Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

Sahir ki talkhiyaan: What makes a poet bitter?

The first collection of poetry by Sahir was Talkhiyan. And as the title itself suggests, The verses are filled with bitterness and indifference toward the world. What makes a poet lose belief in the world he lives in? Read these selected couplets by Sahir and seek the answer for yourself.

terā milnā ḳhushī baat sahī

tujh se mil kar udaas rahtā huuñ

tera milna KHushi ki baat sahi

tujh se mil kar udas rahta hun

Sahir Ludhianvi

dekhā hai zindagī ko kuchh itne qarīb se

chehre tamām lagne lage haiñ ajiib se

dekha hai zindagi ko kuchh itne qarib se

chehre tamam lagne lage hain ajib se

Sahir Ludhianvi

ġham aur ḳhushī meñ farq na mahsūs ho jahāñ

maiñ dil ko us maqām pe laatā chalā gayā

gham aur KHushi mein farq na mahsus ho jahan

main dil ko us maqam pe lata chala gaya

Sahir Ludhianvi

le de ke apne paas faqat ik nazar to hai

kyuuñ dekheñ zindagī ko kisī nazar se ham

le de ke apne pas faqat ek nazar to hai

kyun dekhen zindagi ko kisi ki nazar se hum

Sahir Ludhianvi

tañg aa chuke haiñ kashmakash-e-zindagī se ham

Thukrā na deñ jahāñ ko kahīñ be-dilī se ham

tang aa chuke hain kashmakash-e-zindagi se hum

Thukra na den jahan ko kahin be-dili se hum

Sahir Ludhianvi

apnī tabāhiyoñ mujhe koī ġham nahīñ

tum ne kisī ke saath mohabbat nibhā to

at my own destruction I do not moan or weep

for faith at least with someone, you managed to keep

apni tabahiyon ka mujhe koi gham nahin

tum ne kisi ke sath mohabbat nibha to di

at my own destruction I do not moan or weep

for faith at least with someone, you managed to keep

Sahir Ludhianvi

ham ġham-zada haiñ laa.eñ kahāñ se ḳhushī ke giit

deñge vahī jo pā.eñge is zindagī se ham

hum gham-zada hain laen kahan se KHushi ke git

denge wahi jo paenge is zindagi se hum

Sahir Ludhianvi

ik shahanshāh ne daulat sahārā le kar

ham ġharīboñ mohabbat uḌāyā hai mazāq

ek shahanshah ne daulat ka sahaara le kar

hum gharibon ki mohabbat ka uDaya hai mazaq

Sahir Ludhianvi

chand kaliyāñ nashāt chun kar muddatoñ mahv-e-yās rahtā huuñ

terā milnā ḳhushī baat sahī tujh se mil kar udaas rahtā huuñ

chand kaliyan nashat ki chun kar muddaton mahw-e-yas rahta hun

tera milna KHushi ki baat sahi tujh se mil kar udas rahta hun

Sahir Ludhianvi

duniyā ne tajrabāt o havādis shakl meñ

jo kuchh mujhe diyā hai vo lauTā rahā huuñ maiñ

duniya ne tajrabaat o hawadis ki shakl mein

jo kuchh mujhe diya hai wo lauTa raha hun main

Sahir Ludhianvi

mujhe chhoḌ ke Thukrā ke bhī saktī hai

tere hāthoñ meñ mire haath haiñ zanjīr nahīñ

tu mujhe chhoD ke Thukra ke bhi ja sakti hai

tere hathon mein mere hath hain zanjir nahin

Sahir Ludhianvi

abhī zinda huuñ lekin sochtā rahtā huuñ ḳhalvat meñ

ki ab tak kis tamannā ke sahāre liyā maiñ ne

abhi zinda hun lekin sochta rahta hun KHalwat mein

ki ab tak kis tamanna ke sahaare ji liya main ne

Sahir Ludhianvi

ham jurm-e-mohabbat sazā pā.eñge tanhā

jo tujh se huī ho vo ḳhatā saath liye

hum jurm-e-mohabbat ki saza paenge tanha

jo tujh se hui ho wo KHata sath liye ja

Sahir Ludhianvi

is reñgtī hayāt kab tak uThā.eñ baar

bīmār ab ulajhne lage haiñ tabīb se

is rengti hayat ka kab tak uThaen bar

bimar ab ulajhne lage hain tabib se

Sahir Ludhianvi

bas ab to dāman-e-dil chhoḌ do bekār ummīdo

bahut dukh sah liye maiñ ne bahut din liyā maiñ ne

bas ab to daman-e-dil chhoD do bekar ummido

bahut dukh sah liye main ne bahut din ji liya main ne

Sahir Ludhianvi

mohabbat tark maiñ ne garebāñ liyā maiñ ne

zamāne ab to ḳhush ho zahr ye bhī liyā maiñ ne

mohabbat tark ki main ne gareban si liya main ne

zamane ab to KHush ho zahr ye bhi pi liya main ne

Sahir Ludhianvi

ai ġham-e-duniyā tujhe kyā ilm tere vāste

kin bahānoñ se tabī.at raah par laa.ī ga.ī

ai gham-e-duniya tujhe kya ilm tere waste

kin bahanon se tabiat rah par lai gai

Sahir Ludhianvi

añdherī shab meñ bhī tāmīr-e-āshiyāñ na ruke

nahīñ charāġh to kyā barq to chamaktī hai

andheri shab mein bhi tamir-e-ashiyan na ruke

nahin charagh to kya barq to chamakti hai

Sahir Ludhianvi

is tarah nigāheñ mat phero, aisā na ho dhaḌkan ruk jaa.e

siine meñ koī patthar to nahīñ ehsās mārā, dil to hai

is tarah nigahen mat phero, aisa na ho dhaDkan ruk jae

sine mein koi patthar to nahin ehsas ka mara, dil hi to hai

Sahir Ludhianvi

bahut ghuTan hai koī sūrat-e-bayāñ nikle

agar sadā na uThe kam se kam fuġhāñ nikle

bahut ghuTan hai koi surat-e-bayan nikle

agar sada na uThe kam se kam fughan nikle

Sahir Ludhianvi

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now