ek anokhe din me.n vaardaat-e-qatl
Interesting Fact
شہید فلسطینی طالبہ منتہا کے لیے
jis ghaḌī vo chalā
tausan-e-vaqt kī piiTh par baiTh kar
teġh ek haath meñ
dūsre haath meñ le ke
jis ghaḌī is vatan ke dar-o-bām meñ
kunj-e-zindāñ kī hasrat bharī shaam meñ
vo havā.eñ chalīñ
jin meñ shāmil the imkān ke nāma-bar
us ghaḌī muntahī
apnī ḳhushiyoñ ke chāñdoñ se jholī bhare
sū-e-dasht-e-falak apne ghar se chalī
ye batāne ki ab zindagī ke har ik kohna andāz kī ho chukī intihā
ye batāne ki ab ho rahī hai na.e daur kī ibtidā
us ke kamre meñ us kī thakī māñdī maañ
be-ḳhayālī kī phailī huī dhund ke darmiyāñ
us kī darsī kitāboñ ke aurāq se khelte khelte
ḳhud-kalāmī meñ thī
merī nūr-e-nazar
dushmanoñ kī nigāheñ bahut tez haiñ
un se karnā hazar
us kā ye vasvasa be-haqīqat na thā
vāqa'ī is ghaḌī ḳhanjar-e-bad-guhar
us kī nūr-e-nazar ke ta'āqub meñ thā
us ke hulqūm par thī 'adū kī nazar
sub.h-dam jis ghaḌī
us ke lāshe ke chehre se chādar haTī
to gulāboñ kī mahkār vahshī huī
aur chādar tale surḳh phūloñ ke daste huvaidā hue
aur darsī kitāboñ ke aurāq meñ
jur.at-o-āgahī ke vo saare sabaq
jo ki mahzūf the phir numāyāñ hue
be-hunar aur saada varaq kī jabīñ
in hadoñ kī lakīroñ se raushan huī
jin kā naqsha 'adū ke siyah haath se
paarā paarā huā
us kī chādar schōloñ meñ paltī huī
naujavāñ ārzūoñ kā parcham banī
jo khulā aur phir
az-nazar tā-nazar phailtā hī gayā
sāhilī bastiyoñ ke farāzoñ pe chhātā huā
tund-ḳhū shāh-rāhoñ pe bojhal daraḳhtoñ pe saaya banā
khiḌkiyoñ meñ gharoñ kī chhatoñ par
dukānoñ ke shelfoñ pe zāhir huā
aur yuuñ muntahī dekhte dekhte
ūñche sāhil pe bikhrī huī bastiyoñ ke dar-o-bām par
āsmāñ kī tarah ḳhema-zan ho ga.ī
muntahā laash hai par use qatl kis ne kiyā kab kiyā
kaun hai jo kahe maiñ ne maarā use
use kaun maslūb kartā ki jo
sū-e-dasht-e-falak
ghar se naqsh-e-fanā le ke ruḳhsat huī
apnī ḳhushiyoñ ke chāñdoñ se jholī bhare
ye batāne ki ab zindagī ke har ik kohna andāz kī
ho chukī intihā
ye batāne ki ab ho rahī hai na.e daur kī ibtidā
jis ghaDi wo chala
tausan-e-waqt ki piTh par baiTh kar
tegh ek hath mein
dusre hath mein le ke
jis ghaDi is watan ke dar-o-baam mein
kunj-e-zindan ki hasrat bhari sham mein
wo hawaen chalin
jin mein shamil the imkan ke nama-bar
us ghaDi muntahi
apni KHushiyon ke chandon se jholi bhare
su-e-dasht-e-falak apne ghar se chali
ye batane ki ab zindagi ke har ek kohna andaz ki ho chuki intiha
ye batane ki ab ho rahi hai nae daur ki ibtida
us ke kamre mein us ki thaki mandi man
be-KHayali ki phaili hui dhund ke darmiyan
us ki darsi kitabon ke auraq se khelte khelte
KHud-kalami mein thi
meri nur-e-nazar
dushmanon ki nigahen bahut tez hain
un se karna hazar
us ka ye waswasa be-haqiqat na tha
waqa'i is ghaDi KHanjar-e-bad-guhar
us ki nur-e-nazar ke ta'aqub mein tha
us ke hulqum par thi 'adu ki nazar
subh-dam jis ghaDi
us ke lashe ke chehre se chadar haTi
to gulabon ki mahkar wahshi hui
aur chadar tale surKH phulon ke daste huwaida hue
aur darsi kitabon ke auraq mein
jurat-o-agahi ke wo sare sabaq
jo ki mahzuf the phir numayan hue
be-hunar aur sada waraq ki jabin
in hadon ki lakiron se raushan hui
jin ka naqsha 'adu ke siyah hath se
para para hua
us ki chadar schoolon mein palti hui
naujawan aarzuon ka parcham bani
jo khula aur phir
az-nazar ta-nazar phailta hi gaya
sahili bastiyon ke faraazon pe chhata hua
tund-KHu shah-rahon pe bojhal daraKHton pe saya bana
khiDkiyon mein gharon ki chhaton par
dukanon ke shelfon pe zahir hua
aur yun muntahi dekhte dekhte
unche sahil pe bikhri hui bastiyon ke dar-o-baam par
aasman ki tarah KHema-zan ho gai
muntaha lash hai par use qatl kis ne kiya kab kiya
kaun hai jo kahe main ne mara use
use kaun maslub karta ki jo
su-e-dasht-e-falak
ghar se naqsh-e-fana le ke ruKHsat hui
apni KHushiyon ke chandon se jholi bhare
ye batane ki ab zindagi ke har ek kohna andaz ki
ho chuki intiha
ye batane ki ab ho rahi hai nae daur ki ibtida
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.