Apna Dard Shayari
hichkiyāñ raat dard tanhā.ī
aa bhī jaao tasalliyāñ de do
hichkiyan raat dard tanhai
aa bhi jao tasalliyan de do
-
Tags : Dardand 3 more
bahut kaam lene haiñ dard-e-jigar se
kahīñ zindagī ko qarār aa na jaa.e
bahut kaam lene hain dard-e-jigar se
kahin zindagi ko qarar aa na jae
dil kā saarā dard bharā tasvīroñ meñ
ek musavvir naqsh huā tasvīroñ meñ
dil ka sara dard bhara taswiron mein
ek musawwir naqsh hua taswiron mein
dil dard kī bhaTTī meñ ka.ī baar jale hai
tab ek ġhazal husn ke sāñche meñ Dhale hai
dil dard ki bhaTTi mein kai bar jale hai
tab ek ghazal husn ke sanche mein Dhale hai
ab dard meñ vo kaifiyat-e-dard nahīñ hai
aayā huuñ jo us bazm-e-gul-afshāñ se guzar ke
ab dard mein wo kaifiyat-e-dard nahin hai
aaya hun jo us bazm-e-gul-afshan se guzar ke
kahūñ to kis se kahūñ apnā dard-e-dil maiñ ġharīb
na āshnā na musāhib na ham-nashīñ koī
kahun to kis se kahun apna dard-e-dil main gharib
na aashna na musahib na ham-nashin koi
bedard mujh se sharh-e-ġham-e-zindagī na pūchh
kaafī hai is qadar ki jiye jā rahā huuñ maiñ
bedard mujh se sharh-e-gham-e-zindagi na puchh
kafi hai is qadar ki jiye ja raha hun main
-
Tag : Gham
kahāñ pe khologe dard apnā kise kahoge
kahīñ chhupāo, ye haal le kar kahāñ chale ho
kahan pe khologe dard apna kise kahoge
kahin chhupao, ye haal le kar kahan chale ho
yuuñ hī ham dard apnā kho rahe haiñ
yahī ronā hai ham kyuuñ ro rahe haiñ
yun hi hum dard apna kho rahe hain
yahi rona hai hum kyun ro rahe hain
bahār dard bharā iqtibās chhoḌ ga.ī
har ik shajar kā badan be-libās chhoḌ ga.ī
bahaar dard bhara iqtibas chhoD gai
har ek shajar ka badan be-libas chhoD gai