aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
Showing search results for "resho.n"
dard itnaa thaa ki us raat dil-e-vahshii nehar rag-e-jaa.n se ulajhnaa chaahaahar bun-e-muu se Tapaknaa chaahaaaur kahii.n duur tire sahn me.n goyaapattaa pattaa mire afsurda lahuu me.n dhul karhusn-e-mahtaab se aazurda nazar aane lagaamere viiraana-e-tan me.n goyaasaare dukhte hu.e resho.n kii tanaabe.n khul karsilsila-vaar pataa dene lagii.nruKHsat-e-qaafila-e-shauq kii tayyaarii kaaaur jab yaad kii bujhtii hu.ii sham.o.n me.n nazar aayaa kahii.nek pal aaKHirii lamha tirii dildaarii kaadard itnaa thaa ki us se bhii guzarnaa chaahaaham ne chaahaa bhii magar dil na Thaharnaa chaahaa
vo be-KHabar haiki shaatir-e-vaqt kii nazar me.nko.ii ikaa.iishajar hajar ho ki zii-nafas honizaam-e-kul se alag nahii.n haivo ye nahii.n jaantii ki hastii ke kaar-KHaane me.nus kaa honaa na honaa be-naam haadisa haiaur us ke hisse kaa kul asaasavo chand lamhe vo chand saa.nse.n hai.njin me.n vo KHvaab dekhtii haisaliiqa-e-zaat se chaman ko sa.nvaarne kaabahaar-e-jaa.n ko nikhaarne kaa2bajaa ki naa-paa.edaar hai ye vajuud meraamai.n Gair-faanii hayaat ke silsile me.nik biich kii ka.Dii huu.nrahiin-e-gardish bhii markaz-e-kaa.enaat bhii huu.njo mai.n ne dekhaa hai vo mire KHuu.n me.n rach gayaa haijo mai.n ne sochaa hai mujh me.n zinda haiaur jo kuchh sunaa hai mujh me.n samaa gayaa haihavaa kii suurat har ek ehsaasmerii saa.nso.n me.n jii rahaa haihar ek manzar mire tasavvur me.n bas gayaa haimai.n zaat-e-mahduud apnii pahnaa.iyo.n me.nik kaa.enaat bhii huu.nmirii rago.n me.n vo joshash-e-jaavedaa.n ravaa.n haijo shaaKH me.n phuul kii numuu haijo bahr me.n mauj kii ta.Dap haipar-e-kabuutar me.n taab-e-parvaaz haisitaaro.n me.n raushnii haimai.n apne hone ke sab havaalo.n me.n ruunumaa huu.nmai.n jaa-ba-jaa suurat-e-sabaa huu.nGazaal-e-KHush-chashm kii kaliyo.n me.n kheltaa huu.nhumakte bachche kii muskuraahaT huu.npiir-e-shab-KHez kii du.aa huu.nmai.n mehr me.n maahtaab me.n huu.nye kaisii chaahat hai jis se mai.nek mustaqil iztiraab me.n huu.nvo kaun sii manzil talab thiiki raa.njhaa raa.njhaa pukaartii hiiraap hii raa.njhaa ho ga.ii thii
ulajhtii saa.nso.n kii saKHt girhe.nbadan ke andar khii.nchii hu.ii hai.nniDhaal sadiyo.n ke faaslo.n kaa safar ki paa.nv me.n pal rahaa haidha.Do.n ke niiche hamaaraa saayahamaare jismo.n ko reza reza nigal rahaa hai(2)samundaro.n se havaa lipaT kar na.ii ruto.n kaa visaal maa.ngezamii.n kii KHushbuu sahar kii aahaT ke dhu.ndle KHvaabo.n kaa aks phailehame.n yaqii.n hai havaa ke gadle safar se aagechamakte lamho.n kii rahguzar haina.e gulaabo.n kii sarzamii.n haihamaare paa.nv me.n aane vaale safar kii KHvaahish ta.Dap rahii haihamaarii aa.nkho.n me.n baavle KHvaab kaa nasha haiham apne apne dha.Do.n ke taabuut se nikal karba.Dhe ki suuraj kaa jism chhiine.nzamii.n kii KHushbuu kaa khoj paa.e.nham ek muddat se sochte hai.nki aasmaa.n ke siyaah patthar me.n ab kiran kaa shigaaf utrezamii.n kii paataal se kashish hona.e gulaabo.n kii mast KHushbuu badan me.n phailemagar vahii dhund kaa safar haikaTii-phaTii sard u.ngliyo.n par lahuu ke jugnuu chamak chamak kar bikhar chuke hai.nrago.n ke resho.n me.n taaza KHvaahish kii kashmakash sard pa.D chukii haidho.e.n ke phande me.n marne vaalo.n ke naam zehno.n kii taKHtiyo.n seutar rahe hai.nsaro.n pe karb-o-balaa ke mausam kaa saKHt KHema khii.nchaa hu.aa haihavaa pe likkhe hu.e hai.n nauhefazaa me.n laTke hu.e hai.n chehreufuq pe TuuTii hu.ii lakiire.nzamii.n pe phaile hu.e hai.n saa.esamundaro.n se lipaTne vaalii havaa kii an-dekhii Doriyo.n kaako.ii siraa haath me.n nahii.n haihamaarii palke.n udha.D chukii hai.ntamaam KHvaabo.n kii dhundlii ruuhe.n muhiib jangal ke raasto.n parbhaTak rahii hai.nulajhtii saa.nso.n kii saKHt girhe.nabhii talak jism par khii.nchii hai.nhamaare niiche kisii zamii.n kii kashish ho shaayadyahii.n kahii.n dhund ke aqab me.n ho ko.ii suuraj nikalne vaalaahavaa ke gadle safar se aage chamakte lamho.n kii rahguzar hona.e gulaabo.n kii sar-zamii.n homagar pighalte badan ko tahliil karne vaalii ajiib saa.at sadaa aTal haihamaarii KHvaahish ye nek saa.at hamaarii aa.nkho.n me.n ghul ke phailehamaare jismo.n kaa dard pighlehamaarii KHvaahish ye nek saa.at sukuut ban kar ta.Dapte jismo.n me.n aa ke Thahreulajhtii saa.nso.n kii girhe.n kholeham us kii KHushbuu ke pur-sukuu.n malgaje a.ndhere kii gahrii lazzat ke muntazir hai.nham us kii KHvaahish me.n apne apne dha.Do.n ke taabuut me.n ba.ndhe hai.n
udaasii baat kartii hai kisii anjaan bolii me.nsukuu.n kaa phuul dil ke shaaKHcho.n se to.D letii haiye nii.ndo.n ko uThaa letii hai aa.nkho.n ke kaToro.n sekabhii kho.ii hu.ii yaade.n kahii.n se khoj laatii haibahut sii an-kahii baate.n kahii.n se gher laatii haihathelii par sajaa laatii hai vo suukhe hu.e patterachii hai jin ke resho.n me.n ko.ii bhuulii hu.ii KHushbuulikhe hai.n jin pe guzre mausamo.n ke dil-nashii.n lamhepuraane se puraanaa qufl pal me.n khol detii haiudaasii jaa utartii haibadan ke un jaziiro.n parjinhe.n viiraan rakhnaa houdaasii TimTimaatii hailahuu ke un ilaaqo.n me.njinhe.n taariik rakhnaa ho
taraashiye to ka.ii pattharo.n ke siino.n me.nshajar kii shaaKHo.n ke maanind naqsh phaile hai.npar un ke resho.n me.n zauq-e-numuu nahii.n maltaa
sarsaraahaT haina aahaT haina halchalna chubhandard chup-chaapkisii dhiimii nadii kii suuratsaa.ns letii hu.iigaa.nTho.n me.nutar aayaa haikitne barso.n kiiriyaazat sehunar-mandii seaaise bikhre hu.eresho.n ko sameTaa hai magaraur har baarhar ik baarbahut jatano.n sejism ko jaan sejo.Daa hai magarbe-sabab saa.ns kii kaTtii Doriikab se thaame hu.ebaiThe hai.n magaraaj nahii.nyaa kahii.n dard thameaur sakuu.n mil jaa.eyaa ko.ii gaa.nTh khuleaur qaraar aa jaa.e
vo dastake.njo tumhaarii poro.n ne in daro.n me.n u.nDel dii hai.nvo aaj bhiiin ke chob-resho.n me.n jaagtii hai.ntumhaare qadmo.n kii chaapchup saa.ato.n me.n bhiiek ek zarre me.n boltii haitumhaare lahje ke miiThe ghaa.o seaaj bhiimere ghar kaa ku.Del chaTaan-siina chhanaa hu.aa hai
bhuuk ifriit haivahshat hai ba.Dii aafat haibhuuk KHamyaaza-e-jaan-o-tan haibe-par-o-baal kiyaa kartii haivaqt kii taal ko be-taal kiyaa kartii haibhuuk a.asaab-e-shikasta kii khulii bai.at haiye KHad-o-KHaal kuchal detii haitahziib ke resho.n ko masal detii haiaur sarmaaya-parastii ke sunahre ayyaamgird-e-ruKHsaar shab-o-roz pe mil jaate hai.nsiina-e-KHaak ko dahlaataa hu.aa suur-e-falakmutma.in KHaak-nashiino.n ke liyeroz hii roz viGaa laataa haiaur shab-o-roz mah-o-saal me.n Dhal jaate hai.n
raat har baar liyeKHauf ke KHaalii paikarKHuu.n miraa maa.ngnebe-KHauf chalii aatii haiaur jaltii hu.ii aa.nkho.n ketahayyur ke taleek sannaaTaabahut shor kiyaa kartaa haikuchh to kaTtaa haita.Daptaa haibahaataa hai lahuuaur khul jaate hai.nresho.n ke puraane baKHiyeraat har baar miriijaagtii palke.n chun karandhe gumnaam dariicho.n pesajaa jaatii haiaur dhundlaa.e hu.egard-zada rasto.n me.nek aahaT kaa siraa haijo nahii.n miltaa haiaasmaa.n giilii chaTaano.n peTikaa.e chehrasiskiyaa.n letaa haisahme hu.e bachche kii tarahaur dariicho.n pe dhariikaa.nptii palke.n meriigul-zamiino.n ke na.eKHvaab bunaa kartii hai.n
vo shaaKH mazbuut ho yaa naazukye munhasir hai kamaal-e-fan parki kaise tinko.n ko jo.Dnaa haimahiin resho.n ke taane-baanese kaise diivaar jo.Dnii hai
zindagiiaasaan bhiimushkil bhii thiigunjlak itnii na thiigard itnii jam ga.ii haizehn ke aa.iine pardhund me.n Duubii nazar aatii haisaarii kaa.enaatdil ke resho.n me.nsiyaahii jam ga.ii hai be-tarah
dekhtaa huu.ngarm gahre les ke dariyaa me.nkachhu.o.n, me.nDako.njal-kek.Do.n ke paaracho.n me.nojha.Dii ke khurdure resho.n me.nsaalim huu.nnabuud o buud ke taariik andesho.n me.nbaahar kaun haijo zaat ke is KHema-e-KHaakistarii kepeT ke phuule hu.egadle Gubaare parazal se kaan rakh kar sun rahaa haisar paTaKHnehaath paa.nv maarnekarvaT badalne kii sadaa!
qabl azii.n ki teraa fikr-e-muushigaafmaGz-e-insaa.n aur a.azaa-e-badan ke darmiyaa.nun resho.n ke har har lachchhe ke girdjin me.n dil kii barq-rau mauje.n ravaa.n hai.njin me.n ehsaasaat kii mahtaabiyaa.n hai.ngardisho.n par gardishe.n khaane lageus haqiiqat ko samajhkyuu.n ko.ii be-barq zarraik anokhii dhaat kenuqta markaz ke baaruudii anaasir sema.an kuchh aise Takraane lagedekhte hii dekhtenuqta markaz kaa jaaduu bhak se u.D jaane lagehar tasaadum ke amal kaaek saa radd-e-amalek se radd-e-amal kaa silsilabe-karaa.n taKHayyul kii u.Dtii hado.n se maavaraalaa-intihaa
in me.n raqsaa.n hai.n musaffaa jazbein me.n pinhaa.n hai.n dha.Dakte lamhein me.n taKH.iil kaa jaaduu hai nihaa.nin me.n afkaar kaa dariyaa hai ravaa.nin me.n miTTii kii hai sarshaar mahakin me.n tahziib kii raushan hai jhalakin me.n sarsabz ruto.n kii hai bahaarin me.n aavaara shabo.n kaa hai KHumaarin me.n purvaa.ii kii ThanDak bhii haiin me.n tuufaan kii dastak bhii haiin me.n sangiit kii devii bhii haiin me.n ehsaas kii jyotii bhii haiin me.n dariyaa kii ravaanii bhii haiin me.n sahraa kii kahaanii bhii haikhiltii kaliyo.n kaa tabassum bhii haizard patto.n kaa takallum bhii haisurmagii.n sub.h kii dildaarii hailamha-e-vasl kii sarshaarii haisabz mausam kii dhanak hai in me.nshaaKH-e-gul kii bhii lachak hai in me.nin me.n sho.alo.n kii lapak hai dekhoin me.n chehro.n kii lalak hai dekhodil ke resho.n me.n inhe.n jazb karophir inhe.n zehn se chhuu kar dekho
an-ginat sadiyo.n ke taariik bahiimaana tilismresham o atlas o kamKHaab me.n bunvaa.e hu.ejaa-ba-jaa bikte hu.e kuucha-o-baazaar me.n jismKHaak me.n luTh.De hu.e KHuun me.n nahlaa.e hu.e
hamesha der kar detaa huu.n mai.n har kaam karne me.nzaruurii baat kahnii ho ko.ii va.ada nibhaanaa house aavaaz denii ho use vaapas bulaanaa hohamesha der kar detaa huu.n mai.nmadad karnii ho us kii yaar kii Dhaaras ba.ndhaanaa hobahut deriina rasto.n par kisii se milne jaanaa hohamesha der kar detaa huu.n mai.nbadalte mausamo.n kii sair me.n dil ko lagaanaa hokisii ko yaad rakhnaa ho kisii ko bhuul jaanaa hohamesha der kar detaa huu.n mai.nkisii ko maut se pahle kisii Gam se bachaanaa hohaqiiqat aur thii kuchh us ko jaa ke ye bataanaa hohamesha der kar detaa huu.n mai.n har kaam karne me.n.....
jab kabhii biktaa hai baazaar me.n mazduur kaa goshtshaah-raaho.n pe Gariibo.n kaa lahuu bahtaa haiaag sii siine me.n rah rah ke ubaltii hai na puuchhapne dil par mujhe qaabuu hii nahii.n rahtaa hai
dil se jo baat nikaltii hai asar rakhtii haipar nahii.n taaqat-e-parvaaz magar rakhtii haiqudsi-ul-asl hai rif.at pe nazar rakhtii haiKHaak se uThtii hai garduu.n pe guzar rakhtii haiishq thaa fitnagar o sarkash o chaalaak miraaaasmaa.n chiir gayaa naala-e-bebaak miraapiir-e-garduu.n ne kahaa sun ke kahii.n hai ko.iibole sayyaare sar-e-arsh-e-barii.n hai ko.iichaa.nd kahtaa thaa nahii.n ahl-e-zamii.n hai ko.iikahkashaa.n kahtii thii poshiida yahii.n hai ko.iikuchh jo samjhaa mire shikve ko to rizvaa.n samjhaamujh ko jannat se nikaalaa hu.aa insaa.n samjhaathii farishto.n ko bhii hairat ki ye aavaaz hai kyaaarsh vaalo.n pe bhii khultaa nahii.n ye raaz hai kyaataa-sar-e-arsh bhii insaa.n kii tag-o-taaz hai kyaaaa ga.ii KHaak kii chuTkii ko bhii parvaaz hai kyaaGaafil aadaab se sukkaan-e-zamii.n kaise hai.nshoKH o gustaaKH ye pastii ke makii.n kaise hai.nis qadar shoKH ki allaah se bhii barham haithaa jo masjuud-e-malaa.ik ye vahii aadam haiaalim-e-kaif hai daanaa-e-rumuuz-e-kam haihaa.n magar ijz ke asraar se naa-mahram hainaaz hai taaqat-e-guftaar pe insaano.n kobaat karne kaa saliiqa nahii.n naa-daano.n koaa.ii aavaaz Gam-a.ngez hai afsaana tiraaashk-e-betaab se labrez hai paimaana tiraaaasmaa.n-giir hu.aa naara-e-mastaana tiraakis qadar shoKH-zabaa.n hai dil-e-diivaana tiraashukr shikve ko kiyaa husn-e-adaa se tuu neham-suKHan kar diyaa bando.n ko KHudaa se tuu neham to maa.il-ba-karam hai.n ko.ii saa.il hii nahii.nraah dikhlaa.e.n kise rah-rav-e-manzil hii nahii.ntarbiyat aam to hai jauhar-e-qaabil hii nahii.njis se ta.amiir ho aadam kii ye vo gil hii nahii.nko.ii qaabil ho to ham shaan-e-ka.ii dete hai.nDhuu.nDne vaalo.n ko duniyaa bhii na.ii dete hai.nhaath be-zor hai.n ilhaad se dil KHuugar hai.nummatii baa.is-e-rusvaa.i-e-paiGambar hai.nbut-shikan uTh ga.e baaqii jo rahe but-gar hai.nthaa braahiim pidar aur pisar aazar hai.nbaada-aashaam na.e baada nayaa KHum bhii na.eharam-e-kaaba nayaa but bhii na.e tum bhii na.evo bhii din the ki yahii maaya-e-raanaa.ii thaanaazish-e-mausam-e-gul laala-e-sahraa.ii thaajo musalmaan thaa allaah kaa saudaa.ii thaakabhii mahbuub tumhaaraa yahii harjaa.ii thaakisii yakjaa.ii se ab ahd-e-Gulaamii kar lomillat-e-ahmad-e-mursil ko maqaamii kar lokis qadar tum pe giraa.n sub.h kii bedaarii haiham se kab pyaar hai haa.n nii.nd tumhe.n pyaarii haitab-e-aazaad pe qaid-e-ramazaa.n bhaarii haitumhii.n kah do yahii aa.iin-e-vafaadaarii haiqaum maz.hab se hai maz.hab jo nahii.n tum bhii nahii.njazb-e-baaham jo nahii.n mahfil-e-anjum bhii nahii.njin ko aataa nahii.n duniyaa me.n ko.ii fan tum honahii.n jis qaum ko parvaa-e-nasheman tum hobijliyaa.n jis me.n ho.n aasuuda vo KHirman tum hobech khaate hai.n jo aslaaf ke madfan tum hoho niko naam jo qabro.n kii tijaarat kar kekyaa na bechoge jo mil jaa.e.n sanam patthar kesafha-e-dahr se baatil ko miTaayaa kis nenau-e-insaa.n ko Gulaamii se chhu.Daayaa kis nemere ka.abe ko jabiino.n se basaayaa kis nemere qur.aan ko siino.n se lagaayaa kis nethe to aabaa vo tumhaare hii magar tum kyaa hohaath par haath dhare muntazir-e-fardaa hokyaa kahaa bahr-e-musalmaa.n hai faqat vaada-e-huurshikva bejaa bhii kare ko.ii to laazim hai shu.uuradl hai faatir-e-hastii kaa azal se dastuurmuslim aa.ii.n hu.aa kaafir to mile huur o qusuurtum me.n huuro.n kaa ko.ii chaahne vaalaa hii nahii.njalva-e-tuur to maujuud hai muusaa hii nahii.nmanfa.at ek hai is qaum kaa nuqsaan bhii ekek hii sab kaa nabii diin bhii iimaan bhii ekharam-e-paak bhii allaah bhii qur.aan bhii ekkuchh ba.Dii baat thii hote jo musalmaan bhii ekfirqa-bandii hai kahii.n aur kahii.n zaate.n hai.nkyaa zamaane me.n panapne kii yahii baate.n hai.nkaun hai taarik-e-aa.iin-e-rasuul-e-muKHtaarmaslahat vaqt kii hai kis ke amal kaa me.aarkis kii aa.nkho.n me.n samaayaa hai shi.aar-e-aGyaarho ga.ii kis kii nigah tarz-e-salaf se be-zaarqalb me.n soz nahii.n ruuh me.n ehsaas nahii.nkuchh bhii paiGaam-e-mohammad kaa tumhe.n paas nahii.njaa ke hote hai.n masaajid me.n saf-aaraa to Gariibzahmat-e-roza jo karte hai.n gavaaraa to Gariibnaam letaa hai agar ko.ii hamaaraa to Gariibparda rakhtaa hai agar ko.ii tumhaaraa to Gariibumaraa nashsha-e-daulat me.n hai.n Gaafil ham sezinda hai millat-e-baizaa Gorabaa ke dam sevaa.iz-e-qaum kii vo puKHta-KHayaalii na rahiibarq-e-tab.ii na rahii shola-maqaalii na rahiirah ga.ii rasm-e-azaa.n ruuh-e-bilaalii na rahiifalsafa rah gayaa talqiin-e-Gazaalii na rahiimasjide.n marsiyaa.n-KHvaa.n hai.n ki namaazii na raheyaanii vo sahib-e-ausaaf-e-hijaazii na raheshor hai ho ga.e duniyaa se musalmaa.n naabuudham ye kahte hai.n ki the bhii kahii.n muslim maujuudvaz.a me.n tum ho nasaaraa to tamaddun me.n hunuudye musalmaa.n hai.n jinhe.n dekh ke sharmaa.e.n yahuudyuu.n to sayyad bhii ho mirzaa bhii ho afGaan bhii hotum sabhii kuchh ho bataa.o to musalmaan bhii hodam-e-taqriir thii muslim kii sadaaqat bebaakadl us kaa thaa qavii laus-e-maraa.aat se paakshajar-e-fitrat-e-muslim thaa hayaa se namnaakthaa shujaa.at me.n vo ik hasti-e-fauq-ul-idraakKHud-gudaazii nam-e-kaifiyat-e-sahbaa-yash buudKHaalii-az-KHesh shudan suurat-e-miinaa-yash buudhar musalmaa.n rag-e-baatil ke liye nashtar thaaus ke aa.iina-e-hastii me.n amal jauhar thaajo bharosaa thaa use quvvat-e-baazuu par thaahai tumhe.n maut kaa Dar us ko KHudaa kaa Dar thaabaap kaa ilm na beTe ko agar azbar hophir pisar qaabil-e-miiraas-e-pidar kyuu.nkar hohar ko.ii mast-e-mai-e-zauq-e-tan-aasaanii haitum musalmaa.n ho ye andaaz-e-musalmaanii haihaidarii faqr hai ne daulat-e-usmaanii haitum ko aslaaf se kyaa nisbat-e-ruuhaanii haivo zamaane me.n mu.azziz the musalmaa.n ho karaur tum KHvaar hu.e taarik-e-qur.aa.n ho kartum ho aapas me.n Gazabnaak vo aapas me.n rahiimtum KHataa-kaar o KHataa-bii.n vo KHataa-posh o kariimchaahte sab hai.n ki ho.n auj-e-surayyaa pe muqiimpahle vaisaa ko.ii paidaa to kare qalb-e-saliimtaKHt-e-faGfuur bhii un kaa thaa sariir-e-ka.e bhiiyuu.n hii baate.n hai.n ki tum me.n vo hamiyat hai bhiiKHud-kushii sheva tumhaaraa vo Gayuur o KHuddaartum uKHuvvat se gurezaa.n vo uKHuvvat pe nisaartum ho guftaar saraapaa vo saraapaa kirdaartum taraste ho kalii ko vo gulistaa.n ba-kanaarab talak yaad hai qaumo.n ko hikaayat un kiinaqsh hai safha-e-hastii pe sadaaqat un kiimisl-e-anjum ufuq-e-qaum pe raushan bhii hu.ebut-e-hindii kii mohabbat me.n birhman bhii hu.eshauq-e-parvaaz me.n mahjuur-e-nasheman bhii hu.ebe-amal the hii javaa.n diin se bad-zan bhii hu.ein ko tahziib ne har band se aazaad kiyaalaa ke ka.abe se sanam-KHaane me.n aabaad kiyaaqais zahmat-kash-e-tanhaa.i-e-sahraa na raheshahr kii khaa.e havaa baadiya-paimaa na rahevo to diivaana hai bastii me.n rahe yaa na raheye zaruurii hai hijaab-e-ruKH-e-lailaa na rahegila-e-zaur na ho shikva-e-bedaad na hoishq aazaad hai kyuu.n husn bhii aazaad na hoahd-e-nau barq hai aatish-zan-e-har-KHirman haiaiman is se ko.ii sahraa na ko.ii gulshan haiis na.ii aag kaa aqvaam-e-kuhan ii.ndhan haimillat-e-KHatm-e-rusul shola-ba-pairaahan haiaaj bhii ho jo braahiim kaa iimaa.n paidaaaag kar saktii hai andaaz-e-gulistaa.n paidaadekh kar ra.ng-e-chaman ho na pareshaa.n maaliiKaukab-e-Guncha se shaaKHe.n hai.n chamakne vaaliiKHas o KHaashaak se hotaa hai gulistaa.n KHaaliiGul-bar-andaaz hai KHuun-e-shohdaa kii laaliira.ng garduu.n kaa zaraa dekh to unnaabii haiye nikalte hu.e suuraj kii ufuq-taabii haiummate.n gulshan-e-hastii me.n samar-chiida bhii hai.naur mahruum-e-samar bhii hai.n KHizaa.n-diida bhii hai.nsaik.Do.n naKHl hai.n kaahiida bhii baaliida bhii hai.nsaik.Do.n batn-e-chaman me.n abhii poshiida bhii hai.nnaKHl-e-islaam namuuna hai birau-mandii kaaphal hai ye saik.Do.n sadiyo.n kii chaman-bandii kaapaak hai gard-e-vatan se sar-e-daamaa.n teraatuu vo yuusuf hai ki har misr hai kan.aa.n teraaqaafila ho na sakegaa kabhii viiraa.n teraaGair yak-baa.ng-e-daraa kuchh nahii.n saamaa.n teraanaKHl-e-shama astii o dar shola do-resha-e-tuuaaqibat-soz bavad saaya-e-andesha-e-tuutuu na miT jaa.egaa iiraan ke miT jaane senashsha-e-mai ko ta'alluq nahii.n paimaane sehai ayaa.n yurish-e-taataar ke afsaane sepaasbaa.n mil ga.e ka.abe ko sanam-KHaane sekashti-e-haq kaa zamaane me.n sahaaraa tuu haiasr-e-nau-raat hai dhundlaa saa sitaaraa tuu haihai jo ha.ngaama bapaa yurish-e-bulGaarii kaaGaafilo.n ke liye paiGaam hai bedaarii kaatuu samajhtaa hai ye saamaa.n hai dil-aazaarii kaaimtihaa.n hai tire iisaar kaa KHuddaarii kaakyuu.n hiraasaa.n hai sahiil-e-faras-e-aadaa senuur-e-haq bujh na sakegaa nafas-e-aadaa sechashm-e-aqvaam se maKHfii hai haqiiqat teriihai abhii mahfil-e-hastii ko zaruurat teriizinda rakhtii hai zamaane ko haraarat teriikaukab-e-qismat-e-imkaa.n hai KHilaafat teriivaqt-e-fursat hai kahaa.n kaam abhii baaqii hainuur-e-tauhiid kaa itmaam abhii baaqii haimisl-e-buu qaid hai Gunche me.n pareshaa.n ho jaaraKHt-bar-dosh havaa-e-chamanistaa.n ho jaahai tunak-maaya tuu zarre se bayaabaa.n ho jaanaGma-e-mauj hai ha.ngaama-e-tuufaa.n ho jaaquvvat-e-ishq se har past ko baalaa kar dedahr me.n ism-e-mohammad se ujaalaa kar deho na ye phuul to bulbul kaa tarannum bhii na hochaman-e-dahr me.n kaliyo.n kaa tabassum bhii na hoye na saaqii ho to phir mai bhii na ho KHum bhii na hobazm-e-tauhiid bhii duniyaa me.n na ho tum bhii na hoKHema-e-aflaak kaa istaada isii naam se hainabz-e-hastii tapish-aamaada isii naam se haidasht me.n daaman-e-kohsaar me.n maidaan me.n haibahr me.n mauj kii aaGosh me.n tuufaan me.n haichiin ke shahr maraaqash ke bayaabaan me.n haiaur poshiida musalmaan ke iimaan me.n haichashm-e-aqvaam ye nazzaara abad tak dekherif.at-e-shaan-e-rafaanaa-lakaa-zikrak dekhemardum-e-chashm-e-zamii.n yaanii vo kaalii duniyaavo tumhaare shohdaa paalne vaalii duniyaagarmii-e-mehr kii parvarda hilaalii duniyaaishq vaale jise kahte hai.n bilaalii duniyaatapish-andoz hai is naam se paare kii tarahGota-zan nuur me.n hai aa.nkh ke taare kii tarahaql hai terii sipar ishq hai shamshiir tiriimire darvesh KHilaafat hai jahaa.ngiir tiriimaa-sivaa-allaah ke liye aag hai takbiir tiriituu musalmaa.n ho to taqdiir hai tadbiir tiriikii mohammad se vafaa tuu ne to ham tere hai.nye jahaa.n chiiz hai kyaa lauh-o-qalam tere hai.n
ye daaG daaG ujaalaa ye shab-gaziida saharvo intizaar thaa jis kaa ye vo sahar to nahii.nye vo sahar to nahii.n jis kii aarzuu le karchale the yaar ki mil jaa.egii kahii.n na kahii.nfalak ke dasht me.n taaro.n kii aaKHirii manzilkahii.n to hogaa shab-e-sust-mauj kaa saahilkahii.n to jaa ke rukegaa safiina-e-Gam diljavaa.n lahuu kii pur-asraar shaah-raaho.n sechale jo yaar to daaman pe kitne haath pa.Dedayaar-e-husn kii be-sabr KHvaab-gaaho.n sepukaartii rahii.n baahe.n badan bulaate rahebahut aziiz thii lekin ruKH-e-sahar kii laganbahut qarii.n thaa hasiinan-e-nuur kaa daamansubuk subuk thii tamannaa dabii dabii thii thakan
sabt jis raah me.n ho.n satvat-e-shaahii ke nishaa.nus pe ulfat bharii ruuho.n kaa safar kyaa ma.anii
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books