aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
Showing search results for "rivaaj"
kitnii sadiyo.n se ye vahshat kaa chalan jaarii haikitnii sadiyo.n se hai qaa.em ye gunaaho.n kaa rivaaj
ye damaktii hu.ii chaukhaT ye tilaa-posh kalasinhii.n jalvo.n ne diyaa qabr-parastii ko rivaajmaah o anjum bhii hu.e jaate hai.n majbuur-e-sujuudvaah aaraam-gah-e-malika-e-ma.abuud-mizaajdiidanii qasr nahii.n diidanii taqsiim hai yeruu-e-hastii pe dhu.aa.n qabr pe raqs-e-anvaarphail jaa.e isii rauza kaa jo simTaa daamankitne jaa.n-daar janaazo.n ko bhii mil jaa.e mazaardost mai.n dekh chukaa taaj-mahal.....vaapas chal
zamii.n bhii terii hai ham bhii tere ye milkiyat kaa savaal kyaa haiye qatl-o-KHuu.n kaa rivaaj kyuu.n hai ye rasm-e-ja.ng-o-jidaal kyaa hai
mere ajdaad kaa vatan ye shahrmerii ta.aliim kaa jahaa.n ye maqaammere bachpan kii dost ye galiyaa.njin me.n rusvaa hu.aa shabaab kaa naamyaad aate hai.n in fazaa.o.n me.nkitne nazdiik aur duur ke naamkitne KHvaabo.n ke malgaje chehrekitnii yaado.n ke marmarii.n ajsaamkitne ha.ngaame kitnii tahriike.nkitne na.are jo the zabaa.n zad-e-aammai.n yahaa.n jab shu.uur ko pahu.nchaaajnabii qaum kii thii qaum Gulaamunion jaik dars-gaah pe thaaaur vatan me.n thaa saamraajii nizaamisii miTTii ko haath me.n le karham bane the baGaavato.n ke imaamyahii.n jaa.nche the dharm ke vishvaasyahii.n parkhe the diin ke auhaamhai.n munkir bane rivaayat keyahii.n to.De rivaaj ke asnaamyahii.n nikhraa thaa zauq-e-naGma-gariiyahii.n utraa thaa sher kaa ilhaammai.n jahaa.n bhii rahaa yahii.n kaa rahaamujh ko bhuule nahii.n hai.n ye dar-o-baamnaam meraa jahaa.n jahaa.n pahu.nchaasaath pahu.nchaa hai is dayaar kaa naammai.n yahaa.n mezbaa.n bhii mehmaa.n bhiiaap jo chaahe.n diijiye mujhe naamnazr kartaa huu.n un fazaa.o.n kiiapnaa dil apnii ruuh apnaa kalaamaur faizaan-e-ilm jaarii hoaur uu.nchaa ho is dayaar kaa naamaur shaadaab ho ye arz-e-hasii.naur mahke ye vaadii-e-gulfaamaur ubhre.n sanam-garii ke nuquushaur chhalke.n mai-e-suKHan ke jaamaur nikle.n vo be-navaa jin koapnaa sab kuchh kahe.n vatan ke avaamqaafile aate jaate rahte hai.nkab hu.aa hai yahaa.n kisii kaa qayaamnasl-dar-nasl kaam jaarii haikaar-e-duniyaa kabhii hu.aa na tamaamkal jahaa.n mai.n thaa aaj tuu hai vahaa.nai na.ii nasl tujh ko meraa salaam
kaano.n kii ik nagrii dekhii jis me.n saare kaane dekheek taraf se ahmaq saare ek taraf se siyaane thekaano.n kii is nagrii ke sab riit rivaaj alaahada therog alaahada bastii me.n the aur ilaaj alaahada thedo do kaane mil kar puuraa sapnaa dekhaa karte thega.ngaa ke sa.ngam se kaane jamunaa dekhaa karte thechaa.ndnii raat me.n chhatrii le kar baahar jaayaa karte theos gire to kahte hai.n vaa.n sar phaT jaayaa karte thedariyaa pul par chaltaa thaa paanii me.n raile.n chaltii thii.nla.nguuro.n kii dum par a.nguuro.n kii bele.n paktii thii.nchhuut kii ik biimaarii phailii ek dafa un kaano.n me.nbhuuk ke kii.De sunte hai.n nikle gandum ke daano.n me.nroz ka.ii kaane bechaare marte the biimaarii me.nkahte hai.n raajaa sotaa thaa sone kii almaarii me.nghanTii baa.ndh ke chuuhe jab billii se dau.D lagaate thepeT pe dono.n haath bajaa kar sab qavvaalii gaate thetab kaanii bhai.ns ne phuul phulaa kar chhe.Daa biin kaa baajaaaur kaalaa chashma pahan ke singhaasan par aayaa raajaadukh se chashme kii dono.n hii aa.nKHe.n paanii paanii thii.ndekhaa us kaane raajaa kii dono.n aa.nKHe.n kaanii thii.njhuuTaa hai jo andho.n me.n kaanaa raajaa hai kahtaa haijaa kar dekho kaanii nagrii andhaa raajaa rahtaa hai
sayyad se aaj hazrat-e-vaa.iz ne ye kahaacharchaa hai jaa-ba-jaa tire haal-e-tabaah kaasamjhaa hai tuu ne nature o tadbiir ko KHudaadil me.n zaraa asar na rahaa laa-ilaah kaaho tujh se tark-e-saum-o-salaat-o-zakaat-o-hajkuchh Dar nahii.n janaab-e-risaalat-panaah kaashaitaan ne dikhaa ke jamaal-e-uruus-e-dahrbanda banaa diyaa hai tujhe hubb-e-jaah kaaus ne diyaa javaab ki maz.hab ho yaa rivaajraahat me.n jo muKHil ho vo kaa.nTaa hai raah kaaafsos hai ki aap hai.n duniyaa se be-KHabarkyaa jaaniye jo rang hai shaam-o-pagaah kaaeurope kaa pesh aa.e agar aap ko safarguzre nazar se haal re.aayaa-o-shaah kaavo aab-o-taab-o-shaukat-e-aivaan-e-khusraviivo mahakmo.n kii shaan vo jalva sipaah kaaaa.e nazar uluum-e-jadiidah kii raushniijis se KHajil ho nuur ruKH-e-mehr-o-maah kaadaavat kisii amiir ke ghar me.n ho aap kiikam-sin miso.n se zikr ho ulfat kaa chaah kaanau-KHez dil-fareb gul-andaam naaznii.naariz pe jin ke baar ho daaman nigaah kaarukiye agar to ha.ns ke kahe ik but-e-hasii.nsun maulvii ye baat nahii.n hai gunaah kaaus vaqt qibla jhuk ke karuu.n aap ko salaamphir naam bhii huzuur jo le.n KHaanqaah kaapatluun-o-koT-o-ba.ngla-o-biscuit kii dhun ba.ndhesaudaa janaab ko bhii ho turkii kulaah kaamimbar pe yuu.n to baiTh ke goshe me.n ai janaabsab jaante hai.n va.az savaab-o-gunaah kaa
dil KHushaamad se har ik shaKHs kaa kyaa raazii haiaadmii jin parii o bhuut balaa raazii haibhaa.ii farzand bhii KHush baap chachaa raazii haishaad masruur Ganii shaah o gadaa raazii haijo KHushaamad kare KHalq us se sadaa raazii haihaq to ye hai ki KHushaamad se KHudaa raazii haiapnaa matlab ho to matlab kii KHushaamad kiijeaur na ho kaam to us Dhab kii KHushaamad kiijeauliyaa ambiyaa aur rab kii KHushaamad kiijeapne maqduur Garaz sab kii KHushaamad kiijejo KHushaamad kare KHalq us se sadaa raazii haihaq to ye hai kii KHushaamad se KHudaa raazii haichaar din jis ko kiyaa jhuk ke KHushaamad se salaamvo bhii KHush ho gayaa apnaa bhii hu.aa kaam me.n kaamba.De aaqil ba.De daanaa ne nikaalaa hai ye daamKHuub dekhaa to KHushaamad hii kii aamad hai tamaamjo KHushaamad kare KHalq us se sadaa raazii haihaq to ye hai ki KHushaamad se KHudaa raazii haibad baKHiil aur saKHii kii bhii KHushaamad kiijeaur jo shaitaan ho to us kii bhii KHushaamad kiijegar valii ho to valii kii bhii KHushaamad kiijejo KHushaamad kare KHalq us se sadaa raazii haihaq to ye hai ki KHushaamad se KHudaa raazii haipyaar se jo.D diye jis kii taraf haath jo aahvahii.n KHush ho gayaa karte hii vo haatho.n pe nigaahGaur se ham ne jo is baat ko dekhaa vallaahkuchh KHushaamad hii ba.Dii chiiz hai allaah allaahjo KHushaamad kare KHalq us se sadaa raazii haihaq to ye hai ki KHushaamad se KHudaa raaziipiine aur pahan.ne khaane kii KHushaamad kiijehiij.De bhaa.nD zanaane kii KHushaamad kiijemast o hushiyaar divaane kii KHushaamad kiijebhole naadaan siyaane kii KHushaamad kiijejau KHushaamad kare KHalq us se sadaa raazii haihaq to ye hai ki KHushaamad se KHudaa raazii haiaish karte hai.n vahii jin kaa KHushaamad kaa mizaajjo nahii.n karte vo rahte hai.n hamesha mohtaajhaath aataa hai KHushaamad se makaa.n mulk aur taajkyaa hii taasiir kii is nusKHe ne paa.ii hai rivaajjo KHushaamad kare KHalq us se sadaa raazii haihaq to ye ki KHushaamad se KHudaa raazii haigar bhalaa ho to bhale kii bhii KHushaamad kiijeaur buraa ho to bure kii bhii KHushaamad kiijepaak naapaak si.De kii bhii KHushaamad kiijekutte billii o gad.he kii bhii KHushaamad kiijejo KHushaamad kare KHalq us se sadaa raazii haihaq to ye ki KHushaamad se KHudaa raazii haiKHuub dekhaa to KHushaamad kii ba.Dii khetii haiGair kii apne hii ghar biich ye sukh detii haimaa.n KHushaamad ke sabab chhaatii lagaa letii hainaanii daadii bhii KHushaamad se du.aa detii haijo KHushaamad kare KHalq us se sadaa raazii haihaq to ye ki KHushaamad se KHudaa raazii haibii-bii kahtii hai miyaa.n aa tire sadqe jaa.uu.nsaas bole kahii.n mat jaa tire sadqe jaa.uu.nKHaala kahtii hai ki kuchh khaa tire sadqe jaa.uu.nsaalii kahtii hai ki bhayyaa tire sadqe jaa.uu.njo KHushaamad kare KHalq us se sadaa raazii haihaq to ye ki KHushaamad se KHudaa raazii haiaa pa.Daa hai jo KHushaamad se sarokaar useDhuu.nDte phirte hai.n ulfat ke KHariidaar useaashnaa milte hai.n aur chaahe hai.n sab yaar useapne begaane Garaz karte hai.n sab pyaar usejo KHushaamad kare KHalq us se sadaa raazii haihaq to ye ki KHushaamad se KHudaa raazii hairuukhii aur roGnii aabii ko KHushaamad kiijenaan-baa.ii o kabaabii kii KHushaamad kiijesaaqii o jaam sharaabii kii KHushaamad kiijepaarsaa rind KHaraabii kii KHushaamad kiijejo KHushaamad kare KHalq us se sadaa araazii haihaq to ye hai ki KHushaamad se KHudaa raazii haijo ki karte hai.n KHushaamad vo ba.De hai.n insaa.njo nahii.n karte vo rahte hai.n hamesha hairaa.nhaath aate hai.n KHushaamad se hazaaro.n saamaa.njis ne ye baat nikaalii hai mai.n us ke qurbaa.njo KHushaamad kare KHalq us se sadaa raazii haihaq to ye hai ki KHushaamad se KHudaa raazii haikau.Dii paise o Take zar kii KHushaamad kiijela.al o niilam dar o gauhar kii KHushaamad kiijeaur jo patthar ho to patthar kii KHushaamad kiijenek o bad jitne hai.n yak-sar kii KHushaamad kiijejo KHushaamad kare KHalq us se sadaa raazii haihaq to ye hai ki KHushaamad se KHudaa raazii haiham ne har dil kii KHushaamad kii mohabbat dekhiipyaar iKHlaas o karam mehr muravvat dekhiidilbaro.n me.n bhii KHushaamad hii kii ulfat dekhiiaashiqo.n mai.n bhii KHushaamad hii kii chaahat dekhiijo KHushaamad kare KHalq us se sadaa raazii haihaq to ye hai ki KHushaamad se KHudaa raazii haipaarsaa piir hai zaahid hai manaa jaatii haijuvaariyaa chor daGaabaaz KHaraabaatii haimaah se maahii talak chyuu.nTii hai yaa haathii haiye KHushaamad to miyaa.n sab ke ta.ii.n bhaatii haijo KHushaamad kare KHalq us se sadaa raazii haihaq to ye hai ki KHushaamad se KHudaa raazii haigar na miiThii ho to ka.Dvii bhii KHushaamad kiijekuchh na ho paas to KHaalii bhii KHushaamad kiijejaanii dushman ho to us kii KHushaamad kiijesach agar puuchho to jhuuTii bhii KHushaamad kiijejo KHushaamad kare KHalq us se sadaa raazii haihaq to ye hai ki KHushaamad se KHudaa raazii haimard o zan tifl o javaa.n KHurd o kalaa.n piir o faqiirjitne aalam me.n hai.n mohtaaj o gadaa shaah vaziirsab ke dil hote hai.n phande me.n KHushaamad ke asiirto bhii vallaah ba.Dii baat ye kahtaa hai 'naziir'jo KHushaamad kare KHalq us se sadaa raazii haihaq to ye hai ki KHushaamad se KHudaa raazii hai
nahii.n hai yuu.n to nahii.n hai ki ab nahii.n paidaakasii ke husn me.n shamshiir-e-aaftaab kaa husnnigaah jis se milaa.o to aa.nkh dukhne lagekisii adaa me.n adaa-e-KHiraam-e-baad-e-sabaajise KHayaal me.n laa.o to dil sulagne lagenahii.n hai yuu.n to nahii.n hai ki ab nahii.n baaqiijahaa.n me.n bazm-gah-e-husn-o-ishq kaa melabinaa-e-lutf-o-mohabbat, rivaaj-e-mehr-o-vafaaye kas dayaar-e-adam me.n muqiim hai.n ham tumjahaa.n pe muz.daa-e-diidaar-e-husn-e-yaar to kyaanaved-e-aamad-e-roz-e-jazaa nahii.n aatiiye kis KHumaar-kade me.n nadiim hai.n ham tumjahaa.n pe shorish-e-rindaan-e-mai-gusaar to kyaashikast-e-shiisha-e-dil kii sadaa nahii.n aatii
aa.iina-e-KHuluus-o-mohabbat yahaa.n the raamamn aur shaa.ntii kii zamaanat yahaa.n the raamsachchaa.iyo.n kii ek alaamat yahaa.n the raamya.anii dil-o-nigaah kii chaahat yahaa.n the raamqadmo.n se raam ke ye zamii.n sarfaraaz haihindostaa.n ko un kii shujaa.at pe naaz haiun ke liye gunaah thaa ye zulm-o-intishaariisaar un kaa saare jahaa.n par hai aashkaardaaman nahii.n thaa un kaa ta.assub se daaG-daarhirs-o-havas se duur the vo saahab-e-vaqaarbe-shak unhii.n ke naam se raushan hai naam-e-hindiqbaal ne bhii un ko kahaa hai imaam-e-hindla.al-o-guhar kii ko.ii nahii.n thii talab unhe.nizzat ke saath dil me.n basaate the sab unhe.nbachpan se naa-pasand the Gaiz-o-Gazab unhe.nlogo.n kaa dil dukhaanaa gavaaraa thaa kab unhe.nvo zaalimo.n pe qahr Gariibo.n kii Dhaal thekirdaar-o-e'tibaar kii raushan misaal theun ko thaa apnii rasm-e-uKHuvvat pe e'timaadKHud khaa ke juuThe ber diyaa dars-e-ittihaadfarz-aashnaa the farz ko rakkhaa hamesha yaadkahne pe apnii maa.n ke kahaa ghar ko KHair-baadruKHsat hu.e to lab pe na the shikva-o-fuGaa.nye hausla nasiib hu.aa hai kise yahaa.nban-baas par bhii lab pe na thaa un kaa ehtijaajbhaa.ii ke haq me.n chho.D diyaa apnaa taKHt-o-taajkarte rahe vo chaudah baras tak dilo.n pe raajhindostaa.n me.n hai ko.ii un kii misaal aajraah-e-vafaa pe chal ke dikhaayaa hai raam nekahte hai.n kis ko tyaag bataayaa hai raam nerahbar ye shar-pasand kahaa.n aur kahaa.n vo raamvo be-niyaaz-e-aish-o-tarab zar ke ye Gulaamvo paikar-e-vafaa ye riyaa-kaar-o-bad-kalaamvo amn ke naqiib ye shamshiir-e-be-niyaamrasm-o-rivaaj-e-raam se aarii hai.n shar-pasandraavan kii niitiyo.n ke pujaarii hai.n shar-pasand
dil-rubaa laala ho fazaa teriimujh ko bhaa.ii na ik adaa teriilutf se ba.Dh ke hai jafaa teriivaah-re hindostaa.n vafaa teriimai.n na maanuu.n kabhii tiraa kahnaamai.n na baKHshuu.n kabhii KHataa teriibar-tar-az-KHaar hai tiraa gulshanzahr se kam nahii.n havaa teriiKHaalii-az-kaifiyat tirii har chiizbaat har ek be mazaa teriidard-e-dil me.n ta.Dap ke mar jaa.uu.nmai.n na Dhuu.nDuu.n kabhii shifaa teriikaun sii baat terii lutf-aamezkaun sii chiiz dil-kushaa teriitujh ko jannat-nishaan kahte hai.nham jahannam kii jaan kahte hai.ntujh ko kas baat par hai naaz bataakyaa nahii.n aur mulk tere sivaaterii aab o havaa latiif sahiitujh se ba.Dh kar spain kaa KHittatujh ko apnii zamiin kaa hai ghamanDtujh se afzal kahii.n hai americahasan par apne naaz hai tujh kohasan tujh se sivaa etaaliyaa kaatujh ko ga.ngaa kaa apnii dhokaa haituu ne dekhaa nahii.n hai siin ko jaamausiiqii par tujhe hai naaz bahutis me.n juz dard-o-Gam dharaa hai kyaafalsafa teraa agle vaqto.n kaafalsafa dekh jaa ke europe kaatujh me.n phir aan kyaa rahii baaqiiterii mahfil na kuchh na kuchh saaqiihaa.n muravvat kaa tujh me.n naam nahii.nhaa.n uKHuvvat kaa tujh me.n naam nahii.ntujh se bad-naam ishq saa ustaadaur mohabbat kaa tujh me.n naam nahii.naashtii siikhe tujh se aa ke ko.iihaa.n KHusuumat kaa tujh me.n naam nahii.nterii har baat me.n safaa.ii haiaur kuduurat kaa tujh me.n naam nahii.ntujh ko aur hurriyat se kyaa nisbatis zaruurat kaa tujh me.n naam nahii.nshaad hai.n taire apne begaaneaur shikaayat kaa tujh me.n naam nahii.nterii tahziib tujh ko maujib-e-faKHrhaa.n jahaalat kaa tujh me.n naam nahii.nbaat duniyaa se hai judaa teriivaah ai hindostaa.n adaa teriitere rasm-o-rivaaj ne maaraais maraz ke ilaaj ne maaraaterii Gairat nai kar diyaa barbaadKHaandaano.n ke laaj ne maaraakyaa kare.n har gha.Dii yahii hai fikrroz kii ehtiyaaj ne maaraaaa.e din call kaa hai zikr-azkaarik zaraa se anaaj ne maaraaaur sab par vabaa kaa ik turrais anokhe KHiraaj ne maaraabaKHt bargashta aarzu.e.n bahuthavas-e-siim-o-aaj nai maaraana kare.n kaam kuchh to khaa.e.n kyaaroz ke kaam-kaaj ne maaraatuu to rahne kaa kuchh maqaam nahii.ntujh me.n insaaniyat kaa naam nahii.nqaid tuu ne kiyaa hasiino.n komah-jabiino.n ko naazniino.n kozevar-e-ilm se rakhaa aariituu ne qudrat ke in nagiino.n koiKHtiyaar o pasand kii ai hindkyaa zaruurat na thii hasiino.n koKHuub pahchaanii tuu ne qadr in kiiKHuub samjhaa tuu in KHaziino.n koku.e.n jha.nkvaa.e naazniino.n sezahr khilvaayaa mah-jabiino.n koDuube jaate hai.n kaun aa ke bachaa.ebahr-e-hastii ke in safiino.n kotuu makaa.n thaa makaan ho ke diyaaKHauf-e-aaraam in makiino.n kotujh pe tahziib ta.an kartii haitujh pe ilzaam KHalq dhartii haiaarzuu hai tujhe hukuumat kiijaah-o-sarvat kii shaan-o-shaukat kiikyuu.n na ho tujh me.n himmat-e-aaliidhuum har suu hai terii jur.at kiito ne kasb-e-funuun-e-ja.ng kiyaasab me.n shohrat hai terii quvvat kiiqasme.n khaate hai.n log duniyaa me.nterii millat tirii uKHuvvat kiimulk-daarii me.n mulk-giirii me.nvaah kyaa paidaa qaabiliyyat kiituu to ustaad se bhii ba.Dh niklaahairat-a.ngez tuu ne mehnat kiiaap aalam me.n tuu hai apnii misaalaadamiyyat kii aur shujaa.at kiiham-sarii kii kasii ko taab nahii.ntiraa aafaaq me.n javaab nahii.ndaaG dil ke kise dikhaa.e.n hamaisaa mushfiq kahaa.n se laa.e.n hamdil me.n hai apne ham-nashii.n ik rozaap ro kar tujhe rulaa.e.n hamis tabii.at ko kas tarah bahlaa.e.ndil ko kis chiiz se lagaa.e.n hamkab talak roz ke kahe.n sadmekab talak aafate.n uThaa.e.n hamzahr kyuu.n ai falak na ham khaa le.njii se apne guzar na jaa.e.n hamjo shikaayat ho kyuu.n na lab par aa.eek dukh ho use chhupaa.e.n hamai tamaddun ke raahat-o-aaraamhaa.e kas tarah tum ko paa.e.n hamlog uThaate hai.n zindagii ke mazeham uThaate hai.n naa-KHushii ke maze
jis qadar duniyaa me.n maKHluuqaat haisab se ashraf aadmii kii zaat haiis kii paidaa.ish me.n hai ulfat kaa raazis kii hastii par hai KHud KHaaliq ko naazis kii KHaatir kul jahaa.n paidaa hu.aaye zamii.n ye aasmaa.n paidaa hu.aaaql kaa jauhar ise baKHshaa gayaailm kaa zevar ise baKHshaa gayaais ke sar me.n hai nihaa.n aisaa dimaaGjis me.n raushan hai liyaaqat kaa charaaGsoch kar har kaam kar saktaa hai yesher ko bhii raam kar saktaa hai yeye safaa.ii se chaTaane.n to.D deapnii daanaa.ii se dariyaa mo.D deman-chalaa hai is kii himmat hai bulandDaal saktaa hai sitaaro.n par kamandis ko KHatro.n kii nahii.n parvaa zaraaaag me.n kuudaa ye suulii par cha.Dhaais ke har andaaz me.n e.ajaaz haiarsh tak is nuur kii parvaaz haiis kii baato.n me.n ajab taasiir haiKHaak kaa putlaa nahii.n iksiir haiye agar nekii ke ziine par cha.Dheek din saare farishto.n se ba.Dheaur agar isyaa.n kii daldal me.n pha.nseis kaa darja kam ho haivaanaat seye kabhii ru.ii se ba.Dh kar narm haiye kabhii suuraj se ba.Dh kar garm haiek haalat par nahii.n is kaa mizaajhar zamaane me.n badaltaa hai rivaajaur thaa pahle ye ab kuchh aur haiaa.e din is kaa niraalaa taur haiis ne behad ruup badle aaj takis kii tadbiiro.n se hairaa.n hai falakdoctor taajir professor vakiilin kaa honaa hai taraqqii kii daliilis ke pahluu me.n vo dil maujuud haijo bha.Dakne me.n niraa baaruud hairail gaa.Dii radio motor jahaazis kii iijaado.n kaa qissa hai daraazdast-kaarii me.n ba.Daa mashshaaq haijiddato.n kaa har gha.Dii mushtaaq haikhol aa.nkhe.n jang kii raftaar dekhdekh is ke KHaufnaak auzaar dekhye kahii.n haakim kahii.n mahkuum haiye kahii.n zaalim kahii.n mazluum haiaadmii jab Gair ke aage jhukaaaadamiyyat se bhaTaktaa hii gayaaaadmii milnaa bahut dushvaar haiKHud KHudaa ko aadmii darkaar haipyaare bachcho aadmii ban kar rahohar kisii ke saath hamdardii karosach agar puuchho to bas vo mard haijis ke dil me.n duusro.n kaa dard hai'faiz' pahu.nchaataa nahii.n jo aadmiius ko apnii zaat se hai dushmaniius ko apnii zaat se hai dushmanii
ta.alluq is tarah to.Daa nahii.n karteki phir se jo.Dnaa dushvaar ho jaa.ehayaat ik zahr me.n Duubii hu.ii talvaar ho jaa.emohabbat is tarah chho.Daa nahii.n karteKHafaa hone kii rasme.n hai.nbiga.Dne ke tariiqe hai.nrivaaj-o-rasm tark-e-dostii par sau kitaabe.n hai.nlikhaa hai jin me.nrasta vaz.a-daarii kaa yuu.nhii chho.Daa nahii.n karteta.alluq is tarah to.Daa nahii.n kartekabhii bulbul gulo.n kii KHaamushii se ruuTh jaatii haipar agle saalsab kuchh bhuul kar phir lauT aatii haiagar paudo.n se paanii duur ho jaa.eto ham-saaya daraKHto.n kii ja.Do.n ke haathpaiGaamaat jaate hai.nmohabbat me.n sabhii ik duusre ko aazmaate hai.nmagar aisaa nahii.n karteki har ummiid har imkaan miT jaa.ekahaa.n tak khii.nchnii hai Dorye andaaza rakhte hai.nhamesha chaar-diivaarii me.n ik darvaaza rakhte hai.njudaa.ii mustaqil ho jaa.eto ye zindagii zindaan ho jaa.eagar KHushbuu havaa.o.n se maraasim munqata.a kar leto KHud me.n Duub kar be-jaan ho jaa.e
ham jaante hai.nye duniyaa hame.n jiine nahii.n degiifaasle kii diivaare.nham dono.n ke darmiyaanba.Dhtii rahe.ngiiye kaisaa rishta haiham dono.n apne apne ehsaasaat se vaaqif hai.nmagar ye rasm-o-rivaajaadmii se aadmii kii tafriiq ke...ham dono.n mahz apnii aa.nkho.n ke alaavaek duusre ko chhuu nahii.n sakteaab-e-zam-zam yaa ga.ngaa-jalek ra.ng, ek KHumaar aur ek ehsaaskyuu.n na ham dono.nek aafaaqii rishte semunsalik ho jaa.e.naise rishte seki jahaa.n talvaare.n jhuk jaatii hai.naur a.ngaare ban jaate hai.n phuulaur niilaa aasmaan muskuraa uThtaa haiaa.o aajtum merii kalaa.ii me.n ye raakhii baa.ndh doham dono.n apnii apniianokhii chaahat ke havaale seban jaa.e.n janm janm ke saathiiaTuuT ho jaa.e.nge jabphir shaayad zamaana u.nglii nahii.n uThaa sakegaa!!
faroG-e-chashm hai taskiin-e-dil hai be-gumaa.n urduhar ik aalam me.n hai goyaa bahaar-e-gul-fishaa.n urduko.ii dekhe to is kii quvvat-e-taKHliiq kaa aalambanaa saktii hai zer-e-charKH laakho.n aasmaa.n urdumuqallid jo nahii.n is kaa vo pahu.nchegaa na manzil parsar-e-har-jaada-e-manzil hai miir-e-kaarvaa.n urdumuhaafiz apnii quvvat se hai tahziib-o-tamaddun kiina kyuu.n ho irtiqaa-e-zindagii kii raaz-daa.n urdugulistaan-e-adab me.n jis qadar the muntashir jalvemunazzam kar chukii hai un ko misl-e-jism-o-jaa.n urdufazaa-e-ilm-o-fan par ye misaal-e-abr chhaa.ii haimazaaq-e-justujuu ban kar rag-e-dil me.n samaa.ii haizabaane.n aur bhii duniyaa me.n kuchh garmii-e-mahfil hai.nmagar manzil hai urdu aur vo sab gard-e-manzil hai.nhar ik andaaz raushan har bayaa.n pur-kaif hai is kaaadaa.e.n jis qadar bhii hai.n vo sharh-e-jazba-e-dil hai.nzamiin-e-sher is kii ik chaman-zaar-e-mohabbbat haihai.n jitne giit vo sab naGma-e-fitrat kaa haasil hairiyaazii ho ki mantiq falsafa ho yaa tasavvuf hosab is kii bazm me.n maujuud hai.n aur jaan-e-mahfil hai.nmilii hai.n jalva-e-fitrat kii sab ra.ngiiniyaa.n is komuraqqe is ke siine se lagaa lene ke qaabil hai.nrivaaj is kaa jahaa.n kii vus.ato.n me.n be-takalluf haiye paakiiza zabaa.n hai aur latiif is kaa tasarruf haimiTaa saktaa hai kaun aisii zabaan-e-paak-fitrat kodayaa dars-e-vafaa jis ne mazaaq-e-mulk-o-millat kojumuud-e-zindagii me.n hashr barpaa kar diyaa is neataa kii hai.n isii ne bijliyaa.n ehsaas-e-ulfat konizaam-e-zindagaanii par ba.Daa ehsaan hai is kaabahut aasaaniyaa.n is me.n mile.n tabliiG-e-fitrat korahe shaan-e-talaaqat lafz-o-ma.anii hai.n ki gul-buuTezahe auj-e-hazaaqat jaan de dii murda hikmat koye mumkin hai ki qaumo.n ko miTaa de gardish-e-aalammagar ko.ii miTaa saktaa nahii.n urdu kii azmat kohar ik tahriik is kii tarjumaan jazb-e-kaamil haiki har aaha.ng-e-urdu hamnavaa-e-barbat-e-dil hai
salaam ai ufuq-e-hind ke hasii.n taarosalaam tum pe sip.har-e-vatan ke mah-paarosalaam tum pe mire bachcho ai mire pyaarobhulaa.e baiThe ho tum mujh ko kis liye yaarojalaa.o mere payaamaat ke diye yaarosuno ki merii tamannaa-o-aarzuu tum hosuno ki maadar-e-bhaarat kii aabruu tum hosuno ki amn-e-zamaana kii justujuu tum hoKHamosh baiThe ho kyuu.n apne lab siye yaarojalaa.o mere payaamaat ke diye yaarosalaam tum pe ki mere chaman ke phuul ho tummirii nazar mirii fitrat miraa usuul ho tummagar ye kyaa hu.aa kis vaaste maluul ho tumye tum ne chand Galat kaam kyuu.n kiye yaarojalaa.o mere payaamaat ke diye yaarovatan me.n KHuun ke dariyaa bahaa diye tum nesabhii nuquush-e-ahinsaa miTaa diye tum nerivaaj-kaar-e-mohabbat bhalaa diye tum nerusuum-e-mehr-o-vafaa tark kar diye yaarojalaa.o mere payaamaat ke diye yaarosabaq pa.Dhaayaa thaa tum ko adam-tashaddud kaatumhe.n bataayaa thaa mai.n ne gunaah hai hinsaaye tum ne kis liye teG-o-tabar se kaam liyaatumhaare haatho.n me.n KHanjar hai.n kis liye yaarojalaa.o mere payaamaat ke diye yaarotumhaare zehno.n me.n makruuh saazish aur fasaaddilo.n me.n nafrat-o-kiina hai aur buGz-o-inaadmagar labo.n pe hai baabaa-e-qaum zindabaadmujhe ye khokhle na.are na chaahiye yaarojalaa.o mere payaamaat ke diye yaarozamiin naanak-o-chishtii pukaartii hai tumhe.ndayaar-e-budh kii tajallii pukaartii hai tumhe.nsuno kanhaiyaa kii bansii pukaartii hai tumhe.nab aur der bhii karnii na chaahiye yaarojalaa.o mere payaamaat ke diye yaarouTho zamaana-e-haazir hai ik payaam-e-amaluTho ki kaa.np rahii hai navaa-e-saaz-e-GazaluTho ki maa.nd na ho jaa.e husn-e-taaj-mahaluTho ki siino.n me.n phir raushnii jiye yaarojalaa.o mere payaamaat ke diye yaarophir apne zehno.n me.n lahkaa.o dostii kaa chamanphir apnii saa.nso.n se mahkaa.o pyaar kaa madhuubanphir apne kaamo.n se chamkaa.o sar-zamiin-e-vatantumhaare mai-kade me.n dahr phir piye yaarojalaa.o mere payaamaat ke diye yaarona chho.Do zinda vatan me.n kisii luTere kokuchal do ba.Dh ke har ik saa.np ko sapere komiTaa.o firqa-parastii ke har a.ndhere kobachaa.o desh ko bhagvaan ke liye yaarojalaa.o mere payaamaat ke diye yaaromujhe ye khokhle na.are na chaahiye yaaro
mohnii jhurriyaa.n subuk aa.nkhe.nmehrbaa.n shafqato.n se pur chehrathapkiyaa.n dete haath narm aaGoshchaahate.n dekh-bhaal pyaar dulaarsaare kumbe kii fikr sab kaa KHayaalraabte rishte-daariyaa.n naateKHaatire.n vaz.a-daariyaa.n mehmaa.nmartabe haisiyat hisaab-nisaabnazm-o-tartiib ghar ke iKHraajaatmaut mayyat byaah paidaa.ishta.aziyat tahniyat ke chaal-chalanchhuTTii aa.shuura iid aur baraathar ba.De chhoTe din kaa pas-o-lihaazroze nafle.n vaziife tasbiihe.nsadqa minnat muraad piir-faqiirKHair-KHairaat baKHshishe.n nazre.nlaag-lag len-den mel-milaappuuchh-gachh rakh-rakhaav riit-rivaajraunaqe.n KHush-kalaamiyaa.n aadaabraat qisse kahaaniyaa.n chuhle.nmez almaarii pandaan pala.ngzaa.iqe rang KHushbu.e.n chehre
ai Gazaalii aa.nkho.n vaaliisunaa hai tumhaare shahr me.n chaa.e achchhii miltii haiso mai.n chaa.e piine aa jaa.uu.ntum bhii kisii cafe me.n aa jaanaaaur sunofarsuuda samaaj ke laaya.anii rasm-o-rivaajkii baat mat karnaachalii aanaa
Gaur kiije kaise is ta.aliim ne paayaa rivaajkis liye haamii the is ke saahibaan-e-taKHt-o-taajkaun sii dushvaariyaa.n thii.n jin kaa sochaa ye ilaajthii clerko.n kii hukuumat ko nihaayat ehtiyaajdars-gaahe.n thii.n pa a.ngrezii pa.Dhe baabuu na thedaftarii gaa.Dii chalaane ke liye yaabuu na the
mujh se milo tumajnabii mulko.n kii sair-o-siyaahat me.npyaar ke rasm-o-rivaaj me.nhalqa-e-yaaraa.n me.ntuufaan-e-baad-o-baaraa.n me.nsenToras ke aqab me.nchhappar hotel ke TuuTe hu.e Table parchaa.nd pe baiThii hu.ii bu.Dhiyaa ke nuuraanii charKHe me.nassii kii dahaa.ii kii filmo.n ke zikr me.npuraanii kitaabo.n kii duukaan parnisvaanii KHushbu.o.n ke chauk parboso.n kii takraar me.nmujh se milo tum
mai.n choriyaa.n kartaasiskaariyaa.n bhartaakarachi se multaanmultaan se lahorelahore se gujraat pahu.nchaa thaatarah tarah ke ghinaa.one pesho.naur ghane andesho.n sela.D bhi.D kefaqiirii iKHtiyaar kii thiiyahii qaumii mizaajaur KHitte kaa rivaaj thaa
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books