Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

Top 10 couplets of Arshad Ali Khan 'Qalaq'

Prominent courtier of Wajid Ali Shah who accompanied him during his exile to Kolkata. Awarded the honorific title of 'Aftabu Daula Shams-e-Jung' by the Nawab.

adā se dekh lo jaatā rahe gila dil

bas ik nigāh pe Thahrā hai faisla dil

ada se dekh lo jata rahe gila dil ka

bas ek nigah pe Thahra hai faisla dil ka

Asad Ali Khan Qalaq

apne begāne se ab mujh ko shikāyat na rahī

dushmanī kar ke mire dost ne maarā mujh ko

apne begane se ab mujh ko shikayat na rahi

dushmani kar ke mere dost ne mara mujh ko

Asad Ali Khan Qalaq

āḳhir insān huuñ patthar to rakhtā nahīñ dil

ai buto itnā satāo na ḳhudā-rā mujh ko

aaKHir insan hun patthar ka to rakhta nahin dil

ai buto itna satao na KHuda-ra mujh ko

Asad Ali Khan Qalaq

dast-e-junūñ ne phaaḌ ke pheñkā idhar-udhar

dāman abad meñ hai to garebāñ azal meñ hai

dast-e-junun ne phaD ke phenka idhar-udhar

daman abad mein hai to gareban azal mein hai

Asad Ali Khan Qalaq

kareñge ham se vo kyūñkar nibāh dekhte haiñ

ham un thoḌe dinoñ aur chaah dekhte haiñ

karenge hum se wo kyunkar nibah dekhte hain

hum un ki thoDe dinon aur chah dekhte hain

Asad Ali Khan Qalaq

sitam vo tum ne kiye bhūle ham gila dil

huā tumhāre bigaḌne se faisla dil

sitam wo tum ne kiye bhule hum gila dil ka

hua tumhaare bigaDne se faisla dil ka

Asad Ali Khan Qalaq

manzil hai apnī apnī 'qalaq' apnī apnī gor

koī nahīñ sharīk kisī ke gunāh meñ

manzil hai apni apni 'qalaq' apni apni gor

koi nahin sharik kisi ke gunah mein

Asad Ali Khan Qalaq

sindūr us maañg meñ detā hai yuuñ bahār

jaise dhanak nikaltī hai abr-e-siyāh meñ

sindur us ki mang mein deta hai yun bahaar

jaise dhanak nikalti hai abr-e-siyah mein

Asad Ali Khan Qalaq

khulne se ek jism ke sau aib Dhak ga.e

uryāñ-tanī bhī josh-e-junūñ meñ libās hai

khulne se ek jism ke sau aib Dhak gae

uryan-tani bhi josh-e-junun mein libas hai

Asad Ali Khan Qalaq

ḳhush-qadoñ se kabhī aalam na rahegā ḳhālī

is chaman se jo gayā sarv to shamshād aayā

KHush-qadon se kabhi aalam na rahega KHali

is chaman se jo gaya sarw to shamshad aaya

Asad Ali Khan Qalaq

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now