Gali Shayari
dil mujhe us galī meñ le jā kar
aur bhī ḳhaak meñ milā laayā
dil mujhe us gali mein le ja kar
aur bhi KHak mein mila laya
-
Tag : Love
aap apnī galī ke saa.il ko
kam se kam par savāl to rakhiye
aap apni gali ke sail ko
kam se kam par sawal to rakhiye
yuuñ uThe aah us galī se ham
jaise koī jahāñ se uThtā hai
in such a manner from her street I had to go, I grieve
from this universe as though someone were to leave
yun uThe aah us gali se hum
jaise koi jahan se uThta hai
in such a manner from her street I had to go, I grieve
from this universe as though someone were to leave
ik din tirī galī meñ mujhe le ga.ī havā
aur phir tamām umr mujhe DhūñDhtī rahī
ek din teri gali mein mujhe le gai hawa
aur phir tamam umr mujhe DhunDhti rahi
us galī ne ye sun ke sabr kiyā
jaane vaale yahāñ ke the hī nahīñ
us gali ne ye sun ke sabr kiya
jaane wale yahan ke the hi nahin
-
Tags : Farewelland 1 more
galī kā aam sā chehra bhī pyārā hone lagtā hai
mohabbat meñ to zarra bhī sitārā hone lagtā hai
gali ka aam sa chehra bhi pyara hone lagta hai
mohabbat mein to zarra bhi sitara hone lagta hai
galī ke moḌ se ghar tak añdherā kyuuñ hai 'nizām'
charāġh yaad kā us ne bujhā diyā hogā
gali ke moD se ghar tak andhera kyun hai 'nizam'
charagh yaad ka us ne bujha diya hoga
har galī kūche meñ rone kī sadā merī hai
shahr meñ jo bhī huā hai vo ḳhatā merī hai
har gali kuche mein rone ki sada meri hai
shahr mein jo bhi hua hai wo KHata meri hai
kitnī vīrān hai galī dil kī
duur tak koī naqsh-e-pā bhī nahīñ
kitni viran hai gali dil ki
dur tak koi naqsh-e-pa bhi nahin
terā kūcha tirā dar terī galī kaafī hai
be-Thikānoñ ko Thikāne kī zarūrat kyā hai
tera kucha tera dar teri gali kafi hai
be-Thikanon ko Thikane ki zarurat kya hai