Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

Zindagi tere liye zahr piya hai maine:Khalilur Rahman Azmi

Khalilur Rahman Azmi was an Urdu poet and critic of unparalleled genius. He is known for introducing new standards of interpreting and composing poetry distinctly.

na jaane kis hameñ umr bhar talāsh rahī

jise qarīb se dekhā vo dūsrā niklā

na jaane kis ki hamein umr bhar talash rahi

jise qarib se dekha wo dusra nikla

Khalilur Rahman Azmi

dekhne vaalā koī mile to dil ke daaġh dikhā.ūñ

ye nagrī andhoñ nagrī kis ko kyā samjhā.ūñ

dekhne wala koi mile to dil ke dagh dikhaun

ye nagri andhon ki nagri kis ko kya samjhaun

Khalilur Rahman Azmi

hazār tarah mai hazār tarah ke zahr

na pyaas bujhī apnī na hausla niklā

hazar tarah ki mai pi hazar tarah ke zahr

na pyas hi bujhi apni na hausla nikla

Khalilur Rahman Azmi

sunā rahā huuñ unheñ jhūT-mūT ik qissa

ki ek shaḳhs mohabbat meñ kāmyāb rahā

suna raha hun unhen jhuT-muT ek qissa

ki ek shaKHs mohabbat mein kaamyab raha

Khalilur Rahman Azmi

yuuñ bahal gayā hai tirī yaad se magar

terā ḳhayāl tere barābar na ho sakā

yun ji bahal gaya hai teri yaad se magar

tera KHayal tere barabar na ho saka

Khalilur Rahman Azmi

tum mujhe chāho na chāho lekin itnā to karo

jhuuT kah do ki jiine bahāna mil sake

tum mujhe chaho na chaho lekin itna to karo

jhuT hi kah do ki jine ka bahana mil sake

Khalilur Rahman Azmi

ye tamannā nahīñ ab dād-e-hunar de koī

aa ke mujh ko mire hone ḳhabar de koī

ye tamanna nahin ab dad-e-hunar de koi

aa ke mujh ko mere hone ki KHabar de koi

Khalilur Rahman Azmi

aariz pe tere merī mohabbat surḳhiyāñ

merī jabīñ pe terī vafā ġhurūr hai

aariz pe tere meri mohabbat ki surKHiyan

meri jabin pe teri wafa ka ghurur hai

Khalilur Rahman Azmi

hañgāma-e-hayāt se jāñ-bar na ho sakā

ye dil ajiib dil hai ki patthar na ho sakā

hangama-e-hayat se jaan-bar na ho saka

ye dil ajib dil hai ki patthar na ho saka

Khalilur Rahman Azmi

hameñ to raas na aa.ī kisī mahfil bhī

koī ḳhudā koī ham-sāya-e-ḳhudā niklā

hamein to ras na aai kisi ki mahfil bhi

koi KHuda koi ham-saya-e-KHuda nikla

Khalilur Rahman Azmi

tamām yādeñ mahak rahī haiñ har ek ġhuncha khilā huā hai

zamāna biitā magar gumāñ hai ki aaj vo judā huā hai

tamam yaaden mahak rahi hain har ek ghuncha khila hua hai

zamana bita magar guman hai ki aaj hi wo juda hua hai

Khalilur Rahman Azmi

azal se thā vo hamāre vajūd hissa

vo ek shaḳhs ki jo ham pe mehrbān huā

azal se tha wo hamare wajud ka hissa

wo ek shaKHs ki jo hum pe mehrban hua

Khalilur Rahman Azmi

ye aur baat ki tark-e-vafā pe maa.il haiñ

tirī vafā hameñ aaj bhī zarūrat hai

ye aur baat ki tark-e-wafa pe mail hain

teri wafa ki hamein aaj bhi zarurat hai

Khalilur Rahman Azmi

maiñ apne ghar ko bulandī pe chaḌh ke kyā dekhūñ

urūj-e-fan mirī dahlīz par utaar mujhe

main apne ghar ko bulandi pe chaDh ke kya dekhun

uruj-e-fan meri dahliz par utar mujhe

Khalilur Rahman Azmi

hamāre ba.ad us marg-e-javāñ ko kaun samjhegā

irāda hai ki apnā marsiya bhī aap likh leñ

hamare baad us marg-e-jawan ko kaun samjhega

irada hai ki apna marsiya bhi aap hi likh len

Khalilur Rahman Azmi

ham pe jo guzrī hai bas us ko raqam karte haiñ

āp-bītī kaho marsiya-ḳhvānī kah lo

hum pe jo guzri hai bas us ko raqam karte hain

aap-biti kaho ya marsiya-KHwani kah lo

Khalilur Rahman Azmi

aaj Duubā huā ḳhushbū meñ hai pairāhan-e-jāñ

ai sabā kis ne ye pūchhā hai tirā nām-o-nishāñ

aaj Duba hua KHushbu mein hai pairahan-e-jaan

ai saba kis ne ye puchha hai tera nam-o-nishan

Khalilur Rahman Azmi

terī galī se chhuT ke na jā-e-amāñ milī

ab ke to merā ghar bhī mirā ghar na ho sakā

teri gali se chhuT ke na ja-e-aman mili

ab ke to mera ghar bhi mera ghar na ho saka

Khalilur Rahman Azmi

zindagī bhī mire nāloñ shanāsā niklī

dil jo TuuTā to mire ghar meñ koī sham.a jalī

zindagi bhi mere nalon ki shanasa nikli

dil jo TuTa to mere ghar mein koi shama jali

Khalilur Rahman Azmi

zarā aa ke sāmne baiTh mirī chashm-e-tar ke qarīb aa

mire aa.ine meñ bhī dekh le kabhī apnī zulf barhamī

zara aa ke samne baiTh ja meri chashm-e-tar ke qarib aa

mere aaine mein bhi dekh le kabhi apni zulf ki barhami

Khalilur Rahman Azmi

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now