.o.n kaa KHuu.nis kii barbaadii pe aaj aamaada hai vo kaarsaazjis ne is kaa naam rakhaa thaa jahaan-e-kaaf-o-nuu.nmai.n ne dikhlaayaa fara.ngii ko muluukiyat kaa KHvaabmai.n ne to.Daa masjid-o-dair-o-kaliisaa kaa fusuu.nmai.n ne naadaaro.n ko sikhlaayaa sabaq taqdiir kaamai.n ne mun.im ko diyaa sarmaaya daarii kaa junuu.nkaun kar saktaa hai is kii aatish-e-sozaa.n ko sardjis ke ha.ngaamo.n me.n ho ibliis kaa soz-e-daruu.njis kii shaaKHe.n ho.n hamaarii aabiyaarii se bulandkaun kar saktaa hai is naKHl-e-kuhan ko sar-niguu.npahlaa mushiiris me.n kyaa shak hai ki mohkam hai ye ibliisii nizaampuKHta-tar is se hu.e KHuu-e-Gulaamii me.n avaamhai azal se in Gariibo.n ke muqaddar me.n sujuudin kii fitrat kaa taqaazaa hai namaaz-e-be-qayaamaarzuu avval to paidaa ho nahii.n saktii kahii.nho kahii.n paidaa to mar jaatii hai yaa rahtii hai KHaamye hamaarii sa.ii-e-paiham kii karaamat hai ki aajsuufii-o-mullaa muluukiyyat ke bande hai.n tamaamtab-e-mashriq ke liye mauzuu.n yahii afyuun thiivarna qavvaalii se kuchh kam-tar nahii.n ilm-e-kalaamhai tavaaf-o-haj kaa ha.ngaama agar baaqii to kyaakund ho kar rah ga.ii momin kii teG-e-be-niyaamkis kii nau-miidii pe hujjat hai ye farmaan-e-jadiidhai jihaad is daur me.n mard-e-musalmaa.n par haraamduusraa mushiirKHair hai sulataanii-e-jamhuur kaa GauGaa ki shartuu jahaa.n ke taaza fitno.n se nahii.n hai baa-KHabarpahlaa mushiirhuu.n magar merii jahaa.n-biinii bataatii hai mujhejo muluukiyat kaa ik parda ho kyaa is se KHatarham ne KHud shaahii ko pahnaayaa hai jamhuurii libaasjab zaraa aadam hu.aa hai KHud-shanaas-o-KHud-nigarkaarobaar-e-shahryaarii kii haqiiqat aur haiye vajuud-e-miir-o-sultaa.n par nahii.n hai munhasirmajlis-e-millat ho yaa parvez kaa darbaar hohai vo sultaa.n Gair kii khetii pe ho jis kii nazartuu ne kyaa dekhaa nahii.n maGrib kaa jamhuurii nizaamchehra raushan andaruu.n cha.ngez se taariik-tartiisraa mushiirruuh-e-sultaanii rahe baaqii to phir kyaa iztiraabhai magar kyaa is yahuudii kii sharaarat kaa javaabvo kaliim-e-be-tajallii vo masiih-e-be-saliibniist paiGambar va-lekin dar baGal daarad kitaabkyaa bataa.uu.n kyaa hai kaafir kii nigaah-e-parda-sozmashriq-o-maGrib kii qaumo.n ke liye roz-e-hisaabis se ba.Dh kar aur kyaa hogaa tabii.at kaa fasaadto.D dii bando.n ne aaqaa.o.n ke KHemo.n kii tanaabchauthaa mushiirto.D is kaa ruumat-ul-kubraa ke aivaano.n me.n dekhaal-e-ceaser ko dikhaayaa ham ne phir ceaser kaa KHvaabkaun bahr-e-ruum kii maujo.n se hai lipTaa hu.aagaah baalad-chuu.n-sanobar gaah naalad-chuu.n-rubaabtiisraa mushiirmai.n to is kii aaqibat-biinii kaa kuchh qaa.il nahii.njis ne afra.ngii siyaasat ko kyaa yuu.n be-hijaabpaa.nchvaa.n mushiir ibliis ko muKHaatab kar keai tire soz-e-nafas se kaar-e-aalam ustuvaartuu ne jab chaahaa kiyaa har pardagii ko aashkaaraab-o-gil terii haraarat se jahaan-e-soz-o-saazablah-e-jannat tirii ta.aliim se daanaa-e-kaartujh se ba.Dh kar fitrat-e-aadam kaa vo mahram nahii.nsaada-dil bando.n me.n jo mash.huur hai parvardigaarkaam thaa jin kaa faqat taqdiis-o-tasbiih-o-tavaafterii Gairat se abad tak sar-niguu.n-o-sharmsaargarche hai.n tere muriid afra.ng ke saahir tamaamab mujhe un kii faraasat par nahii.n hai e'tibaarvo yahuudii fitna-gar vo ruuh-e-mazdak kaa buruuzhar qabaa hone ko hai is ke junuu.n se taar taarzaaG dashtii ho rahaa hai ham-sar-e-shaahiin-o-charGkitnii sur.at se badaltaa hai mizaaj-e-rozgaarchhaa ga.ii aashufta ho kar vus.at-e-aflaak parjis ko naadaanii se ham samjhe the ik musht-e-Gubaarfitna-e-fardaa kii haibat kaa ye aalam hai ki aajkaa.npte hai.n kohsaar-o-murG-zaar-o-juu.ebaarmere aaqaa vo jahaa.n zer-o-zabar hone ko haijis jahaa.n kaa hai faqat terii siyaadat par madaar
sar pe apne juu.Daa baa.ndhemaa.njhii kii ummiid lagaa.ebhiigii ujlii sub.h me.n tumkohre kii chaadar me.n lipTiinadii kinaare soch me.n gumtaaj-mahal sii lagtii ho
mere is jho.npa.De me.nkitnii hii KHushbu.e.n hai.njo mere gird sadaa re.ngtii hai.nusii ik raat kii KHushbuu kii tarah re.ngtii hai.ndar o diivaar se lipTii hu.ii is gird kii KHushbuu bhii haimere aflaas kii tanhaa.ii kiiyaado.n kii tamannaa.o.n kii KHushbu.e.n bhiiphir bhii is jho.npa.De me.n kuchh bhii nahii.nye meraa jho.npa.Daa taariik hai ganda hai paraaganda haihaa.n kabhii duur daraKHto.n se parindo.n kii sadaa aatii haikabhii injiiro.n ke zaituuno.n ke baaGo.n kii mahak aatii haito mai.n jii uThtaa huu.nto mai.n kahtaa huu.n ke lo aaj nahaa kar niklaa!varna is ghar me.n ko.ii sej nahii.n itr nahii.n haiko.ii pa.nkhaa bhii nahii.n,tujhe jis ishq kii KHuu haimujhe us ishq kaa yaaraa bhii nahii.n!
tere labo.n se chashma-e-haivaa.n miraa kalaamterii laTo.n se mauja-e-tuufaa.n miraa kalaamterii nazar se tuur-e-ba-daamaa.n miraa kalaamtere suKHan se naGma-e-yazdaa.n miraa kalaamtuu hai payaam-e-aalam-e-baalaa mire liyeik vahii-e-zii-hayaat hai goyaa mire liye
ik chamelii ke manDve-talemai-kade se zaraa duur us mo.D pardo badanpyaar kii aag me.n jal ga.epyaar harf-e-vafaa pyaar un kaa KHudaapyaar un kii chitaado badanos me.n bhiigte chaa.ndnii me.n nahaate hu.ejaise do taaza-rau taaza-dam phuul pichhle-paharThanDii ThanDii subuk-rau chaman kii havaasarf-e-maatam hu.iikaalii kaalii laTo.n se lapaT garm ruKHsaar parek pal ke liye ruk ga.iiham ne dekhaa unhe.ndin me.n aur raat me.nnuur-o-zulmaat me.nmasjido.n ke manaaro.n ne dekhaa unhe.nmandiro.n ke kivaa.Do.n ne dekhaa unhe.nmai-kado.n kii daraa.Do.n ne dekhaa unhe.naz-azal taa-abadye bataa chaara-garterii zambiil me.nnusKHa-e-kiimiyaa-e-mohabbat bhii haikuchh ilaaj o mudaavaa-e-ulfat bhii haiik chamelii ke manDve-talemai-kade se zaraa duur us mo.D pardo badan
tho.Dii der ko saath rahe kisii dhu.ndle shahr ke naqshe parhaath me.n haath diye ghuume kahii.n duur daraaz ke raste parbe-parda asthaano.n par do u.Dte hu.e giito.n kii tarahGusse me.n kabhii la.Dte hu.e kabhii lipTe hu.e pe.Do.n kii tarahapnii apnii raah chale phir aaKHir shab ke maidaa.n me.napne apne ghar ko jaate do hairaa.n bachcho.n kii tarah
masjid kaa gumbad suunaa haimandir kii ghanTii KHaamoshjuzdaano.n me.n lipTe aadarsho.n kodiimak kab kii chaaT chukii haira.nggulaabiiniilepiilekahii.n nahii.n hai.ntum us jaanibmai.n is jaanibbiich me.n miilo.n gahraa Gaarlafzo.n kaa pul TuuT chukaa haitum bhii tanhaamai.n bhii tanhaa
jab jho.nkaa tez havaa.o.n kaakuchh soch ke dhiime guzraa thaajab tapte suuraj kaa chehrauudii chaadar me.n lipTaa thaajab suukhii miTTii kaa siinasaa.nso.n kii namii se jaagaa thaaham log us shaam ikaTThe thejis ne hame.n ha.ns kar dekhaa thaavo pahlaa dost hamaaraa thaavo shaam kaa pahlaa taaraa thaajo shaayad ham dono.n ke liyekuchh vaqt se pahle niklaa thaajab jhilmil kartaa vo kamracigaret ke dhu.e.n se dhundlaa thaajab nashsha-e-mai kii talKHii se!har shaKHs kaa lahja miiThaa thaahar fikr kii apnii manzil thiihar soch kaa apnaa rasta thaaham log us raat ikaTThe theus raat bhii kyaa ha.ngaama thaamai.n mahv-e-mudaaraat-e-aalamaur tum ko zauq-e-tamaashaa thaamauzuu-e-suKHan jis par ham neraa.e dii thii aur sochaa thaaduniyaa kii badaltii haalat thiikuchh aab-o-havaa kaa qissa thaajab sab logo.n kii aa.nkho.n me.nkamre kaa dhu.aa.n bhar aayaa thaatab mai.n ne khi.Dkii kholii thii!tum ne parda sarkaayaa thaajis ne hame.n dukh se dekhaa thaavo pahlaa dost hamaaraa thaavo shaam kaa pahlaa taaraa thaajo shaayad ham dono.n ke liyeus raat sahar tak jaagaa thaa
1ye shaam ik aa.iina-e-niil-guu.n ye nam ye mahakye manzaro.n kii jhalak khet baaG dariyaa gaa.nvvo kuchh sulagte hu.e kuchh sulagne vaale alaavsiyaahiyo.n kaa dabe-paa.nv aasmaa.n se nuzuullaTo.n ko khol de jis tarah shaam kii deviipuraane vaqt ke bargad kii ye udaas jaTaa.e.nqariib o duur ye go dhuul kii ubhartii ghaTaa.e.nye kaa.enaat kaa Thahraa.o ye athaah sukuutye niim-tiirah fazaa roz-e-garm kaa taabuutdhu.aa.n dhu.aa.n sii zamii.n hai ghulaa ghulaa saa falak2ye chaa.ndnii ye havaa.e.n ye shaaKH-e-gul kii lachakye daur-e-baada ye saaz-e-KHamosh fitrat kesunaa.ii dene lagii jagmagaate siino.n me.ndilo.n ke naazuk o shaffaaf aabgiino.n me.ntire KHayaal kii pa.Dtii hu.ii kiran kii khanak3ye raat chhantii havaa.o.n kii so.ndhii so.ndhii mahakye khet kartii hu.ii chaa.ndnii kii narm damaksugandh raat kii raanii kii jab machaltii haifazaa me.n ruuh-e-tarab karvaTe.n badaltii haiye ruup sar se qadam tak hasiin jaise gunaahye aarizo.n kii damak ye fusuun-e-chashm-e-siyaahye dhaj na de jo ajantaa kii san.ato.n ko panaahye siina pa.D hii ga.ii dev lok kii bhii nigaahye sar-zamiin se aakaash kii parastish-gaahutaarte hai.n tirii aartii sitaara o maahsajal badan kii bayaa.n kis tarah ho kaifiyyatsarasvatii ke bajaate hu.e sitaar kii gatjamaal-e-yaar tire gulsitaa.n kii rah rah kejabiin-e-naaz tirii kahkashaa.n kii rah rah kedilo.n me.n aa.iina-dar-aa.iina suhaanii jhalak4ye chhab ye ruup ye joban ye saj ye dhaj ye lahakchamakte taaro.n kii kirno.n kii narm narm phuvaarye rasmasaate badan kaa uThaan aur ye ubhaarfazaa ke aa.iina me.n jaise lahlahaa.e bahaarye be-qaraar ye be-iKHtiyaar josh-e-numuudki jaise nuur kaa favvaara ho shafaq-aaluudye jalve paikar-e-shab-taab ke ye bazm-e-shohuudye mastiyaa.n ki mai-e-saaf-o-durd sab be-buudKHajil ho laal-e-yaman uzv uzv kii vo Dalak5bas ik sitaara-e-shi.ngaraf kii jabii.n pe jhamakvo chaal jis se labaalab gulaabiyaa.n chhalke.nsakuu.n-numaa KHam-e-abru ye adh-khulii.n palke.nhar ik nigaah se aiman kii bijliyaa.n lapke.nye aa.nkh jis me.n ka.ii aasmaa.n dikhaa.ii pa.De.nu.Daa de.n hosh vo kaano.n kii saada saada lave.nghaTaa.e.n vajd me.n aa.e.n ye gesu.o.n kii laTak6ye kaif-o-ra.ng-e-nazaara ye bijliyo.n kii lapakki jaise krishn se raadhaa kii aa.nkh ishaare karevo shoKH ishaare ki rabbaaniyat bhii jaa.e jhapakjamaal sar se qadam tak tamaam sho.ala haisukuun jumbish o ram tak tamaam sho.ala haimagar vo sho.ala ki aa.nkho.n me.n Daal de ThanDak7ye raat nii.nd me.n Duube hu.e se hai.n diipakfazaa me.n bujh ga.e u.D u.D ke jugnu.o.n ke sharaarkuchh aur taaro.n kii aa.nkho.n kaa ba.Dh chalaa hai KHumaarfasurda chhiTkii hu.ii chaa.ndnii kaa dhundlaa Gubaarye bhiigii bhiigii uudaahaT ye bhiigaa bhiigaa nuurki jaise chashma-e-zulmaat me.n jale kaafuurye Dhaltii raat sitaaro.n ke qalb kaa ye gudaazKHunuk fazaa me.n tiraa shabnamii tabassum-e-naazjhalak jamaal kii ta.abiir KHvaab aa.iina-saazjahaa.n se jism ko dekhe.n tamaam naaz-o-niyaazjahaa.n nigaah Thahar jaa.e raaz-andar-raazsukuut-e-niim-shabii lahlahe badan kaa nikhaarki jaise nii.nd kii vaadii me.n jaagtaa sansaarhai bazm-e-maah ki parchhaa.iyo.n kii bastii haifazaa kii oT se vo KHaamushii barastii haiki buu.nd buu.nd se paidaa ho gosh o dil me.n khanak8kisii KHayaal me.n hai Garq chaa.ndnii kii chamakhavaa.e.n nii.nd ke kheto.n se jaise aatii ho.nhayaat o maut me.n sargoshiyaa.n sii hotii hai.nkaro.Do.n saal ke jaage sitaare nam-diidasiyaah gesu.o.n ke saa.np niim-KHvaabiidaye pichhlii raat ye rag rag me.n narm narm kasak
isii akele pahaa.D par tuu mujhe milaa thaayahii bulandii hai vasl teraayahii hai patthar mirii vafaa kaaujaa.D chaTyal udaas viiraa.nmagar mai.n sadiyo.n se, is se lipTii hu.ii kha.Dii huu.nphaTii hu.ii o.Dhnii me.n saa.nse.n tirii sameTehavaa ke vahshii bahaa.o par u.D rahaa hai daamansambhaalaa letii huu.n pattharo.n ko gale lagaa karnukiile pattharjo vaqt ke saath mere siine me.n itne gahre utar ga.e hai.nki mere jiite lahuu se sab aas paas ra.ngiin ho gayaa haimagar mai.n sadiyo.n se is se lipTii hu.ii kha.Dii huu.naur ek uu.nchii u.Daan vaale parind ke haathtujh ko paiGaam bhejtii huu.ntuu aa ke dekheto kitnaa KHush hoki sa.ng-reze tamaam yaaquut ban ga.e hai.ndamak rahe hai.ngulaab patthar se ug rahaa hai
magar ruko zaraa Thahro ye siskiyaa.n kaisiiKHushii ki rut me.n dukho.n kii ye badliyaa.n kaisiisuno ye Gaur se maa.e.n bilak rahii hai.n kahii.nye dekho bachcho.n kii aa.nkhe.n chhalak rahii hai.n kahii.nkisii ke eid ke jo.De me.n hai kafan aayaakahii.n pe zaKHmo.n se lipTaa hu.aa badan aayaako.ii to khilne se pahle kalii ko luuT gayaakahii.n daraKHt hii apnii zamii.n se TuuT gayaakis ne kar diye paamaal saaya-daar shajarja.De.n kahii.n pe kaTii.n aur kahii.n bache na samar
mai.n ik devtaa-e-anaanargisiyyat kaa maaraa hu.aaaur azal se takabbur me.n Duubaa hu.aakaafii KHud-sar huu.nziddii huu.n maGruur huu.nmere chaaro.n taraf merii andhii anaa kii vo diivaar haijis me.n aane kii aur mujh se milne kii ghulne kii ko.ii ijaazat kisii ko nahii.n haitumhe.n bhii nahii.n haiuse bhii nahii.n haimujhe bhii nahii.n haimai.n apnii anaa kii diivaaro.n me.n tum se alag ho rahuu.nmujh pe sajtaa bhii hai yemai.n shaa.ir huu.n jo ki fauulun fauulun se bahr-e-ramal takhar ik naGmagii kaa mukammal KHudaa huu.nmai.n lafzo.n kaa aaqaataKHayyul kaa KHaaliqmai.n saare zamaane se yaksar judaa huu.nmujhe zeb detaa hai mai.n apnii diivaar me.n is tarah se muqayyad rahuu.nyuu.nhii sayyad rahuu.nmujh pe sajtaa hai ye.par jo kal shab tire shabnamii se tabassum me.n lipTii hu.iiik nazar be-niyaazii se mujh par pa.Diiterii pahlii nazar se mirii jaan-e-jaa.nmerii diivaar me.n ik ga.Dhaa par pa.D gayaaaur ye hii nahii.n mujh pe vo hii nazarjab dobaara dobaara dobaara pa.Diimerii diivaar me.n zalzale aa ga.eaur raKHne shagaafo.n me.n Dhalne lagemere andar talaatum vo aatish-fishaa.nvo baguule vo tuufaa.n vo mahshar bapaa thaaki mai.n vo ki jis ke tahammul kii hikmat kiifahm-o-lataafat kii tamsiil shaayad kahii.n bhii nahii.n thiisulagne lagaaapnii hiddat se KHud hii pighalne lagaatujh se kahnaa thaa ye ki mirii jaan-e-jaa.nhar sitaare kii apnii kashish hogii lekinKHalaa.o.n me.n murda sitaaro.n kii qismatvo hawking kii theory ke kaale ga.Dhevo vahii vo ki jin me.n hai itnii kashish ki makaa.n to makaa.nvo zamaa.n ko bhii apne lapeTe me.n le le.nvo hawking kii theory ke kaale ga.Dho.n kii gravity bhiiterii a.nkho.n kii gahrii kashish ke muqaabil me.n kuchh bhii nahii.naur ye to faqat ek diivaar thiiis ko girnaa hii thaaterii nazro.n se haarii hai bikhrii pa.Dii haiki diivaar kaa reza-reza tirii ik nazar se mirii jaanuj.Daa pa.Daa haimai.n jo devtaa-e-anaa nargisiyyat kaa maaraa hu.aa vo jo KHud-sar thaaziddii thaa maGruur thaajo fauulun fauulun se bahr-e-ramal tak har ik naGmagii kaa mukammal KHudaa thaatirii ik nazar se anaa.o.n ke arsh-e-mua.allaa se siidhaa tire paa.nv me.n aa kebikhraa pa.Daa hai
yahii rasta mirii manzil kii taraf jaataa haijis ke footpath faqiiro.n se aTe rahte hai.nKHasta kap.Do.n me.n ye lipTe hu.e mariyal Dhaa.ncheye bhikaarii ki jinhe.n dekh ke ghin aatii hai
baato.n me.n duudh kii KHushbuu thiijo kuchh bhii sai.nt ke rakkhaa thaamai.n saarii chiize.n le aa.iiik la.al-e-badaKHshaa.n kii chi.Diyaasone kaa haath chhoTaa saachaa.ndii kii ik nannhii taKHtiiresham kii phuul bharii Topiiatlas kaa naam likhaa juzdaanjuzdaan me.n lipTaa ik qur.aa.npar vo kaisaa diivaana thaakuchh chho.D gayaa kuchh to.D gayaaaur le bhii gayaa hai vo to kyaalohe kii bad-suurat gaa.Diipetrol kii buu bhii aa.egiijis ke pahiye bhii rabar ke hai.njo baat nahii.n kar paa.egiibachcha phir aaKHir bachcha hai
dhundlaa.ii hu.ii shaam thiialsaa.ii hu.ii siiaur vaqt bhii baasii thaa mai.n jab shahr me.n aayaahar shaaKH se lipTe hu.e sannaaTe kha.De thediivaaro.n se chipkii hu.ii KHaamoshii pa.Dii thiiraaho.n me.n nafas ko.ii na parchhaa.ii.n na saayaun galiyo.n me.n kuucho.n me.n, a.ndheraa na ujaalaadarvaazo.n ke paT band the, KHaalii the dariichebas vaqt ke kuchh baasii se Tuk.De the, pa.De the
dil ke aivaa.n me.n liye gul-shuda sham.o.n kii qataarnuur-e-KHurshiid se sahme hu.e uktaa.e hu.ehusn-e-mahbuub ke sayyaal tasavvur kii tarahapnii taariikii ko bhe.nche hu.e lipTaa.e hu.e
shahr meraa udaas ga.ngaa saako.ii bhii aa.e aur apne paapkho ke jaataa hai dhoke jaataa haiaag kaa khel khelne vaaleye nahii.n jaante ki paanii kaaaag se bair hai hamesha kaaaag kitnii hii KHaufnaak sahiius kii lapTo.n kii umr tho.Dii haiaur ga.ngaa ke saaf paanii koaaj bahnaa hai kal bhii bahnaa haijaane kis kis kaa dard sahnaa haishahr meraa udaas ga.ngaa saa
chand tutlaa.e hu.e bolo.n me.n aahaT bhii suniiduudh kaa daa.nt giraa thaa to vahaa.n bhii dekhaaboskii beTii mirii chiknii sii resham kii DaliilipTii-lipTaa.ii hu.ii reshmii taa.ngo.n me.n pa.Dii thiimujh ko ehsaas nahii.n thaa ki vahaa.n vaqt pa.Daa haipaalnaa khol ke jab mai.n ne utaaraa thaa use bistar parlorii ke bolo.n se ik baar chhu.aa thaa us koba.Dhte naaKHuuno.n me.n har baar taraashaa bhii thaa
bahut se kaam hai.nlipTii hu.ii dhartii ko phailaa de.ndaraKHto.n ko ugaa.e.nDaaliyo.n pe phuul mahkaa de.npahaa.Do.n ko qariine se lagaa.e.nchaa.nd laTkaa.e.nKHalaa.o.n ke saro.n pe niil-guu.n aakaashphailaa.e.nsitaaro.n ko kare.n raushanhavaa.o.n ko gatii de de.nphudakte pattharo.n ko pa.nkh de kar naGmagii de de.nlabo.n ko muskuraahaTa.nkh.Diyo.n ko raushnii de de.nsa.Dak par Doltii parchhaa.iyo.n kozindagii de de.n
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books