aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
Showing search results for "myth"
zindagii myth nahii.njo puraane ma.aanii kiimayyaa se lipTii rahe
Tuk hirs-o-havaa ko chho.D miyaa.n mat des bides phire maaraaqazzaaq ajal kaa luuTe hai din raat bajaa kar naqqaaraakyaa badhiyaa bhai.nsaa bail shutur kyaa gaune.n pallaa sar-bhaaraakyaa gehuu.n chaa.nval moTh maTar kyaa aag dhu.aa.n aur a.ngaaraasab ThaaTh pa.Daa rah jaavegaa jab laad chalegaa banjaaraa
kisii ko daav pe laanakkii muuTh ne maaraakisii ke ghar pe dharaa soKHta ne a.ngaaraakisii ko nard ne chaupa.D ke kar diyaa zaaraala.ngoTii baa.ndh ke baiThaa izaar tak haaraaye shor aa ke machaa jaa-ba-jaa divaalii kaa
nahii.n mai.n yuu.n nahii.n kahtaaki ye duniyaa jahannam aur ham sab is kaa ii.ndhan hai.nnahii.n yuu.n bhii nahii.n kahtaaki ham jannat ke baasii hai.nsaro.n par laa-javrdii shaamiyaane aur pairo.n me.nniraale zaa.eqo.n vaale phalo.n ke pe.D shiir o shahad kii nahre.n machaltii hai.nmujhe to bas yahii kuchh aam sii kuchh chhoTii chhoTii baate.n kahnii hai.nmujhe kahnaa haiis dhartii pe gulshan bhii hai.n sahraa bhiimahaktii narm miTTii bhiiaur us kii kokh me.n KHvaabo.n kaa jaaduu aane vaalii nit na.ii faslo.n kii KHushbuu bhiichaTaKHtii aur taptii saKHt be-his KHuun kii pyaasii chaTaane.n bhiimujhe kahnaa haiham sab apnii dhartii kiiburaa.ii aur bhalaa.ii saKHtiyo.n aur narmiyo.n achchhaa.iyo.n kotaahiyo.n har ra.nghar pahluu ke maz.har hai.nhame.n insaan kii maanindKHair o shar mohabbat aur nafrat dushmanii aur dostii ke saath jiinaa haiisii dhartii kaa shahad o samisii dhartii ke khaT-miTh jaane pahchaane maze kaa jaam piinaa haimujhe bas itnaa kahnaa haiki ham ko aasmaano.n yaa KHalaa.o.n kii ko.ii maKHluuq mat samjho
TuuT baTuuT kaa ik totaa haiumr hai us kii hafte aaThmiyaa.n miTThuu naam hai us kaasab kahte hai.n miyaa.n maaThvaah miyaa.n miTThuu tere ThaaTh
yahaa.n daraKHt ke uupar ugaa hu.aa hai daraKHtzamiin ta.ng hai (jaise kabhii faraaKH na thii)havaa kaa kaal pa.Daa hai, namii bhii aam nahii.nsamundaro.n ko bilo kar fazaa.o.n ko math karjanam diye hai.n agar chand abr ke Tuk.DejhapaT liyaa hai unhe.n yuu.n daraaz shaaKHo.n neki niim-jaa.n tane ko zaraa KHabar na hu.iija.De.n bhii KHaak tale ek hii lagan me.n ravaa.nna tiirgii se mafar hai, na raushnii kaa savaalzamii.n me.n paa.nv dha.nse hai.n fazaa me.n haat bulandna.ii jihat kaa lage ab daraKHt me.n paivand
ye har shab soch kar sotaa huu.n aane vaalii sub.ho.n me.ngulo.n se pattiyo.n se os kii buu.nde.n churaanii hai.nshah aakaash kii nazre.n-numaa kirno.n se pahle jaag jaanaa haisabaa-e-ambarii.n ke lams ko mahsuus karnaa hailibaas-e-sabz me.n malbuus alha.D pattiyo.n kii baate.n sun.nii hai.nhasii.n doshiiza kii muskaan sii kaliyo.n se do ik baat kar luu.ngaamagar kuchh kar nahii.n paataa ki raahat roke rakhtii haiko.ii afsaana pa.Dhnaa ho kisii kii shaa.irii pe baat karnii hokisii taKHliiq se pahle KHayaal-o-fikr ko aazaad rakhnaa hokisii saariq kisii shaatir kisii kam-fahm se sachchaa.ii kahnii hoba.Dii ma.asuum shaklo.n me.n chhupe ayyaar ko makkaar ko shiisha dikhaanaa hofaqiih-e-vaqt amiir-e-shahr kaa qazzaaq se mal.uun se rishta bataanaa homagar ye kar nahii.n saktaa maslahat KHaamosh rakhtii haihariim-e-mai-kade me.n KHaanqaaho.n maTh madraso.n me.nbarahman shaiKH se piir-e-muGaa.n se saaqiyo.n se aur vaa.iz seye aksar sochtaa huu.n jaa ke kah duu.n mai.nriyaa-o-kibr tahii-iKHlaas aur bad-atvaarii se terejahaa.n me.n ishq uKHuvvat ilm aur aKHlaaq marte hai.nmagar mai.n kah nahii.n saktaa aqiidat baaz rakhtii haita.assub KHud-pasandii buGz se kibr-o-hasad sebisaat-e-zehn-o-dil ko chaahtaa huu.n paak kar luu.nzar-o-imlaak kii KHvaahish se apne aap ko aazaad kar luu.nki jab jab sa.ii kartaa huu.n havas inkaar kartii haimagar iiqaan hai meraa hamaare ahd ke bachchemire kizb-o-riyaa ko makr ko aur be-iimaanii konafaaq-o-bad-qimaashii ko mire zaahir ko baatin kohuvaidaa kar ke chho.De.nge alal-ailaan kah de.ngeki mere baap aise the mire ustaaz aise theso un kii baat se a.amaal se sharminda huu.n mai.n bhiiye kahne se unhe.n izzat na rokegiina un ko KHauf rokegaaunhe.n kuchh bhii na rokegaachalan badlaa hu.aa hogaahamaarii saarii izzat saarii zillat duusro.n ke haq kii paamaaliikitaab-e-haq ke panno.n par bahut vaazeh likhii ho.ngii
mai.n jaantaa huu.n duniyaa badal nahii.n saktiiek ho kar ke saagar ko math nahii.n saktiiyuu.n hii KHayaal saa guzraa hai be-ma.aanii saajis kii takmiil har haal ho nahii.n saktii
mai.n jantaa huu.n duniyaa badal nahii.n saktiiek ho kar ke saagar ko math nahii.n saktiiyuu.nhii KHayaal saa guzraa hai be-ma.anii saajis kii takmiil har haal ho nahii.n saktii
vo jo kahte hai.n kisii Te.Dh binaa ko.ii baat nahii.n ho saktiiso aan kii aan me.n Dor palaT kar maahii-giir pe aan pa.Diiunhii mausam me.n ko.ii tum saa dariyaa paar se aayaa thaaaur saarii bastii ro.ii thiius din bastii me.n rone vaalo.n kaa din thaa aur tum ne kahaa thaaye log samundar math kar piite the ab rote hai.naur tum ne kahaa thaaun logo.n se to saahil par kho jaane vaale bachche achchhe hai.njo ret pe khelte khel ko paanii kar dete hai.nso Te.Dh me.n tum ne baat kahiiun logo.n se to saahil par kho jaane vaale bachche achchhe hai.nvo jo kahte hai.n har baat me.n ko.ii Te.Dh sii ho to behtar haiun logo.n se sar-e-shaam milo to baat nahii.n ho saktiiaur din me.n un ke saath ka.ii doraahe chalte hai.naur raat me.n un ke ghar bas nii.nd kaa saudaa ho saktaa haiaur nii.nd kadduu kii bel hai suukh ga.ii to saahil par paiGambar bacha rah jaataa haiso Te.Dh me.n tum ne baat kahiiab paiGambar se baat nahii.n ho saktiivo jo kahte hai.n kisii Te.Dh binaa ko.ii baat nahii.n ho saktiiso aan kii aan me.n Dor palaT kar maahii-giir par aan pa.Dii
dhiire dhiire shaam aa rahii hairaat kii kitaabo.n me.npat-jha.Do.n kii saa.nso.n me.ndhundlii dhundlii aa.nkho.n me.n raat ba.Dhtii jaa rahii hainii.nd ek gaa.nv hainii.nd kii talaash me.naavaaze.n aa rahii hai.npaa.nv kha.Daa.uu.n pahne sat sat gaa rahe hai.npiipal ke paat hare dhiire dhiire gir rahe hai.nka.ii haath ba.Dh rahe hai.nshak vaale rang liye moro.n ke pa.nkho.n se sabhyataa ko likh rahe hai.npiipal ke paat hare dhiire dhiire gir rahe hai.nmaaTii ke Dible me.n pho.e pho.e jal rahe hai.npiipal ke paat hare dhiire dhiire gir rahe hai.ndhiire dhiire gir rahe hai.ndhiire dhiire shaam aa rahii haimiTTii barasne ke sha.nkh chiiKHne lage hai.nmard sab kapaas se ba.ndhe hu.esaral sapaaT u.ngliyo.n seapne apne ghar ke saa.ebaan me.napne apne devtaa.o.n kii shabiihe.n likh rahe hai.naasano.n ke ramz me.n gu.ndhii hu.ii tamaam aurte.n bhii aa ga.ii hai.naurte.n hatheliyo.n se chaa.nd bun rahii hai.nduudh kii kaToriyo.n se suurajo.n kii aatmaa.e.n math rahii hai.ndhiire dhiire jal rahii hai.ndhiire dhiire bujh rahii hai.ndhiire dhiire shaam aa rahii hai
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books