aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere
Showing search results for "samjhaataa"
juu.n tuu.n rasta kaT jaataa hai aur bandii-KHaana aataa haichal kaam me.n apne dil ko lagaa yuu.n ko.ii mujhe samjhaataa haimai.n dhiire dhiire daftar me.n apne dil ko le jaataa huu.nnaadaan hai dil muurakh bachcha ik aur tarah de jaataa huu.nphir kaam kaa dariyaa bahtaa hai aur hosh mujhe kab rahtaa hai
mashriqii UP curfew me.nye dhartii kitnii sundar haiye sundar aur dukhii dhartiiye dhaanii aa.nchal puurab kaatez raftaar rail ke saathhavaa me.n u.Dtaa jaataa haipa.Daa jhil-mil lahraataa haiduur tak hare khet khaliyaanye dhartii aurat ko.ii kisaansambhaale sar par bhaarii bojhchalii hai khet se ghar kii orvahii ghar jis kii chhat par aajkrodh kaa gidh ma.nDraataa haijhapaT kar par phailaataa haios se giilaa hai sabzaki giile hai.n mere do nainpa.De maaTii patthar ke Dhervahii masjid mandir ke phertane logo.n ke tevar dekhisii dhartii par soyaa puutjaag kar tumhe.n manaataa hai'kabiiraa' kuchh samjhaataa haijahaa.n ho.n nafrat ke ghamsaannahii.n rahte us jaa bhagvaannahii.n kartaa hai nazar rahiimnahii.n karte hai.n pheraa raamtumhaarii minnat kartaa haiKHaak par siis jhukaataa hai'Kabiiraa' kuchh samjhaataa haiisii sarjuu nadiyaa ke paarkamal-kunjo.n par jahaa.n bahaarkha.De hai.n hare baa.ns ke jhunDga.Daa hai gautam kaa sandeshkhile hai.n jahaa.n basantii phuulkhudaa hai patthar par updesha.De jab do firqo.n kii aantule ho.n de dene par jaanhai aslii jiit kii bas ye riitki dono.n jaa.e.n baraabar jiitnatiija-KHez yahii anjaamna samjho varna ja.ng tamaamhu.ii jis yudh me.n ik kii haarvo hotaa rahegaa baaram-baarna dono.n jab tak miT jaa.e.nna dono.n jaa.e.n baraabar haaryahii Takraa.o kaa hai qaanuunyahii gautam kaa uttam gyaanki jis ke aage ek jahaanadab se siis jhukaataa haitumhii to vaaris the is ketumhe.n kyuu.n bisraa jaataa haisaje rahnumaa ke sar dastaarpa.De.n paa.nDav ke gale me.n haarjale hai.n jin ke chuulhe rozbhare hai.n jin ke sadaa bhanDaarare tuu muurakh kyuu.n har baarjaan kar dhokaa khaataa hailahuu me.n aap nahaataa hai
jab bhii is aalam-e-kam-hoshii me.ndastak-e-dil se aa.nkh khul jaa.eghar kii dahliiz par Thahar jaa.eduur ik saaya saa nazar aa.edil ye phir baar baar samjhaa.ehaa.n abhii bas abhii aataa hogaamerii jaanib bhii ko.iisirf mohabbat kaa safiirmerii chaahat kaa asiirjab bhii aahaT sii ko.ii hotii haiaur phir KHud ko 'adiil'dastak-e-dil ke udhartanhaa kha.Daa paataa huu.naur miraa aksmire apne hii aa.iine me.nThahre hu.e paanii me.nhar sub.h mujh ko nazar aataa hairose ye samjhaataa haimerii dahliiz pe ko.ii bhii nahii.nbas me.n huu.nek anjaan sii chaahat kaa safiirek gumnaam mohabbat kaa faqiir
ek udaas nazmmujh se kafan maa.ngtii haivo maziid jiinaa nahii.n chaahtiimai.n use bahut samjhaataa huu.nvo zid karne lagtii haimai.n kafan KHariidne ke liyeghar se nikal pa.Dtaa huu.nko.ii bhii apnii nazm koaa.nkho.n ke saamnemarte hu.e nahii.n dekh saktaamai.n kafan nahii.n KHariidtaaKHud ko maar Daaltaa huu.nnazm kafan ke baGairapne-aap ko nahii.n maaregiivo meraa intizaar karegiiintizaar kisii ko bhiizinda rakh saktaa hai
dil ko samjhaataa huu.n karte ho shikaayat kis semehrbaa.n hogaa ko.ii is kaa ab imkaa.n bhii nahii.n
kuchh mahiine biite baadal maan gayaaapne aa.nsuu ko thaamnaa jaise jaan gayaaab badal muskuraataa mai.n muskuraataa huu.nrone par kisii ke na ha.nsnaa sab ko samjhaataa huu.nduur gagan me.n kahii thaa ab tak khoyaabaadal aaj ka.ii dino.n ke baa'd royaa
husn kaa da.avaa aur ye bachpannaach na jaane Te.Dhaa aa.nganye jo gulo.n ke chaak hai.n daamanKHaaro.n se kuchh ho ga.ii an-bantirchhii nazre.n tiikhii chitvandaur-e-javaanii KHaas hai seasonus kii taraf bhii merii taraf bhiidil bhii niklaa thaalii kaa bai.nganishq ne vo pur-kaif banaayaamai.n huu.n munora vo hai.n cliftonulfat kii yuu.n rail chalegiihusn ke Dabbe ishq kaa enginemai.n bhii faujii vo bhii faujiimai.n bhii attention vo bhii attentionnaaseh mujh ko samjhaataa haidaanaa ho kar aql kaa dushmanzulf me.n dil ko phaa.ns rahii thiiKHud hii ulajh kar rah ga.ii zulfanapne dil kaa haal ajab haijab se kii hai un kii Tuitiondono.n KHushii se phuul rahe hai.nvo hai.n Dunlop mai.n huu.n michlongarmii me.n is shaan se aa.ehaath me.n pankhaa dosh pe achkanmujh ko hai dha.Dkaa to yahii haiaap na sun le.n dil kii dha.Dkanjab se paakistaan vo aa.ehaT ga.ii un ke dar se chilmanhusn me.n vo mash.huur hai.n aiseqavvaalo.n me.n jaise kallanallaah allaah ishq ke tevaraahaa aahaa husn kii chitvandil par shab-KHuu.n maarne vaalearmaano.n kii dekh le palTan
duur kahii.n dariyaa ke kinaarerahte the do dost pyaareek thaa kavvaa ek kabuutarkhaate piite the vo mil karik din un kii shaamat aa.iidono.n me.n hu.ii KHuub la.Daa.iipahle apne mu.nh ko kholaaphir Gusse se kabuutar bolaakavve hote hai.n kanjuuskaale bhadde aur manhuuskaa.n-kaa.n shor machaate hai.nsaaraa din sar khaate hai.nshor se mai.n to Dartaa huu.naur bas guu.n-guu.n kartaa huu.nmujh ko apne husn pe naazuu.nchii hai merii parvaazkaale ho kaluuTe hotum to bhai.ns ke kaTTe hobaat ye sun kar kavvaa bolaatuu ne merii zaat ko tolaale ab merii baarii haijaantii duniyaa saarii haituu buzdil hai aur Darpokbaat kahuu.ngaa mai.n do-Tuukjab ko.ii billii aatii haijaa.n terii tab jaatii haikaa.nptaa hai tharraataa haiDar kar hii mar jaataa hailogo.n kaa ye kahnaa haikavvaa bahut syaanaa haiitne me.n ik loma.D aayape.D ke niiche aa kar bolaala.Dte ho kuchh sharm karolahje apne narm karoallaah allaah kiyaa karous kaa naam hii liyaa karomai.n tum ko samjhaataa huu.nphir se dost banaataa huu.njaldii se tum niiche aa.oaa kar mujh se haath milaa.odono.n pe.D se niiche aa.ela.Dne se par baaz na aa.emaut thii un ke sar par aa.iiloma.D ne ik jast lagaa.iigardan se dono.n ko pak.Daaaur apne panjo.n me.n jak.Daadaavat us ne KHuub u.Daa.iiapne peT kii aag bujhaa.iibaarii baarii un ko khaayaadono.n ko ik sabaq sikhaayaala.Dnaa bachcho kaam buraa haila.Dne kaa anjaam buraa hai
dil aaj bahut ghabraataa haidil aaj bahut ghabraataa haituufaan-o-talaatum ke paale girdaab sambhaale hai.n mujh koik raahat-e-jaa.n hamdam kii tarah kuchh KHvaab sambhaale hai.n mujh koyuu.n mere Gamo.n ke sanjiida aadaab sambhaale hai.n mujh koaur merii tabaahii par KHandaa.n ahbaab sambhaale hai.n mujh kohar zaKHm-e-jigar samjhaataa haidil aaj bahut ghabraataa haighabraa ke Guruur-e-faaqa-kashii pahluu me.n biThaa letaa hai mujhesharmaa ke suruur-e-tishna-labii daaman me.n chhupaa letaa hai mujhesamjhaa ke fareb-e-nauhagarii baato.n me.n lagaa letaa hai mujhebahlaa ke sukuut-e-niim-shabii zaanuu pe sulaa letaa hai mujhehar shai se magar uktaataa haidil aaj bahut ghabraataa haikyaa aaj mirii KHaamoshii bhii ik shor-e-fuGaa.n ban jaa.egiijhu.njhlaa ke nigaah-e-yaas mirii KHud shoa.la-fishaa.n ban jaa.egiipahluu se baguule uTThe.nge har saa.ns dhu.aa.n ban jaa.egiijaise ki mirii naakaamii bhii ik azm-e-javaa.n ban jaa.egiisho.ale kii tarah lahraataa haidil aaj bahut ghabraataa haiKHirman kii hamiyyat jaagii hai ai barq-o-sharaar ab kyaa hogaabarham hai nizaam-e-hastii bhii ai dard-e-jigar ab kyaa hogaahar va.ada-e-fardaa ruuTh gayaa ai shaam-o-sahar ab kyaa hogaachau.nkaa hai zamiir-e-vahm-o-gumaa.n ai zauq-e-nazar ab kyaa hogaakyaa jaaniye kyaa samjhaataa haidil aaj bahut ghabraataa haikyaa aaj mai.n apne so.e hu.e jazbaat-e-junuu.n bedaar karuu.nsailaab-e-havaadis ban jaa.uu.n barbaadii-e-sad-aazaad karuu.nnikluu.n mai.n huduud-e-imkaa.n se tuufaa.n se nigaahe.n chaar karuu.nik talKH tabassum ko le kar duniyaa-e-sitam par vaar karuu.n
mujh se pahlii sii mohabbat mirii mahbuub na maa.ngmai.n ne samjhaa thaa ki tuu hai to daraKHshaa.n hai hayaatteraa Gam hai to Gam-e-dahr kaa jhag.Daa kyaa haiterii suurat se hai aalam me.n bahaaro.n ko sabaatterii aa.nkho.n ke sivaa duniyaa me.n rakkhaa kyaa haituu jo mil jaa.e to taqdiir niguu.n ho jaa.eyuu.n na thaa mai.n ne faqat chaahaa thaa yuu.n ho jaa.eaur bhii dukh hai.n zamaane me.n mohabbat ke sivaaraahate.n aur bhii hai.n vasl kii raahat ke sivaa
ham pe mushtarka hai.n ehsaan Gam-e-ulfat keitne ehsaan ki ginvaa.uu.n to ginvaa na sakuu.nham ne is ishq me.n kyaa khoyaa hai kyaa siikhaa haijuz tire aur ko samjhaa.uu.n to samjhaa na sakuu.n
kyuu.n ziyaa.n-kaar banuu.n suud-faraamosh rahuu.nfikr-e-fardaa na karuu.n mahv-e-Gam-e-dosh rahuu.nnaale bulbul ke sunuu.n aur hama-tan gosh rahuu.nham-navaa mai.n bhii ko.ii gul huu.n ki KHaamosh rahuu.njur.at-aamoz mirii taab-e-suKHan hai mujh koshikva allaah se KHaakam-ba-dahan hai mujh kohai bajaa sheva-e-tasliim me.n mash.huur hai.n hamqissa-e-dard sunaate hai.n ki majbuur hai.n hamsaaz KHaamosh hai.n fariyaad se maamuur hai.n hamnaala aataa hai agar lab pe to ma.azuur hai.n hamai KHudaa shikva-e-arbaab-e-vafaa bhii sun leKHuugar-e-hamd se tho.Daa saa gila bhii sun lethii to maujuud azal se hii tirii zaat-e-qadiimphuul thaa zeb-e-chaman par na pareshaa.n thii shamiimshart insaaf hai ai saahib-e-altaaf-e-amiimbuu-e-gul phailtii kis tarah jo hotii na nasiimham ko jam.iiyat-e-KHaatir ye pareshaanii thiivarna ummat tire mahbuub kii diivaanii thiiham se pahle thaa ajab tere jahaa.n kaa manzarkahii.n masjuud the patthar kahii.n ma.abuud shajarKHuugar-e-paikar-e-mahsuus thii insaa.n kii nazarmaantaa phir ko.ii an-dekhe KHudaa ko kyuu.nkartujh ko ma.aluum hai letaa thaa ko.ii naam tiraaquvvat-e-baazu-e-muslim ne kiyaa kaam tiraabas rahe the yahii.n saljuuq bhii tuuraanii bhiiahl-e-chii.n chiin me.n iiraan me.n saasaanii bhiiisii maamuure me.n aabaad the yuunaanii bhiiisii duniyaa me.n yahuudii bhii the nasraanii bhiipar tire naam pe talvaar uThaa.ii kis nebaat jo big.Dii hu.ii thii vo banaa.ii kis nethe hamii.n ek tire maarka-aaraa.o.n me.nKHushkiyo.n me.n kabhii la.Dte kabhii dariyaa.o.n me.ndii.n azaane.n kabhii europe ke kaliisaa.o.n me.nkabhii africa ke tapte hu.e sahraa.o.n me.nshaan aa.nkho.n me.n na jachtii thii jahaa.n-daaro.n kiikalma pa.Dhte the hamii.n chhaa.nv me.n talvaaro.n kiiham jo jiite the to jango.n kii musiibat ke liyeaur marte the tire naam kii azmat ke liyethii na kuchh teGzanii apnii hukuumat ke liyesar-ba-kaf phirte the kyaa dahr me.n daulat ke liyeqaum apnii jo zar-o-maal-e-jahaa.n par martiibut-faroshii ke evaz but-shikanii kyuu.n kartiiTal na sakte the agar jang me.n a.D jaate thepaa.nv shero.n ke bhii maidaa.n se ukha.D jaate thetujh se sarkash hu.aa ko.ii to biga.D jaate theteG kyaa chiiz hai ham top se la.D jaate thenaqsh-e-tauhiid kaa har dil pe biThaayaa ham nezer-e-KHanjar bhii ye paiGaam sunaayaa ham netuu hii kah de ki ukhaa.Daa dar-e-KHaibar kis neshahr qaisar kaa jo thaa us ko kiyaa sar kis neto.De maKHluuq KHudaa-vando.n ke paikar kis nekaaT kar rakh diye kuffaar ke lashkar kis nekis ne ThanDaa kiyaa aatish-kada-e-iiraa.n kokis ne phir zinda kiyaa tazkira-e-yazdaa.n kokaun sii qaum faqat terii talabgaar hu.iiaur tere liye zahmat-kash-e-paikaar hu.iikis kii shamshiir jahaa.ngiir jahaa.n-daar hu.iikis kii takbiir se duniyaa tirii bedaar hu.iikis kii haibat se sanam sahme hu.e rahte themu.nh ke bal gir ke huu-allahu-ahad kahte theaa gayaa ain la.Daa.ii me.n agar vaqt-e-namaazqibla-ruu ho ke zamii.n-bos hu.ii qaum-e-hijaazek hii saf me.n kha.De ho ga.e mahmuud o ayaazna ko.ii banda rahaa aur na ko.ii banda-navaazbanda o saahab o mohtaaj o Ganii ek hu.eterii sarkaar me.n pahu.nche to sabhii ek hu.emahfil-e-kaun-o-makaa.n me.n sahar o shaam phiremai-e-tauhiid ko le kar sifat-e-jaam phirekoh me.n dasht me.n le kar tiraa paiGaam phireaur ma.aluum hai tujh ko kabhii naakaam phiredasht to dasht hai.n dariyaa bhii na chho.De ham nebahr-e-zulmaat me.n dau.Daa diye gho.De ham nesafha-e-dahr se baatil ko miTaayaa ham nenau-e-insaa.n ko Gulaamii se chhu.Daayaa ham netere ka.abe ko jabiino.n se basaayaa ham netere qur.aan ko siino.n se lagaayaa ham nephir bhii ham se ye gila hai ki vafaadaar nahii.nham vafaadaar nahii.n tuu bhii to dildaar nahii.nummate.n aur bhii hai.n un me.n gunahgaar bhii hai.nijz vaale bhii hai.n mast-e-mai-e-pindaar bhii hai.nun me.n kaahil bhii hai.n Gaafil bhii hai.n hushyaar bhii hai.nsaik.Do.n hai.n ki tire naam se be-zaar bhii hai.nrahmate.n hai.n tirii aGyaar ke kaashaano.n parbarq girtii hai to bechaare musalmaano.n parbut sanam-KHaano.n me.n kahte hai.n musalmaan ga.ehai KHushii un ko ki ka.abe ke nigahbaan ga.emanzil-e-dahr se uu.nTo.n ke hudii-KHvaan ga.eapnii baGlo.n me.n dabaa.e hu.e qur.aan ga.eKHanda-zan kufr hai ehsaas tujhe hai ki nahii.napnii tauhiid kaa kuchh paas tujhe hai ki nahii.nye shikaayat nahii.n hai.n un ke KHazaane maamuurnahii.n mahfil me.n jinhe.n baat bhii karne kaa shu.uurqahr to ye hai ki kaafir ko mile.n huur o qusuuraur bechaare musalmaa.n ko faqat vaada-e-huurab vo altaaf nahii.n ham pe inaayaat nahii.nbaat ye kyaa hai ki pahlii sii mudaaraat nahii.nkyuu.n musalmaano.n me.n hai daulat-e-duniyaa naayaabterii qudrat to hai vo jis kii na had hai na hisaabtuu jo chaahe to uThe siina-e-sahraa se habaabrah-rav-e-dasht ho sailii-zada-e-mauj-e-saraabtaan-e-aGyaar hai rusvaa.ii hai naadaarii haikyaa tire naam pe marne kaa evaz KHvaarii haibanii aGyaar kii ab chaahne vaalii duniyaarah ga.ii apne liye ek KHayaalii duniyaaham to ruKHsat hu.e auro.n ne sa.nbhaalii duniyaaphir na kahnaa hu.ii tauhiid se KHaalii duniyaaham to jiite hai.n ki duniyaa me.n tiraa naam rahekahii.n mumkin hai ki saaqii na rahe jaam raheterii mahfil bhii ga.ii chaahne vaale bhii ga.eshab kii aahe.n bhii ga.ii.n sub.h ke naale bhii ga.edil tujhe de bhii ga.e apnaa sila le bhii ga.eaa ke baiThe bhii na the aur nikaale bhii ga.eaa.e ushshaaq ga.e vaada-e-fardaa le karab unhe.n Dhuu.nD charaaG-e-ruKH-e-zebaa le kardard-e-lailaa bhii vahii qais kaa pahluu bhii vahiinajd ke dasht o jabal me.n ram-e-aahuu bhii vahiiishq kaa dil bhii vahii husn kaa jaaduu bhii vahiiummat-e-ahmad-e-mursil bhii vahii tuu bhii vahiiphir ye aazurdagi-e-Gair sabab kyaa ma.aniiapne shaidaa.o.n pe ye chashm-e-Gazab kyaa ma.aniitujh ko chho.Daa ki rasuul-e-arabii ko chho.Daabut-garii pesha kiyaa but-shikanii ko chho.Daaishq ko ishq kii aashufta-sarii ko chho.Daarasm-e-salmaan o uvais-e-qaranii ko chho.Daaaag takbiir kii siino.n me.n dabii rakhte hai.nzindagii misl-e-bilaal-e-habashii rakhte hai.nishq kii KHair vo pahlii sii adaa bhii na sahiijaada-paimaali-e-tasliim-o-razaa bhii na sahiimuztarib dil sifat-e-qibla-numaa bhii na sahiiaur paabandi-e-aa.iin-e-vafaa bhii na sahiikabhii ham se kabhii Gairo.n se shanaasaa.ii haibaat kahne kii nahii.n tuu bhii to harjaa.ii haisar-e-faaraa.n pe kiyaa diin ko kaamil tuu neik ishaare me.n hazaaro.n ke liye dil tuu neaatish-andoz kiyaa ishq kaa haasil tuu nephuu.nk dii garmi-e-ruKHsaar se mahfil tuu neaaj kyuu.n siine hamaare sharer-aabaad nahii.nham vahii soKHta-saamaa.n hai.n tujhe yaad nahii.nvaadii-e-najd me.n vo shor-e-salaasil na rahaaqais diivaana-e-nazzaara-e-mahmil na rahaahausle vo na rahe ham na rahe dil na rahaaghar ye uj.Daa hai ki tuu raunaq-e-mahfil na rahaaai KHushaa aa.n roz ki aa.ii o ba-sad naaz aa.iibe-hijaabaana suu-e-mahfil-e-maa baaz aa.iibaada-kash Gair hai.n gulshan me.n lab-e-juu baiThesunte hai.n jaam-ba-kaf naGma-e-kuu-kuu baiThedaur ha.ngaama-e-gulzaar se yaksuu baiThetere diivaane bhii hai.n muntazir-e-huu baiTheapne parvaano.n ko phir zauq-e-KHud-afrozii debarq-e-deriina ko farmaan-e-jigar-sozii deqaum-e-aavaara inaa.n-taab hai phir suu-e-hijaazle u.Daa bulbul-e-be-par ko mazaaq-e-parvaazmuztarib-e-baaG ke har Gunche me.n hai buu-e-niyaaztuu zaraa chhe.D to de tishna-e-mizraab hai saaznaGme betaab hai.n taaro.n se nikalne ke liyetuur muztar hai usii aag me.n jalne ke liyemushkile.n ummat-e-marhuum kii aasaa.n kar demor-e-be-maaya ko ham-dosh-e-sulaimaa.n kar dejins-e-naayaab-e-mohabbat ko phir arzaa.n kar dehind ke dair-nashiino.n ko musalmaa.n kar dejuu-e-KHuu.n mii chakad az hasrat-e-dairiina-e-maamii tapad naala ba-nishtar kada-e-siina-e-maabuu-e-gul le ga.ii bairuun-e-chaman raaz-e-chamankyaa qayaamat hai ki KHud phuul hai.n Gammaaz-e-chamanahd-e-gul KHatm hu.aa TuuT gayaa saaz-e-chamanu.D ga.e Daaliyo.n se zamzama-pardaaz-e-chamanek bulbul hai ki mahv-e-tarannum ab takus ke siine me.n hai naGmo.n kaa talaatum ab takqumriyaa.n shaaKH-e-sanobar se gurezaa.n bhii hu.ii.npattiyaa.n phuul kii jha.D jha.D ke pareshaa.n bhii hu.ii.nvo puraanii raushe.n baaG kii viiraa.n bhii hu.ii.nDaaliyaa.n pairahan-e-barg se uryaa.n bhii hu.ii.nqaid-e-mausam se tabii.at rahii aazaad us kiikaash gulshan me.n samajhtaa ko.ii fariyaad us kiilutf marne me.n hai baaqii na maza jiine me.nkuchh maza hai to yahii KHuun-e-jigar piine me.nkitne betaab hai.n jauhar mire aa.iine me.nkis qadar jalve ta.Dapte hai.n mire siine me.nis gulistaa.n me.n magar dekhne vaale hii nahii.ndaaG jo siine me.n rakhte ho.n vo laale hii nahii.nchaak is bulbul-e-tanhaa kii navaa se dil ho.njaagne vaale isii baa.ng-e-daraa se dil ho.nya.anii phir zinda na.e ahd-e-vafaa se dil ho.nphir isii baada-e-dairiina ke pyaase dil ho.najamii KHum hai to kyaa mai to hijaazii hai miriinaGma hindii hai to kyaa lai to hijaazii hai mirii
aur mai.n jis ne tujhe apnaa masiihaa samjhaaek zaKHm aur bhii pahle kii tarah sah jaa.uu.njis pe pahle bhii ka.ii ahd-e-vafaa TuuTe hai.nisii do-raahe pe chup-chaap kha.Daa rah jaa.uu.n
dil se jo baat nikaltii hai asar rakhtii haipar nahii.n taaqat-e-parvaaz magar rakhtii haiqudsi-ul-asl hai rif.at pe nazar rakhtii haiKHaak se uThtii hai garduu.n pe guzar rakhtii haiishq thaa fitnagar o sarkash o chaalaak miraaaasmaa.n chiir gayaa naala-e-bebaak miraapiir-e-garduu.n ne kahaa sun ke kahii.n hai ko.iibole sayyaare sar-e-arsh-e-barii.n hai ko.iichaa.nd kahtaa thaa nahii.n ahl-e-zamii.n hai ko.iikahkashaa.n kahtii thii poshiida yahii.n hai ko.iikuchh jo samjhaa mire shikve ko to rizvaa.n samjhaamujh ko jannat se nikaalaa hu.aa insaa.n samjhaathii farishto.n ko bhii hairat ki ye aavaaz hai kyaaarsh vaalo.n pe bhii khultaa nahii.n ye raaz hai kyaataa-sar-e-arsh bhii insaa.n kii tag-o-taaz hai kyaaaa ga.ii KHaak kii chuTkii ko bhii parvaaz hai kyaaGaafil aadaab se sukkaan-e-zamii.n kaise hai.nshoKH o gustaaKH ye pastii ke makii.n kaise hai.nis qadar shoKH ki allaah se bhii barham haithaa jo masjuud-e-malaa.ik ye vahii aadam haiaalim-e-kaif hai daanaa-e-rumuuz-e-kam haihaa.n magar ijz ke asraar se naa-mahram hainaaz hai taaqat-e-guftaar pe insaano.n kobaat karne kaa saliiqa nahii.n naa-daano.n koaa.ii aavaaz Gam-a.ngez hai afsaana tiraaashk-e-betaab se labrez hai paimaana tiraaaasmaa.n-giir hu.aa naara-e-mastaana tiraakis qadar shoKH-zabaa.n hai dil-e-diivaana tiraashukr shikve ko kiyaa husn-e-adaa se tuu neham-suKHan kar diyaa bando.n ko KHudaa se tuu neham to maa.il-ba-karam hai.n ko.ii saa.il hii nahii.nraah dikhlaa.e.n kise rah-rav-e-manzil hii nahii.ntarbiyat aam to hai jauhar-e-qaabil hii nahii.njis se ta.amiir ho aadam kii ye vo gil hii nahii.nko.ii qaabil ho to ham shaan-e-ka.ii dete hai.nDhuu.nDne vaalo.n ko duniyaa bhii na.ii dete hai.nhaath be-zor hai.n ilhaad se dil KHuugar hai.nummatii baa.is-e-rusvaa.i-e-paiGambar hai.nbut-shikan uTh ga.e baaqii jo rahe but-gar hai.nthaa braahiim pidar aur pisar aazar hai.nbaada-aashaam na.e baada nayaa KHum bhii na.eharam-e-kaaba nayaa but bhii na.e tum bhii na.evo bhii din the ki yahii maaya-e-raanaa.ii thaanaazish-e-mausam-e-gul laala-e-sahraa.ii thaajo musalmaan thaa allaah kaa saudaa.ii thaakabhii mahbuub tumhaaraa yahii harjaa.ii thaakisii yakjaa.ii se ab ahd-e-Gulaamii kar lomillat-e-ahmad-e-mursil ko maqaamii kar lokis qadar tum pe giraa.n sub.h kii bedaarii haiham se kab pyaar hai haa.n nii.nd tumhe.n pyaarii haitab-e-aazaad pe qaid-e-ramazaa.n bhaarii haitumhii.n kah do yahii aa.iin-e-vafaadaarii haiqaum maz.hab se hai maz.hab jo nahii.n tum bhii nahii.njazb-e-baaham jo nahii.n mahfil-e-anjum bhii nahii.njin ko aataa nahii.n duniyaa me.n ko.ii fan tum honahii.n jis qaum ko parvaa-e-nasheman tum hobijliyaa.n jis me.n ho.n aasuuda vo KHirman tum hobech khaate hai.n jo aslaaf ke madfan tum hoho niko naam jo qabro.n kii tijaarat kar kekyaa na bechoge jo mil jaa.e.n sanam patthar kesafha-e-dahr se baatil ko miTaayaa kis nenau-e-insaa.n ko Gulaamii se chhu.Daayaa kis nemere ka.abe ko jabiino.n se basaayaa kis nemere qur.aan ko siino.n se lagaayaa kis nethe to aabaa vo tumhaare hii magar tum kyaa hohaath par haath dhare muntazir-e-fardaa hokyaa kahaa bahr-e-musalmaa.n hai faqat vaada-e-huurshikva bejaa bhii kare ko.ii to laazim hai shu.uuradl hai faatir-e-hastii kaa azal se dastuurmuslim aa.ii.n hu.aa kaafir to mile huur o qusuurtum me.n huuro.n kaa ko.ii chaahne vaalaa hii nahii.njalva-e-tuur to maujuud hai muusaa hii nahii.nmanfa.at ek hai is qaum kaa nuqsaan bhii ekek hii sab kaa nabii diin bhii iimaan bhii ekharam-e-paak bhii allaah bhii qur.aan bhii ekkuchh ba.Dii baat thii hote jo musalmaan bhii ekfirqa-bandii hai kahii.n aur kahii.n zaate.n hai.nkyaa zamaane me.n panapne kii yahii baate.n hai.nkaun hai taarik-e-aa.iin-e-rasuul-e-muKHtaarmaslahat vaqt kii hai kis ke amal kaa me.aarkis kii aa.nkho.n me.n samaayaa hai shi.aar-e-aGyaarho ga.ii kis kii nigah tarz-e-salaf se be-zaarqalb me.n soz nahii.n ruuh me.n ehsaas nahii.nkuchh bhii paiGaam-e-mohammad kaa tumhe.n paas nahii.njaa ke hote hai.n masaajid me.n saf-aaraa to Gariibzahmat-e-roza jo karte hai.n gavaaraa to Gariibnaam letaa hai agar ko.ii hamaaraa to Gariibparda rakhtaa hai agar ko.ii tumhaaraa to Gariibumaraa nashsha-e-daulat me.n hai.n Gaafil ham sezinda hai millat-e-baizaa Gorabaa ke dam sevaa.iz-e-qaum kii vo puKHta-KHayaalii na rahiibarq-e-tab.ii na rahii shola-maqaalii na rahiirah ga.ii rasm-e-azaa.n ruuh-e-bilaalii na rahiifalsafa rah gayaa talqiin-e-Gazaalii na rahiimasjide.n marsiyaa.n-KHvaa.n hai.n ki namaazii na raheyaanii vo sahib-e-ausaaf-e-hijaazii na raheshor hai ho ga.e duniyaa se musalmaa.n naabuudham ye kahte hai.n ki the bhii kahii.n muslim maujuudvaz.a me.n tum ho nasaaraa to tamaddun me.n hunuudye musalmaa.n hai.n jinhe.n dekh ke sharmaa.e.n yahuudyuu.n to sayyad bhii ho mirzaa bhii ho afGaan bhii hotum sabhii kuchh ho bataa.o to musalmaan bhii hodam-e-taqriir thii muslim kii sadaaqat bebaakadl us kaa thaa qavii laus-e-maraa.aat se paakshajar-e-fitrat-e-muslim thaa hayaa se namnaakthaa shujaa.at me.n vo ik hasti-e-fauq-ul-idraakKHud-gudaazii nam-e-kaifiyat-e-sahbaa-yash buudKHaalii-az-KHesh shudan suurat-e-miinaa-yash buudhar musalmaa.n rag-e-baatil ke liye nashtar thaaus ke aa.iina-e-hastii me.n amal jauhar thaajo bharosaa thaa use quvvat-e-baazuu par thaahai tumhe.n maut kaa Dar us ko KHudaa kaa Dar thaabaap kaa ilm na beTe ko agar azbar hophir pisar qaabil-e-miiraas-e-pidar kyuu.nkar hohar ko.ii mast-e-mai-e-zauq-e-tan-aasaanii haitum musalmaa.n ho ye andaaz-e-musalmaanii haihaidarii faqr hai ne daulat-e-usmaanii haitum ko aslaaf se kyaa nisbat-e-ruuhaanii haivo zamaane me.n mu.azziz the musalmaa.n ho karaur tum KHvaar hu.e taarik-e-qur.aa.n ho kartum ho aapas me.n Gazabnaak vo aapas me.n rahiimtum KHataa-kaar o KHataa-bii.n vo KHataa-posh o kariimchaahte sab hai.n ki ho.n auj-e-surayyaa pe muqiimpahle vaisaa ko.ii paidaa to kare qalb-e-saliimtaKHt-e-faGfuur bhii un kaa thaa sariir-e-ka.e bhiiyuu.n hii baate.n hai.n ki tum me.n vo hamiyat hai bhiiKHud-kushii sheva tumhaaraa vo Gayuur o KHuddaartum uKHuvvat se gurezaa.n vo uKHuvvat pe nisaartum ho guftaar saraapaa vo saraapaa kirdaartum taraste ho kalii ko vo gulistaa.n ba-kanaarab talak yaad hai qaumo.n ko hikaayat un kiinaqsh hai safha-e-hastii pe sadaaqat un kiimisl-e-anjum ufuq-e-qaum pe raushan bhii hu.ebut-e-hindii kii mohabbat me.n birhman bhii hu.eshauq-e-parvaaz me.n mahjuur-e-nasheman bhii hu.ebe-amal the hii javaa.n diin se bad-zan bhii hu.ein ko tahziib ne har band se aazaad kiyaalaa ke ka.abe se sanam-KHaane me.n aabaad kiyaaqais zahmat-kash-e-tanhaa.i-e-sahraa na raheshahr kii khaa.e havaa baadiya-paimaa na rahevo to diivaana hai bastii me.n rahe yaa na raheye zaruurii hai hijaab-e-ruKH-e-lailaa na rahegila-e-zaur na ho shikva-e-bedaad na hoishq aazaad hai kyuu.n husn bhii aazaad na hoahd-e-nau barq hai aatish-zan-e-har-KHirman haiaiman is se ko.ii sahraa na ko.ii gulshan haiis na.ii aag kaa aqvaam-e-kuhan ii.ndhan haimillat-e-KHatm-e-rusul shola-ba-pairaahan haiaaj bhii ho jo braahiim kaa iimaa.n paidaaaag kar saktii hai andaaz-e-gulistaa.n paidaadekh kar ra.ng-e-chaman ho na pareshaa.n maaliiKaukab-e-Guncha se shaaKHe.n hai.n chamakne vaaliiKHas o KHaashaak se hotaa hai gulistaa.n KHaaliiGul-bar-andaaz hai KHuun-e-shohdaa kii laaliira.ng garduu.n kaa zaraa dekh to unnaabii haiye nikalte hu.e suuraj kii ufuq-taabii haiummate.n gulshan-e-hastii me.n samar-chiida bhii hai.naur mahruum-e-samar bhii hai.n KHizaa.n-diida bhii hai.nsaik.Do.n naKHl hai.n kaahiida bhii baaliida bhii hai.nsaik.Do.n batn-e-chaman me.n abhii poshiida bhii hai.nnaKHl-e-islaam namuuna hai birau-mandii kaaphal hai ye saik.Do.n sadiyo.n kii chaman-bandii kaapaak hai gard-e-vatan se sar-e-daamaa.n teraatuu vo yuusuf hai ki har misr hai kan.aa.n teraaqaafila ho na sakegaa kabhii viiraa.n teraaGair yak-baa.ng-e-daraa kuchh nahii.n saamaa.n teraanaKHl-e-shama astii o dar shola do-resha-e-tuuaaqibat-soz bavad saaya-e-andesha-e-tuutuu na miT jaa.egaa iiraan ke miT jaane senashsha-e-mai ko ta'alluq nahii.n paimaane sehai ayaa.n yurish-e-taataar ke afsaane sepaasbaa.n mil ga.e ka.abe ko sanam-KHaane sekashti-e-haq kaa zamaane me.n sahaaraa tuu haiasr-e-nau-raat hai dhundlaa saa sitaaraa tuu haihai jo ha.ngaama bapaa yurish-e-bulGaarii kaaGaafilo.n ke liye paiGaam hai bedaarii kaatuu samajhtaa hai ye saamaa.n hai dil-aazaarii kaaimtihaa.n hai tire iisaar kaa KHuddaarii kaakyuu.n hiraasaa.n hai sahiil-e-faras-e-aadaa senuur-e-haq bujh na sakegaa nafas-e-aadaa sechashm-e-aqvaam se maKHfii hai haqiiqat teriihai abhii mahfil-e-hastii ko zaruurat teriizinda rakhtii hai zamaane ko haraarat teriikaukab-e-qismat-e-imkaa.n hai KHilaafat teriivaqt-e-fursat hai kahaa.n kaam abhii baaqii hainuur-e-tauhiid kaa itmaam abhii baaqii haimisl-e-buu qaid hai Gunche me.n pareshaa.n ho jaaraKHt-bar-dosh havaa-e-chamanistaa.n ho jaahai tunak-maaya tuu zarre se bayaabaa.n ho jaanaGma-e-mauj hai ha.ngaama-e-tuufaa.n ho jaaquvvat-e-ishq se har past ko baalaa kar dedahr me.n ism-e-mohammad se ujaalaa kar deho na ye phuul to bulbul kaa tarannum bhii na hochaman-e-dahr me.n kaliyo.n kaa tabassum bhii na hoye na saaqii ho to phir mai bhii na ho KHum bhii na hobazm-e-tauhiid bhii duniyaa me.n na ho tum bhii na hoKHema-e-aflaak kaa istaada isii naam se hainabz-e-hastii tapish-aamaada isii naam se haidasht me.n daaman-e-kohsaar me.n maidaan me.n haibahr me.n mauj kii aaGosh me.n tuufaan me.n haichiin ke shahr maraaqash ke bayaabaan me.n haiaur poshiida musalmaan ke iimaan me.n haichashm-e-aqvaam ye nazzaara abad tak dekherif.at-e-shaan-e-rafaanaa-lakaa-zikrak dekhemardum-e-chashm-e-zamii.n yaanii vo kaalii duniyaavo tumhaare shohdaa paalne vaalii duniyaagarmii-e-mehr kii parvarda hilaalii duniyaaishq vaale jise kahte hai.n bilaalii duniyaatapish-andoz hai is naam se paare kii tarahGota-zan nuur me.n hai aa.nkh ke taare kii tarahaql hai terii sipar ishq hai shamshiir tiriimire darvesh KHilaafat hai jahaa.ngiir tiriimaa-sivaa-allaah ke liye aag hai takbiir tiriituu musalmaa.n ho to taqdiir hai tadbiir tiriikii mohammad se vafaa tuu ne to ham tere hai.nye jahaa.n chiiz hai kyaa lauh-o-qalam tere hai.n
mai.n tab jaa kar kahii.n samjhaaki tum ne kuchh nahii.n samjhaamai.n qissa muKHtasar kar kezaraa niichii nazar kar keye kahtaa huu.n abhii tum semohabbat ho ga.ii tum se
bujhaa jo rauzan-e-zindaa.n to dil ye samjhaa haiki terii maa.ng sitaaro.n se bhar ga.ii hogiichamak uThe hai.n salaasil to ham ne jaanaa haiki ab sahar tire ruKH par bikhar ga.ii hogiiGaraz tasavvur-e-shaam-o-sahar me.n jiite hai.ngiraft-e-saaya-e-diivaar-o-dar me.n jiite hai.n
tumhaarii tarbiyat me.n meraa hissa kam rahaa kam-tarzabaa.n merii tumhaare vaaste shaayad ki mushkil hozabaa.n apnii zabaa.n mai.n tum ko aaKHir kab sikhaa paayaaazaab-e-sad-shamaatat aaKHirash mujh par hii naazil hozabaa.n kaa kaam yuu.n bhii baat samjhaanaa nahii.n hotaasamajh me.n ko.ii bhii matlab kabhii aanaa nahii.n hotaakabhii KHud tak bhii matlab ko.ii pahu.nchaanaa nahii.n hotaagumaano.n ke gumaa.n kii dam-ba-dam aashob-kaarii haibhalaa kyaa e'tibaarii aur kyaa naa-e'tibaarii hai
jo ham se kaho ham karte hai.n kyaa 'inshaa' ko samjhaanaa haius la.Dkii se bhii kah le.nge go ab kuchh aur zamaanaa haiyaa chho.De.n yaa takmiil kare.n ye ishq hai yaa afsaanaa haiye kaisaa gorakh-dhandaa hai ye kaisaa taanaa-baanaa haiye baate.n kaisii baate.n hai.n jo logo.n ne phailaa.ii hai.ntum 'inshaa'-jii kaa naam na lo kyaa 'inshaa'-jii saudaa.ii hai.n
haa.n umr kaa saath nibhaane ke the ahd bahut paimaan bahutvo jin pe bharosa karne me.n kuchh suud nahii.n nuqsaan bahutvo naar ye kah kar duur hu.ii 'majbuurii saajan majbuurii'ye vahshat se ranjuur hu.e aur ra.njuurii sii ra.njuurii?us roz hame.n ma.aluum hu.aa us shaKHs kaa mushkil samjhaanaais bastii ke ik kuuche me.n ik 'inshaa' naam kaa diivaanaago aag se chhaatii jaltii thii go aa.nkh se dariyaa bahtaa thaahar ek se dukh nahii.n kahtaa thaa chup rahtaa thaa Gam sahtaa thaanaadaan hai.n vo jo chhe.Dte hai.n is aalam me.n naa-daano.n kous shaKHs se ek javaab milaa sab apno.n ko begaano.n ko'kuchh aur kaho to suntaa huu.n is baab me.n kuchh mat farmaanaa'is bastii ke ik kuuche me.n ik 'inshaa' naam kaa diivaanaaab aage kaa tahqiiq nahii.n go sun.ne ko ham sunte theus naar kii jo jo baate.n thii.n us naar ke jo jo qisse theik shaam jo us ko bulvaayaa kuchh samjhaayaa bechaare neus raat ye qissa paak kiyaa kuchh khaa hii liyaa dukhyaare nekyaa baat hu.ii kis taur hu.ii aKHbaar se logo.n ne jaanaais bastii ke ik kuuche me.n ik inshaa naam kaa diivaanaa
hu.aa KHema-zan kaarvaan-e-bahaariram ban gayaa daaman-e-koh-saargul o nargis o sosan o nastaranshahiid-e-azal laala-KHuunii.n kafanjahaa.n chhup gayaa parda-e-ra.ng me.nlahuu kii hai gardish rag-e-sang me.nfazaa niilii niilii havaa me.n suruurThaharte nahii.n aashiyaa.n me.n tuyuurvo juu-e-kohistaa.n uchaktii hu.iiaTaktii lachaktii saraktii hu.iiuchhaltii phisaltii sambhaltii hu.iiba.De pech khaa kar nikaltii hu.iiruke jab to sil chiir detii hai yepahaa.Do.n ke dil chiir detii hai yezaraa dekh ai saaqii-e-laala-faamsunaatii hai ye zindagii kaa payaampilaa de mujhe vo mai-e-parda-sozki aatii nahii.n fasl-e-gul roz rozvo mai jis se raushan zamiir-e-hayaatvo mai jis se hai masti-e-kaa.enaatvo mai jis me.n hai soz-o-saaz-e-azalvo mai jis se khultaa hai raaz-e-azaluThaa saaqiyaa parda is raaz sela.Daa de mamuule ko shahbaaz sezamaane ke andaaz badle ga.enayaa raag hai saaz badle ga.ehu.aa is tarah faash raaz-e-fara.ngki hairat me.n hai shiisha-baaz-e-fara.ngpuraanii siyaasat-garii KHvaar haizamii.n miir o sultaa.n se be-zaar haigayaa daur-e-sarmaaya-daarii gayaatamaashaa dikhaa kar madaarii gayaagiraa.n KHvaab chiinii sambhalne lagehimaala ke chashme ubalne lagedil-e-tuur-e-siinaa-o-faaraan do-niimtajallii kaa phir muntazir hai kaliimmusalmaa.n hai tauhiid me.n garam-joshmagar dil abhii tak hai zunnaar-poshtamaddun tasavvuf sharii.at-e-kalaambutaan-e-ajam ke pujaarii tamaamhaqiiqat KHuraafaat me.n kho ga.iiye ummat rivaayaat me.n kho ga.iilubhaataa hai dil ko kalaam-e-KHatiibmagar lazzat-e-shauq se be-nasiibbayaa.n is kaa mantiq se suljhaa hu.aaluGat ke bakhe.Do.n me.n uljhaa hu.aavo suufii ki thaa KHidmat-e-haq me.n mardmohabbat me.n yaktaa hamiiyat me.n fardajam ke KHayaalaat me.n kho gayaaye saalik maqaamaat me.n kho gayaabujhii ishq kii aag andher haimusalmaa.n nahii.n raakh kaa Dher haisharaab-e-kuhan phir pilaa saaqiyaavahii jaam gardish me.n laa saaqiyaamujhe ishq ke par lagaa kar u.Daamirii KHaak jugnuu banaa kar u.DaaKHirad ko Gulaamii se aazaad karjavaano.n ko piiro.n kaa ustaad karharii shaaKH-e-millat tire nam se hainafas is badan me.n tire dam se haita.Dapne pha.Dakne kii taufiiq dedil-e-murtazaa soz-e-siddiiq dejigar se vahii tiir phir paar kartamannaa ko siino.n me.n bedaar kartire aasmaano.n ke taaro.n kii KHairzamiino.n ke shab zinda-daaro.n kii KHairjavaano.n ko soz-e-jigar baKHsh demiraa ishq merii nazar baKHsh demirii naav girdaab se paar karye saabit hai to is ko sayyaar karbtaa mujh ko asraar-e-marg-o-hayaatki terii nigaaho.n me.n hai kaa.enaatmire diida-e-tar kii be-KHvaabiyaa.nmire dil kii poshiida betaabiyaa.nmire naala-e-niim-shab kaa niyaazmirii KHalvat o anjuman kaa gudaazuma.nge.n mirii aarzuu.e.n miriiummiide.n mirii justuju.e.n miriimirii fitrat aa.iina-e-rozgaarGazaalaan-e-afkaar kaa murG-zaarmiraa dil mirii razm-gaah-e-hayaatgumaano.n ke lashkar yaqii.n kaa sabaatyahii kuchh hai saaqii mataa-e-faqiirisii se faqiirii me.n huu.n mai.n amiirmire qaafile me.n luTaa de iseluTaa de Thikaane lagaa de isedamaa-dam ravaa.n hai yam-e-zindagiihar ik shai se paidaa ram-e-zindagiiisii se hu.ii hai badan kii numuudki sho'le me.n poshiida hai mauj-e-duudgiraa.n garche hai sohbat-e-aab-o-gilKHush aa.ii ise mehnat-e-aab-o-gilye saabit bhii hai aur sayyaar bhiianaasir ke phando.n se be-zaar bhiiye vahdat hai kasrat me.n har dam asiirmagar har kahii.n be-chugo.n be-naziirye aalam ye but-KHaana-e-shash-jihaatisii ne taraashaa hai ye somnaatpasand is ko takraar kii KHuu nahii.nki tuu mai.n nahii.n aur mai.n tuu nahii.nman o tuu se hai anjuman-aafrii.nmagar ain-e-mahfil me.n KHalvat-nashii.nchamak us kii bijlii me.n taare me.n haiye chaa.ndii me.n sone me.n paare me.n haiusii ke bayaabaa.n usii ke babuulusii ke hai.n kaa.nTe usii ke hai.n phuulkahii.n us kii taaqat se kohsaar chuurkahii.n us ke phande me.n jibra.iil o huurkahii.n jaza hai shaahiin siimaab ra.nglahuu se chakoro.n ke aaluuda changkabuutar kahii.n aashiyaane se duurpha.Daktaa hu.aa jaal me.n naa-subuurfareb-e-nazar hai sukuun o sabaatta.Daptaa hai har zarra-e-kaa.enaatThahartaa nahii.n kaarvaan-e-vajuudki har lahz hai taaza shaan-e-vajuudsamajhtaa hai tuu raaz hai zindagiifaqat zauq-e-parvaaz hai zindagiibahut us ne dekhe hai.n past o bulandsafar us ko manzil se ba.Dh kar pasandsafar zindagii ke liye barg o saazsafar hai haqiiqat hazar hai majaazulajh kar sulajhne me.n lazzat useta.Dapne pha.Dakne me.n raahat usehu.aa jab use saamnaa maut kaakaThin thaa ba.Daa thaamnaa maut kaautar kar jahaan-e-makaafaat me.nrahii zindagii maut kii ghaat me.nmazaaq-e-du.ii se banii zauj zaujuThii dasht o kohsaar se fauj faujgul is shaaKH se TuuTte bhii raheisii shaaKH se phuuTte bhii rahesamajhte hai.n naadaa.n use be-sabaatubhartaa hai miT miT ke naqsh-e-hayaatba.Dii tez jaulaa.n ba.Dii zuud-rasazal se abad tak ram-e-yak-nafszamaana ki zanjiir-e-ayyaam haidamo.n ke ulaT-pher kaa naam haiye mauj-e-nafs kyaa hai talvaar haiKHudii kyaa hai talvaar kii dhaar haiKHudii kyaa hai raaz-daruun-hayaatKHudii kyaa hai bedaari-e-kaa.enaatKHudii jalva badmast o KHalvat-pasandsamundar hai ik buu.nd paanii me.n banda.ndhere ujaale me.n hai taabnaakman o tuu me.n paidaa man o tuu se paakazal us ke piichhe abad saamnena had us ke piichhe na had saamnezamaane ke dariyaa me.n bahtii hu.iisitam us kii maujo.n ke sahtii hu.iitajassus kii raahe.n badaltii hu.iidamaa-dam nigaahe.n badaltii hu.iisubuk us ke haatho.n me.n sa.ng-e-giraa.npahaa.D us kii zarbo.n se reg-e-ravaa.nsafar us kaa anjaam o aaGaaz haiyahii us kii taqviim kaa raaz haikiran chaa.nd me.n hai sharar sang me.nye be-ra.ng hai Duub kar rang me.nise vaasta kyaa kam-o-besh senasheb o faraaz o pas-o-pesh seazal se hai ye kashmakash me.n asiirhu.ii KHaak-e-aadam me.n suurat-paziirKHudii kaa nasheman tire dil me.n haifalak jis tarah aa.nkh ke til me.n haiKHudii ke nigahbaa.n ko hai zahr-naabvo naa.n jis se jaatii rahe us kii aabvahii naa.n hai us ke liye arjumandrahe jis se duniyaa me.n gardan bulandKHudii faal-e-mahmuud se darguzarKHudii par nigah rakh ayaazii na karvahii sajda hai laa.iq-e-ehtimaamki ho jis se har sajda tujh par haraamye aalam ye ha.ngaama-e-ra.ng-o-sautye aalam ki hai zer-e-farmaan-e-mautye aalam ye but-KHaana-e-chashm-o-goshjahaa.n zindagii hai faqat KHurd o noshKHudii kii ye hai manzil-e-avvalii.nmusaafir ye teraa nasheman nahii.ntirii aag is KHaak-daa.n se nahii.njahaa.n tujh se hai tuu jahaa.n se nahii.nba.Dhe jaa ye koh-e-giraa.n to.D kartilism-e-zamaan-o-makaa.n to.D karKHudii sher-e-maulaa jahaa.n us kaa saidzamii.n us kii said aasmaa.n us kaa saidjahaa.n aur bhii hai.n abhii be-numuudki KHaalii nahii.n hai zamiir-e-vajuudhar ik muntazir terii yalGaar kaatirii shauKHi-e-fikr-o-kirdaar kaaye hai maqsad gardish-e-rozgaarki terii KHudii tujh pe ho aashkaartuu hai faatah-e-aalam-e-KHuub-o-zishttujhe kyaa bataa.uu.n tirii sarnavishthaqiiqat pe hai jaama-e-harf-e-ta.nghaqiiqat hai aa.iina-e-guftaar-e-za.ngfarozaa.n hai siine me.n sham-e-nafasmagar taab-e-guftaar rakhtii hai basagar yak-sar-e-muu-e-bartar paramfaroG-e-tajallii ba-sozad param
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
Online Treasure of Sufi and Sant Poetry
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books